Posts

Showing posts from May, 2018

Main Khandaron Ki Zameen Pe Kab Se Bhatak Raha Hun

* Nazm * _________ Main khandaron ki zameen pe kab se bhatak raha hun... Qadeem raaton ki tooti qabron ke maile katbe, Dinon ki tooti hui saleebein giri padi hain,  Shafaq ki thandi chitaon se raakh ud rahi hai, Jagah jagah gurz waqt ke choor ho gaye hain, Jagah jagah dher ho gayi hain azeem sadiyaan, Main khandaron ki zameen pe kab se bhatak raha hun... Yahin muqaddas, hatheliyon se giri hai mehndi, Diyon ki tooi hui lawein zang kha gayi hain, Yahin pe maathon ki raushni jal ke bujh gayi hai, Sapaat chehron ke khaali panne khule hue hain, Huroof aankhon ke mit chuke hain, Main khandaron ki zameen pe kab se bhatak raha hun... Yahin kahin zindagi ke maani gire hain,  Aur gir ke kho gaye hain.!! "Gulzaar"

Chaar Tinke Utha Ke Jangal Se

* Nazm * __________ Chaar tinke utha ke jangal se, Ek baali anaaj ki le kar, Chand qatre bilakte ashkon ke, Chand faaqe bujhe hue lab par, Mutthi bhar apni qabr ki mitti, Mutthi bhar aarzuon ka gaara, Ek tameer ki, liye hasrat, Tera khana-ba-dosh be-chaara, Shahar mein dar-ba-dar bhatakta hai, Tera kandha mile to sar tekoo'n.!! "Gulzaar"

Ek Hi Khwab Kayi Baar Yunhi Dekha Main Ne

* Nazm * __________ Ek hi khwab kayi baar yunhi dekha main ne, Tu ne saarhi mein udas li hain meri chaabiyan ghar ki, Aur chali aai hai bas yunhi mera haath pakad kar, Ghar ki har cheez sambhaale hue apnaye hue tu, Tu mere paas mere ghar pe mere saath hai 'sonu',  Mez par phool sajate hue dekha hai kayi baar, Aur bistar se kayi baar jagaya bhi hai tujh ko, Chalte-phirte tere qadmon ki wo aahat bhi suni hai, Gungunati hui nikli hai ghusl-khaane se jab bhi, Apne bheege hue baalon se tapakta hua paani, Mere chehre par chhidak deti hai tu 'sonu' ki bachchi, Farsh par let gayi hai tu kabhi rooth ke mujh se, Aur kabhi farsh se mujh ko bhi uthaya hai mana kar, Taash ke patton pe ladti hai kabhi khel mein mujh se, Aur kabhi ladti bhi aise hai ke bas khel rahi hai, Aur maloom hai jab dekha tha ye khwab tumhaara.. Apne bistar pe main us waqt pada jaag raha tha.!! "Gulzaar"

Chaand Kyun Abr Ki Us Maili Si Gathri Mein Chhupa Tha

* Nazm * __________ Chaand kyun abr ki us maili si gathri mein chhupa tha... Us ke chhupte hi andheron ke nikal aaye the naakhun, Aur jangal se guzarte hue masoom musafir, Apne chehron ko kharonchon se bachane ke liye cheekh pade the, Chaand kyun abr ki us maili si gathri mein chhupa tha... Us ke chhupte hi utar aaye the shaakhon se latakte hue Aaseb the jitne, Aur jangal se guzarte hue rahgeeron ne,  Gardan mein utarte hue Daanton se suna tha, Paar jaana hai to peene ko lahu dena padega, Chaand kyun abr ki us maili si gathri mein chhupa tha... Khoon se luthdi hui raat ke rahgeeron ne do zaanu pe gir kar, Raushni, raushni! chillaya tha, Dekha tha falak ki jaanib, Chaand ne gathri se ek hath nikala tha, Dikhaya tha chamakta hua khanjar.!! "Gulzaar"

Raat Chup Chaap Dabe Paanw Chale Jaati Hai

* Nazm * __________ Raat chup chaap dabe paanw chale jaati hai, Raat khamosh hai roti nahin hansti bhi nahin, Kaanch ka neela sa gumbad hai uda jaata hai, Khaali khaali koi bajra sa baha jaata hai, Chaand ki kirno'n mein wo roz sa resham bhi nahin, Chaand ki chikni daali hai ke ghuli jaati hai, Aur sannaaton ki ek dhool udi jaati hai, Kaash ek baar kabhi neend se uth kar tum bhi, Hijr ki raaton mein ye dekho to kya hota hai.!! "Gulzaar"

Na Jaane Kis Ki Ye Diary Hai

* Nazm * __________ Na jaane kis ki ye diary hai.. Na naam hai, na pata hai koi.! "Har ek karwat main yaad karta hun tum ko lekin, Ye karwatein lete raat din yun masal rahe hain mere badan ko, Tumhaari yaadon ke jism par neel pad gaye hain"... Ek aur safhe pe yun likha hai.! "Kabhi kabhi raat ki siyahi, Kuchh aisi chehre pe jam si jaati hai, Laakh ragdun, Sahar ke paani se lakh dhoun, Magar wo kaalak nahin utarti, Milogi jab tum pata chalega, Main aur bhi kaala ho gaya hun"... Ye hashiye mein likha hua hai.! "Main dhoop mein jal ke itna kaala nahin hua tha, Ke jitna is raat main sulag ke siyah hua hun"... Maheen lafzon mein ek jagah yoon likha hai is ne.! Tumhein bhi to yaad hogi wo raat sardiyon ki, Jab aundhi kashti ke neeche hum ne, Badan ke chulhe jala ke tape the, din kiya tha, Ye pattharon ka bichhauna hargiz na sakht lagta jo tum bhi hoti'n, Tumhein bichhata bhi odhta bhi"... Ek aur safhe pe phir usi raat ka bayaan h

Dekho Aahista Chalo

* Nazm * _________ Dekho aahista chalo.. Aur bhi aahista zara, Dekhna soch sambhal kar zara paanw rakhna, Zor se baj na uthe pairon ki aawaz kahin, Kaanch ke khwab hain bikhre hue tanhaai mein, Khwab toote na koi jaag na jaaye dekho, Jaag jayega koi khwab to mar jayega.!!  "Gulzaar"

