Showing posts with label Saifuddin Saif. Show all posts
Showing posts with label Saifuddin Saif. Show all posts

Thursday, May 24, 2018

Zohd Kis Kis Ne Lutaye Hain Tumhein Kya Maloom

Zohd kis kis ne lutaye hain tumhein kya maloom,
Aaj wo kya nazar aaye hain tumhein kya maloom,

Tum ko begaane bhi apnaate hain main jaanta hun,
Mere apne bhi paraye hain tumhein kya maloom,

Kitni veeran hain be-noor hain aankhein meri,
Ye diye kis ne bujhaye hain tumhein kya maloom,

Shauq-e-awaara ko sahra-e-faramoshi mein,
Raaste dhundhne aae hain tumhein kya maloom,

Ahl-e-dil hasrat-e-dil le ke tumhaare dar par,
Aaj kis bhes mein aaye hain tumhein kya maloom,

Dekh kar haal humara na hanso ghurbat mein,
Kaun hain kis tarah aaye hain tumhein kya maloom,

'Saif' ye dard se ma'amoor kharaabe dil ke,
Kitni mushkil se basaye hain tumhein kya maloom.!!

"Saifuddin Saif"
__________

Zohd = religious devotion,
Shauq-e-awaara = vagrant desire,
Sahra-e-faramoshi = desert of forgetting,
Ma'amoor = ordered, commanded, deter-mined,

Wafa Anjaam Hoti Ja Rahi Hai

Wafa anjaam hoti ja rahi hai,
Mohabbat khaam hoti ja rahi hai,

Zara chehre se zulfon ko hata lo,
Ye kaisi shaam hoti ja rahi hai,

Qayamat hai mohabbat rafta-rafta,
Ghum-e-ayyaam hoti ja rahi hai,

Suna hai ab tere lutf-o-karam ki,
Hikayat aam hoti ja rahi hai,

Dikhane ko zara aankhein badal lo,
Wafa ilzaam hoti ja rahi hai,

Mere jazb-e-wafa se khamoshi bhi,
Tera paighaam hoti ja rahi hai,

Koi karwat badal ai dard-e-hasti,
Tamanna daam hoti ja rahi hai,

Mohabbat 'Saif' ek lutf-e-nihaa'n thi, 
Magar badnaam hoti ja rahi hai..!! 

"Saifuddin Saif"
__________

Khaam = raw, unripe, crude,

Umr Guzri Meri Shireeni-e-guftaar Ke Saath

Umr guzri meri shireeni-e-guftaar ke saath,
Lab milaye the kabhi main ne lab-e-yaar ke saath,

Ghum-e-jaanaa ki aziyat ghum-e-duniya ka azaab,
Zindagi main ne guzaari bade aazaar ke saath,

Gard mein doob gaya silsila-e-shaam-o-sahar,
Waqt bhi chal nahin sakta meri raftaar ke saath,

Meri khuddaar tabiyat ne bachaya mujh ko,
Mera rishta kisi darbaar na sarkaar ke saath,

Dekhna kucha-e-jaanaa mein kahin 'Saif' na ho,
Ek saaya sa nazar aata hai deewar ke saath..!!

"Saifuddin Saif"

Teri Nazar Se Zamane Badalte Rahte Hain

Teri nazar se zamane badalte rahte hain,
Ye log tere bahane badalte rahte hain,

Faza-e-kunj-e-chaman mein humein talaash na kar,
Musafiron ke thikane badalte rahte hain, 

Nafas nafas mutaghayyar hai dastaan-e-hayat,
Qadam qadam pe fasane badalte rahte hain,

Kabhi jigar pe kabhi dil pe chot padti hai,
Teri nazar ke nishane badalte rahte hain,

Lagi hai 'Saif' nazar inqilaab-e-dauraa'n par,
Suna to hai ke zamane badalte rahte hain.!!

"Saifuddin Saif"
__________

Mutaghayyar = transient, changing,

Teri Aankhon Mein Rang-e-masti Hai

Teri aankhon mein rang-e-masti hai,
Haan mujhe aitibaar-e-hasti hai,

Mera hona bhi koi hona hai,
Meri hasti bhi koi hasti hai,

Jaan ka rog hai ye girya-e-ghum,
Umr bhar ye ghata barasti hai,

Jis tarah chandni mazaron par,
Dil pe yun be-kasi barasti hai,

Dil-e-veeraa'n ko dekhte kya ho,
Ye wahi aarzu ki basti hai,

'Saif' is zindagi ko kya kahiye,
Ek mayyat-ba-dosh hasti hai.!!

