Posts

Showing posts from June, 2018

Duniya Samajh Rahi Hai Ke Patthar Uchhaal Aaye

Duniya samajh rahi hai ke patthar uchhaal aaye, Hum apni pyas ja ke samandar mein daal aaye... Jo phaans chubh rahi hai dilo'n mein wo tu nikaal, Jo paanw mein chubhi thi use hum nikaal aaye... Kuchh is tarah se zikr-e-tabahi sunaiye, Aankhon mein khoon aaye na shishe mein baal aaye... Samjho ke zindagi ki wahin shaam ho gayi, Kirdaar bechne ka jahaan bhi sawaal aaye... Guzro dayaar-e-fikr se 'Mansoor' is tarah, Khud par zawaal aaye na fan par zawaal aaye.!! "Mansoor Usmani"

Gulshan Mein Ye Kamaal Tujhe Dekh Kar Hua

Gulshan mein ye kamaal tujhe dekh kar hua, Phoolo'n ka rang laal tujhe dekh kar hua..  Muddat ke baad aaj mile hain to jaan-e-man, Dil ko bahut malaal tujhe dekh kar hua.. Aao hum aaj chaand ka qarza utar dein, Taaro'n ko ye khyaal tujhe dekh kar hua.. Khushbu se kis zabaan mein baatein karenge log, Mahfil mein ye sawaal tujhe dekh kar hua, Ashko'n se jab likhenge ghazal tab sunayenge, Is dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua.!! "Mansoor Usmani"

Haalat Kya Ye Tere Bichhadne Se Ho Gaye

Haalat kya ye tere bichhadne se ho gaye,  Lagta hai jaise hum kisi mele mein kho gaye.. Aankhein baras gayin to sukoon dil ko mil gaya, Baadal to sirf sookhi zameenein bhigo gaye.. Kitni kahaniyon se mila zindagi ko husn, Kitne fasane waqt ki chaadar mein so gaye.. Aankhon se neend roothi to nuqsaan ye hua, Mere hazaron khwab mere dil mein so gaye.. 'Mansoor' muddaton se mujhe un ki hai talaash, Nafrat ke beej mere chaman mein jo bo gaye.!! "Mansoor Usmani"

Is Shahar Mein Chalti Hai Hawa Aur Tarah Ki

Is shahar mein chalti hai hawa aur tarah ki, Jurm aur tarah ke hain saza aur tarah ki... Is baar to paimana uthaya bhi nahin tha, Is baar thi rindo'n ki khata aur tarah ki... Hum aankhon mein aansu nahin laate hain ke hum ne, Paai hai wirasat mein ada aur tarah ki... Is baat pe naraaz tha saaqi ke sar-e-bazm, Kyun aai pyaalon se sada aur tarah ki... Is daur mein mafhoom-e-mohabbat hai tijarat, Is daur mein hoti hai wafa aur tarah ki... Shabnam ki jagah aag ki baarish ho magar hum, 'Mansoor' na maangenge dua aur tarah ki.!! "Mansoor Usmani"

Main Hun Khamosh Magar Bol Raha Hai Mujh Mein

Main hun khamosh magar bol raha hai mujh mein, Aisa lagta hai koi aur chhupa hai mujh mein... Mujh se dilli ki nahin dil ki kahani suniye, Shahar to ye bhi kayi baar luta hai mujh mein... Tujh ko chahat hai wafa ki to mujhe ghaur se padh, Wo kitaabon mein kahaan hai jo likha hai mujh mein... Muskuraata hua maqtal se guzar aaya hun, Zindagi teri koi khaas ada hai mujh mein...  Ye alag baat ke alfaaz hain mere lekin, Sach to bas ye hai ke teri hi sada hai mujh mein... Mere shero'n se bikhar sakte hain us ke gesu, Tera andaaz bhi ai baad-e-saba hai mujh mein... Laakh khamosh sahi saari fazaaen 'Mansoor', Bolne waala magar bol raha hai mujh mein.!! "Mansoor Usmani"

Masafat Manzilon Ki Jab Humare Sar Pe Rakkhi Thi

Masafat manzilon ki jab humare sar pe rakkhi thi, Falak kandhon pe rakkha tha zameen thokar pe rakkhi thi... Humare pyaar ki shohrat hui thi yoon zamane mein, Waraq sadko'n pe bikhre the kahani ghar pe rakkhi thi... Kiya hai harf-e-haq hum ne ada kuchh is qareene se, Nazar qaatil pe rakkhi thi zabaan khanjar pe rakkhi thi... Tujhe paane ki uljhan mein kuchh aise din bhi guzre hain, Badan shabnam se jalta tha qaza bistar pe rakkhi thi.!! "Mansoor Usmani"

Tishnagi Dil Ki Bujhana To Khabar Kar Dena

Tishnagi dil ki bujhana to khabar kar dena, Ashk aankhon mein chhupana to khabar kar dena... Hum ne kuchh geet likhe hain jo sunana hain tumhein, Tum kabhi bazm sajaana to khabar kar dena... Haadse rah-e-mohabbat ka muqaddar thehre, Jab humein dil se bhulana to khabar kar dena... Jin kitaabon mein chhupaye hain mere khat tum ne, Un kitaabon ko jalana to khabar kar dena...  Aaj begana samajhte ho to samjho lekin, Jab sataye ye zamana to khabar kar dena... Main zaroor aaunga 'Mansoor' tumhaari khaatir, Tum jo maqtal ko sajaana to khabar kar dena.!! "Mansoor Usmani"

Toot Jaata Hai Sitaaron Ka Bharam Raat Gaye

Toot jaata hai sitaaron ka bharam raat gaye, Jagmagaate hain tere naqsh-e-qadam raat gaye... Kya batayen jo guzarti hai humare dil par, Yaad aate hain jab apnon ke sitam raat gaye... Gharq ho jaati hai jab neend mein saari duniya, Jaag uthte hain adeebo'n ke qalam raat gaye... Roz aate hain sada de ke chale jaate hain, Dil ke darwaze pe kuchh ahl-e-karam raat gaye... Rok leti hai teri yaad sahaara ban kar,  Dagmagate hain agar mere qadam raat gaye... Jin ki ummid mein hum din ko jiya karte hain, Toot jaate hain wahi qaul-o-qasam raat gaye... Jin ki qismat mein nahin din ka ujaala 'Mansoor', Un charaaghon mein jala karte hain hum raat gaye.!! "Mansoor Usmani"

Kabhi Junoon To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun

Kabhi junoon to kabhi aagahi ki qaid mein hun, Main apne zehn ki aawargi ki qaid mein hun.. Sharaab mere labon ko taras rahi hogi,  Main rind to hun magar tishnagi ki qaid mein hun.. Na koi samt na jaada na manzil-e-maqsood, Yugo'n yugo'n se yunhi be-rukhi ki qaid mein hun.. Kisi ke rukh se jo parda utha diya main ne, Saza ye paai ke deewangi ki qaid mein hun.. Ye kis khata ki saza mein hain dohri zanjeerein, Giraft maut ki hai zindagi ki qaid mein hun.. Na jaane kitni naqaabein ulat ta jaata hun, Janm janm se main bechaargi ki qaid mein hun.. Yahaan to parda-e-seemi'n pe chal rahi hai film, Main jis jagah hun wahaan raushni ki qaid mein hun.. Jahaan main qaid se chhootun wahin pe mil jaana,  Abhi na milna abhi zindagi ki qaid mein hun.. Gharaz naseeb mein likkhi rahi aseeri hi, Kisi ki qaid se chhoota kisi ki qaid mein hun.. Gunah ye hai ke kyun apna naam rakha 'Noor', Wo din aur aaj ka din teergi ki qaid mein hun.!! "Krishn Bihari Noor&quo

Jis Ka Koi Bhi Nahin Us Ka Khuda Hai Yaaro

Jis ka koi bhi nahin us ka khuda hai yaaro, Main nahin kahta kitaabon mein likha hai yaaro... Mud ke dekhun to kidhar aur sada dun to kise, Mere maazi ne mujhe chhod diya hai yaaro... Is saza se to mera ji hi nahin bharta hai,  Zindagi kaise gunaahon ki saza hai yaaro... Shab hai is waqt koi ghar na khula paaoge, Aao may-khane ka darwaza khula hai yaaro... Koi karta hai duaaen to ye jal jaata hai, Mera jiwan kisi mandir ka diya hai yaaro...  Main andhere mein rahun ya main ujale mein rahun, Aisa lagta hai koi dekh raha hai yaaro... Haal ka zakhm to maazi se bahut gahra hai, Aaj zakhmi mera saaya bhi hua hai yaaro... Intizaar aaj ke din ka tha badi muddat se, Aaj us ne mujhe deewana kaha hai yaaro.!! "Krishn Bihari Noor"

Ek Ghazal Us Pe Likhun Dil Ka Taqaza Hai Bahut

Ek ghazal us pe likhun dil ka taqaza hai bahut, In dinon khud se bichhad jaane ka dhadka hai bahut.. Raat ho din ho ke ghaflat ho ke bedaari ho, Us ko dekha to nahin hai use socha hai bahut.. Tishnagi ke bhi maqamaat hain kya kya yaani, Kabhi dariya nahin kaafi kabhi qatra hai bahut.. Mere haathon ki lakeeron ke izaafe hain gawaah, Main ne patthar ki tarah khud ko tarasha hai bahut.. Koi aaya hai zaroo r aur yahaan thehra bhi hai, Ghar ki dahleez pe ai 'Noor' ujala hai bahut.!! "Krishn Bihari Noor"

Apna Pata Na Apni Khabar Chhod Jaaunga

Apna pata na apni khabar chhod jaaunga,  Be-samtiyon ki gard-e-safar chhod jaaunga... Tujh se agar bichhad bhi gaya main to yaad rakh, Chehre pe tere apni nazar chhod jaaunga... Ghum dooriyon ka door na ho payega kabhi, Wo apni qurbaton ka asar chhod jaaunga... Guzregi raat raat mere hi khyaal mein, Tere liye main sirf sahar chhod jaaunga... Jaise ke shama-daan mein bujh jaaye koi shama, Bas yoon hi apne jism ka ghar chhod jaaunga... Main tujh ko jeet kar bhi kahaan jeet paaunga, Lekin mohabbaton ka hunar chhod jaaunga... Aansu milenge mere na phir tere qahqahe, Sooni har ek rahguzar chhod jaaunga...  Sansaar mein akela tujhe agle janm tak,  Hai chhodna muhaal magar chhod jaaunga... Us paar ja sakengi to yaadein hi jayengi,  Jo kuchh idhar mila hai udhar chhod jaaunga... Ghum hoga sab ko aur juda hoga sab ka ghum, Kya jaane kitne dida-e-tar chhod jaaunga...  Bas tum hi pa sakoge kuredoge tum agar,  Main apni raakh mein bhi sharar chhod jaaunga... Kuchh der ko niga

Khushiyan Tamaam Ghum Mein Wo Tabdeel Kar Gaya

Khushiyan tamaam ghum mein wo tabdeel kar gaya, Aakhir mere khuloos ki tazleel kar gaya... Wo ek shakhs dosto'n mar to gaya magar, Raushan jahaan mein pyar ki qindeel kar gaya... Likh kar wafa ka naam wo saada waraq pe aaj, Poori har ek kitaab ki tafseel kar gaya... Shola-bayaan tha kitna khatarnaak dosto,  Lafzon ka zahar jism mein tahleel kar gaya... 'Saifi' ki aaj maut pe dushman bhi kah uthe, Achchha tha wo hayat ki takmeel kar gaya.!! "Saifi Saronji"

