Posts

Showing posts from February, 2018

Shajar Hain Ab Samar-aasaar Mere

Shajar hain ab samar-aasaar mere, Chale aate hain daawe'daar mere, Muhajir hain na ab ansaar mere, Mukhaalif hain bahut is baar mere, Yahaan ek boond ka mohtaaj hun main, Samandar hain samandar paar mere, Abhi murdon mein roohein phoonk Daalein, Agar chaahein to ye beemar mere, Hawa'en odh kar soya tha dushman, Gaye bekaar saare waar mere, Main aa kar dushmanon mein bas gaya hun, Yahaan humdard hain do-chaar mere, Hansi mein taal dena tha mujhe bhi, Khafa kyun ho gaye sarkaar mere, Tasawwur mein na jaane kaun aaya, Mahak utthe dar-o-deewar mere, Tumhaara naam duniya jaanti hai, Bahut ruswa hain ab ash'aar mere, Bhanwar mein ruk gayi hai naaw meri, Kinaare rah gaye is paar mere, Main khud apni hifazat kar raha hun, Abhi soye hain pahre-daar mere.!! "Rahat Indori"

Sawaal, Ghar Nahin Buniyaad Par Uthaya Hai

Sawaal, ghar nahin buniyaad par uthaya hai, Humare paanw ki mitti ne sar uthaya hai, Hamesha sar pe rahi ek chattaan rishton ki, Ye bojh wo hai jise umr-bhar uthaya hai, Meri ghulail ke patthar ka kaar-nama tha, Magar ye kaun hai jis ne samar uthaya hai, Yahi zameen mein dabayega ek din hum ko, Ye aasman jise dosh par uthaya hai, Bulandiyon ko pata chal gaya ke phir main ne, Hawa ka toota hua ek par uthaya hai, Maha-bali se baghawat bahut zaroori hai, Qadam ye hum ne samajh soch kar uthaya hai.!! "Rahat Indori"

Saath Manzil Thi Magar Khauf-o-khatar Aisa Tha

Saath manzil thi magar khauf-o-khatar aisa tha, Umr-bhar chalte rahe log, safar aisa tha, Jab wo aaye to main khush bhi hua sharminda bhi, Meri taqdir thi aisi mera ghar aisa tha, Hifz thin mujh ko bhi chehron ki kitabein kya kya, Dil shikasta tha magar tez nazar aisa tha, Aag odhe tha magar baant raha tha saaya, Dhoop ke shahar mein ek tanha shajar aisa tha, Log khud apne charaghon ko bujha kar soye, Shahar mein tez hawaaon ka asar aisa tha..!! "Rahat Indori"

Sar Par Saat Aakaash Zameen Par Saat Samandar Bikhre Hain

Sar par saat aakaash zameen par saat samandar bikhre hain, Aankhein chhoti pad jaati hain itne manzar bikhre hain, Zinda rahna khel nahin hai is aabaad kharaabe mein, Wo bhi aksar toot gaya hai hum bhi aksar bikhre hain, Us basti ke logon se jab baatein ki'n to ye jaana, Duniya bhar ko jodne waale andar andar bikhre hain, In raaton se apna rishta jaane kaisa rishta hai, Neendein kamron mein jaagi hain khwaab chhaton par bikhre hain, Aangan ke masoom shajar ne ek kahaani likkhi hai, Itne phal shaakhon pe nahin the jitne patthar bikhre hain, Saari dharti saare mausam ek hi jaise lagte hain, Aankhon aankhon qaid hue the manzar manzar bikhre hain.!! "Rahat Indori"

