Posts

Showing posts from June, 2017

Teri Aankhein

Image
Bhadkayen Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhein... Sehra Mera Chehra, Samandar Teri Aankhein... . Phir Kaun Bhala Daad-e-tabassum Inhein Dega... Royengi Bahut Mujh Sey Bichhad Kar Teri Aankhein... . Bojhal Nazar Aati Hai Ba-Zaahir Mujhey Lekin... Khilti Hain Bahut Dil Mai Utar Kar Teri Aankhe'n... . Ab Tak Meri Aankhon Sey Mitaaye Nahi Mit ta... Bheegi Huyi Ek Shaam Ka Manzar Teri Aankhein... . Mumkin Ho To Ek Taaza Ghazal Aur Bhi Kah Loon... Phir Odh Na Lein Khwaab Ki Chaadar Teri Aankhein... . Yoon Usey Dekhte Rahna Bhi Achcha Nahi Mohsin... Wo Kaanch Ka Paikar Hai To Patthar Teri Aankhein.!!

Suno.. Mujhe Marne Se Pahle

Suno..... Mujhe Marne Se Pahle Tumhaare Saath Jeena Hai.!! ____________________________

Qissa Abhi Hijaab Se Aage Nahin Badha

Qissa Abhi Hijaab Se Aage Nahin Badha, Main Aap, Wo Janaab Se Aage Nahin Badha.. Muddat Hui Kitaab-e-Mohabbat Shuru Kiye, Lekin Main Pahle Baab Se Aage Nahin Badha.. Lambhi Musafatein Hain Magar Is Sawaar Ka, Paaon Abhi Rakaab Se Aage Nahin Badha.. Logon Ne Sang-o-khasht K Qile Bana Liye, Apna Mahal To Khwab Se Aage Nahin Badha.. Tool-e-Kalaam Ke Liye Maine Kiye Sawaal, Wo Mukhtasar Jawaab Se Aage Nahin Badha.. Wo Teri Chaal Dhhaal Ke Baare Mein Kya Kahe, Jo Apne Ahtisaab Se Aage Nahin Badha.. Rukhsar Ka Pata Nahin, Ankhain To Khoob Hain, Deedar Abhi Naqaab Se Aage Nahin Badha.. Wo Lazzat-e-gunah Se Mahroom Rah Gaya, Jo Khwahish-e-sawaab Se Aage Nahin Badha.!! قصہ ابھی حجاب سے آگے نہیں بڑھا میں آپ وہ جناب سے آگے نہیں بڑھا مدت ہوئی کتابِ محبت شروع کیے لیکن میں پہلے باب سے آگے نہیں بڑھا لمبی مسافتیں ہیں مگر اس سوار کا پاؤں ابھی رکاب سے آگے نہیں بڑھا لوگوں نے سنگ و خشت کے قلعے بنا لیے اپنا محل تو خواب سے آگے نہیں بڑھا طولِ کلام کے لیے میں نے کیے سوال وہ مختصر جواب

Main Dil Pe Jabr Karunga Tujhe Bhula Dunga

Mein dil pe jabr karunga tujhe bhula dunga Marunga khud bhi, tujhe bhi kadi sazaa dunga * Ye teergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho? Mein tere shehr ke saare diye bujha dunga * Hawa ka haath bataunga mein tabahi mein Hare shajar* se parinde mein khud uda dunga * Wafa karunga kisi sogwaar chehre se Purani qabr pe qutba naya saja dunga * Isi khayaal mein guzri hai shaam-e-dard aksar Ke dard had se badhega to muskira dunga * Tu aasman ki surat hai gir-padega kabhi Zameen hun mein magar tujh ko aasra dunga * Badhaa rahi hai mere dukh, nishaniyaN teri Mein tere khat, teri tasveer tak jalaa dunga * Bahot dinon se mera dil udaas hai “Mohsin” Is aaine ko koi aks ab nayaa dunga.! "Mohsin Naqwi"

Ibaadaton Ki Tarah Main Ye Kaam Karta Hun

Ibadaton ki tarah mein ye kaam karta hun, Mera usool hai pahle salaam karta hun.. Mukhalifat se meri shakhsiyat nikharti hai, Mein dushmanon ka bada ahteraam karna hun.. Mein dar gaya hun bahut, sayadaar pedon se, Zara si dhoop bichha kar qayaam karta hun.. Mujhe khuda ne ghazal ka dayaar bakhshaa hai, Ye saltanat mein muhabbat ke naam karta hun.! "Basheer Badr"

Us Ki Katthai Aankhon Mai Hain Jantar Mantar Sab

Us ki katthai aankon mein hai n jantar mantar sab, Chaqu, waqu, chhuriya, wuriyan, khanjar, wanjar, sab.. Jis din se tum ruthi ho, mujh se roothe roothe hain, Chaadar, wadar, takiya, wakiya, bistar, wistar, sab.. Mujh se bichad kar wo bhi kahan ab pehle jaisi hai, Pheeke pad gaye kapde, wapde, zewar, wewar, sab.. Aakhir kis din duubunga mein, fikren karte hain, Darya, wariya, kashti, washti, langar, wangar, sab.! ♥ -Rahat Indori

Abhi Tak Aadmi Lachaar Kyun Hai Sochna Hoga

Abhi Tak Aadmi Lachaar Kyun Hai, Sochna Hoga, Mazaalim Ki Wahi Raftaar Kyun Hai, Sochna Hoga... ♥ Ye Duniya Jis Ko Ek Jannat Banane Ki Tamanna Thi, Abhi Tak Ek Jahunnam-Zaar Kyun Hai, Sochna Hoga... ♥ Nikalte The Jahaan Se Phoot Kar Chashme Mohabbat Ke, Wahaan Nafrat Ka Kaarobaar Kyun Hai, Sochna Hoga... ♥ Sabhi Insaan Baraabar Hain, Ye Seedhi Baat Hai Yaaro'n.! Magar Is Baat Se Inkaar Kyun Hai, Sochna Hoga... ♥ ______________________________________

Ji Chahta Hai

Sang-e-marmar se tarasha hua shaffaaf badan, Itna dil-kash hai ke apnane ko ji chahta hai... ♥ Surkh honthon mein thirakti hai wo rangeen sharaab, Jis ko pi kar ke bahak jaane ko ji chahta hai... ♥ Narm seene mein dhadakte hein wo naazuk tufaan, Jin ki lahron mein utar jaane ko ji chahta hai... ♥ Tum se kya rishta hai, kab se hai, maloom nahin, Lekin is husn pe mar jaane ko ji chahta hai... ♥ Rakh le kal ke liye doosri paazeb ai dil, Kal is bazm mein phir aane ko ji chahta hai... ♥ Be-khabar soye hain wo loot ke neendein meri, Jazba-e-dil pe taras khaane ko ji chahta hai... ♥ Kab se khamosh ho ai jaan-e-jahaan kuchh bolo, Kya abhi aur sitam dhaane ko ji chahta hai? ♥ Chhorh kar tum ko kahaan chain milega ham ko, Yahin jeene, yahin mar jaane ko ji chahta hai... ♥ Apne haathon se sanwara hai tumhein qudrat ne, Dekh kar dekhte rah jaane ko ji chahta hai... ♥ Mere daaman ko koi aur na chhu payega, Tum ko chhu kar ye qasam khaane ko ji chahta hai... ♥ Chaand ch