Kuchh To Is Dil Ko Saza Di Jaaye

Kuchh to is dil ko saza di jaaye, Us ki tasveer hata di jaaye.. Dhundhne mein bhi maza aata hai, Koi shay rakh ke bhula di jaaye.. Naam likh likh ke tera kaaghaz par, Raushnaai bhi gira di jaaye.. Naaw kaaghaz ki bana kar us ko, Bahte paani mein baha di jaaye.. Raat ko chupke se ek ek ghar ki, Kyun na zanjeer laga di jaaye.. Neend mein chaunk padega koi, Aao us dar pe sada di jaaye.. Aakhiri saans mahak jaayegi, Us ke daaman ki hawa di jaaye.. Sab ke sab yaad chale aate hain,  Aaj kis kis ko dua di jaaye.. 'Alvi' hotel mein thehar sakta hai, Kyun use ghar mein jagah di jaaye.!! "Mohammad Alvi"

Wo Mere Saath Aane Pe Tayyaar Ho Gaya

Wo mere saath aane pe tayyaar ho gaya, Sote se hadbada ke main bedaar ho gaya.. Us ke haseen chehre pe khat khoob tha magar, Daadhi munda ke aur tarah-daar ho gaya..  Batti bujha ke hero heroine lipat gaye, Qissa bahut hi phir to mazedaar ho gaya..  Qaatil faraar ho gaya police ke aane tak, Ek rah-rau bechaara giraftaar ho gaya.. Un ko gunah karte hue main ne ja liya, Phir un ke satah main bhi gunahgaar ho gaya.. Mardaangi ka us ki bahut shor tha magar, Aai shab-e-wisa al to beemaar ho gaya.!! "Mohammad Alvi"

Yoon To Kam Kam Thi Mohabbat Us Ki

Yoon to kam kam thi mohabbat us ki, Kam na thi phir bhi rafaqat us ki.. Saare dukh bhool ke hans leta tha, Ye bhi thi ek karamat us ki.. Uljhanein aur bhi thin us ke liye, Ek main bhi tha musibat us ki.. Pahle bhi peene ko ji karta tha, Mil hi jaati thi ijazat us ki.. Khwab mein jaise chala karta hun, Dekhta rahta hun surat us ki.. Naam rahta hai zabaan par us ka, Ghar mein rahti hai zaroorat us ki.. Us ki aadat thi shararat karna, Kaash ye bhi ho shararat us ki.. Phailte badhte hue bistar mein, Dhundhta rahta hun qurbat us ki..  Ek bosida sa ghar chhorh gayi, Le gayi saath wo jannat us ki.!! "Mohammad Alvi"

Zameen Kahin Bhi Na Thi Chaar-su Samandar Tha

Zameen kahin bhi na thi chaar-su samandar tha, Kise dikhate bada haul-naak manzar tha.. Ludhak ke meri taraf aa raha tha ek patthar, Phir ek aur phir ek aur bada sa patthar tha.. Faseelein dil ki giraata hua jo dar aaya, Wo koi aur na tha khwahishon ka lashkar tha.. Bula raha tha koi cheekh cheekh kar mujh ko, Kuein mein jhaank ke dekha to main hi andar tha.. Bahut se haath ug aaye the meri aankhon mein, Har ek haath mein ek nok-daar khanjar tha.. Wo jangalon mein darakhton pe koodte phirna, Bura bahut tha magar aaj se to behtar tha.. Humare waaste 'Alvi' ke sher kya kam hain, Chalo qubool ke 'Ghaalib' bada sukhan-war tha.!! "Mohammad Alvi"

Dastak Hawa Ki Sun Ke Kabhi Darr Nahin Gaya

Dastak hawa ki sun ke kabhi darr nahin gaya, Lekin main chaand-raat mein baahar nahin gaya... Aankhon mein ud raha hai abhi tak ghubaar-e-hijr, Ab tak wida-e-yaar ka manzar nahin gaya...  Ai shaam-e-hijr-e-yaar meri tu gawahi de, Main tere saath saath raha ghar nahin gaya... Tu ne bhi saare zakhm kisi taur sah liye, Main bhi bichhad ke ji hi liya mar nahin gaya... Saada faseel-e-shahar mujhe dekhti rahi, Lekin main tera naam bhi likh kar nahin gaya... Bakhsha shab-e-firaaq ko dil ne abad ka tool, Shab bhar lahuluhaan raha mar nahin gaya.!! "Ahmad Azeem"

Aag Hai Paani Hai Mitti Hai Hawa Hai Mujh Mein

Aag hai paani hai mitti hai hawa hai mujh mein, Aur phir maanna pad ta hai khuda hai mujh mein.. Ab to le de ke wahi shakhs bacha hai mujh mein, Mujh ko mujh se jo juda kar ke chhupa hai mujh mein.. Jitne mausam hain sabhi jaise kahin mil jaayen, In dinon kaise bataaun jo faza hai mujh mein.. Aaina ye to batata hai main kya hun lekin, Aaina is pe hai khamosh ke kya hai mujh mein.. Ab to bas jaan hi dene ki hai baari ai 'noor', Main kahaan tak karun saabit ki wafa hai mujh mein.!! "Krishn Bihari Noor"

Bahti Hui Aankhon Ki Rawani Mein Mare Hain

Bahti hui aankhon ki rawani mein mare hain, Kuchh khwab mere ain-jawani mein mare hain... Rota hun main un lafzo'n ki qabro'n pe kayi baar, Jo lafz meri shola-bayani mein mare hain... Kuchh tujh se ye doori bhi mujhe maar gayi hai, Kuchh jazbe mere naql-e-makani mein mare hain... Qabro'n mein nahin hum ko kitaabo'n mein utaaro, Hum log mohabbat ki kahani mein mare hain... Is ishq ne aakhir humein barbaad kiya hai, Hum log isi khaulte paani mein mare hain... Kuchh had se zyaada tha humein shauq-e-mohabbat, Aur hum hi mohabbat ki girani mein mare hain.!! "Ejaaz Tawakkal"

Ye Daulat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo

Ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo, Bhale chheen lo mujh se se meri jawaani.. Magar mujh ko lauta do wo bachpan ka saawan, Wo kaaghaz ki kashti wo baarish ka paani.. Ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo, Bhale chheen lo mujh se meri jawaani.. Magar mujh ko lauta do bachpan ka saawan, Wo kaaghaz ki kashti wo baarish ka paani.. Mohalle ki sab se nishaani puraani, Wo budhiya jise bachche kahte the naani.. Wo naani ki baaton mein pariyon ka dhera, Wo chehre ki jhuriyon mein sadiyon ka phera.. Bhulaye nahin bhool sakta hai koi, Wo chhoti si raatein wo lambi kahaani.. Wo kaaghaz ki kashti wo baarish ka paani, Khadi dhoop mein apne ghar se nikalna, Wo chidiyan wo bulbul wo titli pakadna.. Wo gudiyon ki shaadi pe ladna jhagadna, Wo jhoolon se girna wo girte sambhalna.. Wo peetal ke chhaanw ke pyaare se tohfe, Wo tooi hui choodiyon ki nishaani.. Wo kaaghaz ki kashti wo baarish ka paani.. Kabhi ret ke oonche teelo'n pe jaana, Gharaunde banana bana ke mitana..

Ahl-e-ulfat Ke Hawaalon Pe Hansi Aati Hai

Ahl-e-ulfat ke hawaalon pe hansi aati hai, Laila majnun ki misaalon pe hansi aati hai... Jab bhi takmeel-e-mohabbat ka khyaal aata hai, Mujh ko apne hi khyaalon pe hansi aati hai... Log apne liye auron mein wafa dhundhte hain, Un wafa dhundhne waalon pe hansi aati hai... Dekhne waalo tabassum ko karam mat samjho, Unhein to dekhne waalon pe hansi aati hai... Chandni raat mohabbat mein haseen thi 'Faakir', Ab to beemaar ujaalon pe hansi aati hai.!! "Sudarshan Faakir"

Dil Ke Deewar-o-dar Pe Kya Dekha

Dil ke deewar-o-dar pe kya dekha, Bas tera naam hi likha dekha.. Teri aankhon mein hum ne kya dekha, Kabhi qaatil kabhi khuda dekha.. Apni surat lagi paraai si, Jab kabhi hum ne aaina dekha.. Haye andaaz tere rukne ka, Waqt ko bhi ruka ruka dekha.. Tere jaane mein aur aane mein, Hum ne sadiyon ka faasla dekha.. Phir na aaya khyaal jannat ka, Jab tere ghar ka raasta dekha.!! "Sudarshan Faakir"

Duniya Se Wafa Kar Ke Sila Dhundh Rahe Hain

Duniya se wafa kar ke sila dhundh rahe hain, Hum log bhi nadaan hain ye kya dhundh rahe hain.. Kuchh der thehar jaaiye ai banda-e-insaaf, Hum apne gunaahon mein khata dhundh rahe hain.. Ye bhi to saza hai ke giraftaar-e-wafa hun, Kyun log mohabbat ki saza dhundh rahe hain.. Duniya ki tamanna thi kabhi hum ko bhi 'Faakir', Ab zakhm-e-tamanna ki dawa dhundh rahe hain.!! "Sudarshan Faakir"

Falsafe Ishq Mein Pesh Aaye Sawaalon Ki Tarah

Falsafe ishq mein pesh aaye sawaalon ki tarah, Hum pareshaan hi rahe apne khyaalon ki tarah.. Shisha-gar baithe rahe zikr-e-masiha le kar, Aur hum toot gaye kaanch ke pyaalon ki tarah.. Jab bhi anjaam-e-mohabbat ne pukara khud ko, Waqt ne pesh kiya hum ko misaalon ki tarah.. Zikr jab hoga mohabbat mein tabaahi ka kahin, Yaad hum aayenge duniya ko hawaalon ki tarah.!! "Sudarshan Faakir"

Ishq Mein Ghairat-e-jazbaat Ne Rone Na Diya

Ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diya... Warna kya baat thi kis baat ne rone na diya.! Aap kahte the ke rone se na badlenge naseeb... Umr bhar aap ki is baat ne rone na diya.! Rone waalon se kaho un ka bhi rona ro lein... Jin ko majboori-e-haalaat ne rone na diya.! Tujh se mil kar humein rona tha bahut rona tha... Tangi-e-waqt-e-mulaqaat ne rone na diya.! Ek do roz ka sadma ho to ro lein 'Faakir'.. Hum ko har roz ke sadmaat ne rone na diya.!! "Sudarshan Faakir"

Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Main Zinda Hun Abhi

Kisi ranjish ko hawa do ke main zinda hun abhi, Mujh ko ahsaas dila do ke main zinda hun abhi... Mere rukte hi meri saansein bhi ruk jayengi, Faasle aur badha do ke main zinda hun abhi... Zahar peene ki to aadat thi zamane waalo, Ab koi aur dawa do ke main zinda hun abhi... Chalti raahon mein yunhi aankh lagi hai 'Faakir', Bheed logon ki hata do ke main zinda hun abhi.!! "Sudarshan Faakir"

Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo

Mere dukh ki koi dawa na karo, Mujh ko mujh se abhi juda na karo.. Nakhuda ko khuda kaha hai to phir, Doob jao khuda khuda na karo.. Ye sikhaya hai dosti ne humein, Dost ban kar kabhi wafa na karo.. Ishq hai ishq ye mazaaq nahin, Chand lamhon mein faisla na karo.. Aashiqi ho ke bandagi 'Faakir', Be-dili se to ibtida na karo.!! "Sudarshan Faakir"

Meri Zabaan Se Meri Dastaan Suno To Sahi

Meri zabaan se meri dastaan suno to sahi, Yaqeen karo na karo mehrbaan suno to sahi.. Chalo ye maan liya mujrim-e-mohabbat hain, Humare jurm ka hum se bayaan suno to sahi.. Banoge dost mere tum bhi dushmano ek din, Meri hayat ki aah-o-fughaa'n suno to sahi..  Labo'n ko si ke jo baithe hain bazm-e-duniya mein, Kabhi to un ki bhi khamoshiyan suno to sahi.!! "Sudarshan Faakir"

Patthar Ke Khuda Patthar Ke Sanam Patthar Ke Hi Insaan Paaye Hain

Patthar ke khuda patthar ke sanam patthar ke hi insaan paaye hain... Tum shahr-e-mohabbat kahte ho hum jaan bacha kar aaye hain.! But-khaana samajhte ho jis ko puchho na wahaan kya haalat hai... Hum log wahin se laute hain bas shukr karo laut aaye hain.! Hum soch rahe hain muddat se ab umr guzarein bhi to kahaan... Sahra mein khushi ke phool nahin shahro'n mein ghamo'n ke saaye hain.! Honthon pe tabassum halka sa aankhon mein nami si hai 'Faakir'... Hum ahl-e-mohabbat par aksar aise bhi zamane aaye hain.!! "Sudarshan Faakir"

Saamne Hai Jo Use Log Bura Kahte Hain

Saamne hai jo use log bura kahte hain, Jis ko dekha hi nahin us ko khuda kahte hain.. Zindagi ko bhi sila kahte hain kahne waale, Jeene waale to gunaahon ki saza kahte hain.. Faasle umr ke kuchh aur badha deti hai, Jaane kyun log use phir bhi dawa kahte hain.. Chand masoom se patton ka lahu hai 'Faakir', Jis ko mahboob ki haathon ki hina kahte hain.!! "Sudarshan Faakir"

Ulfat Ka Jab Kisi Ne Liya Naam Ro Pade

Ulfat ka jab kisi ne liya naam ro pade, Apni wafa ka soch ke anjaam ro pade.. Har shaam ye sawaal mohabbat se kya mila, Har shaam ye jawaab ke har shaam ro pade.. Rah-e-wafa mein hum ko khushi ki talaash thi, Do gaam hi chale the ke har gaam ro pade.. Rona naseeb mein hai to auron se kya gila, Apne hi sar liya koi ilzaam ro pade.!! "Sudarshan Faakir"

Two Lines Poetry

Be-saaya na ho jaaye kahin mera ya rab, Kuch din se main jhukta ye shajar dekh raha hun.!! _______________ Chaand ka qurb laga kaisa chalo poochh aayen, Aasmaanon ke safar se wo laut aaya hai.!! _______________ Dar-ba-dar hi gaye ta'abeer ki dhun mein kitne, In haseen khwaabon se badh kar koi saffaak nahi.!! _______________ Dekhna chhode nahi khwaab meri aankhon ne, Poora Har-chand koi khwaab nahi ho paaya.!! _______________ Ek chehra hai jo aankhon mein basa rahta hai, Ek tasawwur hai jo tanha nahi hone deta.!! _______________ Jise na aane ki qasmein main de ke aaya hun, Usi ke qadmon ki aahat ka intizaar bhi hai.!! _______________ Mit jaane ke aasaar wirasat mein mile hain, Girte dar-o-deewar wirasat mein mile hain.!! _______________ Muddat hui ke zinda hoon dekhe baghair use, Wo shakhs mere dil se utar to nahi gaya.!! _______________ Mujh ko ye mohtaat ikhlaas-e-nazar achchha laga, Us ki duzdeeda nigaahon ka safar achchha laga.!! _______________ Palkon

Waqt Ke Haathon Ne Jab Tak Ke Na Khamosh Kiya

Waqt ke haathon ne jab tak ke na khamosh kiya, Main ne tujh ko na kisi lamha faramosh kiya.. Us ki chahat ne sanwarne ka saleeqa bakhsha, Shahar ke shahar ko us shakhs ne khush-posh kiya.. Hijr ke sadme bahut bakhshe ye sach hai lekin, Lazzat-e-wasl se bhi us ne hum-aaghosh kiya.. Waqt ki dhool ne kajla diye suraj kitne, Kaise kaiso'n ko zamane ne faramosh kiya.. Teri qurbat ne sikhaai thi mujhe may-noshi, Aur furqat ne teri mujh ko bala-nosh kiya.. Kya mila tark-e-ta'alluq se bhi mujh ko 'Jawed', Yaad ne chhoda na ghum hi ne subuk-dosh kiya.!! "Jawed Naseemi" __________ Faramosh = Forgetfull, Khush-posh = well dressed, Hum-aaghosh = embracing, locked in each other's arms, May-noshi = drinking wine, Bala-nosh = drunkard, शराबी, बहुत अधिक पीने वाला, Subuk-dosh = relieved of responsibility, lightly,

Palkon Pe Le Ke Bojh Kahaan Tak Phira Karun

Palkon pe le ke bojh kahaan tak phira karun, Ai khwab-e-raegaa'n main bata tera kya karun.. Wo hai ba-zid usi pe ke main iltija karun,  Kuchh to bata ai meri ana ab main kya karun.. Paane ki jadd-o-jahd mein umrein guzar gayin, Ek baar tujh ko khone ka bhi hausla karun.. Har aane waala bazm mein teri hai mohtaram, Taazeem ko main sab ki kahaan tak utha karun.. Har ek waraq hai tujh se shuru is kitaab ka, Tu hi bata kahaan se main ab ibtida karun.. Hai zer-e-ghaur apni hi chahat ka ahtisaab, Teri wafa pe kya main abhi tabsira karun.!! "Jawed Naseemi"

Main Bhi Aage Badhun Aur Bheed Ka Hissa Ho Jaaun

Main bhi aage badhun aur bheed ka hissa ho jaaun, Is se achchha to yahi hai ke main tanha ho jaaun.. Pyas ko meri jo ek jaam na de paaya kabhi, Tishnagi us ki ye kahti hai main dariya ho jaaun.. Mujh ko jakde hue rishton ki haqeeqat mat poochh.. Bas chale mera agar to main akela ho jaaun.. Le ke jaaun kahaan ahsas-e-wafadaari ko, Dil to kahta hai ke main bhi tere jaisa ho jaaun.. Ho kisi taur to duniya ki tawajjoh mujh par, Ek do pal ke liye main bhi tamasha ho jaaun.. Dil ki majboori ajab cheez hai warna 'Jawed', Kaun chahega bhala khud ke main ruswa ho jaaun.!! "Jawed Naseemi"

Koi Inaam-e-wafa Hai Ke Sila Hai Kya Hai

Koi inaam-e-wafa hai ke sila hai kya hai, Us ne ye dard-e-mohabbat jo diya hai kya hai.. Bhoolne ko tujhe dil kyun nahin raazi hota, Teri yaadon mein kasak hai ke maza hai kya hai.. Kis ne darwaze pe ye raat gaye dastak di, Yaad us ki hai ke wo khud ki hawa hai kya hai.. Tu jo mil jaata hai har bar bichhad kar mujh ko, Ye muqaddar hai karam hai ke dua hai kya hai.. Aaj kya phir kisi armaan ne dam tod diya,  Shor kyun dil se ye 'Jawed' utha hai kya hai.!! "Jawed Naseemi"

Jo Roz Ki Hai Baat Wahi Baat Karo Ho

Jo roz ki hai baat wahi baat karo ho, Bekaar hi yaaro ghum-e-haalaat karo ho..  Ek mujh se hi milne ko tumhein waqt nahin hai, Auro'n pe to aksar hi inayaat karo ho.. Ye tarz-e-takallum tumhein aaya hai kahaan se, Honthon se jo ye phoolon ki barsaat karo ho.. Kyun chaand se chehre pe gira rakhi hain zulfein, Kyun din ko amawas ki siyah raat karo ho.. Be-wahm-o-gumaan rah mein mil jaate ho aksar, Daanista kahaan mujh se mulaqaat karo ho.!! "Jawed Naseemi"

Jo Roz Ki Hai Baat Wahi Baat Karo Ho

Jo roz ki hai baat wahi baat karo ho, Bekaar hi yaaro ghum-e-haalaat karo ho..  Ek mujh se hi milne ko tumhein waqt nahin hai, Auro'n pe to aksar hi inayaat karo ho.. Ye tarz-e-takallum tumhein aaya hai kahaan se, Honthon se jo ye phoolon ki barsaat karo ho.. Kyun chaand se chehre pe gira rakhi hain zulfein, Kyun din ko amawas ki siyah raat karo ho.. Be-wahm-o-gumaan rah mein mil jaate ho aksar, Daanista kahaan mujh se mulaqaat karo ho.!! "Jawed Naseemi"

Bahut Mazboot Logon Ko Bhi Ghurbat Tod Deti Hai

Bahut mazboot logon ko bhi ghurbat tod deti hai, Ana ke sab hisaaron ko zarurat tod deti hai.. Jhukaya ja nahin sakta jinhein jabr-o-adawat se, Unhein bhi ek ishaare mein mohabbat tod deti hai.. Kisi ke saamne jab haath phailaati hai majboori, To us majboor ko andar se ghairat tod deti hai.. Taras khaate hain jab apne sisak uthti hai khuddaari, Har ek khuddaar insaan ko inayat tod deti hai.. Samandar paar ja kar jo bahut khush-haal dikhte hain, Ye un ke dil se poochho kaise hijrat tod deti hai.. Nibhana dil ke rishton ko nahin hai khel bachchon ka, Ke in shisho'n ko ek halki si ghaflat tod deti hai.!! "Jawed Naseemi"

Baad Muddat Ke Teri Yaad Ke Baadal Barse

Baad muddat ke teri yaad ke baadal barse, Wo bhi aise ke kayi roz musalsal barse.. Muntazir aur bhi sahra hain isi baadal ke,  Sirf tujh par hi bhala kaise ye har pal barse.. Pyas is shahar ki bujhne ka yahi rasta hai, Ban ke baadal kisi darwesh ki chhaagal barse.. Lag gayi kis ki nazar shahar-e-nigaraa'n ko mere, Ab to har shaam yahaan wahshat-e-maqtal barse.. Kab ki pyaasi hai zameen ye bhi nazar mein rakkhe, Kah do baadal se zara der musalsal barse.. Lab-kusha ho ke mahak utthe faza ka ye sukoot, Muntazir kab se sama'at hai ke sandal barse.!! "Jawed Naseemi"