Sabab Wo Poochh Rahe Hain Udaas Hone Ka

Sabab wo poochh rahe hain udaas hone ka, Mera mizaaj nahin be-libaas hone ka, Naya bahana hai har pal udaas hone ka, Ye faaida hai tere ghar ke paas hone ka, Mahakti raat ke lamho nazar rakho mujh par, Bahana dhoondh raha hun udaas hone ka, Main tere paas bata kis gharaz se aaya hun, Suboot de mujhe chehra-shanaas hone ka, Meri ghazal se bana zehn mein koi tasveer, Sabab na poochh mere dewdas hone ka, Kahaan ho aao meri bhooli-bisri yaadon aao, Khush-aamdeed, hai mausam udaas hone ka, Kayi dino'n se tabiyat meri udaas na thi, Yahi jawaaz bahut hai udaas hone ka, Main ahmiyat bhi samajhta hun qahqaho'n ki magar, Maza kuchh apna alag hai udaas hone ka, Mere labo'n se tabassum mazaaq karne laga, Main likh raha tha qaseeda udaas hone ka, Pata nahin ye parinde kahaan se aa pahunche, Abhi zamana kahaan tha udaas hone ka, Main kah raha hun ke ai dil idhar-udhar na bhatak, Guzar na jaaye zamana udaas hone ka.!! "Rahat Indori"

Sab Ko Ruswa Baari Baari Kiya Karo

Sab ko ruswa baari baari kiya karo, Har mausam mein fatwe jaari kiya karo, Raaton ka neendon se rishta toot chuka, Apne ghar ki pahre-daari kiya karo, Qatra qatra shabnam gin kar kya hoga, Dariyaaon ki daawe-daari kiya karo, Roz qaseede likkho goonge bahron ke, Fursat ho to ye begaari kiya karo, Shab bhar aane waale din ke khwaab buno, Din bhar fikr-e-shab-bedaari kiya karo, Chaand zyada raushan hai to rahne do, Jugnu-bhayya, ji mat bhaari kiya karo, Jab ji chaahe maut bichha do basti mein, Lekin baatein pyaari pyaari kiya karo, Raat badan-dariya mein roz utarti hai, Is kashti mein khoob sawaari kiya karo, Roz wahi ek koshish zinda rahne ki, Marne ki bhi kuchh tayyaari kiya karo, Khwaab lapete sote rahna theek nahin, Fursat ho to shab-bedaari kiya karo, Kaaghaz ko sab saunp diya ye theek nahin, Sheyr kabhi khud par bhi taari kiya karo..!! "Rahat Indori"

Roz Taaron Ko Numaaish Mein Khalal Padta Hai

Roz taaron ko numaaish mein khalal padta hai, Chaand paagal hai andhere mein nikal padta hai, Ek deewana musaafir hai meri aankhon mein, Waqt-be-waqt thehar jaata hai chal padta hai, Apni taabeer ke chakkar mein mera jaagta khwaab, Roz sooraj ki tarah ghar se nikal padta hai, Roz patthar ki himayat mein ghazal likhte hain, Roz sheeshon se koi kaam nikal padta hai, Us ki yaad aai hai saanso zara aahista chalo, Dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal padta hai.!! "Rahat Indori"

Zabt Karta Hoon To Har Zakhm Lahu Deta Hai

Zabt Karta Hoon To Har Zakhm Lahu Deta Hai, Aah Karta Hoon To Andesha-E-Ruswaai Hai... Dekhta Hoon To Hazaaro'n Se Shanasaai Hai, Sochta Hoon To Wahi Ghum Wahi Tanhaai Hai..!!

Ta'alluq Rakh Liya Baaqi

Ta'alluq Rakh Liya Baaqi, Yaqeen Ab Tod Aaya Hoon, Kisi Ka Saath Dena Tha, Kisi Ko Chhod Aaya Hoon... Tumhaare Saath Jeene Ki Qasam Khaane Se Kuch Pahle, Main Kuch Waade, Kayi Qasmein, Kahin Pe Tod Aaya Hoon... Use Jaane Ki Jaldi Thi So Main Aankhon Hi Aankhon Mein, Jahaan Tak Chhod Sakta Tha, Wahin Tak Chhod Aaya Hoon..!!

