Showing posts with label Behzad Lakhnawi. Show all posts
Showing posts with label Behzad Lakhnawi. Show all posts

Thursday, December 21, 2017

Un Ko But Samjha Tha Ya Un Ko Khuda Samjha Tha Main

Un ko but samjha tha ya un ko khuda samjha tha main...
Haan bata de ai jabeen-e-shauq kya samjha tha main.!

Allah allah kya inaayat kar gai mizraab-e-ishq...
Warna saaz-e-zindagi ko be'sada samjha tha main.!

Un se shikwa kyoon karun un se shikayat kya karun...
Khud badi mushkil se apna mudda'a samjha tha main.!

Meri haalat dekhiye mera tadapna dekhiye...
Aap ko is se gharaz kya hai ki kya samjha tha main.!

Khul gaya ye raaz un aankhon ke ashk-e-naaz se...
Kaifiyat-e-husn ko ghum se juda samjha tha main.!

Ai jabeen-e-shauq haan tujh ko badi zahmat hui...
Aaj har zarre ko un ka naqsh-e-pa samjha tha main.!

Ek nazar par munhasir thi zeest ki kul kaainaat...
Har nazar ko jaan jaan-e-mudda'a samjha tha main.!

Aa raha hai kyoon kisi ka naam honthon tak mere...
Ai dil-e-muztar tujhe sabr-aazma samjha tha main.!

Aap to har har qadam par ho rahe hain jalwa-gar...
Aap ko hadd-e-nazar se maawara samjha tha main.!

Ye fughaa'n ye shor ye naale ye shewan the fuzool...
Kya bataati thi mohabbat aur kya samjha tha main.!

Us nigaah-e-naaz ne 'Behzad' mujh ko kho diya
Jis nigaah-e-naaz ko apni dawa samjha tha main..!!

"Behzad Lakhnawi"
___
Dil-e-muztar = anxious/troubled/Impatient Heart,
Sabr-aazma = patience-testing,
Maawara = what is behind or beyond, besides, over and above,
Fughaa'n = clamour, lamentation, wail, cry of pain or distress
फ़रियाद,
Shewan = grief, lamentation, mourning,

Tumhaare Husn Ki Taskheer Aam Hoti Hai

Tumhaare husn ki taskheer aam hoti hai,
Ke ek nigaah mein duniya tamaam hoti hai...

Jahaan pe jalwa-e-jaanaa hai anjuman-aara,
Wahaan nigaah ki manzil tamaam hoti hai...

Wahi khalish wahi sozish wahi tapish wahi dard,
Humein sahar bhi ba-andaaz-e-shaam hoti hai...

Nigaah-e-husn mubarak tujhe dar-andaazi,
Kabhi kabhi meri mahfil bhi aam hoti hai...

Zahe naseeb mein qurbaan apni qismat ke,
Tere liye meri duniya tamaam hoti hai...

Namaaz-e-ishq ka hai inhisaar ashkon tak,
Ye be-niyaaz-e-sujood-o-qayaam hoti hai...

Teri nigaah ke qurbaan teri nigaah ki tees,
Ye na-tamaam hi rah kar tamaam hoti hai...

Wahaan pe chal mujhe le kar mere samand-e-khyaal,
Jahaan nigaah ki masti haraam hoti hai...

Kisi ke zikr se 'Behzad' mubtala ab tak,
Jigar mein ek khalish-e-na'tamaam hoti hai..!!

"Behzad Lakhnawi"

Wednesday, December 20, 2017

Tujh Par Meri Mohabbat Qurbaan Ho Na Jaaye

Tujh par meri mohabbat qurbaan ho na jaaye,
Ye kufr badhte badhte imaan ho na jaaye,

Allah ri be-naqaabi us jaan-e-mudda'a ki,
Meri nigaah-e-hasrat hairaan ho na jaaye,

Meri taraf na dekho apni nazar ko roko,
Duniya-e-aashiqi mein haijaan ho na jaaye,

Palkon pe ruk gaya hai aa kar jo ek aansu,
Ye qatra badhte badhte toofaan ho na jaaye,

Hadd-e-sitam to hai bhi hadd-e-wafa nahin hai,
Zaalim tera sitam bhi ahsaan ho na jaaye,

Hoti nahin hai waq'at hoti nahin hai izzat,
Jab tak ki koi insaan, insaan ho na jaaye,

Us waqt tak mukammal hota nahin hai koi,
Jab tak ke khud ko apni pahchaan ho na jaaye,

'Behzad' is liye main kahta nahin hoon dil ki,
Darta hoon sun ke duniya hairaan ho na jaaye..!!

