Duniya se wafa kar ke sila dhundh rahe hain,
Hum log bhi nadaan hain ye kya dhundh rahe hain..
Kuchh der thehar jaaiye ai banda-e-insaaf,
Hum apne gunaahon mein khata dhundh rahe hain..
Ye bhi to saza hai ke giraftaar-e-wafa hun,
Kyun log mohabbat ki saza dhundh rahe hain..
Duniya ki tamanna thi kabhi hum ko bhi 'Faakir',
Ab zakhm-e-tamanna ki dawa dhundh rahe hain.!!
"Sudarshan Faakir"
No comments:
Post a Comment