Wo Dushman-e-jaan, Jaan Se Pyara Bhi Kabhi Tha

Wo dushman e jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha, Ab kis se kahein, koi humara bhi kabhi tha.. ♥ Utra hai rag-o-pai mein to dil kat sa gaya hai, Ye zahar-e-judaai, ke gawara bhi kabhi tha.. ♥ Har dost jahaan abr-e-gurezaa'n ki tarah hai, Ye shahar, yahi shahar, humara bhi kabhi tha.. ♥ Titli ke taaqqub me koi phool sa bachcha, Aisa hi koi khwaab humara bhi kabhi tha.. ♥ Ab agle zamane ke mile log to poochhein, Jo haal humara hai, tumhara bhi kabhi tha? ♥ Har bazm mein hum ne use afsurda hi dekha, Kahte hain 'Faraz' anjuman-aaraa bhi kabhi tha.!! "Ahmad Faraz"

Tod Kar Ahd-karam Naa-aashna Ho Jaaiye

Tod kar ahd-e-karam naa-aashna ho jaaiye, Banda parwar jaaiye achchha khafa ho jaaiye... Raah mein miliye kabhi mujh se to az-rah-e-sitam, Honth apne kaat kar fauran judaa ho jaaiye... Ji mein aata hai ke us shokh-e-taghaful kesh se, Ab n miliye phir kabhi aur bewafa ho jaaiye... Haay re be-ikhtiyari yoon to sab kuchh ho magar, Us saraapa naaz se kyun kar khafa ho jaaiye.!!

Balandi Der Tak Kis Shakhs Ke

Balandi Der Tak Kis Shakhs Ke Hisse Mein Rehti Hai, Bahut Oonchi Imaarat Har Ghadi Khatre Mein Rehti Hai, Bahut Ji Chaahta Hai Qaid-e-Jaa'n Se Hum Nikal Jayein, Tumhaari Yaad Bhi Lekin Isii Malbe Mein Rehti Hai, Ye Aisa Qarz Hai Jo Main Adaa Kar Hi Nahin Sakta, Main Jab Tak Ghar Na Lautu'n Meri Maa Sajde Mein Rehti Hai.!! _ Munawwar Rana ______________________________________

Misl-e-Khyaal Aaye They Aa Kar Chale Gaye

Misl-e-khyaal aaye the, aa kar chale gaye Duniya humaare ghum ki basa kar chale gaye ♥ Phoolon ki aas dil se lagaye hue the hum Kaante wo raaste mein bichha kar chale gaye ♥ Aayi na thi humaare chaman mein bahaar abhi Wo khwaab aashiyaan ke dikha kar chale gaye ♥ Bhoole se bhi kabhi na unhein hum bhula sake Dil se hamein wo apne bhula kar chale gaye.! ♥ By Fani Badayuni

Zara Si Der Lagti Hai

Image
Zamana dost ho jaaye to tum mohtaat ho jaana, Ke is ko rang badalne mein zara si der lagti hai... ♥ Koi jo khwab dikhlaye, use fauran bhula dena, Ke neendein toot jaane mein zara si der lagti hai... ♥ Kisi ko dukh kabhi dena to itna soch kar dena, Kisi ki aah lagne mein zara si der lagti hai... ♥ Bahut hi moatabar hain, jin ko chahat raas aa jaaye, Kisi ko raah badalne mein zara si der lagti hai.!! ♥

Ahsaas-e-Ishq Ghum Ki Panaahon Mein Aa Gaya

Ahsaas-e-Ishq ghum ki panaho'n mein aa gaya, Baadal simat ke chaand ki baaho'n mein aa gaya... Izhaar-e-Ishq mein ne kisi se nahin kiyaa, Aur be-sabab jahaa'n ki nigaaho'n mein aa gaya... Wo muskura ke dekh rahe hain meri taraf, Itna asar to ab meri aaho'n mein aa gaya... Kya poochhte ho azm-e-safar ki karaamatein, Manzil ka naqsh khud meri raaho'n mein aa gaya... Hain ibtedaai marhale ye ishq ke abhi, Saahil ye soz kyun teri aaho'n mein aa gaya.!

Aaj Phir Gardish-e-Taqdeer Pe Rona Aaya

Aaj phir gardish-e-taqdeer pe rona aaya, Dil ki bigdi hui tasweer pe rona aaya.. Ishq ki qaid mein ab tak to ummidon pe jiye, Mit gayi aas to zanjeer pe rona aaya.. Kya haseen khwaab mohabbat ne dikhaya tha humein, Khul gayi aankh to taabeer pe rona aaya.. Pshle qaasid ki nazar dekh ke dil saham gaya, Phir teri surkhi-e-tahreer pe rona aaya.. Dil ganwa kar bhi mohabbat ke maze mil na sake, Apni khoi hui jaageer pe rona aaya.. Kitne masroor the jeene ki duaao'n pe 'Shakeel' Jab mile ranj to taaseer pe rona aaya.!

Adhoore Khwaab

Ghazab Aaya, Sitam Toota, Qayamat Ho Gayi Barpaa, Faqat Itna Hi Poochha Tha Ke Tum Ko Pyaar Hai Hum Se.! ग़ज़ब आया, सितम टूटा, क़यामत हो गई बरपा फ़क़त इतना ही पूछा था के तुम को प्यार है हम से? _____ Shahar-e-Ghurbat Mein Qazaa Der Se Mat Aaya Kar, Kharch Tadfeen Ka Beemari Mein Lag Jaata Hai.! शेहरे ग़ुरबत में क़ज़ा देर से मत आया कर खर्च तद्फीन का बीमारी पे लग जाता है। _____ Deemak-Zada Kitaab Thi Yaado'n Ki Zindagi, Har Warq Kholne Ki Khwaahish Mein Phat Gaya.! दीमक ज़दा किताब थी यादों की ज़िन्दगी हर वर्क खोलने की ख्वाहिश में फट गया.!! ____ Chalo Ye Zindagi Ab Hum Tumhaare Naam Karte Hain, Suna Hai Bewafa Ki Bewafa Se Khoob Banti Hai.! चलो ये ज़िन्दगी अब हम तुम्हारे नाम करते हैं सुना है बेवफा की बेवफा से खूब बनती है.!!