Chalo Achcha Kiya Tum Ne

Chalo Achcha Kiya Tum Ne... Mohabbat Tark Kar Daali, Mohabbat Waise Bhi Itna Bada Rishta Nahi Hota. Jise Har Haal Mein Rakhna Zaroori Ho, Mohabbat Aur Majboori Mein Thoda Farq Hota Hai. Khushi Hai Tum Ne Is Rishte Ko Majboori Nahi Samjha, Chalo Achcha Kiya Tum Ne. Riya'kaari Nahi Ki Hai, Ada'kaari Nahi Ki Hai, Koi Parda Nahi Rakkha, Koi Dhokha Nahi Rakkha, Mohabbat Jhooth Ka Malboos Pahne Khoobsurat Thi, Girebaa'n Chaak Hone Ka Ye Dukh Apni Jagah Lekin. Khushi Hai Jhooth Ki Duniya Mein Kuch Sachcha Kiya Tum Ne, Bahut Achcha Kiya Tum Ne..!! ﭼﻠﻮ ﺍﭼﮭﺎ ﮐﯿﺎ ﺗﻢ ﻧﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﺗﺮﮎ ﮐﺮ ﮈﺍﻟﯽ ﻣﺤﺒﺖ ﻭﯾﺴﮯ ﺑﮭﯽ ﺍﺗﻨﺎ ﺑﮍﺍ ﺭﺷﺘﮧ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﺎ ﺟﺴﮯ ﮨﺮ ﺣﺎﻝ ﻣﯿﮟ ﺭﮐﮭﻨﺎ ﺿﺮﻭﺭﯼ ﮨﻮ ﻣﺤﺒﺖ ﺍﻭﺭ ﻣﺠﺒﻮﺭﯼ ﻣﯿﮟ ﺗﮭﻮﮌﺍ ﻓﺮﻕ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ ﺧﻮﺷﯽ ﮨﮯ ﺗﻢ ﻧﮯ ﺍﺱ ﺭﺷﺘﮯ ﮐﻮ ﻣﺠﺒﻮﺭﯼ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﻤﺠﮭﺎ ﭼﻠﻮ ﺍﭼﮭﺎ ﮐﯿﺎ ﺗﻢ ﻧﮯ ﺭﯾﺎ ﮐﺎﺭﯼ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﯽ ﮨﮯ ﺍﺩﺍﮐﺎﺭﯼ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﯽ ﮨﮯ ﮐﻮﺋﯽ ﭘﺮﺩﮦ ﻧﮩﯿﮟ ﺭﮐﮭﺎ ﮐﻮﺋﯽ ﺩﮬﻮﮐﮧ ﻧﮩﯿﮟ ﺭﮐﮭﺎ ﻣﺤﺒﺖ ﺟﮭﻮﭦ ﮐﺎ ﻣﻠﺒﻮﺱ ﭘﮩﻨﮯ ﺧﻮﺑﺼﻮﺭﺕ ﺗﮭﯽ ﮔﺮﯾﺒﺎﮞ ﭼﺎﮎ ﮨﻮﻧﮯ ﮐﺎ ﯾﮧ ﺩﮐﮫ ﺍﭘﻨﯽ ﺟﮕﮧ ﻟﯿﮑﻦ ﺧﻮﺷﯽ ﮨﮯ ﺟﮭﻮﭦ ﮐﯽ ﺩﻧﯿﺎ ﻣﯿﮟ ﮐﭽﮫ ﺳﭽﺎ ﮐﯿﺎ ﺗﻢ ﻧﮯ ﺑﮩﺖ ﺍﭼ

Raat Ki Dhadkan Jab Tak Jaari Rahti Hai

Raat ki dhadkan jab tak jaari rahti hai, Sote nahin hum zimmedaari rahti hai, Jab se tu ne halki halki baatein ki'n, Yaar tabiyat bhaari bhaari rahti hai, Paanw kamar tak dhans jaate hain dharti mein, Haath pasaare jab khuddaari rahti hai, Wo manzil par aksar der se pahunche hain, Jin logo'n ke paas sawaari rahti hai, Chhat se us ki dhoop ke neze aate hain, Jab aangan mein chhanw humaari rahti hai, Ghar ke baahar dhundhta rahta hun duniya, Ghar ke andar duniya-daari rahti hai..!! "Rahat Indori"