Subah Subah Ek Khwab Ki Dastak

* Nazm * __________ Subah subah ek khwab ki dastak par darwaza khula dekha.. Sarhad ke us paar se kuchh mehmaan aaye hain, Aankhon se manoos the saare, Chehre saare sune sunaye, Paanw dhue, hath dhulaye, Aangan mein aasan lagwaye, Aur tannoor pe makki ke kuchh mote mote rot pakaye, Potli mein mehmaan mere, Pichhle saalo'n ki faslo'n ka gud laaye the, Aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha, Haath laga kar dekha to tannoor abhi tak bujha nahin tha, Aur honthon par meethe gud ka zaaiqa ab tak chipak raha tha, Khwab tha shayad! Khwab hi hoga!! Sarhad par kal raat, suna hai chali, thi goli, Sarhad par kal raat, suna hai, Kuchh khwabon ka khoon hua tha.!! "Gulzaar"

Khalaon Mein Tairte Jazeeron Pe

* Nazm * __________ Khalaon mein tairte jazeeron pe champai dhoop.. Dekh kaise baras rahi hai.! Maheen kohra simat raha hai, Hatheliyon mein abhi talak, Tere narm chehre ka lams aise chhalak raha hai, Ke jaise subah ko ok mein bhar liya ho main ne, Bas ek maddham si raushni, Mere haathon pairon mein bah rahi hai, Tere labon pe zabaan rakh kar, Main noor ka wo haseen qatra bhi pi gaya hun, Jo teri ujli dhuli hui rooh se phisal kar tere labon par, Thaher gaya tha.!! "Gulzaar"

Barf Pighlegi Jab Pahaadon Se

* Nazm * __________ Barf pighlegi jab pahaadon se, Aur waadi se kohra simtega.. Beej angdaai le ke jaagenge, Apni alasaai aankhein kholenge, Sabza bah niklega dhalaanon par, Ghaur se dekhna bahaaron mein, Pichhle mausam ke bhi nishaan honge, Konpalon ki udaas aaankhon mein, Aansuon ki nami bachi hogi.!! "Gulzaar"

Raat Bhar Sard Hawa Chalti Rahi

* Nazm * __________ Raat bhar sard hawa chalti rahi.. Raat bhar hum ne alao taapa, Main ne maazi se kayi khushk si shaakhein kaati'n, Tum ne bhi guzre hue lamhon ke patte tode, Main ne jebo'n se nikaali'n sabhi sookhi nazmein, Tum ne bhi haathon se murjhaye hue khat khole, Apni in aankhon se main ne kayi maanje tode, Aur haathon se kayi baasi lakirein phenki'n, Tum ne palkon pe nami sookh gayi thi so gira di, Raat bhar jo bhi mila ugte badan par hum ko, Kaat ke daal diya jalte alao mein use.. Raat bhar phooko'n se har lau ko jagaye rakkha, Aur do jismo'n ke indhan ko jalaye rakkha, Raat bhar bujhte hue rishte ko taapa hum ne.!! "Gulzaar"

Kis Qadar Seedha, Sahal, Saaf Hai Raasta Dekho

* Nazm * __________ Kis qadar seedha, sahal, saaf hai raasta dekho... Na kisi shaakh ka saaya hai, na deewar ki tek, Na kisi aankh ki aahat, na kisi chehre ka shor, Door tak koi nahin, koi nahin, koi nahin... Chand qadmon ke nishaan haan kabhi milte hain kahin, Saath chalte hain jo kuchh door faqat chand qadam, Aur phir toot ke gir jaate hain ye kahte hue, Apni tanhaai liye aap chalo, tanha akele, Saath aaye jo yahaan koi nahin, koi nahin... Kis qadar seedha, sahal, saaf hai raasta dekho.!!  "Gulzaar"

Aadmi Bulbula Hai Paani Ka

* Nazm * __________ Aadmi bulbula hai paani ka... Aur paani ki bahti satah par, Toot ta bhi hai doobta bhi hai.. Phir ubharta hai, phir se bahta hai, Na samandar nigal saka is ko, Na tawarikh tod paai hai.. Waqt ki hatheli par bahta, Aadmi bulbula hai paani ka.!!  "Gulzaar"

Saans Lena Bhi Kaisi Aadat Hai

* Nazm * __________ Saans lena bhi kaisi aadat hai, Jiye jaana bhi kya riwayat hai.. Koi aahat nahin badan mein kahin, Koi saaya nahin hai aaankhon mein.. Paanw behis hain chalte jaate hain, Ek safar hai jo bahta rahta hai.. Kitne barson se kitni sadiyon se, Jiye jaate hain jiye jaate hain.. Aadatein bhi ajeeb hoti hain.!! "Gulzaar"

Zindagi Yoon Hui Basar Tanha

Zindagi yoon hui basar tanha, Qaafila saath aur safar tanha.. Apne saaye se chaunk jaate hain, Mmr guzri hai is qadar tanha.. Raat bhar baatein karte hain taare, Raat kaate koi kidhar tanha.. Doobne waale paar ja utre, Naqsh-e-pa apne chhorh kar tanha.. Din guzarta nahin hai logon mein, Raat hoti nahin basar tanha.. Hum ne darwaaze tak to dekha tha, Phir na jaane gae kidhar tanha.!! "Gulzaar" زندگی یوں ہوئی بسر تنہا قافلہ ساتھ اور سفر تنہا . . اپنے سائے سے چونک جاتے ہیں عمر گزری ہے اس قدر تنہا . . رات بھر باتیں کرتے ہیں تارے رات کاٹے کوئی کدھر تنہا . . ڈوبنے والے پار جا اترے نقش پا اپنے چھوڑ کر تنہا . . دن گزرتا نہیں ہے لوگوں میں رات ہوتی نہیں بسر تنہا.. ہم نے دروازے تک تو دیکھا تھا پھر نہ جانے گئے کدھر تنہا..