Ai Kaash Mera Dil Bhi Patthar Ka Bana Hota

Ai kaash.! mera dil bhi, patthar ka bana hota, Teri hi tarah mein bhi, sab bhool gaya hota... Seene mein jalan hoti, lab par n gilaa hota, Ai yaar tera daaman, hum ko jo milaa hota... Tarsi hui aankhon ne deedaar kiya hota, Mausam ye khizaa'n ka bhi gulzaar hua hota... Aankhon se meri dariya, aise na bahaa hota, Ek lafz tasalli ka tu ne jo kahaa hota... Anjaam muhabbat ka kuchh aise hua hota, Tu jeet gaya hota mein haar gaya hota... Us kaatib-e-qismat ne aisa na kiya hota, Jeene ka koi mauqa hum ko bhi diya hota... 'Sayyid' ka deewanapan mat poochhiye kya hota, Mahboob agar iska paaband-e-wafaa hota.!! "Sayyid Randeri" ﺍﮮ ﮐﺎﺵ !.. ﻣﯿﺮﺍ ﺩﻝ ﺑﮭﯽ، ﭘﺘﮭﺮ ﮐﺎ ﺑﻨﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﺗﯿﺮﯼ ﮨﯽ ﻃﺮﺡ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ، ﺳﺐ ﺑﮭﻮﻝ ﮔﯿﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﺳﯿﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﺟﻠﻦ ﮨﻮﺗﯽ، ﻟﺐ ﭘﺮ ﻧﮧ ﮔﻠﮧ ﮨﻮﺗﺎ ﺍﮮ ﯾﺎﺭ ﺗﯿﺮﺍ ﺩﺍﻣﻦ، ﮨﻢ ﮐﻮ ﺟﻮ ﻣﻼ ﮨﻮﺗﺎ ﺗﺮﺳﯽ ﮨﻮﺋﯽ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻧﮯ ﺩﯾﺪﺍﺭ ﮐﯿﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﻣﻮﺳﻢ ﯾﮧ ﺧﺰﺍ ﮐﺎ ﺑﮭﯽ ﮔﻠﺰﺍﺭ ﮨﻮﺍ ﮨﻮﺗﺎ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﺳﮯ ﻣﯿﺮﯼ ﺩﺭﯾﺎ، ﺍﯾﺴﮯ ﻧﮧ ﺑﮩﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﺍﯾﮏ ﻟﻔﻆ ﺗﺴﻠﯽ ﮐﺎ ﺗﻮ ﻧﮯ ﺟﻮ ﮐﮩﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﺍﻧﺠﺎﻡ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﮐﭽﮫ ﺍﻳﺴﮯ ﮨﻮﺍ ﮨﻮﺗﺎ ﺗﻮ

Bahut khoobsurat Ho Tum

Bahut khoobsurat ho tum... Kabhi mein jo kah doon, Mohabbat hai tum se.. To mujh ko khudaara, ghalat na samajhna.. Ke meri zaroorat ho tum, Bahut khoobsurat ho tum... Hain phoolon ki daali ye baahein tumhari, Hai khamosh jaadu nigahein tumhari, Jo kaante ho sab, apne daaman mein rakh loon, Sajaaun main kaliyon se raahe tumhari, Nazar se zamaane ki khud ko bachana, Kisi aur se dekho dil na lagaana, Ke meri amaanat ho tum, Bahut khoobsurat ho tum... Hai chehra tumhara ke din hai sunehra, Aur us par ye kaali ghataon ka pehra, Gulaabon se naazuk mahakta badan hai, Ye lab hai tumhare ki khilta kanwal hai, Bikhero jo zulfein to sharmaye baadal, Ye zaahid bhi dekhe to ho jaaye paagal, Woh paakeeza moorat ho tum, Bahut khoobsurat ho tum... Jo ban ke kali muskuraati hai aksar, Shab-e-hijr mein jo rulaati hai aksar, Jo lamhon hi lamhon mein duniya badal de, Jo shayer ko de jaaye pahlu ghazal ke, Chupaana jo chaahe chupayi na jaaye, Bhulana jo chaahe bhulayi na jaaye,

Waqt Mila To Sochenge

Kyun Tu Achcha Lagta Hai Waqt Mila To Sochein Ge, Tujh Mein Kya Kya Dekha Hai Waqt Mila To Sochein Ge, Saara Shahar Shanasaayi Ka Daawedaar To Hai Lekin, Kaun Hamaara Apna Hai Waqt Mila To Sochein Ge, Hum Ne Us Ko Likha Tha Kuch Milne Ki Tadbeer Karo, Us Ne Likh Kar Bheja Hai Waqt Mila To SocheIn Ge, Mausam Khusbhoo Baad-e-saba Chaand Shafaq Aur Taaro'n Mein, Kaun Tumhaare Jaisa Hai Waqt Mila Too Sochein Ge, Ya To Apne Dil Ki Maano Ya Phir Duniya Waalon Ki, Mashwara Us Ka Achcha Hai Waqt Mila To Sochein Ge..!! ___________________________________

Aahat Si Koi Aaye To Lagta Hai Ke Tum Ho

Aahat si koi aaye to lagta hai ke tum ho, Saaya koi lahraaye to lagta hai ke tum ho, Jab shaakh koi haath lagate hi chaman main, Sharmaye lachak jaaye to lagta hai ke tum ho, Sandal si mahkti hui pur-kaif hawaa ka, Jhonka koi takraaye to lagta hai ke tum ho, Odhe huye taaron ki chamakti hui chaadar, Nadi koi bal khaaye to lagta hai ke tum ho, Jab raat gaye koi kiran mere baraabar, Chup-chaap si so jaaye to lagta hai ke tum ho.!! "Jaan Nisaar Akhtar"

Mere Deeda-e-tar Ko Mohabbat Ho Gai Tum Se

Mere deeda-e-tar ko mohabbat ho gayi tumse, Kisi gehre samandar ko mohabbat ho gayi tum se, Bhale woh chandni shab ho ya fasl-e-gul ki rangeeni, Mere har ek manzar ko mohabbat ho gayi tum se, Khuda jaane ke ab is shughl ka anjaam kya hoga, Dil-e-nashaad o muztar ko mohabbat ho gayi tum se, Kisi lamhe agar tum ko mohabbat ho gayi mujh se, Samajh lena muqadar ko mohabbat ho gayi tum se, Jo sirf aur sirf apni zaat se pyar karta tha, Suno ik aaise patthar ko mohabbat ho gayi tum se, Nahin jaati tumhare qurb ki khushbu nahin jaati, Mere ujde hue ghar ko mohabbat ho gayi tum se, Meri aankhon ki jaanib dekh kar tum jaan sakti ho, Ke ik gehre samandar ko mohabbat ho gayi tum se, Kisi soorat bhi ab yeh ashq thham sakte nahin "Wasiq", Mere ankhon ke saagar ko mohabbat ho gayi tum se..!! "Saeed Wasiq"

Wahi Gardishein Wahi Pech-o-kham Tere Baad Bhi

Wahi gardishen wahi paich-o-kham tere baad bhi, Wahi hausle mere dum-ba-dum tere baad bhi, Tere sath thi teri har jafaa mujhe mo'atbar,  Tere saare gham mujhe mohtram tere baad bhi, Mere sath hai teri har khushi teri muntazir, Teri muntazir meri chashm-e-nam tere baad bhi, Tu kisi ke qalb-e-aarzoo main dhhal geya, Main na kho saka kabhi khud main sanam tere baad bhi, Mere baad kitne hi roop tu ne badal liye, Main wahi hoon ab bhi teri qasam tere baad bhi, Tu chala gaya sabhi qehqahon ko samaitt kar, Mere paas hai mera zarf-e-ghum tere baad bhi..!! ________________________________

Ai Maut Unhein Bhulaaye Zamaane Guzar Gaye

Ae maut unhein bhulaaye zamane guzar gaye, Aa ja ke zahar khaaye zamane guzar gaye, O jaane waale aa ke tere intizaar main, Raaste ko ghar banaye zamane guzar gaye, Ghum hai na ab khushi hai na ummeed hai na aas, Sab se nijaat paaye zamane guzar gaye, Kya laaiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto, Patthar bhi ghar main aaye zamane guzar gaye, Jaan-e-bahaar phool nahin aadmi hoon main, Aa ja ke muskuraye zamane guzar gaye, Kya kya tavaqquaat theen aahon se ai “khumar”, Ye teer bhi chalaaye zamane guzar gaye.!! "Khumar Barabankawi"