Puraane Daanw Par Har Din Naye Aansu Lagata Hai

Puraane daanw par har din naye aansu lagata hai, Wo ab bhi ek phate rumaal par khushbu lagata hai, Use kah do ki ye unchaaiyan mushkil se milti hain, Wo sooraj ke safar mein mom ke baazu lagata hai, Main kaali raat ke tezaab se sooraj banata hun, Meri chaadar mein ye paiwand ek jugnu lagata hai, Yahaan lachhman ki rekha hai na seeta hai magar phir bhi, Bahut phere humare ghar ke ek saadhu lagata hai, namazein mustaqil pahchaan ban jaati hai chehron ki, Tilak jis tarah maathe par koi hindu lagata hai, Na jaane ye anokha farq is mein kis tarah aaya, Wo ab collar mein phoolon ki jagah bichchhu lagata hai, Andhere aur ujaale mein ye samjhauta zaroori hai, Nishaane hum lagate hain thhikaane tu lagata hai..!! "Rahat Indori"

Nadi Ne Dhoop Se Kya Kah Diya Rawaani Mein

Nadi ne dhoop se kya kah diya rawaani mein, Ujaale paanw patakne lage hain paani mein, Ye koi aur hi kirdaar hai tumhaari tarah, Tumhaara zikr nahin hai meri kahaani mein, Ab itni saari shabo'n ka hisaab kaun rakhe, Bade sawaab kamaaye gaye jawaani mein, Chamakta rahta hai sooraj-mukhi mein koi aur, Mahak raha hai koi aur raat-raani mein, Ye mauj mauj nayi halchalein si kaisi hain, Ye kis ne paanw utaare udaas paani mein, Main sochta hun koi aur karobaar karun, Kitaab kaun khareedega is giraani mein..!! "Rahat Indori"

Na Hum-safar Na Kisi Hum-nasheen Se Niklega

Na hum-safar na kisi hum-nasheen se niklega, Humare paanw ka kaanta hameen se niklega, Main jaanta tha ki zahreela saanp ban ban kar, Tera khuloos meri aasteen se niklega, Isi gali mein wo bhookha faqeer rahta tha, Talaash kijiye khazana yahin se niklega, Buzurg kahte the ek waqt aayega jis din, Jahaan pe doobega sooraj wahin se niklega, Guzishta saal ke zakhmo hare-bhare rahna, Juloos ab ke baras bhi yahin se niklega.!! "Rahat Indori"

Mujhe Dubo Ke Bahut Sharmsaar Rahti Hai

Mujhe dubo ke bahut sharmsaar rahti hai, Wo ek mauj jo dariya ke paar rahti hai, Humaare taaq bhi be-zaar hain ujaalon se, Diye ki lau bhi hawa par sawaar rahti hai, Phir us ke baad wahi baasi manzaron ke juloos, Bahaar chand hi lamhe bahaar rahti hai, Isi se qarz chukaaye hain main ne sadiyon ke, Ye zindagi jo hamesha udhaar rahti hai, Humaari shahar ke danishwaron se yaari hai, Isi liye to qaba taar taar rahti hai, Mujhe khareedne waalo qataar mein aao, Wo cheez hun jo pas-e-ishtihaar rahti hai..!! "Rahat Indori"

Mohabbaton Ke Safar Par Nikal Ke Dekhunga

Mohabbaton ke safar par nikal ke dekhunga, Ye pul-siraat agar hai to chal ke dekhunga, Sawaal ye hai ke raftaar kis ki kitni hai, Main aaftaab se aage nikal ke dekhunga, Mazaaq achchha rahega ye chaand-taaron se, Main aaj shaam se pahle hi dhhal ke dekhunga, Wo mere hukm ko fariyaad jaan leta hai, Agar ye sach hai to lahja badal ke dekhunga, Ujaale baantne waalon pe kya guzarti hai, Kisi charaagh ki maanind jal ke dekhunga, Ajab nahin ki wahi raushni mujh mil jaaye, Main apne ghar se kisi din nikal ke dekhunga..!! "Rahat Indori"

