Wednesday, June 27, 2018

Mata-e-ghair

* Nazm *
__________

Mere khwaabon ke jharokho'n ko sajaane waali,
Tere khwaabo'n mein kahin mera guzar hai ke nahin...

Poochh kar apni nigaahon se bata de mujh ko,
Meri raaton ke muqaddar mein sahar hai ke nahin...

Chaar din ki ye rafaqat jo rafaqat bhi nahin,
Umr bhar ke liye aazaar hui jaati hai...

Zindagi yoon to hamesha se paresahan si thi,
Ab to har saans giraa'n-baar hui jaati hai...

Meri ujdi hui neendon ke shabistaano'n mein,
Tu kisi khwaab ke paikar ki tarah aai hai... 

Kabhi apni si kabhi ghair nazar aai hai,
Kabhi ikhlaas ki murat kabhi harjaai hai...

Pyaar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi,
Tu bata de ke tujhe pyaar karun ya na karun...

Tu ne khud apne tabassum se jagaya hai jinhein,
Un tamannaon ka izhaar karun ya na karun...

Tu kisi aur ke daaman ki kali hai lekin,
Meri raatein teri khushbu se basi rahti hain...

Tu kahin bhi ho tere phool se aariz ki qasam,
Teri palkein meri aankhon pe jhuki rahti hain...

Tere haathon ki hararat tere saanson ki mahak,
Tairti rahti hai ahsaas ki pahnaai mein...

Dhundhti rahti hain takh'eel ki baanhein tujh ko,
Sard raaton ki sulagti hui tanhaai mein...

Tera altaaf-o-karam ek haqeeqat hai magar,
Ye haqeeqat bhi haqeeqat mein fasana hi na ho...

Teri manoos nigaahon ka ye mohtaat payaam,
Dil ke khoon karne ka ek aur bahana hi na ho...

Kaun jaane mere imroz ka farda kya hai,
Qurbatein badh ke pashemaan bhi ho jaati hain...

Dil ke daaman se lipat ti hui rangeen nazrein,
Dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hain...

Meri darmaanda jawaani ki tamannaon ke,
Muzmahil khwaab ki tabeer bata de mujh ko...

Tere daaman mein gulistaan bhi hain veeraane bhi,
Mera haasil meri taqdeer bata de mujh ko.!!

"Sahir Ludhianwi"
__________

Giraa'n-baar = heavily burdened, heavily, laden,
Pahnaai = make wear,
Takh'eel = imagination,
Manoos = familiar, friendly,
Mohtaat = cautious,
Darmaanda = helpless, distressed,
Muzmahil = fatigued, exhausted, idle,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...