Ishq Mein Ghairat-e-jazbaat Ne Rone Na Diya

Ishq main ghairat-e-jazbaat ne ronay na diya, Warna kya baat thi kis baat ne ronay na diya, Ap kehte they ke ronay se na badlen ge naseeb, Umar bhar aap ki is baat ne ronay na diya, Ronay walon se kaho un ka bhi rona ro lain, Jin ko majboori-e-halaat ne ronay na diya, Un se mil kar humen rona tha bohat rona tha, Tangi-e-waqt-e-mulaqaat ne ronay na diya, Aik do roz ka sadmaa ho to ro lain Faakir, Hum ko har roz ke sadmaat ne ronay na diya..!! "Sudarshan Faakir"

Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewane Kahaan Jaate

Tumhaari anjuman se uth kar deewane kahaan jaate, Jo waabasta huye tum se woh afsaane kahaan jaate, Nikal kar dair o kaaba se agar milta na maikhana, To thukraye huye insaan khuda jaane kahaan jaate, Tumhari berukhi ne laaj rakh li baada-khane ki, Tum aankhon se pilaa dete to paimaane kahaan jaate, Chalo achcha hua kaam aa gayi deewangi apni, Wagarna hum zamaane bhar ko samjhaane kahaan jaate, "Qateel" apna muqaddar ghum se begaana agar hota, To apne paraaye hum se pehchaane kahaan jaate..!! "Qateel Shifai" ________________________________

Bharosa Toot Jaane Se Zara Pahle Bata Dena

Bharosa toot jaane se zara pehle bata dena, Mujhe tum azmaane se zara pehle bata dena, Kisi heelay bahane se zara pehle bata dena, Ke tum mujh ko bhulane se zara pehle bata dena, Zehen ki rait pr tum ne mohabbat se jo likhi thi, Woh tehreeren mitaane se zara pehle bata dena, Mere dilbar, ke is dil pr main rakh loon zabt ka pathar, Suno, daaman churaane se zara pehle bata dena, Kisi bhi morr pr humdum bura pao agar mujh ko, Zamaane ko batane se zara pehle bata dena.!!

Toot Jaaye Na Bharam Honth Hilaaun Kaise

Toot jaye na bharam honth hilaaun kaise, Haal jaisa bhi hai logon ko sunaaun kaise, Khushk ankhon se bhi ashkon ki mahak aati hai, Main tere ghum ko zamane se chupaaun kaise, Teri soorat hi meri aankhon ka sarmaya hai, Tere chehre se nigaahon ko hataaun kaise, Tu hi batlaa meri yaadon ko bhulaane waale, Main teri yaad ko is dil se bhulaaun kaise, Phool hota to tere dar pe sajaa bhi deta, Zakhm le kar teri dehleez pe aaun kaise, Aaina maand pade saans bhi lene se "Adeem", Itna naazuk ho taluq to nibhaaun kaise, Woh rulaata hai rulaaye mujhe ji bhar ke "Adeem", Meri aankhein hai woh main us ko rulaaun kaise..!! "Adeem Hashmi"

Udaasiyon Ka Ye Mausam Badal Bhi Sakta Tha

Udaasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha, Woh chahta to mere sath chal bhi sakta tha, Woh shakss tu ne jis ko chhodne ki jaldi ki, Tere mizaaj ke saanchay main dhhal bhi sakta tha, Woh jald-baaz khafaa ho kar chal diya warna, Tanazaat ka koi hal nikal bhi sakta tha, Anaa ne haath uthaane na diya warna, Meri duaa se woh patthar pighal bhi sakta tha, Tamaam umar tera muntazir raha "Mohsin", Yeh aur baat ke rasta badal bhi sakta tha..!! "Mohsin Naqwi"

Hoti Hai Tere Naam Se Wahshat Kabhi Kabhi

Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi, Barham huyi hai yuun bhi tabiyat kabhi kabhi, Tere qareeb reh kar bhi dil mutmayin na tha, Guzri hai mujh pe yeh bhi qayamat kabhi kabhi, Kuch apna hosh tha na tumhara khyaal tha, Yuun bhi guzar gayi shab-e-furqat kabhi kabhi, Ae dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawajood, Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi..!! ______________________________

Mere Hum-Nafas Mere Hum-Nawaa

Mere hum-nafas mere hum-nawaa, mujhe dost ban ke dagha na de, Main hoon dard-e-ishq se jaan ba-lab mujhe zindagi ki dua na de, Main gham-e-jahan se nidhaal hoon ke saraapa huzn-o-malaal hoon, Jo likhe hain mere naseeb main, woh alam kisi ko khuda na de, Na yeh zindagi meri zindagi, na yeh dastaan meri daastan, Main khayal o veham se door hoon, Mujhe aj koi sadaa na de, Mere ghar se door hain raahaten, mujhe dhoondti hain museebten, Mujhe khauf yeh ke mera pata koi gardashon ko bataa na de, Mujhe chorr de mere haal pr, tera kya bharosa ae chaaragar, Yeh teri nawaazish-e-mukhtasar, mera dard aur barrhaa na de, Mera azam itna buland hai ke paraaye sholon ka ddar nahin, Mujhe khauf aatish-e-gul se hai kahin yeh chaman ko jalaa na de, Dar-e-yaar pe barri dhoom hai, wohi aashiqon ka hujoom hai, Abhi neend aani hai husn ko, koi shor kar ke jagaa na de, Mere daagh-e-dil se hai roshni, yehi roshni meri zindagi, Mujhe dar hai ai mere chaaragar, yeh charaagh tu hi bhujaa na de, Wo

Daagh-e-ghum Dil Se Kisi Tarah Mitaya Na Gaya

Daagh-e-ghum Dil Se Kisi Tarah Mitaya Na Gaya, Main ne chaha bhi magar tum ko bhulaya na gaya.. Umar bhar yuun to zamaane ke masaayeb jhelay, Teri nazron ka magar haar uthaya na gaya.. Roothne waale se itna koi ja kar pooche, Khud hi roothay rahe ya hum se manaya na gaya.. Us ne is tarah mohabbat ki nigaahein daali, Hum se duniya ka koi raaz chupaaya na gaya.. Thi haqeeqat main wohi manzil-e-maqsad jazbi, Jis jagah tujh se qadam aagey badhaya na gaya.!!