Zikr Hota Hai Jahaan Bhi Mere Afsaane Ka

Zikr hota hai jahaan bhi mere afsaane ka,  Ek darwaza sa khulta hai kutub-khaane ka.. Ek sannata dabe paanw gaya ho jaise, Dil se ek khauf sa guzra hai bichhad jaane ka.. Bulbula phir se chala paani mein ghote khaane, Na samajhne ka use waqt na samjhane ka.. Main ne alfaaz to beejo'n ki tarah chhaant diye, Aisa meetha tera andaaz tha farmaane ka.. Kis ko roke koi raste mein kahaan baat kare, Na to aane ki khabar hai na pata jaane ka.!! "Gulzaar" ذکر ہوتا ہے جہاں بھی مرے افسانے کا ایک دروازہ سا کھلتا ہے کتب خانے کا . . ایک سناٹا دبے پاؤں گیا ہو جیسے دل سے اک خوف سا گزرا ہے بچھڑ جانے کا . . بلبلہ پھر سے چلا پانی میں غوطے کھانے نہ سمجھنے کا اسے وقت نہ سمجھانے کا . . میں نے الفاظ تو بیجوں کی طرح چھانٹ دیئے ایسا میٹھا ترا انداز تھا فرمانے کا . . کس کو روکے کوئی رستے میں کہاں بات کرے نہ تو آنے کی خبر ہے نہ پتا جانے کا . . 

Wo Khat Ke Purze Uda Raha Tha

Wo khat ke purze uda raha tha, Hawaon ka rukh dikha raha tha.. Bataaun kaise wo bahta dariya, Jab aa raha tha to ja raha tha.. Kuchh aur bhi ho gaya numayaan, Main apna likkha mita raha tha.. Dhuan dhuan ho gayi thin aankhein, Charagh ko jab bujha raha tha.. Munrer se jhuk ke chaand kal bhi, Padosiyon ko jaga raha tha.. Usi ka imaan badal gaya hai, Kabhi jo mera khuda raha tha.. Wo ek din ek ajnabi ko, Meri kahani suna raha tha.. Wo umr kam kar raha tha meri, Main saal apne badha raha tha.. Khuda ki shayad raza ho is mein, Tumhaara jo faisla raha tha.!! "Gulzaar" وہ خط کے پرزے اڑا رہا تھا ہواؤں کا رخ دکھا رہا تھا . . بتاؤں کیسے وہ بہتا دریا جب آ رہا تھا تو جا رہا تھا . . کچھ اور بھی ہو گیا نمایاں میں اپنا لکھا مٹا رہا تھا . . دھواں دھواں ہو گئی تھیں آنکھیں چراغ کو جب بجھا رہا تھا . . منڈیر سے جھک کے چاند کل بھی پڑوسیوں کو جگا رہا تھا . . اسی کا ایماں بدل گیا ہے کبھی جو میرا خدا رہا تھا . . وہ ایک دن ایک اجنبی کو مری کہانی سنا رہا تھا . . وہ عم

Tujh Ko Dekha Hai Jo Dariya Ne Idhar Aate Hue

Tujh ko dekha hai jo dariya ne idhar aate hue, Kuchh bhanwar doob gaye paani mein chakraate hue.. Hum ne to raat ko daanton se pakad kar rakkha, Chheena-jhapti mein ufuq khulta gaya jaate hue.. Main na hounga to khizaa'n kaise kategi teri, Shokh patte ne kaha shaakh se murjhaate hue.. Hasratein apni bilakti'n na yateemo'n ki tarah, Hum ko aawaz hi de lete zara jaate hue..  Si liye honth wo pakeeza nigahein sun kar, Maili ho jaati hai aawaz bhi dohraate hue.!! "Gulzaar" تجھ کو دیکھا ہے جو دریا نے ادھر آتے ہوئے کچھ بھنور ڈوب گئے پانی میں چکراتے ہوئے . . ہم نے تو رات کو دانتوں سے پکڑ کر رکھا چھینا جھپٹی میں افق کھلتا گیا جاتے ہوئے . . میں نہ ہوں گا تو خزاں کیسے کٹے گی تیری شوخ پتے نے کہا شاخ سے مرجھاتے ہوئے . . حسرتیں اپنی بلکتیں نہ یتیموں کی طرح ہم کو آواز ہی دے لیتے ذرا جاتے ہوئے ..  سی لیے ہونٹ وہ پاکیزہ نگاہیں سن کر میلی ہو جاتی ہے آواز بھی دہراتے ہوئے..

Tinka Tinka Kaante Tode Saari Raat Kataai Ki

Tinka tinka kaante tode saari raat kataai ki, Kyun itni lambi hoti hai chandni raat judaai ki.. Neend mein koi apne aap se baatein karta rahta hai, Kaal-kunein mein gunjti hai aawaz kisi saudaai ki.. Seene mein dil ki aahat jaise koi jasoos chale, Har saaye ka peechha karna aadat hai harjaai ki.. Aankhon aur kaano'n mein kuchh sannaate se bhar jaate hain.. Kya tum ne udti dekhi hai ret kabhi tanhaai ki.. Taaro'n ki raushan faslein aur chaand ki ek daraanti thi, Saahu ne girwi rakh li thi meri raat kataai ki.!! "Gulzaar" تنکا تنکا کانٹے توڑے ساری رات کٹائی کی کیوں اتنی لمبی ہوتی ہے چاندنی رات جدائی کی . . نیند میں کوئی اپنے آپ سے باتیں کرتا رہتا ہے کال کنوئیں میں گونجتی ہے آواز کسی سودائی کی . . سینے میں دل کی آہٹ جیسے کوئی جاسوس چلے ہر سائے کا پیچھا کرنا عادت ہے ہرجائی کی . . آنکھوں اور کانوں میں کچھ سناٹے سے بھر جاتے ہیں کیا تم نے اڑتی دیکھی ہے ریت کبھی تنہائی کی.. تاروں کی روشن فصلیں اور چاند کی ایک درانتی تھی ساہو نے گروی رکھ لی تھی میری رات کٹ