Zahar Ke Ghoont Bhi Hans Hans Ke Piye Jaate Hain

Zahar ke ghoont bhi hans hans ke piye jaate hain, Hum bahar-haal saleeqe se jiye jaate hain... Ek din hum bhi bahut yaad kiye jayenge, Chand afsaane zamane ko diye jaate hain... Hum ko duniya se mohabbat bhi bahut hai lekin, Laakh ilzaam bhi duniya ko diye jaate hain... Bazm-e-aghyaar sahi az-rah-e-tanqeed sahi, Shukr hai hum bhi kahin yaad kiye jaate hain... Hum kiye jaate hain taqleed-e-riwayat-e-junoon, Aur khud chaak-e-girebaa'n bhi siye jaate hain... Ghum ne bakhshi hai ye mohtaat-mizaaji hum ko, Zakhm bhi khaate hain aansu bhi piye jaate hain... Haal ka theek hai 'Iqbal' na farda ka yaqeen Jaane kya baat hai hum phir bhi jiye jaate hain.!! "Iqbal Azeem" __________ Az-rah-e-tanqeed = by way of criticism, Taqleed-e-riwayat-e-junoon = following traditions of frenzy, Mohtaat-mizaaji = cautious nature, Farda = Tomorrow,

Wo Yoon Mila Ke Ba-zaahir Khafa Khafa Sa Laga

Wo yoon mila ke ba-zaahir khafa khafa sa laga, Na jaane kyun wo mujhe phir bhi ba-wafa sa laga... Mizaaj us ne na poochha magar salaam liya, Ye be-rukhi ka saleeqa bhi kuchh bhala sa laga... Ghubaar-e-waqt ne kuchh yun badal diye chehre, Khud apna shahar bhi mujh ko naya naya sa laga... Ghuti ghuti si lagi raat anjuman ki faza, Charaagh jo bhi jala kuchh bujha bujha sa laga... Jo hum pe guzri hai shayad sabhi pe guzri ho, Fasana jo bhi suna kuchh suna suna sa laga... Majaal-e-arz-e-tamanna kare koi kaise, Jo lafz honthon pe aaya dara dara sa laga... Main ghar se chal ke akela yahaan tak aaya hun, Jo hum-safar bhi mila kuchh thaka thaka sa laga... Isi ka naam hai shaaistagi o paas-e-wafa, Palak tak aa ke jo aansu thama thama sa laga... Kuchh is khuloos se us ne kaha mujhe 'Iqbal' Khud apna naam bhi mujh ko bada bada sa laga.!! "Iqbal Azeem"

Jis Anjuman Mein Dekho Begane Rah Gaye Hain

Jis anjuman mein dekho begane rah gaye hain, Ginti ke log jaane pahchane rah gaye hain.. Kal jin haqeeqaton se maahaul mo'atabar tha, Aaj un haqeeqaton ke afsaane rah gaye hain.. Ab ghaarat-e-chaman mein kya rah gaya hai baaqi, Kuchh pairahan-dareeda deewane rah gaye hain.. Tareekh-e-ahd-e-rafta bil-ikhtisaar ye hai, Gulshan jahaan jahaan the veerane rah gaye hain.. 'Iqbal' dhundhte ho tum jin ko mahfilon mein, Un ki jagah ab un ke afsaane rah gaye hain.!! "Iqbal Azeem" __________ Ghaarat-e-chaman = ruin of garden, Pairahan-dareeda = torn apparel, Tareekh-e-ahd-e-rafta = history of past, bygone age, era, epoch, Bil-ikhtisaar = in short,

Hum Bahut Door Nikal Aaye Hain Chalte Chalte

Hum bahut door nikal aaye hain chalte chalte, Ab thehar jaayen kahin shaam ke dhhalte dhhalte... Ab ghum-e-zeest se ghabra ke kahaan jayenge, Umr guzri hai isi aag mein jalte jalte.. Raat ke baad sahar hogi magar kis ke liye, Hum hi shayad na rahein raat ke dhhalte dhhalte... Raushni kam thi magar itna andhera to na tha, Shamm-e-ummid bhi gul ho gayi jalte jalte... Aap waade se mukar jayenge rafta rafta,  Zehn se baat utar jaati hai talte talte... Tooti deewar ka saaya bhi bahut hota hai,  Paanw jal jaayen agar dhoop mein chalte chalte... Din abhi baaqi hai 'Iqbal' zara tez chalo,  Kuchh na soojhega tumhein shaam ke dhhalte dhhalte.!! "Iqbal Azeem"

Har-chand Gaam Gaam Hawadis Safar Mein Hain

Har-chand gaam gaam hawadis safar mein hain, Wo khush-naseeb hain jo teri rahguzar mein hain.. Takeed-e-zabt, ahd-e-wafa, izn-e-zindagi.. Kitne payaam ek nigah-e-mukhtasar mein hain.. Maazi shareek-e-haal hai koshish ke bawajood, Dhundhle se kuchh nuqoosh abhi tak nazar mein hain.. Lillah is khuloos se pursish na kijiye, Tufaan kab se band meri chashm-e-tar mein hain.. Manzil to khush-naseebon mein taqseem ho chuki, Kuchh khush-khyaal log abhi tak safar mein hain.. Mahfil mein un ki samt nigaahein na uth sakin, Hum bil-khusoos ahl-e-nazar ki nazar mein hain.. Ye kaise rah-rau the ke har naqsh-e-pa ke saath, Sajdo'n ke kuchh nishaan bhi is rahguzar mein hain.!! "Iqbal Azeem"

Bas Ho Chuka Huzoor Ye Parde Hataaiye

Bas ho chuka huzoor ye parde hataaiye, Sab muntazir hain saamne tashreef laaiye.. Aawaz mein to aap ki be-shak khuloos hai, Lekin zara naqaab to rukh se hataaiye.. Hum maante hain aap bade ghum-gusaar hain, Lekin ye aasteen mein kya hai dikhaaiye.. Ab qaafile ke log bhi manzil-shanaas hain, Aakhir kahaan ka qasd hai khool kar bataaiye.. Baada-kasho'n ki asl jagah may-kade mein hai, Kis ne kaha ke aap bhi mimbar pe aaiye.!! "Iqbal Azeem"

Allah Re Yaadon Ki Ye Anjuman-araai

Allah re yaadon ki ye anjuman-araai, Hanste hue ghum-khaane mahki hui tanhaai.. Kuchh talkh haqaaiq ne ma'amool badal daale, Apnon se kam-aamezi ghairon se shanasaai.. Ye kaun sa aalam hai afsurda-mizaaji ka, Gulshan mein bhi veerani mahfil mein bhi tanhaai.. 'Iqbal' jidhar dekho zulmaat ke pahre hain, Aasaan-talbi hum ko kis mod pe le aai.!! "Iqbal Azeem" __________ Anjuman-araai = arranging an assembly, Ma'amool = habit, custom, practice, fixed allowance, Kam-aamezi = mixing less, Aasaan-talbi = ease-living,

Ai Ahl-e-wafa Daad-e-jafa Kyun Nahin Dete

Ai ahl-e-wafa daad-e-jafa kyun nahin dete,  Soye hue zakhmon ko jaga kyun nahin dete.. Is jashn-e-charaghaa'n se to behtar the andhere, In jhoothe charaghon ko bujha kyun nahin dete.. Jis mein na koi rang na aahang na khushbu, Tum aise gulistaan ko jala kyun nahin dete.. Deewar ka ye uzr suna jayega kab tak, Deewar agar hai to gira kyun nahin dete..  Chehro'n pe jo daale hue baithe hain naqaabein, Un logo'n ko mahfil se utha kyun nahin dete.. Tauba ka yahi waqt hai kya soch rahe ho, Sajde mein jabeeno'n ko jhuka kyun nahin dete.. Ye jhoothe khuda mil ke dubo denge safeena, Tum haadi-e-bar-haq ko sada kyun nahin dete.!! "Iqbal Azeem" __________ Aahang = rhythm, harmony, melody, musical composition, Uzr = excuse, apology, plea, Haadi-e-bar-haq = true leader, director,

Aankhon Se Noor Dil Se Khushi Chheen Li Gayi

Aankhon se noor dil se khushi chheen li gayi, Hum se humari zinda-dili chheen li gayi..  Ek roz ittifaaq se hum muskuraye the, Is ki saza mein hum se hansi chheen li gayi.. Kitne charaagh noor se mahroom ho gaye, Jab se humari khush-nazri chheen li gayi.. Shikwa mera mizaaj na maatam meri sarisht, Har-chand mujh se khanda-labi chheen li gayi.. 'Iqbaal' is khushi ka bharosa bhi kuchh na tha, Achchha hua ye dard-sari chheen li gayi.!! "Iqbal Azeem"

Wo Zahar Deta To Sab Ki Nazar Mein Aa Jaata

Wo Zahar Deta To Sab Ki Nazar Mein Aa Jaata, So Ye Kiya Ke Mujhe Waqt Pe Dawaaen Na Di.!! "Akhtar Nazmi"

Khyaal Usi Ki Taraf Baar Baar Jaata Hai

Khyaal usi ki taraf baar baar jaata hai, Mere safar ki thakan kaun utaar jaata hai.. Ye us ka apna tareeqa hai daan karne ka, Wo jis se shart lagata hai haar jaata hai.. Ye khel meri samajh mein kabhi nahin aaya, Main jeet jaata hun baazi wo maar jaata hai.. Main apni neend dawaon se qarz leta hun, Ye qarz khwab mein koi utaar jaata hai.. Nasha bhi hota hai halka sa zahar mein shaamil, Wo jab bhi milta hai ek dank maar jaata hai.. Main sab ke waaste karta hun kuchh na kuchh 'Nazmi', Jahaan jahaan bhi mera ikhtiyaar jaata hai.!! "Akhtar Nazmi"

Kab Logon Ne Alfaaz Ke Patthar Nahin Phenke

Kab logo'n ne alfaaz ke patthar nahin phenke, Wo khat bhi magar main ne jala kar nahin phenke.. Thehre hue paani ne ishaara to kiya tha, Kuchh soch ke khud main ne hi patthar nahin phenke.. Ek tanz hai kaliyon ka tabassum bhi magar kyun, Main ne to kabhi phool masal kar nahin phenke.. Waise to iraada nahin tauba-shikni ka, Lekin abhi toote hue saaghar nahin phenke.. Kya baat hai us ne meri tasveer ke tukde, Ghar mein hi chhupa rakkhe hain baahar nahin phenke.. Darwaazon ke shishe na badalwaaiye 'Nazmi', Logon' ne abhi haath se patthar nahin phenke.!! "Akhtar Nazmi"

Jo Bhi Mil Jaata Hai Ghar-baar Ko De Deta Hun

Jo bhi mil jaata hai ghar-baar ko de deta hun, Ya kisi aur talabgaar ko de deta hun.. Dhoop ko deta hun tan apna jhulasne ke liye, Aur saaya kisi deewaar ko de deta hun.. Jo dua apne liye maangni hoti hai mujhe, Wo dua bhi kisi ghum-khwaar ko de deta hun.. Mutmaeen ab bhi agar koi nahin hai na sahi, Haq to main pahle hi haqdaar ko de deta hun.. Jab bhi likhta hun main afsaana yahi hota hai, Apna sab kuchh kisi kirdaar ko de deta hun.. Khud ko kar deta hun kaaghaz ke hawale aksar, Apna chehra kabhi akhbaar ko deta hun.. Meri dukaan ki cheezein nahin bikti 'Nazmi', Itni tafseel kharidaar ko de deta hun.!! "Akhtar Nazmi"