"Saifuddin Saif"

Shaguft-e-ghuncha-e-mahtaab Kaun Dekhega

Shaguft-e-ghuncha-e-mahtaab kaun dekhega,
Main so gaya to mere khwab kaun dekhega,

Kab aayengi wo ghatayen jinhein barasna hai,
Mere chaman tujhe shadaab kaun dekhega,

Ye baada-khwar nahin dekhte haram hai ke dahr,
Tumhaari bazm ke aadaab kaun dekhega,

Jo shahar ho gaye ghaarat wo kis ne dekhe hain,
Jo hone waale hain gharqaab kaun dekhega,

Bana raha hun safeena ke 'Saif' mere baad,
Bachega kaun ye sailaab kaun dekhega.!!

"Saifuddin Saif"

Rukh Pe Yun Jhoom Kar Wo Lat Jaaye

Rukh pe yun jhoom kar wo lat jaaye,
Khizr dekhe to umr kat jaaye..

Us nazaare se kya bache koi,
Jo nigaahon se khud lipat jaaye..

Ye bhi andher hum ne dekha hai,
Raat ek zulf mein simat jaaye..

Jaane tujh se udhar bhi kya kuchh hai, 
Kaash tu saamne se hat jaaye..

Maut ne khel hum ko jaana hai,
Kabhi aaye kabhi palat jaaye..

Doobne tak mein na-ummid nahin,
Kab na jaane hawa palat jaaye..

Raat guzre na dard-e-dil thehre,
Kuchh to badh jaaye kuchh to ghat jaaye..

Un se kah kar bhi dekh lein ghum-e-dil,
'Saif' ye kaam bhi nipat jaaye..!!

"Saifuddin Saif"

Qaza Ka Waqt Rukhsat Ki Ghadi Hai

Qaza ka waqt rukhsat ki ghadi hai,
Zara thehro ki ye manzil kadi hai..

Jise tum chhorh kar rukhsat hue the,
Wo basti aaj tak sooni padi hai..

Abhi tak dil ke veerane mein jaise,
Tamanna haath phailaye khadi hai..

Mere dushman bhi ab to aa rahe hain,
Tumhein kis waqt jaane ki padi hai..

Tumhaare dard-mandon ki khabar le,
Ghum-e-dauraa'n ko aisi kya padi hai..

Kisi ki yaad 'Saif' aur dil ki haalat,
Ghana jangal akeli jhonpadi hai..!! 

"Saifuddin Saif"

Meri Dastaan-e-hasrat Wo Suna Suna Ke Roye

Meri dastaan-e-hasrat wo suna suna ke roye,
Mere aazmane waale mujhe aazma ke roye..

Koi aisa ahl-e-dil ho ke fasana-e-mohabbat,
Main use suna ke roun wo mujhe suna ke roye..

Meri aarzu ki duniya dil-e-na-tawaa'n ki hasrat,
Jise kho ke shadmaan the use aaj pa ke roye..

Teri bewafaiyon par teri kaj-adaaiyon par,
Kabhi sar jhuka ke roye kabhi munh chhupa ke roye..

Jo sunaai anjuman mein shab-e-ghum ki aap-beeti,
Kayi ro ke muskuraye kayi muskura ke roye..!!

"Saifuddin Saif"

Kitna Bekaar Tamanna Ka Safar Hota Hai

Kitna bekaar tamanna ka safar hota hai,
Kal ki ummid pe har aaj basar hota hai,

Yun main sahma hua ghabraya hua rahta hun,
Jaise har waqt kisi baat ka darr hota hai,

Din guzarta hai to lagta hai bada kaam hua,
Raat kat ti hai to ek ma'arka sar hota hai,

Log kahte hain muqaddar ka nawishta jis ko,
Hum nahin maante har chand magar hota hai,

'Saif' is daur mein itna bhi ghanimat samjho,
Qaid mein rauzan-e-deewar bhi dar hota hai.!!