Shaam Se Aankh Mein Nami Si Hai

Shaam se aankh mein nami si hai, Aaj phir aap ki kami si hai.. Dafn kar do humein ki saans aaye, Nabz kuchh der se thami si hai.. Kaun pathra gaya hai aankhon mein, Barf palkon pe kyun jami si hai.. Waqt rahta nahin kahin tik kar, Aadat is ki bhi aadmi si hai.. Aaiye raaste alag kar lein, Ye zarurat bhi bahami si hai.!! "Gulzaar" شام سے آنکھ میں نمی سی ہے آج پھر آپ کی کمی سی ہے . . دفن کر دو ہمیں کہ سانس آئے نبض کچھ دیر سے تھمی سی ہے . . کون پتھرا گیا ہے آنکھوں میں برف پلکوں پہ کیوں جمی سی ہے . . وقت رہتا نہیں کہیں ٹک کر عادت اس کی بھی آدمی سی ہے . . آئیے راستے الگ کر لیں یہ ضرورت بھی باہمی سی ہے . .

Shaam Se Aaj Saans Bhaari Hai

Shaam se aaj saans bhaari hai, Be-qarari si be-qaraari hai.. Aap ke baad har ghadi hum ne, Aap ke saath hi guzaari hai.. Raat ko de do chaandni ki rida, Din ki chaadar abhi utaari hai.. Shaakh par koi qahqaha to khile, Kaisi chup si chaman mein taari hai.. Kal ka har waaqia tumhaara tha, Aaj ki dastaan humaari hai.!!  "Gulzaar" شام سے آج سانس بھاری ہے بے قراری سی بے قراری ہے . . آپ کے بعد ہر گھڑی ہم نے آپ کے ساتھ ہی گزاری ہے . . رات کو دے دو چاندنی کی ردا دن کی چادر ابھی اتاری ہے . . شاخ پر کوئی قہقہہ تو کھلے کیسی چپ سی چمن میں طاری ہے . . کل کا ہر واقعہ تمہارا تھا آج کی داستاں ہماری ہے..

Sahma Sahma Dara Sa Rahta Hai

Sahma sahma dara sa rahta hai, Jaane kyun ji bhara sa rahta hai.. Kaai si jam gayi hai aankhon par, Saara manzar hara sa rahta hai.. Ek pal dekh lun to uthta hun, Jal gaya ghar zara sa rahta hai.. Sar mein jumbish khyaal ki bhi nahin, Zaanuon par dhara sa rahta hai.!! "Gulzaar" سہما سہما ڈرا سا رہتا ہے جانے کیوں جی بھرا سا رہتا ہے . . کائی سی جم گئی ہے آنکھوں پر سارا منظر ہرا سا رہتا ہے.. ایک پل دیکھ لوں تو اٹھتا ہوں جل گیا گھر ذرا سا رہتا ہے . . سر میں جنبش خیال کی بھی نہیں زانوؤں پر دھرا سا رہتا ہے . .

Sabr Har Baar Ikhtiyaar Kiya

Sabr har baar ikhtiyaar kiya, Hum se hota nahin hazaar kiya.. Aadatan tum ne kar diye waade, Aadatan hum ne aitibaar kiya.. Hum ne aksar tumhaari raahon mein, Ruk kar apna hi intizaar kiya.. Phir na mangenge zindagi ya rab, Ye gunaah hum ne ek baar kiya.!! "Gulzaar" صبر ہر بار اختیار کیا ہم سے ہوتا نہیں ہزار کیا . . عادتاً تم نے کر دیئے وعدے عادتاً ہم نے اعتبار کیا . . ہم نے اکثر تمہاری راہوں میں رک کر اپنا ہی انتظار کیا.. پھر نہ مانگیں گے زندگی یارب یہ گنہ ہم نے ایک بار کیا . .

Ruke Ruke Se Qadam Ruk Ke Baar Baar Chale

Ruke ruke se qadam ruk ke baar baar chale, Qaraar de ke tere dar se be-qaraar chale.. Uthaye phirte the ahsaan jism ka jaan par, Chale jahaan se to ye pairahan utaar chale.. Na jaane kaun si mitti watan ki mitti thi, Nazar mein dhool jigar mein liye ghubaar chale.. Sahar na aai kai baar neend se jaage, Thi raat raat ki ye zindagi guzaar chale.. Mili hai shama se ye rasm-e-aashiqi hum ko, Gunah haath pe le kar gunahgaar chale.!! "Gulzaar" رکے رکے سے قدم رک کے بار بار چلے قرار دے کے ترے در سے بے قرار چلے . . اٹھائے پھرتے تھے احسان جسم کا جاں پر چلے جہاں سے تو یہ پیرہن اتار چلے . . نہ جانے کون سی مٹی وطن کی مٹی تھی نظر میں دھول جگر میں لیے غبار چلے . . سحر نہ آئی کئی بار نیند سے جاگے تھی رات رات کی یہ زندگی گزار چلے . . ملی ہے شمع سے یہ رسم عاشقی ہم کو گناہ ہاتھ پہ لے کر گناہ گار چل..

Phoolon Ki Tarah Lab Khol Kabhi

Phoolon ki tarah lab khol kabhi, Khushbu ki zabaan mein bol kabhi.. Alfaaz parakhta rahta hai, Aawaz humari tol kabhi.. Anmol nahin lekin phir bhi, Poochh to muft ka mol kabhi.. Khidki mein kati hain sab raatein, Kuchh chauras thin kuchh gol kabhi.. Ye dil bhi dost zameen ki tarah, Ho jaata hai danwa-dol kabhi.!! "Gulzaar" پھولوں کی طرح لب کھول کبھی خوشبو کی زباں میں بول کبھی.. الفاظ پرکھتا رہتا ہے آواز ہماری تول کبھی . . انمول نہیں لیکن پھر بھی پوچھ تو مفت کا مول کبھی . . کھڑکی میں کٹی ہیں سب راتیں کچھ چورس تھیں کچھ گول کبھی . . یہ دل بھی دوست زمیں کی طرح ہو جاتا ہے ڈانوا ڈول کبھی . .

