Showing posts with label Hafeez Jalandhari. Show all posts
Showing posts with label Hafeez Jalandhari. Show all posts

Friday, June 8, 2018

Fursat Ki Tamanna Mein

* Nazm *
__________

Yoon waqt guzarta hai..
Fursat ki tamanna mein,

Jis tarah koi patta,
Bahta hua dariya mein,
Saahil ke qareeb aa kar,
Chaahe ke thehar jaaun,

Aur sair zara kar lun,

Us aks-e-moshajjar ki,
Jo daman-e-dariya par,
Zebaaish-e-dariya hai..

Ya baad ka wo jhonka,
Jo waqf-e-rawaani hai..

Ek baagh ke goshe mein,
Chaahe ke yahaan dam lun..

Daaman ko zara bhar lun..

Us phool ki khushbu se,
Jis ko abhi khilna hai..

Fursat ki tamanna mein,
Yoon waqt guzarta hai..

Afkaar maiishat ke,
Fursat hi nahin dete..

Main chahta hun dil se,
Kuchh kasb-e-hunar kar lun..
Gul-ha-e-mazameen se,
Daaman-e-sukhan bhar lun..

Hai bakht magar wazhoo'n..

Fursat hi nahin milti..

Fursat ko kahaan dhundhun,
Fursat hi ka rona hai..

Phir ji mein ye aati hai,
Kuchh aish hi haasil ho..
Daulat hi mile mujh ko..

Wo kaam koi sochun,
Phir sochta ye bhi hun,

Ye sochne ka dhanda,
Fursat hi mein hona hai..

Fursat hi nahin dete,
Afkaar maiishat ke.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Aks-e-moshajjar = reflection of trees / forest,
Afkaar = thoughts, worries,
Maiishat = subsistence, livelihood, living, daily food,
Kasb-e-hunar = tool of a craft,
Gul-ha-e-mazameen = Articles of flowers,
Waazhu'n = inverted, upturned,

Abhi To Main Jawaan Hun

* Nazm *
__________

Hawa bhi khush-gawaar hai,
Gulo'n pe bhi nikhaar hai..

Tarannum-e-hazaar hai,
Bahaar pur-bahaar hai..

Kahan chala hai saaqiya,
Idhar to laut idhar to aa..

Are ye dekhta hai kya,
Utha subu subu utha..

Subu utha pyaala bhar,
Pyaala bhar ke de idhar..

Chaman ki samt kar nazar,
Samaa'n to dekh be-khabar..

Wo kaali kaali badliyaan,
Ufuq pe ho gayin ayaa'n..

Wo ek hujoim-e-may-kashaa'n,
Hai su-e-may-kada rawaa'n..

Ye kya gumaa'n hai bad-gumaa'n,
Samajh na mujh ko na-tawaa'n..

Khyaal-e-zohd abhi kahaan...

Abhi to main jawaan hun.!

Ibaadaton ka zikr hai,
Najaat ki bhi fikr hai..

Junoon hai sawaab ka,
Khyaal hai azaab ka..

Magar suno to shaikh ji,
Ajeeb shay hain aap bhi..

Bhala shabaab o aashiqi,
Alag hue bhi hain kabhi..

Haseen jalwa-rez hon,
Adaaen fitna-khez hon..

Hawaaen itr-bez hon,
To shauq kyun na tez hon..

Nigaar-ha-e-fitnagar,
Koi idhar koi udhar..

Ubhaarte hon aish par,
To kya kare koi bashar..

Chalo ji qissa-mukhtasar,
Tumhaara nuqta-e-nazar..

Durust hai to ho magar...

Abhi to main jawaan hun.!

Ye gasht kohsaar ki,
Ye sair ju-e-baar ki..

Ye bulbulon ke chahchahe,
Ye gul-rukhon ke qahqahe..

Kisi se mel ho gaya,
To ranj o fikr kho gaya..

Kabhi jo bakht so gaya,
Ye hans gaya wo ro gaya..

