Friday, June 29, 2018

Bahut Mazboot Logon Ko Bhi Ghurbat Tod Deti Hai

Bahut mazboot logon ko bhi ghurbat tod deti hai,
Ana ke sab hisaaron ko zarurat tod deti hai..

Jhukaya ja nahin sakta jinhein jabr-o-adawat se,
Unhein bhi ek ishaare mein mohabbat tod deti hai..

Kisi ke saamne jab haath phailaati hai majboori,
To us majboor ko andar se ghairat tod deti hai..

Taras khaate hain jab apne sisak uthti hai khuddaari,
Har ek khuddaar insaan ko inayat tod deti hai..

Samandar paar ja kar jo bahut khush-haal dikhte hain,
Ye un ke dil se poochho kaise hijrat tod deti hai..

Nibhana dil ke rishton ko nahin hai khel bachchon ka,
Ke in shisho'n ko ek halki si ghaflat tod deti hai.!!

"Jawed Naseemi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...