"Behzad Lakhnawi"
___
Jaan-e-mudda'a = life of desire
life of one's desire, beloved,
Haijaan = excitement,
Waq'at = weight, force, respect, regard,

Masroor Bhi Hoon Khush Bhi Lekin Khushi Nahin

Masroor bhi hoon khush bhi hoon lekin khushi nahin...
Tere baghair zeest to hai zindagi nahin.!

Main dard-e-aashiqi ko samajhta hoon jaan-o-rooh...
Kambakht wo bhi dil mein kabhi hai kabhi nahin.!

La ghum hi daal de mere dast-e-sawaal mein...
Main kya karun khushi ko jo teri khushi nahin.!

Kuchh der aur rahne de khuddaari-e-junoon...
Daaman to chaak hona hai lekin abhi nahin.!

Saaqi nigaah-e-naaz se lillah kaam le...
Sau jaam pi chuka hoon magar be'khudi nahin.!

Rakhna padegi tum ko tahi-daamani ki laaj...
Mujh ko kami zaroor hai tum ko kami nahin.!

'Behzad' saaf saaf main kahta hoon haal-e-dil...
Sharminda-e-kamaal meri shaairi nahin.!!

"Behzad Lakhnawi"
___
Tahi-daamani = state of being empty handed/poor/penniless

Lab Pe Hai Fariyaad Ashkon Ki Rawaani Ho Chuki

Lab pe hai fariyaad ashkon ki rawaani ho chuki,
Ek kahaani chhid rahi hai ek kahaani ho chuki...

Mehr ke parde mein poori dil-sitaani ho chuki,
Banda-parwar rahm kijiye mehrbaani ho chuki...

Mera dil taaka gaya jaur o jafa ke waaste,
Jab ke poore rang par un ki jawaani ho chuki...

Jaaiye bhi kyoon mujhe jhoothi tashaffi dijiye,
Aap se aur mere dil ki tarjumaani ho chuki...

Aa gaya ai sunne waale ab mujhe paas-e-wafa,
Ab bayaan rudaad-e-dil meri zabaani ho chuki...

Aakhiri aansu meri chashm-e-alam se gir chuka,
Sunne waalon khatm ab meri kahaani ho chuki...

Hum bhi tang aa hi gaye aakhir niyaz o naaz se,
Haan khusha qismat ke un ki mehrbaani ho chuki...

Sunne waale soorat-e-tasweer baithe hain tamaam,
Hazrat-e-'Behzad' bas jaadu-bayaani ho chuki.!!

"Behzad Lakhnawi"
___
Dil-sitaani = fascinating, alluring,
Jaur = violence, tyranny, oppression,
Tashaffi = consolation, satisfaction, calmness,
Rudaad-e-dil = report of heart,
Niyaaz = desire, supplication, offering, aquaintance
इच्छा, दर्शन,
Naaz = pride, grace
गर्व, सौन्दर्य, हाव-भाव, अभिमान,
Khushaa = how fortunate, blessed, happy,

Khushi Mahsoos Karta Hoon Na Ghum Mahsoos Karta Hoon

Khushi mahsoos karta hun na ghum mahsoos karta hun...

Magar haan dil mein kuchh kuchh zer-o-bam mahsoos karta hun.!

Mohabbat ki ye nairangi bhi duniya se niraali hai...

Alam koi nahin lekin alam mahsoos karta hun.!

Meri nazron mein ab baaqi nahin hai zauq-e-kufr-o-deen...

Main ek markaz pe ab dair-o-haram mahsoos karta hun.!

Jo lutf-e-zindagaani mil raha tha ghat'ta jaata hai...

Kalish jo dil mein rahti thi wo kam mahsoos karta hun.!

Tumhaare zikr par kab munhasir hai dil ki betaabi...

Kisi ka zikr ho main chashm-e-nam mahsoos karta hun.!

Kabhi paata hun dil mein ek hashr-e-dard-e-betaabi...

Kabhi main apne dil mein dard-o-ghum mahsoos karta hun.!

Zabaan par meri shikwa aa nahin sakta zamaane ka...

Ke har aalam ko main un ka karam mahsoos karta hun.!