Ye ishq ki kahaniyaan,
Ye ras bhari jawaniyaan..

Udhar se mehrbaniyaan,
Idhar se lan-taraniyaan..

Ye aasman ye zameen,
Nazara-ha-e-dil-nasheen..

Inhen hayat-aafreen,
Bhala main chhorh dun yahin..

Hai maut is qadar qareen,
Mujhe na aayega yaqeen..

Nahin nahin abhi nahin...

Abhi to main jawaan hun.!

Na ghum kushood o bast ka,
Buland ka na past ka..

Na bood ka na hast ka,
Na waada-e-alast ka..

Ummid aur yaas gum,
Hawaas gum qayaas gum..

Nazar se aas paas gum,
Hama-bajuz gilaas gum..

Na may mein kuchh kami rahe,
Qadah se humdami rahe..

Nashist ye jami rahe,
Yahi hama-hami rahe..

Wo raag chhed mutriba,
Tarab-faza, alam-ruba..

Asar sada-e-saaz ka,
Jigar mein aag de laga..

Har ek lab pe ho sada,
Na haath rok saaqiya..

Pilaye ja pilaye ja...

Abhi to main jawaan hun.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Tarannum-e-hazaar = thousand modulation,
Hujoim-e-may-kashaa'n = crowd of drinkers of wine,
Na-tawaa'n = weak, feeble,
Khyaal-e-zohd = thought of piety,
Jalwa-rez = manifestation/ appearance in glory and splendour,
Fitna-khez = seditious/ turbulent,
Itr-bez = spreading fragrance,
Nigaar-ha-e-fitnagar = temptations of of the sweet-hearts,
Gasht = patrolling, moving around,
Ju-e-baar = dividing rivulet,
Lan-taraniyaan = tall-tales,
Hayat-aafreen = praiseworthy life,
Qareen = palpable/ close,
Kushood = expansion, openness, solution,
Bast = Asylum, Close, Knot, Obstacle,
Bood = was/ existence,
Hast = being, existence,
Waada-e-alast = promise of day of creation,
Yaas = Despair, desperation, hopelessness,
Qayaas = supposition, guess, pre-sumption,
Hama-bajuz = everything except,
Qadah = bowl, goblet,
Nashist = gathering/ assembly,
Hama-hami = bragging, boasting, tall talk,
Mutriba = female singer,
Tarab-faza = weather of joy,
Alam-ruba = sorrowful,

Zindagi Ka Lutf Bhi Aa Jayega

Zindagi ka lutf bhi aa jayega,
Zindagani hai to dekha jayega..

Jis tarah lakdi ko kha jaata hai ghun,
Rafta rafta ghum mujhe kha jayega..

Hashr ke din meri chup ka maajra,
Kuchh na kuchh tum se bhi poochha jayega..

Muskura kar munh chida kar ghoor kar,
Ja rahe ho khair dekha jayega..

Kar diya hai tum ne dil ko mutmaeen,
Dekh lena sakht ghabra jayega..

Hazrat-e-dil kaam se jaaunga main,
Dil-lagi mein aap ka kya jayega..

Doston ki bewafaai par 'Hafeez',
Sabr karna bhi mujhe aa jayega.!!

"Hafeez Jalandhari"

Ye Mulaqaat Mulaqaat Nahin Hoti Hai

Ye mulaqaat mulaqaat nahin hoti hai,
Baat hoti hai magar baat nahin hoti hai..

Baaryabi ka bura ho ke ab un ke dar par,
Agle waqto'n ki mudaraat nahin hoti hai..

Ghum to ghanghor ghataon ki tarah uthte hain,
Zabt ka dasht hai barsaat nahin hoti hai.. 

Ye mera tajraba hai husn koi chaal chale,
Baazi-e-ishq kabhi maat nahin hoti hai..

Wasl hai naam hum-aahangi o yak-rangi ka,
Wasl mein koi buri baat nahin hoti hai..

Hijr tanhaai hai suraj hai sawa neze par,
Din hi rahta hai yahaan raat nahin hoti hai..