Phool Ne Tahni Se Udne Ki Koshish Ki

Phool ne tahni se udne ki koshish ki, Ek taair ka dil rakhne ki koshish ki.. Kal phir chaand ka khanjar ghonp ke seene mein, Raat ne meri jaan lene ki koshish ki.. Koi na koi rahbar rasta kaat gaya, Jab bhi apni raah chalne ki koshish ki.. Kitni lambi khamoshi se guzra hun, Un se kitna kuchh kahne ki koshish ki.. Ek hi khwab ne saari raat jagaya hai,  Main ne har karwat sone ki koshish ki.. Ek sitara jaldi jaldi doob gaya, Main ne jab taare ginne ki koshish ki.. Naam mera tha aur pata apne ghar ka, Us ne mujh ko khat likhne ki koshish ki.. Ek dhuen ka marghola sa nikla hai, Mitti mein jab dil bone ki koshish ki.!! "Gulzaar" __________ Marghola = cloud-of smoke, پ ھول نے ٹہنی سے اڑنے کی کوشش کی اک طائر کا دل رکھنے کی کوشش کی.. کل پھر چاند کا خنجر گھونپ کے سینے میں رات نے میری جاں لینے کی کوشش کی . . کوئی نہ کوئی رہبر رستہ کاٹ گیا جب بھی اپنی رہ چلنے کی کوشش کی . . کتنی لمبی خاموشی سے گزرا ہوں ان سے کتنا کچھ کہنے کی کوشش کی . . ایک ہی خواب نے ساری رات

Ped Ke Patton Mein Halchal Hai Khabardaar Se Hain

Ped ke patton mein halchal hai khabardaar se hain, Shaam se tez hawa chalne ke aasaar se hain.. Nakhuda dekh raha hai ki main girdaab mein hun, Aur jo pul pe khade log hain akhbaar se hain.. Chadhte sailaab mein saahil ne to munh dhaanp liya, Log paani ka kafan lene ko tayyaar se hain.. Kal tawarikh mein dafnaye gaye the jo log, Un ke saaye abhi darwazon pe bedaar se hain.. Waqt ke teer to seene pe sambhaale hum ne, Aur jo neel pade hain teri guftaar se hain..  Rooh se chheele hue jism jahaan bikte hain, Hum ko bhi bech de hum bhi usi bazaar se hain.. Jab se wo ahl-e-siyasat mein hue hain shaamil, Kuchh adu ke hain to kuchh mere tarafdaar se hain.!! "Gulzaar" پیڑ کے پتوں میں ہلچل ہے خبردار سے ہیں شام سے تیز ہوا چلنے کے آثار سے ہیں . . ناخدا دیکھ رہا ہے کہ میں گرداب میں ہوں اور جو پل پہ کھڑے لوگ ہیں اخبار سے ہیں . . چڑھتے سیلاب میں ساحل نے تو منہ ڈھانپ لیا لوگ پانی کا کفن لینے کو تیار سے ہیں . . کل تواریخ میں دفنائے گئے تھے جو لوگ ان کے سائے ابھی دروازوں

Os Padi Thi Raat Bahut Aur Kohra Tha Garmaaish Par

Os padi thi raat bahut aur kohra tha garmaaish par, Saili si khamoshi mein aawaz suni farmaaish par.. Faasle hain bhi aur nahin bhi naapa taula kuchh bhi nahin, Log ba-zid rahte hain phir bhi rishton ki paimaaish par.. Munh moda aur dekha kitni dur khade the hum donon, Aap lade the hum se bas ek karwat ki gunjaaish par.. Kaaghaz ka ek chaand laga kar raat andheri khidki par, Dil mein kitne khush the apni furqat ki aaraaish par.. Dil ka hujra kitni baar ujda bhi aur basaya bhi, Saari umr kahaan thehra hai koi ek rihaaish par.. Dhoop aur chhaanw baant ke tum ne aangan mein deewaar chuni, Kya itna aasaan hai zinda rahna is aasaaish par.. Shayad teen nujoomi meri maut pe aa kar pahunchenge, Aisa hi ek baar hua tha isa ki paidaaish par.!! "Gulzaar" __________ Garmaaish = warmth, Paimaaish = measurement, survey, Aaraaish = decoration, adornment, embellishment, Rihaaish = residence, Aasaaish = comfort, luxury, ا وس پڑی تھی رات بہت اور کہرہ تھا گرمائش پر سیلی سی

Mujhe Andhere Mein Beshak Bitha Diya Hota

Mujhe andhere mein beshak bitha diya hota, Magar charaagh ki surat jala diya hota.. Na raushni koi aati mere ta'aqub mein, Jo apne aap ko main ne bujha diya hota.. Ye dard jism ke ya rab bahut shadeed lage, Mujhe saleeb pe do pal sula diya hota.. Ye shukr hai ke mere paas tera ghum to raha, Wagarna zindagi ne to rula diya hota.!! "Gulzaar" مجھے اندھیرے میں بے شک بٹھا دیا ہوتا مگر چراغ کی صورت جلا دیا ہوتا.. نہ روشنی کوئی آتی مرے تعاقب میں جو اپنے آپ کو میں نے بجھا دیا ہوتا . . یہ درد جسم کے یارب بہت شدید لگے مجھے صلیب پہ دو پل سلا دیا ہوتا . . یہ شکر ہے کہ مرے پاس تیرا غم تو رہا وگرنہ زندگی نے تو رلا دیا ہوتا..

Koi Khamosh Zakhm Lagti Hai

Koi khamosh zakhm lagti hai, Zindagi ek nazm lagti hai.. Bazm-e-yaraa'n mein rahta hun tanha, Aur tanhaai bazm lagti hai.. Apne saaye pe paanw rakhta hun, Chhaanw chhaalon ko narm lagti hai.. Chaand ki nabz dekhna uth kar, Raat ki saans garm lagti hai.. Ye riwayat ke dard mahke rahein, Dil ki dereena rasm lagti hai..!! "Gulzaar" کوئی خاموش زخم لگتی ہے زندگی ایک نظم لگتی ہے . . بزم یاراں میں رہتا ہوں تنہا اور تنہائی بزم لگتی ہے . . اپنے سائے پہ پاؤں رکھتا ہوں چھاؤں چھالوں کو نرم لگتی ہے . . چاند کی نبض دیکھنا اٹھ کر رات کی سانس گرم لگتی ہے . . یہ روایت کہ درد مہکے رہیں دل کی دیرینہ رسم لگتی ہے . .