Mere Karobaar Mein Sab Ne Badi Imdaad Ki

Mere karobaar mein sab ne badi imdaad ki, Daad logo'n ki, gala apna, ghazal ustaad ki, Apni saansein bech kar main ne jise aabaad ki, Wo gali jannat to ab bhi hai magar shaddaad ki, Umr bhar chalte rahe aankho'n pe patti baandh kar, Zindagi ko dhundhne mein zindagi barbaad ki, Dastaano'n ke sabhi kirdaar kam hone lage, Aaj kaaghaz chunti phirti hai pari baghdad ki, Ek sulagta cheekhta maahaul hai aur kuchh nahin, Baat karte ho 'Yagaana' kis aminabaad ki.!! "Rahat Indori"

Mere Ashko'n Ne Kayi Aankho'n Mein Jal-thal Kar Diya

Mere ashko'n ne kayi aankho'n mein jal-thal kar diya, Ek paagal ne bahut logo'n ko paagal kar diya... Apni palko'n par saja kar mere aansu aap ne, Raaste ki dhool ko aankho'n ka kaajal kar diya... Main ne dil de kar use, ki thi wafa ki ibtida, Us ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diya... Ye hawaa'en kab nigaahein pher lein kis ko khabar, Shohrato'n ka takht jab toota to paidal kar diya... Dewtao'n aur khudao'n ki lagaai aag ne, Dekhte hi dekhte basti ko jangal kar diya... Zakhm ki soorat nazar aate hain chehron ke nuqoosh, Hum ne aaino'n ko tahzeebo'n ka maqtal kar diya... Shahar mein charcha hai aakhir aisi ladki kaun hai, Jis ne achchhe-khaase ek shaair ko paagal kar diya.!! "Rahat Indori"

Masjido'n Ke Sahn Tak Jaana Bahut Dushwaar Tha

Masjido'n ke sahn tak jaana bahut dushwaar tha, Dair se nikla to mere raaste mein daar tha, Dekhte hi dekhte shahron ki raunaq ban gaya, Kal yahi chehra humare aainon par baar tha, Apni qismat mein likhi thi dhoop ki naraazgi, Saaya-e-deewar tha lekin pas-e-deewar tha, Sab ke dukh sukh us ke chehre par likhe paaye gaye, Aadmi kya tha humaare shahar ka akhbaar tha, Ab mohalle bhar ke darwaazo'n pe dastak hai naseeb, Ek zamaana tha ke jab main bhi bahut khuddaar tha.!! "Rahat Indori"

Main Laakh Kah Dun Ki Aakash Hun Zameen Hun Main

Main laakh kah dun ki aakash hun zameen hun main, Magar use to khabar hai ki kuchh nahin hun main... Ajeeb log hain meri talaash mein mujh ko, Wahaan pe dhoondh rahe hain jahaan nahin hun main... Main aainon se to mayoos laut aaya tha, Magar kisi ne bataya bahut haseen hun main, Wo zarre zarre mein maujood hai magar main bhi, Kahin kahin hun kahaan hun kahin nahin hun main... Wo ek kitaab jo mansoob tere naam se hai, Usi kitaab ke andar kahin kahin hun main... Sitaaro aao meri raah mein bikhar jaao, Ye mera hukm hai haalanki kuchh nahin hun main... Yahin husain bhi guzre yahin yazeed bhi tha, Hazaar rang mein doobi hui zameen hun main... Ye boodhi qabrein tumhein kuchh nahin batayengi, Mujhe talaash karo dosto yahin hun main..!! "Rahat Indori"

Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyun Hain

Log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain, Itna darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain... May-kada zarf ke me'aar ka paimana hai, Khaali sheeshon ki tarah log uchhalte kyun hain... Mod hota hai jawaani ka sambhalne ke liye, Aur sab log yahin aa ke phisalte kyun hain... Neend se mera ta'alluq hi nahin barson se, Khwaab aa aa ke meri chhat pe tahalte kyun hain... Main na jugnu hun diya hun na koi taara hun, Raushni waale mere naam se jalte kyun hain..!! "Rahat Indori"

Kaali Raaton Ko Bhi Rangeen Kaha Hai Main Ne

Kaali raaton ko bhi rangeen kaha hai main ne, Teri har baat pe aameen kaha hai main ne, Teri dastaar pe tanqeed ki himmat to nahin, Apni pa-posh ko qaaleen kaha hai main ne, Maslahat kahiye use ya ke siyaasat kahiye, Cheel kawwon ko bhi shaheen kaha hai main ne, Zaaiqe baarha aankhon mein maza dete hain, Ba'az chehron ko bhi namkeen kaha hai main ne, Tu ne fan ki nahin shajre ki himaayat ki hai, Tere aizaaz ko tauheen kaha hai main ne.!! "Rahat Indori"

