Thursday, June 28, 2018

Ab Nahin Laut Ke Aane Wala

Ab nahin laut ke aane wala,
Ghar khula chhorh ke jaane wala..

Ho gayin kuchh idhar aisi baatein,
Ruk gaya roz ka aane wala..

Aks aaankhon se chura leta hai,
Ek tasveer banane wala..

Laakh honthon pe hansi ho lekin,
Khush nahin khush nazar aane wala..

Zad mein tufaan ki aaya kaise,
Pyas saahil pe bujhane wala..

Rah gaya hai mera saaya ban kar,
Mujh ko khaatir mein na laane wala..

Ban gaya hum-safar aakhir 'Nazmi',
Raasta kaat ke jaane wala.!!

"Akhtar Nazmi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...