Koi Atka Hua Hai Pal Shayad

Koi atka hua hai pal shayad, Waqt mein pad gaya hai bal shayad.. Lab pe aai meri ghazal shayad, Wo akele hain aaj kal shayad. Dil agar hai to dard bhi hoga, Is ka koi nahin hai hal shayad.. Jaante hain sawaab-e-rahm-o-karam, Un se hota nahin amal shayad.. Aa rahi hai jo chaap qadmon ki, Khil rahe hain kahin kanwal shayad.. Raakh ko bhi kured kar dekho, Abhi jalta ho koi pal shayad.. Chaand doobe to chaand hi nikle, Aap ke paas hoga hal shayad.!! "Gulzaar" کوئی اٹکا ہوا ہے پل شاید وقت میں پڑ گیا ہے بل شاید.. لب پہ آئی مری غزل شاید وہ اکیلے ہیں آج کل شاید . . دل اگر ہے تو درد بھی ہوگا اس کا کوئی نہیں ہے حل شاید . . جانتے ہیں ثواب رحم و کرم ان سے ہوتا نہیں عمل شاید.. آ رہی ہے جو چاپ قدموں کی کھل رہے ہیں کہیں کنول شاید.. راکھ کو بھی کرید کر دیکھو ابھی جلتا ہو کوئی پل شاید.. چاند ڈوبے تو چاند ہی نکلے آپ کے پاس ہوگا حل شاید..

Khushbu Jaise Log Mile Afsaane Mein

Khushbu jaise log mile afsaane mein, Ek purana khat khola anjaane mein.. Shaam ke saaye baalishton se naape hain, Chaand ne kitni der laga di aane mein.. Raat guzarte shayad thoda waqt lage, Dhoop undelo thodi si paimaane mein.. Jaane kis ka zikr hai is afsaane mein, Dard maze leta hai jo dohraane mein.. Dil par dastak dene kaun aa nikla hai, Kis ki aahat sunta hun veeraane mein.. Hum is mod se uth kar agle mod chale, Un ko shayad umr lagegi aane mein.!! "Gulzaar" خوشبو جیسے لوگ ملے افسانے میں ایک پرانا خط کھولا انجانے میں . . شام کے سائے بالشتوں سے ناپے ہیں چاند نے کتنی دیر لگا دی آنے میں . . رات گزرتے شاید تھوڑا وقت لگے دھوپ انڈیلو تھوڑی سی پیمانے میں . . جانے کس کا ذکر ہے اس افسانے میں درد مزے لیتا ہے جو دہرانے میں . . دل پر دستک دینے کون آ نکلا ہے کس کی آہٹ سنتا ہوں ویرانے میں . . ہم اس موڑ سے اٹھ کر اگلے موڑ چلے ان کو شاید عمر لگے گی آنے میں . .

Khuli Kitaab Ke Safhe Ulat Te Rahte Hain

Khuli kitaab ke safhe ulat te rahte hain, Hawa chale na chale din palat te rahte hain.. Bas ek wahshat-e-manzil hai aur kuchh bhi nahin, Ke chand seedhiyan chadhte utar te rahte hain.. Mujhe to roz kasauti pe dard kasta hai, Ke jaan se jism ke bakhiye udhadte rahte hain.. Kabhi ruka nahin koi maqam-e-sahra mein, Ke teele paanw-tale se sarakte rahte hain.. Ye rotiyaan hain ye sikke hain aur daayere hain, Ye ek dooje ko din bhar pakadte rahte hain.. Bhare hain raat ke reze kuchh aise aankhon mein, Ujaala ho to hum aankhein jhapakte rahte hain.!! "Gulzaar" کھلی کتاب کے صفحے الٹتے رہتے ہیں ہوا چلے نہ چلے دن پلٹتے رہتے ہیں . . بس ایک وحشت منزل ہے اور کچھ بھی نہیں کہ چند سیڑھیاں چڑھتے اترتے رہتے ہیں . . مجھے تو روز کسوٹی پہ درد کستا ہے کہ جاں سے جسم کے بخیے ادھڑتے رہتے ہیں . . کبھی رکا نہیں کوئی مقام صحرا میں کہ ٹیلے پاؤں تلے سے سرکتے رہتے ہیں . . یہ روٹیاں ہیں یہ سکے ہیں اور دائرے ہیں یہ ایک دوجے کو دن بھر پکڑتے رہتے ہیں.. بھرے ہیں رات کے ریزے کچھ ایسے آنکھ

Kahin To Gard Ude Ya Kahin Ghubaar Dikhe

Kahin to gard ude ya kahin ghubaar dikhe, Kahin se aata hua koi shahwaar dikhe.. Khafa thi shaakh se shayad ke jab hawa guzri, Zameen pe girte hue phool be-shumaar dikhe.. Rawaa'n hain phir bhi ruke hain wahin pe sadiyon se, Bade udaas lage jab bhi aabshaar dikhe.. Kabhi to chaunk ke dekhe koi humari taraf, Kisi ki aankh mein hum ko bhi intizaar dikhe, Koi tilismi sifat thi jo is hujoom mein wo, Hue jo aankh se ojhal to baar baar dikhe.!! "Gulzaar" کہیں تو گرد اڑے یا کہیں غبار دکھے کہیں سے آتا ہوا کوئی شہوار دکھے . . خفا تھی شاخ سے شاید کہ جب ہوا گزری زمیں پہ گرتے ہوئے پھول بے شمار دکھے . . رواں ہیں پھر بھی رکے ہیں وہیں پہ صدیوں سے بڑے اداس لگے جب بھی آبشار دکھے . . کبھی تو چونک کے دیکھے کوئی ہماری طرف کسی کی آنکھ میں ہم کو بھی انتظار دکھے . . کوئی طلسمی صفت تھی جو اس ہجوم میں وہ ہوئے جو آنکھ سے اوجھل تو بار بار دکھے . .