Daagh Duniya Ne Diye, Zakhm Zamaane Se Mile

Daagh duniya ne diye, zakhm zamane se mile, Hum ko tohfe yeh tumhe dost banane se mile, Hum taraste hi taraste hi taraste hi rahe, Woh falaane se falaane se falaane se mile, Khud se mil jaate to chaahat ka bharam rah jata, Kya mile aap jo logon ke milane se mile, Maa ki aaghosh main kal maut ki aaghosh main aaj, Hum ko duniya main yeh do waqt suhaane se mile, Kabhi likhwaane gaye khat kabhi padhwaane gaye, Hum haseenon se isi heelay bahaane se mile, Ik naya zakhm mila ek nayi umr mili, Jab kisi shahar main kuch yaar puraane se mile, Ek hum hi nahin phirte hain liye qisssa-e-ghum, Un ke khamosh labo'n par bhi fasaane se mile, Kaise maanein ke unhein bhool gaya tu ai "Kaif", Un ke khat aaj humein tere sirhaane se mile.!! "Kaif Bhopali"

Barbaad-e-Tamanna Pe Itaab Aur Zyada

Barbaad-e-tamanna pe itaab aur zyada, Haan meri mohabbat ka jawab aur zyada, Roye na abhi ehl-e-nazar haal pe mere, Hona hai abhi mujh ko kharaab aur zyada, Awaara o majnoon hi pe moqoof nahin kuch, Milne hain abhi mujh ko khitaab aur zyada, Uthenge abhi aur bhi tufaan mere dil se, Dekhunga abhi ishq ke khwaab aur zyada, Tapke ga lahoo aur mere deeda-e-tar se, Dhadkega dil-e-khana-kharaaab aur zyada, Hogi meri baaton se unhein aur bhi hairat, Aayega unhein mujh se hijaab aur zyada, Usay mutrib-e-bebaak koi aur bhi naghma, Ai saaqi-e-fayaaz sharaab aur zyada.!!

Kaun Aayega Yahaan Koi Na Aaya Hoga

Kaun aaye ga yahan koi na aaya hoga, Mera darwaaza hawaao'n ne hilaaya hoga, Dil-e-nadaa'n na dhadak ai dil-e-nadaa'n na dhadak, Koi khat leke padosi ke ghar aaya hoga, Is gulistaa'n ki yahi reet hai ai shaakh-e-gul, Tu ne jis phool ko paala woh paraaya hoga, Dil ki qismat hi main likha tha andhera shayad, Warna masjid ka diyaa kis ne bhujaaya hoga, Gul se liptti hui titlee ko giraa kar dekho, Aandhiyo'n tum ne darakhto'n ko giraya hoga, Khelne ke liye bachche nikal aaye hon ge, Chaand ab uss ki gali main utar aaya hoga, "Kaif" pardes main mat yaad karo apna makaa'n, Ab ke baarish ne usay tod giraya hoga..!! ________________________________

Jab Se Tu Ne Mujhe Deewana Bana Rakha Hai

Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai, Sang har shakhs ne haatho'n main utha rakha hai, Us ke dil par bhi kadi ishq main guzri ho gi, Naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakha hai, Patthro'n aaj mere sar pe baraste kyoon ho, Main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai, Ab meri deed ki duniya bhi tamashaai hai, Tu ne kya mujh ko mohabbat main bana rakha hai, Pi ja ayyaam ki talkhi ko bhi hans kar "Nasir", Ghum ko sahne main bhi qudrat ne maza rakha hai..!! "Hakeem Nasir" جب سے تو نے مجھے دیوانہ بنا رکھا ہے سنگ ہر شخص نے ہاتھوں میں اٹھا رکھا ہے اس کے دل پر بھی کڑی عشق میں گزری ہوگی نام جس نے بھی محبت کا سزا رکھا ہے پتھرو آج مرے سر پہ برستے کیوں ہو میں نے تم کو بھی کبھی اپنا خدا رکھا ہے اب مری دید کی دنیا بھی تماشائی ہے تو نے کیا مجھ کو محبت میں بنا رکھا ہے پی جا ایام کی تلخی کو بھی ہنس کر ناصرؔ غم کو سہنے میں بھی قدرت نے مزا رکھا ہے..!!

Chalo Kuch Der Hanstey Hain

Chalo Kuch Der Hanste Hain... Mohabbat Par, Inayat Par.! Ke Be-Buniyad Baatein Hain... Sabhi Rishte, Sabhi Natay, Zaroorat Ki Hain ijaadein.! Kahin Koi Nahi Marta, Kisi Ke Waaste Jaanaa.! Ke Sab Hai Pher Lafzon Ka, Hai Saara Khel Harfon Ka.! Na Hai Mahboob Koi Bhi, Sabhi Jumle Se Kaste Hain.! Chalo Kuch Der Hanste Hain... Jise Hum Zindagi Kahte, Jise Hum Shayeri Kehte.! Ghazal Ka Qaafia Tha Jo, Tha Jo Unwaan Nazmo Ka.! Wo Lahja Jab Badalta Tha, Qayamat-Khez Lagta Tha.! Waqt Se Aage Chalta Tha, Bala Ka Tez Lagta Tha.! Jo Saya Ban K Rahta Tha, Juda Ab Us K Raste Hain.! Chalo Kuch Der Rote Hain, Chalo Kuch Der Hanste Hain.!! ﭼﻠﻮ ﮐﭽﮫ ﺩﯾﺮ ﮨﻨﺴﺘﮯ ﮨﯿﮟ ! ﻣﺤﺒﺖ ﭘﺮ ! ﻋﻨﺎﯾﺖ ﭘﺮ ! ﮐﮧ ﺑﮯ ﺑﻨﯿﺎﺩ ﺑﺎﺗﯿﮟ ﮨﯿﮟ ! ﺳﺒﮭﯽ ﺭﺷﺘﮯ ! ﺳﺒﮭﯽ ﻧﺎﻃﮯ ! ﺿﺮﻭﺭﺕ ﮐﯽ ﺍﯾﺠﺎﺩﯾﮟ ﮨﯿﮟ ! ﮐﮩﯿﮟ ﮐﻮﺋﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﻣﺮﺗﺎ ﮐﺴﯽ ﮐﮯ ﻭﺍﺳﻄﮯ ﺟﺎﻧﺎﮞ ! ﮐﮧ ﺳﺐ ﮨﮯ ﭘﮭﯿﺮ ﻟﻔﻈﻮﮞ ﮐﺎ ! ﮨﮯ ﺳﺎﺭﺍ ﮐﮭﯿﻞ ﺣﺮﻓﻮﮞ ﮐﺎ ! ﻧﮧ ﮨﮯ ﻣﺤﺒﻮﺏ ﮐﻮﺋﯽ ﺑﮭﯽ ! ﺳﺒﮭﯽ ﺟﻤﻠﮯ ﺳﮯ ﮐﺴﺘﮯ ﮨﯿﮟ ! " ﭼﻠﻮ ﮐﭽﮫ ﺩﯾﺮ ﮨﻨﺴﺘﮯ ﮨﯿﮟ " ﺟﺴﮯ ﮨﻢ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﮐﮩﺘﮯ ! ﺟﺴﮯ ﮨﻢ ﺷﺎﻋﺮﯼ ﮐﮩﺘﮯ !