Ab Nahin Laut Ke Aane Wala

Ab nahin laut ke aane wala, Ghar khula chhorh ke jaane wala.. Ho gayin kuchh idhar aisi baatein, Ruk gaya roz ka aane wala.. Aks aaankhon se chura leta hai, Ek tasveer banane wala.. Laakh honthon pe hansi ho lekin, Khush nahin khush nazar aane wala.. Zad mein tufaan ki aaya kaise, Pyas saahil pe bujhane wala.. Rah gaya hai mera saaya ban kar, Mujh ko khaatir mein na laane wala.. Ban gaya hum-safar aakhir 'Nazmi', Raasta kaat ke jaane wala.!! "Akhtar Nazmi"

Ab Nahin Laut Ke Aane Wala

Ab nahin laut ke aane wala, Ghar khula chhorh ke jaane wala.. Ho gayin kuchh idhar aisi baatein, Ruk gaya roz ka aane wala.. Aks aaankhon se chura leta hai, Ek tasveer banane wala.. Laakh honthon pe hansi ho lekin, Khush nahin khush nazar aane wala.. Zad mein tufaan ki aaya kaise, Pyas saahil pe bujhane wala.. Rah gaya hai mera saaya ban kar, Mujh ko khaatir mein na laane wala.. Ban gaya hum-safar aakhir 'Nazmi', Raasta kaat ke jaane wala.!! "Akhtar Nazmi"

Ye Waadiyan Ye Fazaaen Bula Rahi Hain Tumhein

Ye waadiyan ye fazaaen bula rahi hain tumhein, Khamoshiyon ki sadaaen bula rahi hain tumhein.. Raras rahe hain jawaan phool honth chhoone ko, Machal machal ke hawaaen bula rahi hain tumhein.. Tumhaari zulfon se khushbu ki bheek lene ko, Jhuki jhuki si ghataaen bula rahi hain tumhein.. Haseen champai pairo'n ko jab se dekha hai, Nadi ki mast adaaen bula rahi hain tumhein.. Mera kaha na suno un ki baat to sun lo, Har ek dil ki duaaen bula rahi hain tumhein.!! "Sahir Ludhianwi"

Teri Duniya Mein Jeene Se To Behtar Hai Ke Mar Jaayen

Teri duniya mein jeene se to behtar hai ke mar jaayen, Wahi aansu wahi aahein wahi ghum hai jidhar jaayen.. Koi to aisa ghar hota jahaan se pyaar mil jaata, Wahi begaane chehre hain jahaan jaayen jidhar jaayen.. Are o aasman waale bata is mein bura kya hai, Khushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaayen.!! "Sahir Ludhianwi"

Tarab-zaaro'n Pe Kya Beeti Sanam-khaanon Pe Kya Guzri

Tarab-zaaro'n pe kya beeti sanam-khaanon pe kya guzri, Dil-e-zinda mere marhoom armaanon pe kya guzri.. Zameen ne khoon ugla aasman ne aag barsaai, Jab insaanon ke din badle to insaanon pe kya guzri.. Humein ye fikr un ki anjuman kis haal mein hogi, Unhein ye ghum ke un se chhut ke deewanon pe kya guzri.. Mera ilhaad to khair ek laanat tha so hai ab tak, Magar is aalam-e-wahshat mein imaanon pe kya guzri.. Ye manzar kaun sa manzar hai pahchana nahin jaata, Siyah-khaanon se kuchh puchho shabistanon pe kya guzri.. Chalo wo kufr ke ghar se salamat aa gaye lekin, Khuda ki mumlikat mein sokhta-jaanon pe kya guzri.!! "Sahir Ludhianwi" __________ Tarab-zaaro'n = music places, Ilhaad = apostasy, heresy, atheism, Aalam-e-wahshat = state of frenzy, Sokhta-jaanon = heart-burnt,

Tang Aa Chuke Hain Kashmakash-e-zindagi Se Hum

Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum, Thukra na dein jahaan ko kahin be-dili se hum.. Mayoosi-e-ma'aal-e-mohabbat na poochhiye, Apnon se pesh aaye hain beganagi se hum.. Lo aaj hum ne tod diya rishta-e-ummid,  Lo ab kabhi gila na karenge kisi se hum..  Ubhrenge ek bar abhi dil ke walwale, Go dab gaye hain baar-e-ghum-e-zindagi se hum.. Gar zindagi mein mil gaye phir ittifaaq se, Poochhenge apna haal teri bebasi se hum.. Allah-re fareb-e-mashiyat ke aaj tak, Duniya ke zulm sahte rahe khamushi se hum.!! "Sahir Ludhianwi" __________ Mayoosi-e-ma'aal-e-mohabbat = sorrow of consequence of love, Fareb-e-mashiyat = divine deception,

Sharma Ke Yoon Na Dekh Ada Ke Maqaam Se

Sharma ke yoon na dekh ada ke maqaam se, Ab baat badh chuki hai haya ke maqaam se.. Tasveer kheench li hai tere shokh husn ki, Meri nazar ne aaj khata ke maqaam se.. Duniya ko bhool kar meri baanhon mein jhool ja, Aawaz de raha hun wafa ke maqaam se..  Dil ke muaamle mein nateeje ki fikr kya, Aage hai ishq jurm-o-saza ke maqaam se.!! "Sahir Ludhianwi"

Saza Ka Haal Sunayen Jaza Ki Baat Karein

Saza ka haal sunayen jaza ki baat karein, Khuda mila ho jinhein wo khuda ki baat karein.. Unhein pata bhi chale aur wo khafa bhi na hon, Is ahtiyaat se kya muddaa ki baat karein.. Humare ahd ki tahzeeb mein qaba hi nahin, Agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karein.. Har ek daur ka mazhab naya khuda laaya, Karein to hum bhi magar kis jhuda ki baat karein.. Wafa-shiaar kayi hain koi haseen bhi to ho, Chalo phir aaj usi bewafa ki baat karein.!! "Sahir Ludhianwi"

Mohabbat Tark Ki Main Ne Garebaa'n Si Liya Main Ne

Mohabbat tark ki main ne garebaa'n si liya main ne, Zamane ab to khush ho zahar ye bhi pi liya main ne.. Abhi zinda hun lekin sochta rahta hun khalwat mein, Ke ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne.. Unhein apna nahin sakta magar itna bhi kya kam hai, Ke kuchh muddat haseen khwaabon mein kho kar ji liya main ne.. Bas ab to daaman-e-dil chhorh do bekaar ummido, Bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne.!! "Sahir Ludhianwi"

Meri Taqdeer Mein Jalna Hai To Jal Jaaunga

Meri taqdeer mein jalna hai to jal jaaunga, Tera waada to nahin hun jo badal jaaunga.. Soz bhar do mere sapne mein ghum-e-ulfat ka, Main koi mom nahin hun jo pighal jaaunga.. Dard kahta hai ye ghabra ke shab-e-furqat mein, Aah ban kar tere pahlu se nikal jaaunga..  Mujh ko samjhao na 'Sahir' main ek din khud hi, Thokarein kha ke mohabbat mein sambhal jaaunga.!! "Sahir Ludhianwi"

Khuddariyon Ke Khoon Ko Arzaa'n Na Kar Sake

Khuddariyon ke khoon ko arzaa'n na kar sake, Hum apne jauharo'n ko numaya'n na kar sake.. Ho kar kharaab-e-may tere ghum to bhula diye, Lekin ghum-e-hayat ka darmaa'n na kar sake.. Toia tilism-e-ahd-e-mohabbat kuchh is tarah, Phir aarzu ki shama firozaa'n na kar sake..  Har shay qareeb aa ke kashish apni kho gayi, Wo bhi ilaaj-e-shauq-e-gurezaa'n na kar sake.. Kis darja dil-shikan the mohabbat ke haadse, Hum zindagi mein phir koi armaa'n na kar sake.. Mayoosiyon ne chhin liye dil ke walwale, Wo bhi nashaat-e-rooh ka saamaa'n na kar sake.!! "Sahir Ludhianwi" __________ Arzaa'n = of lesser value, cheap, Darmaa'n = medicine, remedy, solution, Cure, Ilaaj-e-shauq-e-gurezaa'n = cure of fleeting; fugitive love,

Jurm-e-ulfat Pe Humein Log Saza Dete Hain

Jurm-e-ulfat pe humein log saza dete hain, Kaise nadaan hain sholo'n ko hawa dete hain.. Hum se deewane kahin tark-e-wafa karte hain, Jaan jaaye ke rahe baat nibha dete hain.. Aap daulat ke taraazu mein dilo'n ko taulein, Hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain.. Takht kya cheez hai aur la'al-o-jawahar kya hain, Ishq waale to khudaai bhi luta dete hain.. Hum ne dil de bhi diya ahd-e-wafa le bhi liya, Aap ab shauq se de lein jo saza dete hain.!! "Sahir Ludhianwi"

Jab Kabhi Un Ki Tawajjoh Mein Kami Paai Gayi

Jab kabhi un ki tawajjoh mein kami paai gayi, Az-sar-e-nau dastaan-e-shauq dohraai gayi.. Bik gaye jab tere lab phir tujh ko kya shikwa agar, Zindagani baada o saghar se bahlaai gayi.. Ai ghum-e-duniya tujhe kya ilm tere waaste, Kin bahaanon se tabiyat raah par laai gayi.. Hum karein tark-e-wafa achchha chalo yoon hi sahi, Aur agar tark-e-wafa se bhi na ruswaai gayi.. Kaise kaise chashm o aariz gard-e-ghum se bujh gaye, Kaise kaise paikaro'n ki shaan-e-zebaai gayi.. Dil ki dhadkan mein tawazun aa chala hai khair ho, Meri nazrein bujh gayin ya teri raanaai gayi.. Un ka ghum un ka tasawwur un ke shikwe ab kahaan, Ab to ye baatein bhi ai dil ho gayin aai gayi.. Jur'at-e-insaan pe go taadeeb ke pahre rahe, Fitrat-e-insaan ko kab zanjeer pahnaai gayi.. Arsa-e-hasti mein ab tesha-zano'n ka daur hai, Rasm-e-changezi uthi tauqeer-e-daraai gayi.!! "Sahir Ludhianwi" __________ Az-sar-e-nau = anew, afresh, over again, नये सिरे से, फिर से, Taadeeb = disci

Itni Haseen Itni Jawaan Raat Kya Karein

Itni haseen itni jawaan raat kya karein, Jaage hain kuchh ajeeb se jazbaat kya karein.. Pedo'n ke baazuon mein mahakti hai chaandni, Bechain ho rahe hain khyalaat kya karein..  Saanson mein ghul rahi hai kisi saans ki mahak, Daaman ko chhu raha hai koi haath kya karein.. Shayad tumhaare aane se ye bhed khul sake, Hairaan hain ke aaj nayi baat kya karein.!! "Sahir Ludhianwi"