Jab Bhi Ye Dil Udaas Hota Hai

Jab bhi ye dil udaas hota hai, Jaane kaun aas-paas hota hai.. Aankhein pahchanti hain aankhon ko, Dard chehra-shanaas hota hai.. Go barasti nahin sada aankhein, Abr to barah-maas hota hai.. Chhaal pedo'n ki sakht hai lekin, Neeche naa khun ke maas hota hai.. Zakhm kahte hain dil ka gahna hai, Dard dil ka libaas hota hai.. Das hi leta hai sab ko ishq kabhi, Saanp mauqa-shanaas hota hai.. Sirf itna karam kiya kijiye, Aap ko jitna raas hota hai.!! "Gulzaar" جب بھی یہ دل اداس ہوتا ہے جانے کون آس پاس ہوتا ہے.. آنکھیں پہچانتی ہیں آنکھوں کو درد چہرہ شناس ہوتا ہے.. گو برستی نہیں سدا آنکھیں ابر تو بارہ ماس ہوتا ہے . . چھال پیڑوں کی سخت ہے لیکن نیچے ناخن کے ماس ہوتا ہے.. زخم کہتے ہیں دل کا گہنہ ہے درد دل کا لباس ہوتا ہے.. ڈس ہی لیتا ہے سب کو عشق کبھی سانپ موقع شناس ہوتا ہے.. صرف اتنا کرم کیا کیجے آپ کو جتنا راس ہوتا ہے..

Jab Bhi Aankhon Mein Ashk Bhar Aaye

Jab bhi aankhon mein ashk bhar aaye, Log kuchh doobte nazar aaye.. Apna mehwar badal chuki thi zameen, Hum khala se jo laut kar aaye.. Chaand jitne bhi gum hue shab ke, Sab ke ilzaam mere sar aaye.. Chand lamhe jo laut kar aaye, Raat ke aakhiri pahar aaye.. Ek goli gayi thi su-e-falak, Ek parinde ke baal-o-par aaye.. Kuchh charaghon ki saans toot gayi, Kuchh ba-mushkil dam-e-sahar aaye.. Mujh ko apna pata-thikana mile, Wo bhi ek baar mere ghar aaye.!! "Gulzaar" جب بھی آنکھوں میں اشک بھر آئے لوگ کچھ ڈوبتے نظر آئے.. اپنا محور بدل چکی تھی زمیں ہم خلا سے جو لوٹ کر آئے.. چاند جتنے بھی گم ہوئے شب کے سب کے الزام میرے سر آئے . . چند لمحے جو لوٹ کر آئے رات کے آخری پہر آئے .. ایک گولی گئی تھی سوئے فلک اک پرندے کے بال و پر آئے . . کچھ چراغوں کی سانس ٹوٹ گئی کچھ بہ مشکل دم سحر آئے . . مجھ کو اپنا پتا ٹھکانہ ملے وہ بھی اک بار میرے گھر آئے..

Hum To Kitnon Ko Mah-jabeen Kahte

Hum to kitnon ko mah-jabeen kahte, Aap hain is liye nahin kahte.. Chaand hota na aasman pe agar, Hum kise aap sa haseen kahte.. Aap ke paanw phir kahaan padte, Hum zameen ko agar zameen kahte.. Aap ne auron se kaha sab kuchh, Hum se bhi kuchh kabhi kahin kahte.. Aap ke baad aap hi kahiye, Waqt ko kaise hum-nasheen kahte.. Wo bhi waahid hai main bhi waahid hun,  Kis sabab se hum aafreen kahte.!! "Gulzaar" ہم تو کتنوں کو مہ جبیں کہتے آپ ہیں اس لیے نہیں کہتے.. چاند ہوتا نہ آسماں پہ اگر ہم کسے آپ سا حسیں کہتے . . آپ کے پاؤں پھر کہاں پڑتے ہم زمیں کو اگر زمیں کہتے . . آپ نے اوروں سے کہا سب کچھ ہم سے بھی کچھ کبھی کہیں کہتے . . آپ کے بعد آپ ہی کہیے وقت کو کیسے ہم نشیں کہتے . . وہ بھی واحد ہے میں بھی واحد ہوں کس سبب سے ہم آفریں کہتے . .

Hawa Ke Seeng Na Pakdo Khaded Deti Hai

Hawa ke seeng na pakdo khaded deti hai, Zameen se pedo'n ke taanke udhed deti hai, Main chup karaata hun har shab umadti baarish ko, Magar ye roz gayi baat chhed deti hai, Zameen sa dusra koi sakhi kahaan hoga, Zara sa beej utha le to ped deti hai.. Rundhe gale ki duaaon se bhi nahin khulta, Dar-e-hayat jise maut bhed deti hai.!! "Gulzaar" ہوا کے سینگ نہ پکڑو کھدیڑ دیتی ہے زمیں سے پیڑوں کے ٹانکے ادھیڑ دیتی ہے . . میں چپ کراتا ہوں ہر شب امڈتی بارش کو مگر یہ روز گئی بات چھیڑ دیتی ہے . . زمیں سا دوسرا کوئی سخی کہاں ہوگا ذرا سا بیج اٹھا لے تو پیڑ دیتی ہے . . رندھے گلے کی دعاؤں سے بھی نہیں کھلتا در حیات جسے موت بھیڑ دیتی ہے . .