Zabt-e-girya kabhi karta hun to farmate hain,
Aaj kya baat hai barsaat nahin hoti hai..

Mujhe Allah ki qasam sheyr mein tahseen-e-butaa'n,
Main jo karta hun meri zaat nahin hoti hai..

Fikr-e-takhleeq-e-sukhan masnad-e-raahat pe 'Hafeez',
Baais-e-kashf-o-karamaat nahin hoti hai.!!

"Hafeez Jalandhari"
___________

Baaryabi = admittance at court, into company,
Hum-aahangi = synchronicity, same voiced, consensus,

Thursday, June 7, 2018

Ye Kya Maqaam Hai Wo Nazare Kahaan Gaye

Ye kya maqaam hai wo nazare kahaan gaye,
Wo phool kya hue wo sitare kahaan gaye..

Yaraan-e-bazm jur'at-e-rindana kya hui,
Un mast ankhdiyon ke ishaare kahaan gaye..

Ek aur daur ka wo taqaza kidhar gaya,
Umde hue wo hosh ke dhaare kahaan gaye..

Uftaad kyun hai laghzish-e-mastana kyun nahin,
Wo uzr-e-may-kashi ke sahaare kahaan gaye..

Dauraan-e-zalzala jo panah-e-nigah the,
Lete hue the paanw pasare kahaan gaye..

Baandha tha kya hawa pe wo ummid ka tilism,
Rangini-e-nazar ke ghubare kahaan gaye..

Uth uth ke baith baith chuki gard raah ki,
Yaaro wo qaafile thake haare kahaan gaye..

Har meer-e-karwaan se mujhe poochhna pada,
Saathi tere kidhar ko sidhaare kahaan gaye..

Farma gaye the raah mein baith intizaar kar,
Aaye nahin palat ke wo pyare kahaan gaye..

Tum se bhi jin ka ahd-e-wafa ustuwaar tha,
Ai dushmanon wo dost humare kahaan gaye..

Kashti nayi bani ke utha le gaya koi,
Takhte jo lag gaye the kinare kahaan gaye..

Ab doobto'n se poochhta phirta hai nakhuda,
Jin ko laga chuka hun kinare kahaan gaye..

Betaab tere dard se the chaaragar 'Hafeez',
Kya jaaniye wo dard ke maare kahaan gaye.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Yaraan-e-bazm = friends in a party,
Jur'at-e-rindana = courage of drunkard,
Uftaad = accident, distress, calamity, difficulties,
Laghzish-e-mastana = Drunken Stagger,
Uzr-e-may-kashi = excuse for drinking wine,
Dauraan-e-zalzala = during earth quake,
Panah-e-nigah = refuge of glance,
Meer-e-karwaan = leader of the caravan,
Ustuwaar = firm, strong,

Ye Aur Daur Hai Ab Aur Kuchh Na Farmaye

Ye aur daur hai ab aur kuchh na farmaye,
Magar 'Hafeez' ko ye baat kaun samjhaye..

Wafa ka josh to karta chala gaya mad'hosh,
Qadam qadam pe mujhe dost hosh mein laaye..

Pari-rukho'n ki zabaan se kalaam sun ke mera,
Bahut se log meri shakl dekhne aaye..

Bahisht mein bhi mila hai mujhe azaab-e-shadeed,
Yahaan bhi maulwi-saahab hain mere hum-saaye..

Azaab-e-qabr se bad-tar sahi hayat-e-'Hafeez',
Ye jabr hai to ba-juz-sabr kya kiya jaaye.!!

"Hafeez Jalandhari"

Wafadariyan Sakht Nadaniyan Hain

Wafadariyan sakht nadaniyan hain,
Ke in ke nateeje pashemaniyan hain..

Pashemaniyan hain gunaahon pe lekin, 
Bade hi maze ki pashemaniyan hain..

Meri zindagi par ta'ajjub nahin tha,
Meri maut par un ko hairaniyan hain..