Is Taraf Se Guzre The Qaafile Bahaaron Ke

Is taraf se guzre the qaafile bahaaron ke, Aaj tak sulagte hain zakhm rahguzaron ke.. Khalwaton ke shaidaai khalwaton mein khulte hain, Hum se poochh kar dekho raaz parda-daaron ke.. Gesuon ki chhaanw mein dil-nawaaz chehre hain, Ya haseen dhundlakon mein phool hain bahaaron ke.. Pahle hans ke milte hain phir nazar churaate hain, Aashna-sifat hain log ajnabi dayaaron ke.. Tum ne sirf chaaha hai hum ne chhu ke dekhe hain, Pairahan ghataon ke jism barq-paaron ke..  Shughl-e-mai-parasti go jashn-e-na-muraadi tha, Yoon bhi kat gaye kuchh din tere sogwaaron ke.!! "Sahir Ludhianwi"

Har Tarah Ke Jazbaat Ka Elaan Hain Aankhein

Har tarah ke jazbaat ka elaan hain aankhein, Shabnam kabhi shoala kabhi tufaan hain aankhein.. Aankhon se badi koi taraazu nahin hoti, Tulta hai bashar jis mein wo mizaan hain aankhein.. Aankhein hi milati hain zamane mein dilo'n ko, Anjaan hain hum tum agar anjaan hain aankhein.. Lab kuchh bhi kahein is se haqeeqat nahin khulti, Insaan ke sach jhoot ki pahchaan hain aankhein.. Aankhein na jhukin teri kisi ghair ke aage, Duniya mein badi cheez meri jaan! hain aankhein.!! "Sahir Ludhianwi"

Bujha Diye Hain Khud Apne Haathon Mohabbaton Ke Diye Jala Ke

Bujha diye hain khud apne haathon mohabbaton ke diye jala ke,  Meri wafa ne ujaad di hain ummid ki bastiyaan basa ke.. Tujhe bhula denge apne dil se ye faisla to kiya hai lekin, Na dil ko maloom hai na hum ko jiyenge kaise tujhe bhula ke.. Kabhi milenge jo raaste mein to munh phira kar palat padenge, Kahin sunenge jo naam tera to chup rahenge nazar jhuka ke.. Na sochne par bhi sochti hun ke zindagaani mein kya rahega, Teri tamanna ko dafn kar ke tere khyaalon se door ja ke.!! "Sahir Ludhianwi"

Bhadka Rahe Hain Aag Lab-e-naghma-gar Se Hum

Bhadka rahe hain aag lab-e-naghma-gar se hum, Khamosh kya rahenge zamane ke darr se hum.. Kuchh aur badh gaye jo andhere to kya hua, Mayoos to nahin hain tulu-e-sahar se hum.. Le de ke apne paas faqat ek nazar to hai, Kyun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se hum.. Maana ke is zamin ko na gulzaar kar sake, Kuchh khaar kam to kar gaye guzre jidhar se hum.!! "Sahir Ludhianwi"

Apna Dil Pesh Karun Apni Wafa Pesh Karun

Apna dil pesh karun apni wafa pesh karun, Kuchh samajh mein nahin aata tujhe kya pesh karun.. Tere milne ki khushi mein koi naghma chhedun, Ya tere dard-e-judaai ka gila pesh karun.. Mere khwaabon mein bhi tu mere khyaalon mein bhi tu, Kaun si cheez tujhe tujh se juda pesh karun.. Jo tere dil ko lubhaye wo ada mujh mein nahin, Kyun na tujh ko koi teri hi ada pesh karun.!! "Sahir Ludhianwi"

Ab Aayen Ya Na Aayen Idhar Puchhte Chalo

Ab aayen ya na aayen idhar puchhte chalo, Kya chaahti hai un ki nazar puchhte chalo.. Hum se agar hai tark-e-ta'alluq to kya hua, Yaaro koi to un ki khabar puchhte chalo.. Jo khud ko kah rahe hain ke manzil-shanaas hain, Un ko bhi kya khabar hai magar puchhte chalo.. Kis manzil-e-muraad ki jaanib rawaa'n hain hum, Ai ra h-rawaan-e-khaak-basar puchhte chalo.!! "Sahir Ludhianwi"

** Qitaa **

(1) Jahaan jahaan teri nazron ki os tapki hai, Wahaan wahaan se abhi tak ghubaar uthta hai.. Jahaan jahaan tere jalwon ke phool bikhre the, Wahaan wahaan dil-e-wahshi pukaar uthta hai.!! "Sahir Ludhianwi" _______________ (2) Tapte dil par yoon girti hai, Teri nazar se pyaar ki shabnam.. Jalte hue jangal par jaise, Barkha barse ruk ruk tham tham.!! "Sahir Ludhianwi" _______________ (3) Wajah-e-be-rangi-e-gulzaar kahun to kya ho, Kaun hai kitna gunahgaar kahun to kya ho.. Tum ne jo baat sar-e-bazm na sunna chaahi, Main wahi baat sar-e-daar kahun to kya ho.!! "Sahir Ludhianwi" _______________

Teri Aawaz

* Nazm * __________ Raat sunsaan thi bojhal thin faza ki saansein, Rooh par chhaye the be-naam ghumo'n ke saaye.. Dil ko ye zid thi ke tu aaye tasalli dene,  Meri koshish thi ke kambakht ko neend aa jaaye.. Der tak aankhon mein chubhti rahi taaro'n ki chamak, Der tak zehn sulagta raha tanhaai mein.. Apne thukraye hue dost ki pursish ke liye,  Tu na aai magar us raat ki pahnaai mein.. Yoon achanak teri aawaz kahin se aai,  Jaise parbat ka jigar cheer ke jharna phoote.. Ya zameeno'n ki mohabbat mein tadap kar naagah,  Aasmano'n se koi shokh sitara toote.. Shahad sa ghul gaya talkhaba-e-tanhaai mein, Rang sa phail gaya dil ke siyah-khaane mein.. Der tak yoon teri mastana sadaaen goonji'n, Jis tarah phool chatakne lagein veeraane mein.. Tu bahut door kisi anjuman-e-naaz mein thi, Phir bhi mahsoos kiya main ne ke tu aai hai.. Aur naghmo'n mein chhupa kar mere khoye hue khwab, Meri roothi hui neendo'n ko mana laai hai..  Raat ki satah par ubh

Shikast

* Nazm * _________ Apne seene se lagaye hue ummid ki laash, Muddaton zeest ko nashaad kiya hai main ne.. Tu ne to ek hi sadme se kiya tha do-chaar, Dil ko har tarah se barbaad kiya hai main ne.. Jab bhi raahon mein nazar aaye hareeri malboos, Sard aahon mein tujhe yaad kiya hai main ne.. Aur ab jab ke meri rooh ki pahnaai mein,  Ek sunsaan si maghmoom ghata chhaai hai.. Tu damakte hue aariz ki shuaaen le kar, Gul-shuda shammein jalaane ko chali aai hai.. Meri mahboob ye hangama-e-tajdeed-e-wafa, Meri afsurda jawaani ke liye raas nahin.. Main ne jo phool chune the tere qadmon ke liye, Un ka dhundla sa tasawwur bhi mere paas nahin.. Ek yakh-basta udaasi hai dil o jaan pe muheet, Ab meri rooh mein baaqi hai na ummid na josh, Rah gaya dab ke giraa'n-bar salasil ke tale, Meri darmaanda jawaani ki umangon ka kharosh.. Regzaaron mein bagulon ke siwa kuchh bhi nahin, Saya-e-abr-e-gurezaa'n se mujhe kya lena.. Bujh chuke hain mere seene mein mohabbat ke kanwal, Ab

Radd-e-amal

Chand kaliyaan nishaat ki chun kar, Muddaton mahw-e-yaas rahta hun.. Tera milna khushi ki baat sahi, Tujh se mil kar udaas rahta hun.!! "Sahir Ludhianwi"

Mayoos To Hun Waade Se Tere

* Nazm * __________ Mayoos to hun waade se tere, Kuchh aas nahin kuchh aas bhi hai.. Main apne khyaalon ke sadqe, Tu paas nahin aur paas bhi hai.. Hum ne to khushi maangi thi magar, Jo tu ne diya achchha hi diya.. Jis ghum ka ta'alluq ho tujh se, Wo raas nahin aur raas bhi hai.. Palkon pe larazte ashkon mein, Tasveer jhalakti hai teri..  Deedaar ki pyasi aankhon mein, Ab pyaas nahin aur pyaas bhi hai.!! "Sahir Ludhianwi"

Mata-e-ghair

* Nazm * __________ Mere khwaabon ke jharokho'n ko sajaane waali, Tere khwaabo'n mein kahin mera guzar hai ke nahin... Poochh kar apni nigaahon se bata de mujh ko, Meri raaton ke muqaddar mein sahar hai ke nahin... Chaar din ki ye rafaqat jo rafaqat bhi nahin, Umr bhar ke liye aazaar hui jaati hai... Zindagi yoon to hamesha se paresahan si thi, Ab to har saans giraa'n-baar hui jaati hai... Meri ujdi hui neendon ke shabistaano'n mein, Tu kisi khwaab ke paikar ki tarah aai hai...  Kabhi apni si kabhi ghair nazar aai hai, Kabhi ikhlaas ki murat kabhi harjaai hai... Pyaar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi, Tu bata de ke tujhe pyaar karun ya na karun... Tu ne khud apne tabassum se jagaya hai jinhein, Un tamannaon ka izhaar karun ya na karun... Tu kisi aur ke daaman ki kali hai lekin, Meri raatein teri khushbu se basi rahti hain... Tu kahin bhi ho tere phool se aariz ki qasam, Teri palkein meri aankhon pe jhuki rahti hain... Tere haathon ki harara

Gurej

* Nazm * __________ Mera junoon-e-wafa hai zawaal-aamada, Shikast ho gaya tera fusoon-e-zebaai.. Un aarzuon pe chhaai hai gard-e-mayoosi, Jinhon ne tere tabassum mein parwarish paai.. Fareb-e-shauq ke rangeen tilism toot gaye, Haqeeqaton ne hawadis se phir jila paai.. Sukoon-o-khwab ke parde sarakte jaate hain, Dimagh-o-dil mein hain wahshat ki kaar-farmaai.. Wo taare jin mein mohabbat ka nur taabaa'n tha, Wo taare doob gaye le ke rang-o-raanaai Sula gayi thin jinhein teri multafit nazrein,  Wo dard jaag uthe phir se le ke angdaai.. Ajeeb aalam-e-afsurdagi hai ru-ba-farogh, Na jab nazar ko taqaza na dil tamannaai..  Teri nazar tere gesu teri jabeen tere lab, Meri udaas-tabiyat hai sab se uktaai.. Main zindagi ke haqaaiq se bhaag aaya tha, Ke mujh ko khud mein chhupaye teri fusoon-zaai Magar yahaan bhi ta'aqub kiya haqaaiq ne, Yahaan bhi mil na saki jannat-e-shakebaai.. Har ek haath mein le kar hazaar aaine, Hayat band dareechon se bhi guzar aai.. Mere ha