Meri Zindagi Ke Tewar Mere Haath Ki Lakeerein

Meri Zindagi Ke Tewar  Mere Haath Ki Lakeerein,  Inhein Tum Agar Badaltay  To Kuch Aur Baat Hoti... Main Tumhaara Aaina Tha  Main Tumhaara Aaina Hoon,  Mujhy Dekh Kar Sanwartay  To Kuch Aur Baat Hoti... Abhi Aankh Hi Ladi Thi  Ke Gira Diya Nazar Se,  Zara Faaslay Simat'tay   To Kuch Aur Baat Hoti... Ye Khulay Khulay Se Gesoo  Inhen Laakh Tum Sanwaaro,  Mere Haath Se Sanwartay  To Kuch Aur Baat Hoti... Mujhay Apni Zindagi Ka  Koi Ghum Nahi Hai Lekin, Tere Dar Pe Jaan Nikalti To Kuch Aur Baat Hoti... Su-e-Maykada Na Jaatay To Kuch Aur Baat Hoti, Wo Nigaah Se Pilaatay To Kuch Aur Baat Hoti... Go Hawa-e-Gulistaa'n Ne Mere Dil Ki Laaj Rakh Li, Wo Naqaab Khud Uthatay To Kuch Aur Baat Hoti... Ye Baja Ke Kali Ne Khil Kar Kiya Gulistaan Mu'atir, Magar Aap Muskuratay To Kuch Aur Baat Hoti... Go Haram Ke Raaste Se Wo Pahunch Gaye Khuda Tak, Teri Raah-Guzar Se Jaatay To Kuch Aur Baat Hoti..!! "Agha Hashar Kashmiri" مری زندگی کے تیور مرے ہا

Mohabbaton Mein Aziyat-Shanaas Kitni Thin

Mohabbaton Mein Aziyat-Shanaas Kitni Thin, Bichhadte Waqt Wo Aankhein Udaas Kitni Thin, Falak Se Jin Mein Utarte Hain Qaafile Ghum Ke, Meri Tarah Wo Shabein Us Ko Raas Kitni Thin, Ghilaaf Jin Ki Lahad Pe Chadhaaye Jaate Hain, Wo Hastiyaan Bhi Kabhi Be-libaas Kitni Thin, Bichhad Ke Tujh Se Kisi Taur Dil Bahal Na Saka, Nishaaniya'n Bhi Teri Mere Paas Kitni Thin, Utar Ke Dil Mein Bhi Aankhein Udaas Logon Ki, Aseer-e-Waham-o-Rahan-e-Hiraas Kitni Thin, Wo Suratein Jo Nikharti Thin Mere Ashkon Se, Bichhad Ke Phir Na Milein Na-sipaas Kitni Thin, Jo Us Ko Dekhte Rahne Mein Katt Gayi "Mohsin", Wo Sa'atein Bhi Muheet-e-hawaas Kitni Thin..!! _ Mohsin Naqwi محبتوں   میں  اذّیت  شناس  کتنی  تھیں. بچھڑتے وقت وہ آنکھیں اُداس کتنی تھیں. فلک  سے  جن  میں  اُترتے ہیں قافلے غم کے. مری طرح وہ شبیں اُس کو راس کتنی تھیں. غلاف  جن  کی  لحد  پر چڑھائے جاتے ہیں. وہ ہستیاں بھی کبھی بے لباس کتنی تھیں. بچھڑ کے تجھ سے کسی طور دِل بہل نہ سکا. نِشانیاں  بھی  تیری  میرے پاس کتن

Dard Kam Hone Laga Aao Ke Kuch Raat Kate

Image
Dard Kam Hone Laga Aao Ke Kuch Raat Kate,  Ghum Ki Me'aar Badha Jaao Ke Kuch Raat Kate,  Hijr Mein Aah-o-baka Rasm-e-kehen Hai Lekin,  Aaj Ye Rasm Hi Dohraao Ke Kuch Raat Kate,  Yoon To Tum Raushni-e-Qalb-o-Nazar Ho Lekin,  Aaj Wo Mo'ajaza Dikhlaao Ke Kuch Raat Kate,  Dil Dukhaata Hai Wo Mil Kar Bhi Magar Aaj Ki Raat,  Usi Be-Dard Ko Le Aao Ke Kuch Raat Kate,  Dum Ghuta Jaata Hai Afsurda-Dili Se Yaaro,  Koi Afwaah Hi Phailaao Ke Kuch Raat Kate,  Main Bhi Bekaar Hoon Aur Tum Bhi Ho Veeraan Bahut,  Dosto'n Aaj Na Ghar Jaao Ke Kuch Raat Kate,  Chhod Aaye Ho Sar-e-Shaam Usey Kyun Naasir", Usey Phir Ghar Se Bula Laao Ke Kuch Raat Kate..!!  "Nasir Kazmi" درد کـــم ہونے لگا    آؤ کہ کــــــــچھ رات کٹے غم کی معیاد بڑھا جاؤ کہ کــــــچھ رات کٹے ہجــــــــر میں آہ و بکا رســـمِ کہـــــــن ہے لیکن آج یہ رســـــم ہی دہـراؤ کہ کـــــــچھ رات کٹے یوں توتم روشنئ قلب و نظـــــــر ہو لیــــــکن آج وہ معجزہ دکـــــھلاؤ کہ کــــــچھ رات کٹے دل دکھاتا ہے وہ مل کر بھی مگـ

Ab Dil Bhi Dukhaao To Hairat Nahi Hoti

Ab Dil Bhi Dukhaao To Hairat Nahi Hoti, Hairat Hai, Kisi Baat Pe Hairat Nahi Hoti, Ab Dard Bhi Ek Hadd Se Guzarne Nahi Paata, Ab Hijr Mai Wo Pahli Si Wahshat Nahi Hoti, Hota Hai To Bas Ek Tere Hijr Ka Shikwa, Warna To Humein Koi Shikayat Nahi Hoti, Kar Deta Hai Be-saakhta Baahon Ko Kushaada, Jab Bach Ke Nikal Jaane Ki Soorat Nahi Hoti, Dil, Khush Ji Nahi Rahta To Is Ka Bhi Hai Sabab, Maujood Koi Bajah-e-Masarrat Nahi Hoti, Yoon Barsar-e-Paikaar Hoon Mai Khud Se Musalsal, Ab Us Se Ulajhne Ki Bhi Fursat Nahi Hoti, Ab Yoon Bhi Nahi Hai Ke Wo Achcha Nahi Lagta, Yoon Hai Ke Mulaqaat Ki Soorat Nahi Hoti, Ye Hijr Musalsal Ka Wazeefa Hai Meri Jaa'n, Ek Tark-e-Sukoonat Hi To Hijrat Nahi Hoti, Do Chaar Baras Jitne Bhi Hain Jabr Hi Sah Lai'n, Is Umr Mai Ab Hum Se Baghaawat Nahi Hoti..!! اب دل بھی دکھاؤ تو اذیت نہیں ہوتی حیرت ھے کسی بات پہ حیرت نہیں ہوتی اب درد بھی اک حد سے گزرنے نہیں پاتا اب ہجر میں وہ پہلی سی وحشت نہیں ہوتی ہوتا ھے تو بس ایک ترے ہجر کا شکوہ ورنہ تو

Baaz Aa Jaao Mohabbat Se Mohabbat Waalo

Baaz Aa Jaao Mohabbat Sey... Mohabbat Waalo, Hum Ney Ek Umr Ganwaayi Hai Mila Kuch Bhi Nahi.!

Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai

Musalssal bekali dil ko rahi hai, Magar jeenay ki surat to rahi hai, Main kyun phirta hoon tanha maara maara, Yeh bassti chain se kyun so rahi hai, Chale dil se umeedon ke musafir, Yeh nagri aaj khaali ho rahi hai, Na samjho tum isay shor-e-bahaaran, Khizaan paton main chup kar ro rahi hai, Hamare ghar ki deewaron pe 'Nasir', Udaasi baal kholay so rahi hai..!! "Nasir Kazmi"

Ranjish Hi Sahi, Dil Ko Dukhaane Ke Liye Aa

Ranjish hi sahi, dil hi dukhaaney ke liye aaa, Aaa phir se mujhe chorr ke jaaney ke liye aaa, Kuch to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh, Tu bhi to kabhi mujh ko manaaney ke liye aaa, Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to, Rasm-o-rah-e-duniya hi nibhaaney ke liye aaa, Kis kis ko batayen ge judayi ka sabbab hum, tu mujh se khafaa hai to zamaaney ke liye aaa, Ik umar se hoon lazzat-e-girya se bhi mehroom, Ae raahat-e-jaan mujh ko rulaaney ke liye aaa, Ab tak dil-e-khush-fehm ko tujh se hain umeeden, Yeh aakhri sham'a bhi bujhaaney ke liye aaa..!! _ Ahmad Faraz ___ Ranjish = ill-will/ hostility, Pindaar-e-mohabbat = pride of love, Rasm-o-rah-e-duniya = tradition and way of world, Lazzat-e-girya = taste, joy of crying, ___

Bada Kathin Hai Rasta

Image
Bada kathin hai rasta, jo aa sako to sath do, Yeh zindagi ka faasla, mita sako to sath do, Bade fareb khao ge, bade sitam uthao ge, Yeh umr bhar ka sath hai, nibha sako to sath do, Jo tum kaho yeh dil to kya jaan bhi fida karoon, Jo main kahoon bas ik nazar lutaa sako to sath do, Main ik fareb be-nava, main ik faqeer be-sadaa, Meri nazar ki iltijaa jo paa sako to sath do, Hazaar imtihan yahan, hazaar aazmaaishen, Hazaar dukh, hazaar gham, utha sako to sath do, Yeh zindagi yahan khushi ghamo'n ke sath sath hai, Rula sako to sath do, hansaa sako to sath do..

Zindagi Yuun Huyi Basar Tanha

Zindagi yuun huyi basar tanha, Qaafila saath aur safar tanha... Apne saaye se chaunk jaate hain, Umr guzri hai is qadar tanha... Raat bhar baatein karte hain taare, Raat kaate koi kidhar tanha... Doobne waale paar ja utrey, Naqsh-paa apne chhorr kar tanha... Din guzarta nahin hai logo'n main, Raat hoti nahi basar tanha... Hum ne darwaaze tak to dekha tha, Phir na jaane gaye kidhar tanha..!!

Ab Teri Yaad Se Wahshat Nahi Hoti

Ab teri yaad se wahshat nahin hoti mujh ko, Zakhm khulte hain aziyat nahin hoti mujh ko, Ab koi aaye chala jaaye main khush rehta hoon, Ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko, Aisa badla hoon tere shahar ka paani pee kar, Jhoot boloon to nadaamat nahin hoti mujh ko, Hai amaanat main khayaanat so kisi ki khaatir, Koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko, Itna masroof hoon jeene ki hawas main mohsin, Saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko..!! __________________________________

Kuch To Tanhaai Ki Raato'n Main Sahara Hota

Image
Kuch to tanhaai ki raato'n main sahara hota, Tum na hote na sahi zikr tumhara hota, Tark-e-duniya ka yeh daava hi fazool hai, Baar-e-hasti to zara sar se utara hota, Woh agar aa na sake maut hi aayi hoti, Hijr main koi to gham-khwar hamara hota, Zindagi kitni massarat se guzarti ya rab, Aish ki tarah agar gham bhi gawaara hota, Azmat-e-girya ko kotah-nazzar kya samjhen, Ashk agar ashk na hota to sitara hota, Gham-e-ulfat jo na milta gham-e-hasti milta, Kisi surat to zamane main guzara hota, Kis ko fursat thi zamane ke sitam sehne ki, Gar na us shokh ki a a nkho'n ka ishara hota, Koi hamdard zamane main na paya akhtar, Dil ko hasrat hi rahi koi hamara hota..!!

Jalte Jalte Bujh Gayi Ek Mombatti Raat Ko

Jalte jalte bujh gayi ek mombatti raat ko, Mar gayi faaqa-zada masoom bachchi raat ko, Aandhiyon se kya bachaati phool ko kanton ki baadh, Sehen main bikhri hui thi pati pati raat ko, Kitna boseeda dareeda pairhann hai zeb-tan, Woh jo charkha kaat'ti rahti hai ladki raat ko, Sehen main ik shor sa har aankh hai hairat-zada, Choodiya'n sab tod dee'n dulhan ne pahli raat ko, Jab chali Thandi hawaa bacha thithur ke reh gaya, Maa ne apne laal ki takhti jalaa di raat ko, Waqt to har ek dar par dastakein deta raha, Ek saa-at ke liye jaagi na basti raat ko, Margh-zar-e-shayari main gum raha sibt-e-ali, So gayi raah dekhte beemar biwi raat ko..!!

Jo Kuchh Kaho, Qubool Hai

Jo Kuch Kaho Qubool Hai Taqraar kya karoon, Sharminda Ab Tumhein Sar-e-Bazaar kya karoon, Maloom Hai Ke Pyaar Khula Aasman Hai, Chhut'tey Nahi Hain Ye Dar-o-Deewar kya karoon, Is Haal Mein Bhi Saans Liye Ja Raha Hun Mein, Jata Nahi Hai Aas ka Azaar kya karoon, Hain Wo Shigaaf Mujh Pe Tumhaari Inayatein, Jo An'kahi Na Ho Usey Izhaar kya karoon, Phir Ek Bar Wo Rukh-e-Masoom Dekhta, Khulti Nahi Hai Chashm-e-Gunahgaar kya karoon, Ye Pur-Sukoon Subah Ye Mein Ye Fazaa “Shaoor”, Wo So Rahe Hain Ab Unhein Bedaar Kya Karoon.!! Anwar Shaoor जो कुछ कहो क़ुबूल है तक़रार क्या करूं, शर्मिंदा अब तुम्हें सर-ए-बाज़ार क्या करूं, मालूम है की प्यार खुला आसमान है, छूटते नहीं हैं ये दर-ओ-दीवार क्या करूं, इस हाल मे भी सांस लिये जा रहा हूँ मैं, जाता नहीं हैं आस का आज़ार क्या करूं, फिर एक बार वो रुख-ए-मासूम देखता, खुलती नहीं है चश्म-ए-गुनाहगार क्या करूं, ये पुर-सुकून सुबह ये मैं ये फ़ज़ा शऊर, वो सो रहे हैं अब उन्हें बेदार क्या करूं। अनवर शऊर