Kabhi Ye Daawa Ke Wo Mera Hai Faqat Mera

Kabhi Ye Daawa Ke Wo Mera Hai Faqat Mera.... Kabhi Ye Darr K Wo Mujh Se Judaa To Nahi.?.. Kabhi Ye Dua K Usay Mil Jaa'en, Saaray Jahaa'n Ki Khushiyaa''n.... Kabhi Ye Khauf K Wo Khush Meray Bina To Nahi.?.. Kabhi Ye Tamanna K Bas Jaaun Us Ki Nigaaho'n Mien.... Kabhi Ye Darr Ke Us Ki Aankho'n Ko Kisi Ne Dekha To Nahi.?.. Kabhi Ye Khwaahish Ke Zamana Ho Muntazir Us Ka.... Kabhi Ye Weham Ke Wo Kisi Se Mila To Nahi.?.. Kabhi Ye Aarzoo K Wo Jo Maangay Mil Jaaye Usay.... Kabhi Ye Waswasa, Ke Us Ne Meray Siwaa Kuch Maanga To Nahi.?..

Kahin Akele Mein Mil Kar Jhinjhorh Dunga Use

Kahin akele mein mil kar jhinjhorh dunga use, Jahaan jahaan se wo toota hai jorh dunga use, Mujhe wo chhorh gaya ye kamaal hai us ka, Irada main ne kiya tha ki chhorh dunga use, Badan chura ke wo chalta hai mujh se shisha-badan, Use ye darr hai ki main torh phorh dunga use, Pasine baant'ta phirta hai har taraf sooraj, Kabhi jo haath laga to nichorh dunga use, Maza chakha ke hi mana hun main bhi duniya ko, Samajh rahi thi ki aise hi chhorh dunga use.!! "Rahat Indori"

Kabhi Dimaagh Kabhi Dil Kabhi Nazar Mein Raho

Kabhi dimaagh kabhi dil kabhi nazar mein raho, Ye sab tumhaare hi ghar hain kisi bhi ghar mein raho, Jala na lo kahin humdardiyon mein apna wajood, Gali mein aag lagi ho to apne ghar mein raho, Tumhein pata ye chale ghar ki raahatein kya hain, Humaari tarah agar chaar din safar mein raho, Hai ab ye haal ki dar dar bhatakte phirte hain, Ghamon se main ne kaha tha ki mere ghar mein raho, Kisi ko zakhm diye hain kisi ko phool diye, Buri ho chaahe bhali ho magar khabar mein raho.!! "Rahat Indori"

Kaam Sab Ghair-zaroori Hain Jo Sab Karte Hain

Kaam sab ghair-zaroori hain jo sab karte hain, Aur hum kuchh nahin karte hain ghazab karte hain, Aap ki nazron mein sooraj ki hai jitni azmat, Hum charaaghon ka bhi utna hi adab karte hain, Hum pe haakim ka koi hukm nahin chalta hai, Hum qalandar hain shahanshah laqab karte hain, Dekhiye jis ko use dhun hai masihaai ki, Aaj kal shahar ke beemar matab karte hain, Khud ko patthar sa bana rakkha hai kuchh logon ne, Bol sakte hain magar baat hi kab karte hain, Ek ek pal ko kitaabon ki tarah padhne lage, Umr bhar jo na kiya hum ne wo ab karte hain..!! "Rahat Indori"

Jo Ye Har-su Falak Manzar Khade Hain

Jo ye har-su falak manzar khade hain, Na jaane kis ke pairon par khade hain, Tula hai dhoop barsaane pe sooraj, Shajar bhi chhatriyaan le kar khade hain, Unhein naamo'n se main pahchanta hun, Mere dushman mere andar khade hain, Kisi din chaand nikla tha yahaan se, Ujaale aaj tak chhat par khade hain, Ujala sa hai kuchh kamre ke andar, Zameen-o-aasmaan bahar khade hain.!! "Rahat Indori"