Ye dil mein hai jo ghabraahat ye aankhon mein hai jo aansu...

Is ahsaan ko bhi baala-e-karam mahsoos karta hun.!

Khushi ki mujh ko ab "Behzad" kuchh haajat nahin baaqi...

Ke ghum ko bhi main ab un ka karam mahsoos karta hun.!!

"Behzad Lakhnawi"
___
Nairangi = transience, changeability,
Munhasir = surrounded, besieged, dependent on, resting on,

Ek Bewafa Ko Pyaar Kiya, Haye Kya Kiya

Ek bewafa ko pyaar kiya, haye kya kiya...
Khud dil ko be'qaraar kiya haye kya kiya.!

Ma'alum tha ki ahd-e-wafa un ka jhooth hai...
Is par bhi aitebaar kiya, haye kya kiya.!

Wo dil ke jis pe qeemat-e-kaunain thi nisaar...
Nazr-e-nigaah-e-yaar kiya, haye kya kiya.!

Khud hum ne faash faash kiya raaz-e-aashiqui...
Daaman ko taar taar kiya, haye kya kiya.!

Aahein bhi baar baar bhari'n un ke hijr mein...
Naala bhi baar baar kiya, haye kya kiya.!

Mitne ka ghum nahin hai bas itna malaal hai...
Kyoon tera intezaar kiya, haye kya kiya.!

Hum ne to ghum ko seene se apne laga liya...
Ghum ne hamein shikaar kiya, haye kya kiya.!

Sayyaad ki raza ye hum aansu na pi sake...
Uzr-e-ghum-bahaar kiya, haye kya kiya.!

Qismat ne aah hum ko ye din bhi dikha diye...
Qismat pe aitebaar kiya, haye kya kiya.!

Rangeeni-e-khyaal se kuchh bhi na bach saka...
Har shay ko pur-bahaar kiya, haye kya kiya.!

Dil ne bhula bhula ke teri bewafaaiya'n...
Phir ahd ustuwaar kiya, haye kya kiya.!

Un ke sitam bhi sah ke na un se kiya gila...
Kyoon jabr ikhtiyaar kiya, haye kya kiya.!

Kaafir ki chashm-e-naaz pe kya dil-jigar ka zikr...
Imaan tak nisaar kiya, haye kya kiya.!

Kaali ghata ke uthte hi tauba na rah saki...
Tauba pe aitebaar kiya, haye kya kiya.!

Shaam-e-firaaq qalb ke daagho'n ko gin liya...
Taaro'n ko bhi shumaar kiya, haye kya kiya.!

'Behzad' ki na qadar koi tum ko ho saki...
Tum ne zaleel-o-khwaar kya haye kya kiya.!!

"Behzad Lakhnawi"
___
Ustuwaar = firm, strong,

Ek Bewafa Ko Dard Ka Darmaa'n Bana Liya

Ek bewafa ko dard ka darmaa'n bana liya...
Hum ne to aah kufr ko imaa'n bana liya.!

Dil ki khalish-pasandiya'n hain ke allah ki panaah...
Trer-e-nazar ko jaan-e-rag-e-jaa'n bana liya.!

Mujh ko khabar nahin mere dil ko khabar nahin...
Kis ki nazar ne banda-e-ahsaa'n bana liya.!

Mahsoos kar ke hum ne mohabbat ka har alam...
Khwaab-e-subuk ko khwaab-e-pareshaa'n bana liya.!

Dast-e-junoo'n ki uqda-kushaai to dekhiye...
Daaman ko be-niyaaz garebaa'n bana liya.!

Taskeen-e-dil ki hum ne bhi parwaah chhod di...
Har mauj-e-ghum ko haasil-e-toofaa'n bana liya.!

Jab un ka naam aa gaya hum muztarib hue...
Aaho'n ko apni zeest ka unwaa'n bana liya.!

Hum ne to apne dil mein wo ghum ho ki ho alam...
Jo koi aa gaya use mehmaa'n bana liya.!

Aaina dekhne ki zarurat na thi koi...
Apne ko khud hi aap ne haira'n bana liya.!

Ek bewafa pe kar ke tasadduq dil-o-jigar...

'Behzad' hum ne khud ko pareshaa'n bana liya..!!

