Khuddariyon ke khoon ko arzaa'n na kar sake, 
Hum apne jauharo'n ko numaya'n na kar sake.. 
Ho kar kharaab-e-may tere ghum to bhula diye, 
Lekin ghum-e-hayat ka darmaa'n na kar sake.. 
Toia tilism-e-ahd-e-mohabbat kuchh is tarah, 
Phir aarzu ki shama firozaa'n na kar sake..  
Har shay qareeb aa ke kashish apni kho gayi, 
Wo bhi ilaaj-e-shauq-e-gurezaa'n na kar sake.. 
Kis darja dil-shikan the mohabbat ke haadse, 
Hum zindagi mein phir koi armaa'n na kar sake.. 
Mayoosiyon ne chhin liye dil ke walwale, 
Wo bhi nashaat-e-rooh ka saamaa'n na kar sake.!!
"Sahir Ludhianwi" 
__________ 
Arzaa'n = of lesser value, cheap, 
Darmaa'n = medicine, remedy, solution, Cure, 
Ilaaj-e-shauq-e-gurezaa'n = cure of fleeting; fugitive love, 
No comments:
Post a Comment