"Saifuddin Saif"
__________

Ma'arka = place or scene of battle or fight; field of battle; battle-ground; an ampitheatre (for gladiators or prize-fighters, strife, fight)
fight, strife,
Nawishta = written , inscribed 

Khol Kar In Siyah Baalon Ko

Khol kar in siyah baalon ko,
Rok do subah ke ujaalon ko,

Tere qadmon ne sarfaraaz kiya, 
Ek muddat ke payemaalon ko,

Ek tabassum se umr bhar ke liye,
Raushni de gaye khyaalon ko,

Hum raheen-e-ghum-e-hayat rahe,
Maut aai naseeb waalon ko,

Misl-e-najm-e-sahar larazte hain,
Dekhta ja shikasta-haalon ko,

'Saif' jab wo niaah yaad aai,
Aag si lag gai khyaalon ko.!!

"Saifuddin Saif"

Jaise Dariya Mein Gauhar Bolta Hai

Jaise dariya mein gauhar bolta hai,
Saat pardon mein hunar bolta hai,

Teri khamoshi se dahshat hai ayaa'n, 
Teri aawaz mein drar bolta hai,

Jaag auron ko jagane ke liye,
Bol jis tarah gajar bolta hai,

Dil ki dhadkan se larazta hai badan,
Apni wahshat mein khandar bolta hai,

Ye wahi sa'at-e-bedaari hai,
Jab duaon mein asar bolta hai,

Ho gaya rang-e-sukhan se zaahir,
Sheyr mein khoon-e-jigar bolta hai.!!

"Saifuddin Saif"

Jab Tasawwur Mein Na Payenge Tumhein

Jab tasawwur mein na payenge tumhein,
Phir kahaan dhundhne jayenge tumhein,

Tum ne deewana banaya mujh ko,
Log afsaana banayenge tumhein,

Hasrato dekho ye veerana-e-dil,
Is naye ghar mein basayenge tumhein,

Meri wahshat mere ghum ke qisse, 
Log kya kya na sunayenge tumhein,

Aah mein kitna asar hota hai,
Ye tamasha bhi dikhayenge tumhein,

Aaj kya baat kahi hai tum ne,
Phir kabhi yaad dilayenge tumhein,

'Saif' yun chhorh chale ho mahfil,
Jaise wo yaad na aayenge tumhein.!!

"Saifuddin Saif"

Hum Ko To Gardish-e-haalat Pe Rona Aaya

Hum ko to gardish-e-haalat pe rona aaya, 
Rone waale tujhe kis baat pe rona aaya,

Kaise jeete hain ye kis tarah jiye jaate hain,
Ahl-e-dil ki basar-auqaat pe rona aaya,

Ji nahin aap se kya mujh ko shikayat hogi,
Haan mujhe talkhi-e-haalat pe rona aaya,

Husn-e-maghroor ka ye rang bhi dekha aakhir,
Aakhir un ko bhi kisi baat pe rona aaya,

Kaise mar mar ke guzaari hai tumhein kya maloom,
Raat bhar taaron bhari raat pe rona aaya,

Kitne betaab the rim-jhim mein piyenge lekin,
Aai barsaat to barsaat pe rona aaya,

Husn ne apni jafaon pe bahaye aansu,
Ishq ko apni shikayaat pe rona aaya,

Kitne anjaan hain kya saadgi se poochhte hain,
Kahiye kya meri kisi baat pe rona aaya,

Awwal awwal to bas ek aah nikal jaati thi,
Aakhir aakhir to mulaqaat pe rona aaya,

'Saif' ye din to qayamat ki tarah guzra hai,
Jaane kya baat thi har baat pe rona aaya.!!

"Saifuddin Saif"

Humein Khabar Hai Wo Mehmaan Ek Raat Ka Hai

Humein khabar hai wo mehmaan ek raat ka hai,
Humare paas bhi samaan ek raat ka hai,

Safeene barson na rakkhenge saahilon pe qadam,
Tumhein gumaan hai ke tufaan ek raat ka hai,

Hai ek shab ki iqamat sara-e-duniya mein,
Ye saara khel meri jaan ek raat ka hai,

Khulegi aankh to samjhoge khwab dekha tha,
Ye saara khel meri jaan ek raat ka hai,

Tumhaari shaan humari bisaat kya hai yahaan,
Shikwa-e-khusro-e-khaqaan ek raat ka hai,

Bas ek shab ka ujaala hai us ke daaman mein,
Ke ye charagh nigahbaan ek raat ka hai.!!

"Saifuddin Saif"

Ghum-e-dil Kisi Se Chhupana Padega

Ghum-e-dil kisi se chhupana padega,
Ghadi do ghadi muskurana padega..