Mohabbat karo aur nibaho to poochhun, 
Ye dushwariyan hain ke aasaniyan hain.. 

Nadamat hui hashr mein jin ke badle,
Jawaani ki do chaar nadaniyan hain..

Mera tajraba hai ke is zindagi mein,
Pareshaniyan hi pareshaniyan hain.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

وفاداریاں سخت نادانیاں ہیں
کہ ان کے نتیجے پشیمانیاں ہیں..

پشیمانیاں ہیں گناہوں پہ لیکن
بڑے ہی مزے کی پشیمانیاں ہیں..

مری زندگی پر تعجب نہیں تھا
مری موت پر ان کو حیرانیاں ہیں..

محبت کرو اور نباہو تو پوچھوں
یہ دشواریاں ہیں کہ آسانیاں ہیں..

ندامت ہوئی حشر میں جن کے بدلے
جوانی کی دو چار نادانیاں ہیں..

مرا تجربہ ہے کہ اس زندگی میں
پریشانیاں ہی پریشانیاں ہیں.


Utho Ab Der Hoti Hai Wahaan Chal Kar Sanwar Jaana

Utho ab der hoti hai wahaan chal kar sanwar jaana,
Yaqeeni hai ghadi do mein mareez-e-ghum ka mar jaana...

Mujhe darr hai gulo'n ke bojh se marqad na dab jaaye,
Unhein aadat hai jab aana zaroor ahsaan dhar jaana...

Habaab aa saamne sab walwale josh-e-jawaani ke,
Ghazab tha qulzum-e-ummid ka chadh kar utar jaana...

Yahaan juz kashti-e-mauj-e-bala kuchh bhi na paaoge,
Isi ke aasre dariya-e-hasti se utar jaana...

Mabaada phir aseer-e-daam-e-aql-o-hosh ho jaaun,
Junoon ka is tarah achchha nahin had se guzar jaana...

'Hafeez' aaghaaz se anjaam tak rahzan ne pahunchaya,
Usi ko hum-safar paaya usi ko hum-safar jaana.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Mabaada = lest, let it not be, never, ever
कहीं ऐसा न हो,

Us Shokh Ne Nigaah Na Ki Hum Bhi Chup Rahe

Us shokh ne nigaah na ki hum bhi chup rahe,
Hum ne bhi aah aah na ki hum bhi chup rahe...

Aaya na un ko ahd-e-mulaqaat ka lihaaz,
Hum ne bhi koi chaah na ki hum bhi chup rahe...

Dekha kiye humari taraf bazm-e-ghair mein,
Tajdeed-e-rasm-o-rah na ki hum bhi chup rahe...

Tha zindagi se badh ke humein waz'a ka khyaal,
Jab umr ne nibaah na ki hum bhi chup rahe...

Khamosh ho gayin jo umangein shabaab ki,
Phir jur'at-e-gunaah na ki hum bhi chup rahe...

Maghroor tha kamaal-e-sukhan par bahut 'Hafeez',
Hum ne bhi wah wah na ki hum bhi chup rahe.!!

"Hafeez Jalandhari"
___________

Tajdeed-e-rasm-o-rah = tradition of renewal /novelty,
Waz'a = manner/ state/ style,

Ubhre Jo Khaak Se Wo Tah-e-khaak Ho Gaye

Ubhre jo khaak se wo tah-e-khaak ho gaye,
Sab payemaal-e-gardish-e-aflaak ho gaye..

Rakhti thi laag mere garebaan se nau-bahaar,
Daaman gulo'n ke baagh mein kyun chaak ho gaye..

The deeda-ha-e-khushk mohabbat ki aabru,
Kam-bakht un ke saamne namnaak ho gaye..

Aisa bhi kya mizaaj qayamat ka din hai aaj,
Pesh-e-khuda tum aur bhi bebaak ho gaye..

