Sab Raaste Dushman Hue Ashjaar Mukhalif
Sab raaste dushman hue ashjaar mukhalif, Tu mera hua hai to hue yaar mukhalif... Buniyaad rakhun koi to buniyaad hai dushman, Deewar uthata hun to deewar mukhalif... Har baar main munh phair liya karta hun tum se, Aur tum ke nikal aate ho har baar mukhalif... Main to kisi qaabil hi nahi tum ko samajhta, Tum mere bane phirte ho bekaar mukhalif... Haathon main utha lete hain auzaan ke patthar, sunte hi nahi hain mere ash'aar mukhalif... Main ishq ko humdard samajh baitha tha yaaro, lagte na the is behar ke aasar mukhalif... Darr jaata hun main cheezon ki qeemat se mere dost, Aur log mujhe kahte hain bazaar mukhalif... Doon jaan to qurbaani samajhta nahi koi, Gar thoda sambhalta huon to ghar-baar mukhalif... Is shahar ko sach sunne ki aadat hi nahi hai, Lagte hain sabhi ko mere afkaar mukhalif... Suntay tha ke bas hote hain aghyaar mukhalif, mere to nikal aaye hain sab yaar mukhalif... Jo baat bhi ho dil mein chupata nahi 'Farhat' Har roz bana leta hoon do