Haath Chhootein Bhi To Rishte Nahin Chhoda Karte

Haath chhootein bhi to rishte nahin chhoda karte, Waqt ki shaakh se lamhe nahin toda karte.. Jis ki aawaz mein silwat ho nigahon mein shikan, Aisi tasveer ke tukde nahin joda karte.. Lag ke saahil se jo bahta hai use bahne do, Aise dariya ka kabhi rukh nahin moda karte.. Jaagne par bhi nahin aankh se girtin kirchein, Is tarah khwabon se aankhein nahin phoda karte.. Shahd jeene ka mila karta hai thoda thoda, Jaane waalon ke liye dil nahin thoda karte.. Ja ke kohsaar se sar maaro ke aawaz to ho, Khasta deewaron se maatha nahin phoda karte.!!  "Gulzaar" ہاتھ چھوٹیں بھی تو رشتے نہیں چھوڑا کرتے وقت کی شاخ سے لمحے نہیں توڑا کرتے.. جس کی آواز میں سلوٹ ہو نگاہوں میں شکن ایسی تصویر کے ٹکڑے نہیں جوڑا کرتے.. لگ کے ساحل سے جو بہتا ہے اسے بہنے دو ایسے دریا کا کبھی رخ نہیں موڑا کرتے . . جاگنے پر بھی نہیں آنکھ سے گرتیں کرچیں اس طرح خوابوں سے آنکھیں نہیں پھوڑا کرتے . . شہد جینے کا ملا کرتا ہے تھوڑا تھوڑا جانے والوں کے لیے دل نہیں تھوڑا کرتے . . جا کے کہسار سے سر مارو

Gulon Ko Sunna Zara Tum, Sadaaen Bheji Hain

Gulon ko sunna zara tum, sadaaen bheji hain, Gulon ke haath bahut si duaaen bheji hain.. Jo aaftab kabhi bhi ghuroob hota nahin, Humara dil hai usi ki shuaaen bheji hain..  Agar jalaye tumhein bhi, shifa mile shayad, Ek aise dard ki tum ko shuaaen bheji hain.. Tumhaari khushk si aankhein bhali nahin lagtin, Wo saari cheezein jo tum ko rulaaen, bheji hain, Siyaah rang chamakti hui kanaari hai, Pahan lo achchhi lagengi ghataaen bheji hain.. Tumhaare khwab se har shab lipat ke sote hain, Sazaaen bhej do hum ne khataaen bheji hain.. Akela patta hawa mein bahut buland uda, Zameen se paanw uthao hawaaen bheji hain.!! "Gulzaar" گلوں کو سننا ذرا تم صدائیں بھیجی ہیں گلوں کے ہاتھ بہت سی دعائیں بھیجی ہیں . . جو آفتاب کبھی بھی غروب ہوتا نہیں ہمارا دل ہے اسی کی شعاعیں بھیجی ہیں.. اگر جلائے تمہیں بھی شفا ملے شاید اک ایسے درد کی تم کو شعاعیں بھیجی ہیں . . تمہاری خشک سی آنکھیں بھلی نہیں لگتیں وہ ساری چیزیں جو تم کو رلائیں، بھیجی ہیں . . سیاہ رنگ چمکتی ہوئی کناری ہے پ

Garam Laashein Girin Faseelon Se

Gara m laashein girin faseelon se, Aasman bhar gaya hai cheelon se, Sooli chadhne lagi hai khamoshi, Log aaye hain sun ke meelon se, Kaan mein aise utri sargoshi, Barf phisli ho jaise teelon se, Goonj kar aise laut ti hai sada, Koi poochhe hazaron meelon se, Pyaas bharti rahi mere andar, Aankh hat ti nahin thi jheelon se, Log kaandhe badal badal ke chale, Ghaat pahunche bade waseelon se.!!  "Gulzaar" گرم لاشیں گریں فصیلوں سے آسماں بھر گیا ہے چیلوں سے . . سولی چڑھنے لگی ہے خاموشی لوگ آئے ہیں سن کے میلوں سے . . کان میں ایسے اتری سرگوشی برف پھسلی ہو جیسے ٹیلوں سے . . گونج کر ایسے لوٹتی ہے صدا کوئی پوچھے ہزاروں میلوں سے.. پیاس بھرتی رہی مرے اندر آنکھ ہٹتی نہیں تھی جھیلوں سے . . لوگ کندھے بدل بدل کے چلے گھاٹ پہنچے بڑے وسیلوں سے . . 

Ek Parwaaz Dikhaai Di Hai

Ek parwaaz dikhaai di hai, Teri aawaaz sunaai di hai.. Sirf ek safha palat kar us ne, Saari baaton ki safaai di hai.. Phir wahin laut ke jaana hoga, Yaar ne kaisi rihaai di hai.. Jis ki aankhon mein kati thin sadiyaan, Us ne sadiyon ki judaai di hai.. Zindagi par bhi koi zor nahin, Dil ne har cheez paraai di hai.. Aag mein kya kya jala hai shab bhar, Kitni khush-rang dikhaai di hai.!! "Gulzaar" ایک پرواز دکھائی دی ہے تیری آواز سنائی دی ہے.. صرف اک صفحہ پلٹ کر اس نے ساری باتوں کی صفائی دی ہے . . پھر وہیں لوٹ کے جانا ہوگا یار نے کیسی رہائی دی ہے.. جس کی آنکھوں میں کٹی تھیں صدیاں اس نے صدیوں کی جدائی دی ہے . . زندگی پر بھی کوئی زور نہیں دل نے ہر چیز پرائی دی ہے . . آگ میں کیا کیا جلا ہے شب بھر کتنی خوش رنگ دکھائی دی ہے . .

Din Kuch Aise Guzaarta Hai Koi

Din kuchh aise guzaarta hai koi, Jaise ahsaan utaarta hai koi.. Dil mein kuchh yun sambhaalta hun ghum, Jaise zewar sambhaalta hai koi.. Aaina dekh kar tasalli hui, Hum ko is ghar mein jaanta hai koi.. Ped par pak gaya hai phal shayad, Phir se patthar uchhaalta hai koi.. Der se goonjte hain sannaate, Jaise hum ko pukaarta hai koi.!! "Gulzaar" دن کچھ ایسے گزارتا ہے کوئی جیسے احساں اتارتا ہے کوئی . . دل میں کچھ یوں سنبھالتا ہوں غم جیسے زیور سنبھالتا ہے کوئی . . آئنہ دیکھ کر تسلی ہوئی ہم کو اس گھر میں جانتا ہے کوئی . . پیڑ پر پک گیا ہے پھل شاید پھر سے پتھر اچھالتا ہے کوئی.. دیر سے گونجتے ہیں سناٹے جیسے ہم کو پکارتا ہے کوئی..