Aate hi bazm-e-wa'az se chalte bane 'Hafeez',
Do harf sun ke saahib-e-idraak ho gaye.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Payemaal-e-gardish-e-aflaak = ruined by the movement of skies,
Laag = grudge/ enmity,
deeda-ha-e-khushk = dry eyes,
Bazm-e-wa'az = assembly for preaching,
Saahib-e-idraak = sensible person,

Tere Dil Mein Bhi Hain Kuduratein Tere Lab Pe Bhi Hain Shikayatein

Tere dil mein bhi hain kuduratein tere lab pe bhi hain shikayatein,

Mere doston ki nawazishein mere dushmanon ki inayatein...

Ye hai turfa surat-e-dosti ke nigaah-o-dil hama barf hain,

Na wo baada hai na wo zarf hain na wo harf hain na hikayatein...

Yahi rabt-o-zabt-e-ghum-o-alam teri raaye mein kabhi khoob the,

Wo yahi to mere uyoob the jinhein di gayi thin riaayatein...

Tere aastaan se kashaa'n kashaa'n liye ja rahi hain kahaan kahaan,

Mere naseho'n ki hidayatein tere waaizo'n ki riwayatein...

Tera naam lete hi ai khuda main sanam-kade se nikal chuka,

Raahein kaash ta-dar-e-mustafa meri rahnuma teri aayatein.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Kuduratein = meanness,
Turfa = strange, agreeable, wonderful, rare,
Hama = all, the whole, everyone,
Uyoob = vices, faults, defects,
Kashaa'n = walking leisurely,

Shaikh Ka Khauf Humein Hashr Ka Dhadka Hum Ko

Shaikh ka khauf humein hashr ka dhadka hum ko,
Saath hi ishq ke aazaar ne maara hum ko..

Maut kahte hain jise zabt ka ye khabt na ho,
Zindagi par bhi hai fariyaad ka dhoka hum ko..

Jao haan jao raqeebon ki muraaden bar lao, 
Rahne do rahne do nakaam-e-tamanna hum ko..

Hum to insaan hain ai khizr humein marna hai,
Jeene deta nahin fitrat ka taqaza hum ko.. 

Hai abhi door bahut door humari manzil,
Hukm hai farsh se ta-arsh-e-mualla hum ko..

Wo nigaah baandh gayi dil mein tilism-e-ummid,
Nazar aati hai tamanna hi tamanna hum ko..

Shahar-e-ulfat mein nahin tafraqa-pardaaz 'Hafeez',
Kahin kaaba nazar aaya na kaleesa hum ko.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Khabt = addiction, obsession,
Bar = at, on,
Ta-arsh-e-mualla = upto the highest sky,
Tafraqa-pardaaz = creator of discord/dissension,

Rang Badla Yaar Ne Wo Pyaar Ki Baatein Gayin

Rang badla yaar ne wo pyaar ki baatein gayin,
Wo mulaqaatein gayin wo chandni raatein gayin..

Pi to leta hun magar peene ki wo baatein gayin,
Wo jawaani wo siyah-masti wo barsaatein gayin..

Allah allah kah ke bas ek aah karna rah gaya,
Wo namaazein wo duaaen wo munajaatein gayin..

Hazrat-e-dil ab nayi ulfat samajh kar soch kar,
Agli baaton par na bhoolein aap wo baatein gayin..

Raah-o-rasm-e-dosti qaayem to hai lekin 'Hafeez',
Ibtida-e-shauq ki lambi mulaqaatein gayin.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Siyah-masti = state of dead drunkenness,

Phir Lutf-e-khalish Dene Lagi Yaad Kisi Ki

Phir lutf-e-khalish dene lagi yaad kisi ki,
Phir bhool gayi yaad ko be-daad kisi ki..

Phir ranj-o-alam ko hai kisi ka ye ishaara,
Ujdi hui basti karo aabaad kisi ki..

Phir khat ka jawaab ek wahi tanz ka misra,
Majboor hai kyun fitrat-e-aazaad kisi ki..

Phir de ke khushi hum use nashaad karein kyun,
Ghum hi se tabiyat hai agar shaad kisi ki..