Fankaar

* Nazm * __________ Main ne jo geet tere pyaar ki khaatir likkhe, Aaj un geeto'n ko bazaar mein le aaya hun.. Aaj dukaan pe nilaam uthega un ka, Tu ne jin geeto'n pe rakhi thi mohabbat ki asaas.. Aaj chaandi ke taraazu mein tulegi har cheez, Mere afkaar meri shayeri mera ahsaas.. Jo teri zaat se mansoob the un geeto'n ko, Muflisi jins banane pe utar aai hai.. Bhookh tere rukh-e-rangeen ke fasanon ke ewaz, Chand ashiya-e-zaroorat ki tamannaai hai.. Dekh is arsa-e-gaah-e-mehnat-o-sarmaya mein, Mere naghme bhi mere paas nahin rah sakte.. Tere jalwe kisi zardaar ki miraas sahi, Tere khaake bhi mere paas nahin rah sakte.. Aaj un geeto'n ko bazaar mein le aaya hun, Main ne jo geet tere pyaar ki khaatir likkhe.!! "Sahir Ludhianwi" __________ Asaas = Foundation, Jins = kind, species, products, Ashiya-e-zaroorat = commodities of need, required goods, Arsa-e-gah-e-mehnat-o-sarmaya = period of hard work and capital, Miraas = estate, a bequest, anc

Dil Abhi

* Nazm * __________ Zindagi se uns hai, Husn se lagaao hai.. Dhadkanon mein aaj bhi, Ishq ka alaao hai.. Dil abhi bujha nahin.! Rang bhar raha hun main, Khaaka-e-hayat mein.. Aaj bhi hun munhamik, Fikr-e-kayenaat mein.. Ghum abhi luta nahin.! Harf-e-haq azeez hai, Zulm nagawaar hai.. Ahd-e-nau se aaj bhi, Ahd-e-ustuwaar hai.. Main abhi mara nahin.!! "Sahir Ludhianwi" __________ Munhamik = absorbed, engaged, engrossed,

Bahut Ghutan Hai

* Nazm * __________ Bahut ghutan hai koi surat-e-bayaan nikle, Agar sada na uthe kam se kam fughaa'n nikle.. Faqeer-e-shahr ke tan par libaas baaqi hai, Ameer-e-shahr ke armaan abhi kahaan nikle.. Haqeeqaten hain salamat to khwaab bahutere, Udaas kyun ho jo kuchh khwaab rayegaa'n nikle.. Wo falsafe jo har ek aastan ke dushman the, Amal mein aaye to khud waqf-e-aastan nikle.. Idhar bhi khaak udi hai udhar bhi zakhm pade, Jidhar se ho ke bahaaron ke karwaan nikle.. Sitam ke daur mein hum ahl-e-dil hi kaam aaye, Zabaan pe naaz tha jin ko wo be-zabaan nikle.!! "Sahir Ludhianwi"

Nakaami

* Nazm * __________ Main ne har chand ghum-e-ishq ko khona chaaha.. Ghum-e-ulfat ghum-e-duniya mein samona chaaha.. Wahi afsaane meri samt rawaa'n hain ab tak.. Wahi shole mere seene mein nihaa'n hain ab tak.. Wahi be -sood khalish hai mere seene mein hanooz.. Wahi bekaar tamannaen jawaa'n hain ab tak.. Wahi gesu meri raaton pe hain bikhre bikhre.. Wahi aanhkein meri jaanib nigraa'n hain ab tak.. Kasrat-e-ghum bhi mere ghum ka mudawa na hui.. Mere bechain khyaalon ko sukoon mil na saka.. Dil ne duniya ke har ek dard ko apna to liya.. Muzmahil rooh ko andaaz-e-junoon mil na saka.. Meri takhayyul ka shiraaza-e-barham hai wahi.. Mere bujhte hue ahsaas ka aalam hai wahi.. Wahi be-jaan iraade wahi be-rang sawaal.. Wahi be-rooh kashakash wahi bechain khyaal.. Aah is kashmakash subah o masa ka anjaam.. Main bhi nakaam meri saii amal bhi nakaam.!! "Sahir Ludhianwi" ___________ Be-sood = useless, Hanooz = still/ yet/ till now, Nigraa'n = gua

Intizaar

* Nazm * __________ Chaand maddham hai aasman chup hai.. Neend ki god mein jahaan chup hai.! Door waadi mein doodhiya baadal, Jhuk ke parbat ko pyaar karte hain.. Dil mein nakaam hasratein le kar, Hum tera intizaar karte hain.! In bahaaron ke saaye mein aa ja, Phir mohabbat jawaan rahe na rahe.. Zindagi tere na-muraadon par, Kal talak mehrbaan rahe na rahe.. Roz ki tarah aaj bhi taare, Subah ki gard mein na kho jaayen.. Aa tere ghum mein jaagti aanhkein, Kam se kam ek raat so jaayen.. Chand maddham hai aasman chup hai.. Neend ki god mein jahaan chup hai.!! "Sahir Ludhianwi"

Hiraas

* Nazm * __________ Tere honth on pe tabassum ki wo halki si lakeer, Mere takh'eel mein rah rah ke jhalak uthti hai... Yoon achanak tere aariz ka khyaal aata hai, Jaise zulmat mein koi shama bhadak uthti hai... Tere pairahan-e-rangeen ki junoon-khez mahak, Khwab ban ban ke mere zehn mein lahraati hai... Raat ki sard khamoshi mein har ek jhonke se, Tere anfaas tere jism ki aanch aati hai... Main sulagte hue raazo'n ko ayaan to kar dun, Lekin un raazo'n ki tash'heer se ji darta hai... Raat ke khwaab ujaale mein bayaan to kar dun, Un haseen khwaabon ki tabeer se ji darta hai... Teri saanson ki thakan teri nigaahon ka sukoot, Dar-haqeeqat koi rangeen shararat hi na ho... Main jise pyaar ka andaaz samajh baitha hun, Wo tabassum wo takallum teri aadat hi na ho... Sochta hun ke tujhe mil ke main jis soch mein hun, Pahle us soch ka maqsoom samajh lun to kahun... Main tere shahr mein anjaan hun pardesi hun, Tere altaaf ka mafhoom samajh lun to kahun... Kahi

Faraar

* Nazm * __________ Apne maazi ke tasawwur se hirasaa'n hun main.. Apne guzre hue ayyaam se nafrat hai mujhe.. Apni bekaar tamannaon pe sharminda hun.. Apni be-sood ummidon pe nadamat hai mujhe.. Mere maazi ko andhere mein daba rahne do, Mera maazi meri zillat ke siwa kuchh bhi nahin.. Meri ummidon ka haasil meri kaawish ka sila, Ek be-naam aziyat ke siwa kuchh bhi nahin.. Kitni bekaar ummidon ka sahaara le kar.. Main ne aiwaan sajaye the kisi ki khaatir.! Kitni be-rabt tamannaon ke mub'ham khaake.. Apne khwabon mein basaye the kisi ki khaatir.! Mujh se ab meri mohabbat ke fasane na kaho, Mujh ko kahne do ke main ne unhein chaaha hi nahin.. Aur wo mast nigaahein jo mujhe bhool gayin, Main ne un mast nigaahon ko saraha hi nahin.. Mujh ko kahne do ke main aaj bhi ji sakta hun, Ishq nakaam sahi zindagi nakaam nahin.. Un ko apnaane ki khwahish unhein paane ki talab, Shauq-e-bekaar sahi saii-e-ghum-e-anjaam nahin.. Wahi gesu wahi nazrein wahi aariz wahi jism,

Yoon Nahin Wo Nazar Nahin Aata

Yoon nahin wo nazar nahin aata, Hum ko deedar kar nahin aata.. Waqt achchha zaroor aata hai, Par kabhi waqt par nahin aata.. Sirf rona hi mujh ko aata hai, Aur koi hunar nahin aata.. Jo bhi jaata hai us ke kooche mein, Phir wo baar-e-digar nahin aata.. Ys ka jalwa bhi ek tamasha hai, Nazar aata hai par nahin aata.. Us ne jaate hue kaha 'Sahir'! Waqt phir laut kar nahin aata.!! "Parvez Sahir"

Umr Bhar Justuju Rahegi Kya

Umr bhar justuju rahegi kya, Aarzu aarzu rahegi kya.. Nahin hona mukalima tujh se, Khud se hi guftugu rahegi kya.. Raat ai raat sirf raat ki raat, Mere pahlu mein tu rahegi kya.. Shor-e-khamoshi kam nahin hona, Raat bhar haaw-hu rahegi kya.. Tu jo mere gale bhi lag jaaye, Rooh se rooh chhu rahegi kya.. Kgud ko kamre se gar nikaal dun main, Koi shay faaltu rahegi kya.. Yoon bhi tazleel kar ke auro'n ki, Khud teri aabru rahegi kya.. To dobara sahar nahin honi, Teergi chaar-su rahegi kya.. Aisi reteeli zameen mein 'Sahir', Mujh ko taab-e-numu rahegi kya.!! "Parvez Sahir"

Itna Be-aasra Nahin Hun Main

Itna be-aasra nahin hun main, Aadmi hun khuda nahin hun main.. Hai abhi meri justuju jaari, Yaani khud ko mila nahin hun main.. Main ne daawa kiya na hone ka, Mujh ko maloom tha nahin hun main.. Nikal aaya main zaat se baahar, Apne andar raha nahin hun main.. Main jo hun main bhi asl mein tum hun, Meri jaan dusra nahin hun main.. Tum mujhe jaan hi nahin sakte, Aks hun aaina nahin hun main.. Hun bura, maanta hun main lekin, Is qadar bhi bura nahin hun main.. Dusron ki to baat hi hai alag, Apna bhi ham-nawa nahin hun main.. Raaz-e-sar-basta ki tarah 'Sahir', Abhi khud par khula nahin hun main.!! "Parvez Sahir"

Ye Kaun Aa Gayi Dilruba Mahki Mahki

Ye kaun aa gayi dil-ruba mahki mahki, Faza mahki mahki hawa mahki mahki.. Wo aankhon mein kaajal wo baalon mein gajra, Hatheli pe us ke hina mahki mahki.. Khuda jaane kis kis ki ye jaan legi, Wo qaatil ada wo qaza mahki mahki.. Sawere sawere mere ghar pe aai, Ai 'Hasrat' wo baad-e-saba mahki mahki.!! "Hasrat Jaipuri"

Shola Hi Sahi Aag Lagane Ke Liye Aa

Shola hi sahi aag lagane ke liye aa, Phir noor ke manzar ko dikhane ke liye aa.. Ye kis ne kaha hai meri taqdeer bana de,  Aa apne hi haathon se mitane ke liye aa.. Ai dost mujhe gardish-e-haalaat ne ghera,  Tu zulf ki kamli mein chhupane ke liye aa.. Deewar hai duniya ise raahon se hata de, Har rasm-e-mohabbat ko mitane ke liye aa.. Matlab teri aamad se hai darmaa'n se nahin hai, 'Hasrat' ki qasam dil hi dukhane ke liye aa.!! "Hasrat Jaipuri"

Jab Pyar Nahin Hai To Bhula Kyun Nahin Dete

Jab pyar nahin hai to bhula kyun nahin dete, Khat kis liye rakkhe hain jala kyun nahin dete.. Kis waaste likkha hai hatheli pe mera naam, Main harf-e-ghalat hun to mita kyun nahin dete.. Lillah shab-o-roz ki uljhan se nikaalo, Tum mere nahin ho to bata kyun nahin dete.. Rah rah ke na tadpaao ai be-dard masiha, Haathon se mujhe zahr pila kyun nahin dete.. Jab us ki wafaon pe yaqeen tum ko nahin hai, 'Hasrat' ko nigaahon se gira kyun nahin dete.!! "Hasrat Jaipuri"