Kaash Main Tere Hansee’n Haath Ka

Kaash main tere hansee’n haath ka kangan hota.. tu baday pyaar say, chaao say, baday maan ke saath... apni naazuk si kalaai main charhaati mujh ko, aur betaabi say furqat ke khiza’n lamhon main... tu kisi soch main doobi jo ghumaati mujh ko, main tere haath ki khushbu say mehak sa jaata... jab kabhi mood main aa kar mujhe chooma karti, tere honton ki main hiddat say dehak sa jaata... raat ko jab bhi tu neend ke safar pe jaati, marmari’n haath ka ek takiya banaya karti... main tere kaan say lag kar kai baatain karta, teri zulfon ko tere gaal ko chooma karta... jab bhi tu band-e-qabaa kholne lagti jaanaa, kaanpi aankho'n ko tere husn se khaira karta... mujh ko betaab sa rakhta teri chaahat ka nasha, main teri rooh ke gulshan main mehakta rehta... main tere jism ke aangan main khanakta rehta, kuch nahin to yahi be-naam sa bandhan hota... kaash main tere hansee’n haath ka kangan hota.!! _ Wasi Shah کاش میں تیرے حسیں ہاتھ کا کنگن ہوتا تُو بڑے پیار سے بڑے چاوْ سے بڑے

Usey Khone Se Darta Tha

Usey Khone Sey Darta Tha Bahut Rone Sey Darta Tha, Phir Ek Din Ye Samajh Aaya... Ke Roya Unko Jaata Hai Jo Bichhad Jaaye Muqaddar Sey, Ke Khoya Unko Jaata Hai Jo Haasil Ho Mayassar Ho, Jo Daanista Bichhad Jaaye Usey Roya Nahi Kartey, Jisey Paya Nahi Ab Tak Usey Khoya Nahi Kartey.!!

Chehre Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisi Din

Chehre pe mere zulf ko phailao kisi din,  Kya roz garajte ho.? baras jaao kisi din.... Raazon ki tarah utro mere dil mein kisi shab, Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din... Pedo'n ki tarah husn ki baarish mein naha loon, Badal ki tarah jhoom k ghir aao kisi Din... Khushboo ki tarah guzro mere dil ki gali se, Phoolon ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din... Phir haath ko khairaat mile band-e-qaba ki, Phir lutf-e-shab-e-wasl ko dohraao kisi din... Guzrein jo mere ghar se to ruk jaayein sitaare, Iss tarah meri raat ko chamkaao kisi din... Mein apni har ek saans usi raat ko de doon, sar rakh ke mere seene pe so jaao kisi din..! "Amjad Islam Amjad" چہرے پہ مرے زلف کو پھیلاؤ کسی دن  کیا روز گرجتے ہو ، برس جاؤ کسی دن  رازوں کی طرح اُترو مرے دل میں کسی شب  دستک پہ مرے ہاتھ کی کھل جاؤ کسی دن  پیڑوں کی طرح حُسن کی بارش میں نہا لوں  بادل کی طرح جھوم کے گھر آؤ کسی دن  خوشبو کی طرح گزرو میرے دل کی گلی سے  پھولوں کی طرح مجھ پہ بکھر جاؤ کسی دن  پھر ہاتھ کی خیرات ملے ب

Garmi-e-Hasrat-e-Nakaam Se Jal Jaatay Hain

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain... Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain, Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Numaaish Ke Liye... Ham Isi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaatay Hain, Khud-Numaayi To Nahi Shewa-e-Arbaab-e-Wafa... Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Se Jal Jaatay Hain, Bach Nikaltay Hain Agar Aatish-e-Sayyaal Se Hum... Shola-e-Aariz-e-Gulfaam Se Jal Jaatay Hain, Rabt-e-Baaham Pe Hamein Kya Na Kaheinge Dushman, Aashna Jab Tere Paighaam Se Jal Jaate Hain, Jab Bhi Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath... Jaanay Kyun Log Mere Naam Se Jal Jaatay Hain.!! Qateel Shifai ___ Garmi-e-Hasrat-e-Nakaam = warmth of one unrequited in love, Mohabbat Mein Ek Na'qaabil-e-yaqeen garmi, Aatish-e-Sayyaal = liquid fire (wine) पिघली और बहती हुई आग, Shola-e-Aariz-e-Gulfaam = flame of flower-colored cheeks, Phool jaise rangeen gaalon ki lau,  Khud-Numaayi = self-display, ostentation Levity आत्म-प्रदर्शन, Shewa-e-Arbaab-e-Wafa = habit of being loyal, wafadaar hone ki aad

Chup Ke Chup Ke Raat Din Bahaana Yaad Hai

Chup ke chup ke raat din aansu bahana yaad hai, Hum ko ab tak aashiqi ka woh zamaana yaad hai, Ba-hazaran iztiraab o sad-hazaran ishtiyaaq, Tujh se woh pahle-pahal dil ka lagaana yaad hai, Baar baar uthna usi jaanib nigaah-e-shauq ka, Aur tera ghurfe se woh aankhein ladaana yaad hai, Tujh se kuch milte hi woh bebaak ho jaana mera, Aur tera daanton main woh ungli dabaana yaad hai, Kheench lena woh mera parde ka kona dafa-tan, Aur dupatte se tera woh munh chhupana yaad hai, Jaan kar sona tujhe wo kasd-e-paa-bosi mera, Aur tera thhukra ke sar wo muskurana yaad hai, Tujh ko jab tanha kabhi paana to az-raah-e-lihaaz, Haal-e-dil baaton hi baaton mein jataana yaad hai, Jab siwa mere tumhara koi deewana na tha, Sach kaho tum ko bhi woh kaarkhana yaad hai, Ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaaf, Woh tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai, Aaj tak nazron mein hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaaz, Apna jaana yaad hai tera bulaana yaad hai, Aa gaya gar wasl ki shab bhi

Udaas Lamhay ||

Tumhaare Saath Dekhi Thi Wagarna Zindagi Hum Ko, Na Tab Mahsoos Hoti Thi Na Ab Mahsoos Hoti Hai.!! تمہارے ساتھ دیکھی تھی وگرنہ زندگی ہم کو نہ تب محسوس ہوتی تھی نہ اب محسوس ہوتی ہے ______________________________________ Mohsin Usey Milna Mera Mumkin Hi Nahi Hai, Main Pyaas Ka Sahra Hoon Wo Barsaat Ki Maanind..!! محسن اُسے ملنا مرا ممکن ہی نہیں ہے ‏میں پیاس کا صحرا ہُوں وہ برسات کی مانند.. ____________________________________ Sahn-e-Masjid Mein Mo'azzin Ki Azaa'n Ke Maanind, Dil Teri Baato'n Ko Dohraata Hai Tanhaai Mein..!! ﺻﺤﻦِ ﻣﺴﺠﺪ ﻣﯿﮟ ﻣﻮﺫﻥ ﮐﯽ ﺍﺫﺍﻥ ﮐﯽ ﻣﺎﻧﻨﺪ. ﺩﻝ ﺗﺮﯼ ﺑﺎﺗﻮﮞ ﮐﻮ---- ﺩﮨﺮﺍﺗﺎ ﮨﮯ ﺗﻨﮩﺎﺋﯽ ﻣﯿﮟ...!! _______________________________________ Tum....... Mohabbat, Uthaaye Phirte Ho, Hum....... Mohabbat, Luta Ke Baithe Hain.!! تم .....''محبت '' ___ اٹھائے پھرتے هو هم ..... ''محبت '' __ لٹا کے بیٹھے هیں _______________________________________ Us Ke Jazbo'n Mein Tha Har Shakhs Ka Hissa Warna, Wo... Kisi Ek Ka Hota To Huma