Phir pand-o-nasihat ke liye aane lage dost,
Wo dost jo karte nahin imdaad kisi ki..

Phir shahar mein charcha hai nai sang-zani ka,
Akhbaar mein phir darj hai rudaad kisi ki..

Phir baab-e-asar ka koi rasta nahin milta,
Phir bhatki hui phirti hai fariyaad kisi ki..

Phir khaak udaate hue phirte hain bagule,
Phir dasht mein mitti hui barbaad kisi ki.. 

Phir main bhi karun kyun na 'Hafeez' is pe tasallut,
Jageer nahin tab-e-khuda-daad kisi ki.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Pand-o-nasihat = advice and counselling,
Sang-zani = stoning,
Tasallut = domination, absolute rule, sway, occupation,

Mujhe Shaad Rakhna Ke Nashaad Rakhna

Mujhe shaad rakhna ke nashaad rakhna,
Mere deeda o dil ko aabaad rakhna..

Bhulaai nahin ja sakengi ye baatein,
Tumhein yaad aayenge hum yaad rakhna.. 

Wo nashaad o barbaad rakhte hain mujh ko,
ilaahi unhein shaad o aabaad rakhna..

Tumhein bhi qasam hai ke jo sar jhuka de,
Usi ko tah-e-tegh-e-bedaad rakhna..

Milenge tumhein raah mein but-kade bhi,
Zara apne Allah ko yaad rakhna..

Jahaan bhi nashe mein qadam ladkhadayen,
Wahin ek masjid ki buniyaad rakhna..

Sitaaron pe chalte hue ibn-e-aadam,
Nazar mein farishton ki uftaad rakhna..

'Hafeez' apne afkaar ki saadgi ko,
Takalluf ki uljhan se aazaad rakhna.!!

"Hafeez Jalandhari"

Muddaton Tak Jo Padhaya Kiya Ustaad Mujhe

Muddaton tak jo padhaya kiya ustaad mujhe,
Ishq mein bhool gaya kuchh na raha yaad mujhe..

Kya main deewana hun ya rab ke sar-e-rahguzar,
Door se ghoorne lagte hain pari-zaad mujhe..

Ab hai aawaz ki wo shaan na baazu ki udaan,
Aur sayyaad kiye deta hai aazaad mujhe..

Daad-khwahi ke liye aur to samaan na mila,
Naala-o-aah pe rakhni padi buniyaad mujhe..

Mere sheyro'n pe wo sharmaye to ahbaab hanse,
Ai 'Hafeez' aaj ghazal ki ye mili daad mujhe.!!

"Hafeez Jalandhari"

Mitne Waali Hasratein Ijaad Kar Leta Hun Main

Mitne waali hasratein ijaad kar leta hun main,
Jab bhi chaahun ek jahaan aabaad kar leta hun main..

Mujh ko in majbooriyon par bhi hai itna ikhtiyaar,
Aah bhar leta hun main fariyaad kar leta hun main..

Husn bechaara to ho jaata hai aksar mehrbaan,
Phir use aamada-e-be-daad kar leta hun main..

Tu nahin kahta magar dekh o wafa-na-aashna,
Apni hasti kis qadar barbaad kar leta hun main..

Haan ye veerana ye dil ye aarzuon ka mazaar,
Tum kaho to phir ise aabaad kar leta hun main..

Jab koi taaza musibat toot ti hai ai 'Hafeez',
Ek aadat hai khuda ko yaad kar leta hun main.!!

"Hafeez Jalandhari"

Mil Jaaye May To Sajda-e-shukrana Chahiye

Mil jaaye may to sajda-e-shukrana chahiye,
Peete hi ek laghzish-e-mastana chahiye..

Haan ahtiraam-e-kaaba-o-but-khana chahiye,
Mazhab ki poochhiye to judagana chahiye..

Rindaan-e-may-parast siya-mast hi sahi,
Ai shaikh guftugu to sharifana chahiye..