Hum Raaton Ko Uth Uth Ke Jin Ke Liye Rote Hain

Hum raaton ko uth uth ke jin ke liye rote hain, Wo ghair ki baanhon mein aaram se sote hain.. Hum ashk judaai ke girne hi nahin dete, Bechain si palkon mein moti se pirote hain.. Hota chala aaya hai be-dard zamane mein, Sachchai ki raahon mein kaante sabhi bote hain.. Andaaz-e-sitam un ka dekhe to koi 'Hasrat', Milne ko to milte hain nashtar se chubhote hain.!! "Hasrat Jaipuri"

Hum Raaton Ko Uth Uth Ke Jin Ke Liye Rote Hain

Hum raaton ko uth uth ke jin ke liye rote hain, Wo ghair ki baanhon mein aaram se sote hain.. Hum ashk judaai ke girne hi nahin dete, Bechain si palkon mein moti se pirote hain.. Hota chala aaya hai be-dard zamane mein, Sachchai ki raahon mein kaante sabhi bote hain.. Andaaz-e-sitam un ka dekhe to koi 'Hasrat', Milne ko to milte hain nashtar se chubhote hain.!! "Hasrat Jaipuri"

Aarzu Teri Barqaraar Rahe

Aarzu teri barqaraar rahe, Dil ka kya hai raha raha na raha.!! "Hasrat Mohani"

Sitam Ho Jaaye Tamheed-e-karam Aisa Bhi Hota Hai

Sitam ho jaaye tamheed-e-karam aisa bhi hota hai, Mohabbat mein bata ai zabt-e-ghum aisa bhi hota hai.. Bhula deti hain sab ranj o alam hairaniyan meri, Teri tamkeen-e-behad ki qasam aisa bhi hota hai.. Jafa-e-yaar ke shikwe na kar ai ranj-e-nakaami, Ummid o yaas dono'n hon baham aisa bhi hota hai.. Mere paas-e-wafa ki bad-gumaani hai baja tum se, Kahin be-wajah izhaar-e-karam aisa bhi hota hai.. Teri dildaariyon se surat-e-begaangi nikli, Khushi aisi bhi hoti hai alam aisa bhi hota hai.. Waqaar-e-sabr khoya girya-ha-e-be-qaraari ne, Kahin ai aitibaar-e-chashm-e-nam aisa bhi hota hai.. Ba-daawa-e-wafa kyun shikwa-sanj-e-jaur hai 'Hasrat', Dayaar-e-shauq mein ai mahw-e-ghum aisa bhi hota hai.!! "Hasrat Mohani" __________ Tamheed-e-karam = preamble to kindness, Tamkeen-e-behad = absolute power, Baham = along with, Baja = right, correct, Surat-e-begaangi = form of unfriendliness, Waqaar-e-sabr = dignity of patience, Girya-ha-e-be-qaraari = weepi

Taseer-e-barq-e-husn Jo Un Ke Sukhan Mein Thi

Taseer-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi, Ek larzish-e-khafi mere saare badan mein thi.. Waan se nikal ke phir na faraghat hui naseeb, Aasoodgi ki jaan teri anjuman mein thi.. Ek rang-e-iltifaat bhi us be-rukhi mein tha, Ek saadgi bhi us nigah-e-sahar fan mein thi.. Mohtaaj-e-bu-e-itr na tha jism-e-khoob-e-yaar, Khushbu-e-dilbari thi jo us pairahan mein thi.. Kuchh dil hi bujh gaya hai mera warna aaj kal, Kaifiyat-e-bahaar ki shiddat chaman mein thi.. Maloom ho gayi mere dil ko raah-e-shauq, Wo baat pyar ki jo hunooz us dahan mein thi.. Ghurbat ki subah mein bhi nahin hai wo raushni, Jo raushni ke shaam-e-sawaad-e-watan mein thi.. Aish gudaaz-e-dil bhi ghum-e-aashiqi mein tha, Ek raahat-e-lateef bhi zimn-e-mehan mein thi.. Achchha hua ke khaatir-e-'Hasrat' se hat gayi, Haibat si ek jo khatra-e-daar-o-rasan mein thi.!! "Hasrat Mohani" __________ Taseer-e-barq-e-husn = effect of the lightening of beauty, Larzish-e-khafi = hidden trembling, Aas

Yoon To Aashiq Tera Zamana Hua

Yoon to aashiq tera zamana hua, Mujh sa jaan-baaz dusra na hua.. Khud-ba-khud bu-e-yaar phail gayi, Koi minnat-e-kash-e-saba na hua.. Main giraftaar-e-ulfat-e-sayyaad, Daam se chhoot ke bhi riha na hua.. Khabar us be-khabar ki la deti, Tujh se itna bhi ai saba na hua.. Un se arz-e-karam to kya karte, Hum se khud shikwa-e-jafa na hua.. Ho ke be-khud kalaam-e-hasrat se, Aaj 'Ghaalib' ghazal sara na hua.!! "Hasrat Mohani"

Yaad Kar Wo Din Ke Tera Koi Saudaai Na Tha

Yaad kar wo din ke tera koi saudaai na tha, Bawajood-e-husn tu aagah-e-raanaai na tha.. Ishq-e-roz-afzoo'n pe apne mujh ko hairaani na thi, Jalwa-e-rangeen pe tujh ko naaz-e-yaktaai na tha.. Deed ke qaabil thi mere ishq ki bhi saadgi, Jab ke tera husn sargarm-e-khud-aaraai na tha.. Kya hue wo din ke mahw-e-aarzu the husn o ishq, Rabt tha dono'n mein go rabt-e-shanasaai na tha.. Tu ne 'Hasrat' ki ayaa'n tahzeeb-e-rasm-e-aashiqi, Is se pahle aitibaar-e-shaan-e-ruswaai na tha.!! "Hasrat Mohani" __________ Ishq-e-roz-afzoo'n = love which grows daily, Naaz-e-yaktaai = the pride of oneness, Sargarm-e-khud-aaraai = enthusiastic about showing off oneself, Tahzeeb-e-rasm-e-aashiqi = ritual of love, tradition of loving, Aitibaar-e-shaan-e-ruswaai = trustworthiness of state of disgrace,

Wo Chup Ho Gaye Mujh Se Kya Kahte Kahte

Wo chup ho gaye mujh se kya kahte kahte, Ke dil rah gaya muddaa kahte kahte.. Mera ishq bhi khud-gharz ho chala hai, Tere husn ko bewafa kahte kahte.. Shab-e-ghum kis aaram se so gaye hain, Fasana teri yaad ka kahte kahte.. Ye kya pad gayi khu-e-dushnaam tum ko, Mujhe na-saza barmala kahte kahte.. Khabar un ko ab tak nahin mar mite hum, Dil-e-zaar ka maajra kahte kahte.. Ajab kya jo hai bad-gumaan sab se waaiz, Bura sunte sunte bura kahte kahte.. Wo aaye magar aaye kis waqt 'Hasrat', Ke hum chal base marhaba kahte kahte.!! "Hasrat Mohani" __________ Khu-e-dushnaam = habit of abuse, Na-saza = improper, Barmala = openly, publicly, in the presence of everybody,

Wasl Ki Banti Hain In Baaton Se Tadbeeren Kahin

Wasl ki banti hain in baaton se tadbeeren kahin, Aarzuon se phira karti hain taqdeeren kahin.. Be-zabaani tarjumaan-e-shauq behad ho to ho, Warna pesh-e-yaar kaam aati hain taqreeren kahin.. Mit rahi hain dil se yaadein rozgaar-e-aish ki, Ab nazar kaahe ko aayengi ye tasveeren kahin.. iltifaat-e-yaar tha ek khwab-e-aaghaaz-e-wafa, Sach hua karti hain in khwabon ki tabeeren kahin.. Teri be-sabri hai 'Hasrat' khaam-kaari ki daleel, Girya-e-ushshaaq mein hoti hain taseeren kahin.!! "Hasrat Mohani" __________ Tarjumaan-e-shauq = interpretors of love, Rozgaar-e-aish = pleasurable employment, iltifaat-e-yaar = love of beloved, Khwab-e-aaghaaz-e-wafa = dream of the beginning of constancy, Khaam-kaari = working with raw material, Girya-e-ushshaaq = weeping of lovers,

Us But Ke Pujaari Hain Musalman Hazaron

Us but ke pujaari hain musalman hazaron, Bigde hain isi kufr mein imaan hazaron.. Duniya hai ke un ke rukh o gesu pe miti hai, Hairaan hazaron hain pareshaan hazaron..  Tanhaai mein bhi tere tasawwur ki badaulat, Dil-bastagi-e-ghum ke hain samaan hazaron.. Ai shauq teri pasti-e-himmat ka bura ho, Mushkil hue jo kaam the aasan hazaron.. Aankhon ne tujhe dekh liya ab unhein kya ghum, Haalanki abhi dil ko hain armaan hazaron.. Chhaane hain tere ishq mein aashufta-sari ne, Duniya-e-musibat ke bayabaan hazaron..  Ak bar tha sar gardan-e-'Hasrat' pe rahenge, Qaatil teri shamsheer ke ahsaan hazaron.!! "Hasrat Mohani" __________ Dil-bastagi-e-ghum = to comfort the pain, Pasti-e-himmat = breakdown of courage, Aashufta-sari = state of being in distress/ affliction,

Rog Dil Ko Laga Gayin Aankhein

Rog dil ko laga gayin aankhein, Ek tamasha dikha gayin aankhein.. Mil ke un ki nigah-e-jaadu se, Dil ko hairaan bana gayin aankhein.. Mujh ko dikhla ke rah-e-koocha-yaar, Kis ghazab mein phansa gayin aankhein.. Us ne dekha tha kis nazar se mujhe, Dil mein goya sama gayin aankhein.. Mahfil-e-yaar mein ba-zauq-e-nigah, Lutf kya kya utha gayin aankhein.. Haal sunte wo kya mera 'Hasrat', Wo to kahiye suna gayin aankhein.!! "Hasrat Mohani"

Raushan Jamaal-e-yaar Se Hai Anjuman Tamam

Raushan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamam, Dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam... Hairat ghuro or-e-husn se shokhi se iztiraab, Dil ne bhi tere seekh liye hain chalan tamam.. Allah-re jism-e-yaar ki khoobi ke khud-ba-khud, Ranginiyon mein doob gaya pairahan tamam.. Dil khoon ho chuka hai jigar ho chuka hai khaak, Baaqi hun main mujhe bhi kar ai tegh-zan tamam.. Dekho to chashm-e-yaar ki jaadu-nigahiyan, Behosh ek nazar mein hui anjuman tamam.. Hai naaz-e-husn se jo farozaa'n jabeen-e-yaar, Labrez aab-e-noor hai chah-e-zaqan tamam.. Nash-o-numa-e-sabza-o-gul se bahaar mein, Shadabiyon ne gher liya hai chaman tamam.. Us nazneen ne jab se kiya hai wahaan qayaam, Gulzar ban gai hai zameen-e-dakan tamam.. Achchha hai ahl-e-jaur kiye jaayen sakhtiyan, Phailegi yoon hi shorish-e-hubb-e-watan tamam.. Samjhe hain ahl-e-sharq ko shayad qareeb-e-marg, Maghrib ke yoon hain jama ye zaagh o zaghan tamam.. Shireeni-e-naseem hai soz-o-gudaaz-e-'Meer', 'Hasr