Wo chup ho gaye mujh se kya kahte kahte,
Ke dil rah gaya muddaa kahte kahte..
Mera ishq bhi khud-gharz ho chala hai,
Tere husn ko bewafa kahte kahte..
Shab-e-ghum kis aaram se so gaye hain,
Fasana teri yaad ka kahte kahte..
Ye kya pad gayi khu-e-dushnaam tum ko,
Mujhe na-saza barmala kahte kahte..
Khabar un ko ab tak nahin mar mite hum,
Dil-e-zaar ka maajra kahte kahte..
Ajab kya jo hai bad-gumaan sab se waaiz,
Bura sunte sunte bura kahte kahte..
Wo aaye magar aaye kis waqt 'Hasrat',
Ke hum chal base marhaba kahte kahte.!!
"Hasrat Mohani"
__________
Khu-e-dushnaam = habit of abuse,
Na-saza = improper,
Barmala = openly, publicly, in the presence of everybody,
No comments:
Post a Comment