Ye aalam-e-hasti ye daur-e-zamana,
To kya ab tumhein bhool jaana padega..

Bahut bach ke nikle magar kya khabar thi,
Idhar bhi tera aastana padega..

Abhi munkir-e-ishq hai ye zamana,
Jo dekha hai un ko dikhana padega..

Chalo may-kade mein basera hi kar lo,
Na aana padega na jaana padega..

Na hoga kabhi faisla kufr o deen ka, 
Tumhein rukh se parda hatana padega..

Nahin bhoolta 'Saif' ahd-e-tamanna,
Magar rafta rafta bhulana padega..!!

"Saifuddin Saif"

Garche Sau Baar Ghum-e-hijr Se Jaan Guzri Hai

Garche sau baar ghum-e-hijr se jaan guzri hai,
Phir bhi jo dil pe guzarti thi kahaan guzri hai,

Aap thehre hain to thehra hai nizaam-e-aalam,
Aap guzre hain to ek mauj-e-rawaa'n guzri hai,

Hosh mein aaye to batlaye tera deewana, 
Din guzara hai kahaan raat kahaan guzri hai,

Aise lamhe bhi guzare hain teri furqat mein,
Jab teri yaad bhi is dil pe giraa'n guzri hai,

Hashr ke baad bhi deewane tere poochhte hain,
Wo qayamat jo guzarni thi kahaan guzri hai,

Zindagi 'Saif' liye qaafila armaanon ka,
Maut ki raat se benaam-o-nishaan guzri hai.!! 

"Saifuddin Saif"

Ek Udaasi Dil Par Chhaai Rahti Hai

Ek udaasi dil par chhaai rahti hai,
Mere kamre mein tanhaai rahti hai,

Seene mein ek dard bhi rahta hai bedaar,
Aankhon mein kuchh neend bhi aai rahti hai,

Dil-dariya ki thaah batayen kya jis mein,
Saat samandar ki gahraai rahti hai,

Hum bhi usi basti ke rahne rahne waale hain,
Jis mein teri be-parwaai rahti hai,

Pahlu mein ab 'Saif' mera kya baaqi hai,
Dil hai jis mein yaad paraai rahti hai..!!

"Saifuddin Saif"

Ek Se Ek Hai Ghaarat-gar-e-imaan Yahaan

Ek se ek hai ghaarat-gar-e-imaan yahaan,
Ai mere dil tera Allah nigahbaan yahaan,

Chhorh kar jaaun tere shahar ki galiyaan kaise,
Dil yahaan rooh yahaan jism yahaan jaan yahaan,

Kis se poochhun ke wo be-mehr kahaan rahta hai,
Dil-e-betaab meri jaan na pahchaan yahaan,

Jaane is shahar ka me'aar-e-sadaqat kya hai,
But bhi haathon mein liye phirte hain quraan yahaan,

Toot jaaye to ise dil ka laqab milta hai, 
Chaak ho jaaye to hota hai garebaan yahaan,

Aur honge jinhein tufaan dubo deta hai,
Hum jo doobe to bahut aayenge tufaan yahaan,

Ab yahi log karenge nai duniya tameer,
Tu ne dekha hai jinhein be-sar-o-samaan yahaan,

'Saif' kya khoob zamane ki hawa badli hai,
Takht-e-taaoos pe aa baithe hain darbaan yahaan.!!

"Saifuddin Saif"

Dilon Ko Todne Waalo Tumhein Kisi Se Kya

Dilon ko todne waalo tumhein kisi se kya, 
Milo to aankh chura lo tumhein kisi se kya,

Humari laghzish-e-pa ka khyaal kyun hai tumhein,
Tum apni chaal sambhaalo tumhein kisi se kya,

Chamak ke aur badhao meri siyah-bakhti,
Kisi ke ghar ke ujaalo tumhein kisi se kya, 

Nazar bacha ke guzar jao meri turbat se,
Kisi pe khaak na daalo tumhein kisi se kya,

Mujhe khud apni nazar mein bana ke begana,
Jahaan ko apna bana lo tumhein kisi se kya,

Qareeb-e-naz'a bhi kyun chain le sake koi, 
Naqaab rukh se utha lo tumhein kisi se kya.!!

"Saifuddin Saif"
__________

Qareeb-e-naz'a = nearing rigor mortis,

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...