Deewangi hai aql nahin hai ki khaam ho, 
Deewana har lihaaz se deewana chahiye..

Is zindagi ko chahiye samaan-e-zindagi,
Kuchh bhi na ho to shisha-o-paimana chahiye..

O nang-e-aitibaar dua par na rakh madaar,
O bewaquf himmat-e-mardana chahiye..

Rahne de jaam-e-jam mujhe anjaam-e-jam suna,
Khul jaaye jis se aankh wo afsana chahiye.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Sajda-e-shukrana = prayer of thanks,
Laghzish-e-mastana = Drunken Stagger,
Judagana = separates,
Siya-mast = heavily drunk,
Khaam = raw, unripe, green, crude,
Madaar = orbit, circumference, a place of turning, dependence,
Jaam-e-jam = the bowl of Jamsheed in which he saw whatever he wishsed to see,

Maston Pe Ungliyan Na Uthao Bahaar Mein

Masto'n pe ungliyan na uthao bahaar mein,
Dekho to hosh hai bhi kisi hoshyaar mein.. 

Kuchh mohtasib ka khauf hai kuchh shaikh ka lihaaz,
Peeta hun chhup ke daaman-e-abr-e-bahaar mein..

Wo saamne dhari hai suraahi bhari hui,
Dono'n jahaan hain aaj mere ikhtiyaar mein..

Allah baat kya hai ke deewangi meri,
Deewangi nahin nazar-e-hoshiyaar mein..

Jhoothi tasalliyon se na bahlao jao jao,
Jao ke tum nahin ho mere ikhtiyaar mein.. 

Hun waadi-e-hayat mein is tarah sust-e-gaam,
Jaise ho pa-shikasta koi khaar-zaar mein.. 

Ab wo sukoon-e-yaas na wo iztiraab-e-shauq,
Seene mein dil hai ya koi laasha mazaar mein..

Ab khaak udaaiye na humare mazaar ki, 
Ab khaak bhi nahin hai humare mazaar mein..

Tanhaai-e-firaaq mein ummid baar-ha,
Gum ho gai sukoot ke hangama-zaar mein..

Wo andaleeb-e-gulshan-e-maani hun main 'Hafeez',
Soz-e-sukhan se aag laga dun bahaar mein.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Andaleeb-e-gulshan-e-maani = nightingale of garden of meaning,

Majaaz Ain-e-haqeeqat Hai Ba-safa Ke Liye

Majaaz ain-e-haqeeqat hai ba-safa ke liye,
Buto'n ko dekh raha hun magar khuda ke liye..

Asar mein ho gaye kyun saat aasmaan haail,
Abhi to haath uthe hi nahin dua ke liye..

Hua bas ek hi naale mein dam fana apna,
Ye taziyana tha umr-e-gurez-pa ke liye..

ilaahi ek ghum-e-rozgaar kya kam tha,
Ke ishq bhej diya jaan-e-mubtala ke liye..

Humein to daawar-e-mahshar ko chhodte hi bani,
Khata-e-ishq na kaafi hui saza ke liye..

Usi ko raah dikhata hun jo mitaye mujhe,
Main hun to noor magar chashm-e-naqsh-e-pa ke liye..

Ye jaanta hun ke hai nisf shab magar saaqi,
Zara si chahiye ek mard-e-paarsa ke liye..

ilaahi tere karam se mile may o ma'ashooq,
Ab iltija hai barasti hui ghata ke liye..

'Hafeez' aazim-e-kaaba hua hai jaane do,
Ab us pe rahm karo ai buto khuda ke liye.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Majaaz = lawful, competent, authorised,
Ain-e-haqeeqat = fountain of reality,
Ba-safa = clean/ chaste/ conscientious,
Haail = obstacle/ intervening,
Taziyana = Whip, Lash,
Jaan-e-mubtala = busy life,
Daawar-e-mahshar = the judge presiding on the day of judgement, God,
Nisf = the half, middle,
Aazim-e-kaaba = one who is going to Kaaba/ Holy place,

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...