"Behzad Lakhnawi"
___
Darmaa'n = medicine, remedy, solution, Cure
इलाज,
Uqda-kushaai = open knots,
Be-niyaaz = without want, independent, carefree,
Muztarib = restless,
Tasadduq = sacrifice, charity, alms,

Deewana Banaana Hai To Deewana Bana De

Deewana banaana hai to deewana bana de...
Warna kahin taqdeer tamasha na bana de...

Ai dekhne waalon mujhe hans hans ke na dekho...
Tum ko bhi mohabbat kahin mujh sa na bana de...

Main dhhundh raha hun meri wo shama kahaan hai...
Jo bazm ki har cheez ko parwana bana de...

Aakhir koi soorat bhi to ho khaana-e-dil ki...
Kaaba nahin banta hai to but-khaana bana de...

'Behzad' har ek gaam pe ek sajda-e-masti...
Har zarre ko sang-e-dar-e-jaanaa bana de..!!

"Behzad Lakhnawi"

Chashm-e-haseen Mein Hai Na Rukh-e-fitna'gar Mein Hai

Chashm-e-haseen mein hai na rukh-e-fitna'gar mein hai...
Duniya ka har fareb fareb-e-nazar mein hai.!

Ab kya khabar ke dil mein hai kya kya jigar mein hai...
Ab to teri nazar ka tamasha nazar mein hai.!

Imaan rakh ke kya karun farsooda cheez hai...
Masti mujhe qubool ke teri nazar mein hai.!

Naasoor dard-e-zakhm tapish soz-o-iztiraab...
Saamaan sau tarah ka dil-e-mukhtasar mein hai.!

Haazir hai us ke waaste jis ko ho aarzoo...
Haan ek lahoo ki boond meri chashm-e-tar mein hai.!

Qismat se mil gayi hai ye bedaari-e-hayat...
Is ishq ke nisaar ke duniya nazar mein hai.!

Mujh ko na din ko chain na shab ko sukoon naseeb...
Ek rabt-e-daa'imi meri shaam-o-sahar mein hai.!

Hairat se dekhiye na mere sajda'haa-e-shauq...
Ye aastaan kuchh aur hi meri nazar mein hai.!

Baaqi hain baad-e-tauba bhi rindi ke walwale...
Dil mein khyaal-e-baada hai saaghar nazar mein hai.!

Achchhi mili hai mujh ko ye deewangi-e-shauq.!
Duniya ka har khyaal dil-e-be'khabar mein hai.!

Do qatra'haa-e-khoon sar-e-mizhgaan hain muntazir...
'Behzad' do jahaan ka tamasha nazar mein hai..!!

"Behzad Lakhnawi"
___
Chashm-e-haseen = eyes of beautiful,
Farsooda = outdated/ obsolete,
Aastaan = abode, threshold, shrine,
Rindi = drunkenness, debauchery,
Khyaal-e-baada = thought of wine,
Sar-e-mizhgaan = on eyelashes,

Ai Jazba-e-dil Gar Main Chaahun Har Cheez Muqaabil Aa Jaaye

Ai jazba-e-dil gar main chaahun har cheez muqaabil aa jaaye...
Manzil ke liye do gaam chalun aur saamne manzil aa jaye.!

Ai dil ki khalish chal yunhi sahi chalta to hoon un ki mahfil mein...
Us waqt mujhe chaunka dena jab rang pe mahfil aa jaaye.!

Ai rahbar-e-kaamil chalne ko tayyaar to hoon par yaad rahe...
Us waqt mujhe bhatka dena jab saamne manzil aa jaaye.!

Haan yaad mujhe tum kar lena aawaaz mujhe tum de lena...
Is raah-e-mohabbat mein koi darpesh jo mushkil aa jaaye.!

Ab kyoon dhhundhun wo chashm-e-karam hone de sitam baala-e-sitam...
Main chaahta hoon ai jazba-e-ghum mushkil pas-e-mushkil aa jaaye.!

Is jazba-e-dil ke baare mein ek mashwara tum se leta hoon...
Us waqt mujhe kya laazim hai jab tujh pe mera dil aa jaaye.!

Ai barq-e-tajalli kaundh zara kya tu ne mujh ko bhi moosa samjha hai...
Main toor nahin jo jal jaaun jo chaahe muqaabil aa jaaye.!

Aata hai jo toofan aane do kashti ka khuda khud haafiz hai...
Mumkin to nahin in maujon mein bahta hua saahil aa jaaye..!!

"Behzad Lakhnawi"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...