Jo Mansabo'n Ke Pujaari Pahan Ke Aate Hain

Jo mansabo'n ke pujaari pahan ke aate hain, Kulah tauq se bhaari pahan ke aate hain, Ameer-e-shahar teri tarah qeemti poshaak, Meri gali mein bhikaari pahan ke aate hain, Yahi aqeeq the shaaho'n ke taaj ki zeenat, Jo ungliyon mein madaari pahan ke aate hain, Humare jism ke daagho'n pe tabsira karne, Qamisein log humari pahan ke aate hain, Ibaadato'n ka tahaffuz bhi un ke zimme hai, Jo masjido'n mein safaari pahan ke aate hain..!! "Rahat Indori" ___ Mansabo'n = positions, status-plural, Kulah = cap, hat, bonnet, crown, Tauq = collar, yoke, necklace, Aqeeq = opal, agate एक बहुमूल्य पत्थर जो कई रंग का होता है जिसे नज़र बचाने के लिए बच्चों के गले में पहनाया जाता है, Tahaffuz = preservation, conservation,

Jab Kabhi Phoolon Ne Khushbu Ki Tijaarat Ki Hai

Jab kabhi phoolon ne khushbu ki tijaarat ki hai, Patti patti ne hawaaon se shikayat ki hai, Yoon laga jaise koi itr faza mein ghul jaaye Jab kisi bachche ne quraa'n ki tilaawat ki hai, Ja-namazon ki tarah noor mein ujlaai sahar, Raat bhar jaise farishton ne ibaadat ki hai, Sar uthaye thin bahut surkh hawa mein phir bhi, Hum ne palkon ke charaghon ki hifaazat ki hai, Mujhe tufaan-e-hawadis se daraane waalo, Haadson ne to mere haath pe bai'at ki hai, Aaj ek daana-e-gandum ke bhi haqdaar nahin, Hum ne sadiyon inhin kheton pe hukoomat ki hai, Ye zaroori tha ki hum dekhte qilon ke jalaal, Umr bhar hum ne mazaaron ki ziyaarat ki hai.!! "Rahat Indori" ___ Tufaan-e-hawadis = Storm Of Misfortunes, Jalaal = glory, anger, dignity,

Ja Ke Ye Kah De Koi Sholo'n Se Chingari Se

Ja ke ye kah de koi sholo'n se chingari se, Phool is baar khile hain badi tayyaari se, Apni har saans ko nilaam kiya hai main ne, Log aasaan hue hain badi dushwaari se, zahn mein jab bhi tere kgat ki ibaarat chamki, Ek khushbu si nikalne lagi almaari se, Shahzaade se mulaqaat to na-mumkin hai, Chaliye mil aate hain chal kar kisi darbaari se, Baadshaho'n se bhi phenke hue sikke na liye, Hum ne khairaat bhi maangi hai to khuddari se..!! "Rahat Indori"

Ise Samaan-e-safar Jaan Ye Jugnu Rakh Le

Ise samaan-e-safar jaan ye jugnu rakh le, Raah mein teergi hogi mere aansu rakh le, Tu jo chaahe to tera jhooth bhi bik sakta hai, Shart itni hai ki sone ki taraazu rakh le, Wo koi jism nahin hai ki use chhu bhi sakein, Haan agar naam hi rakhna hai to khushbu rakh le, Tujh ko an-dekhi bulandi mein safar karna hai, Ehtiyatan meri himmat mere baazu rakh le, Meri khwahish hai ki aangan mein na deewar uthe, Mere bhai mere hisse ki zameen tu rakh le..!! "Rahat Indori"

Hum Ne Khud Apni Rahnumaai Ki

Hum ne khud apni rahnumaai ki, Aur shohrat hui khudaai ki, Main ne duniya se mujh se duniya ne, Saikdon baar bewafaai ki, Khule rahte hain saare darwaaze, Koi soorat nahin rihaai ki, Toot kar hum mile hain pahli baar, Ye shuruaat hai judaai ki, Soye rahte hain odh kar khud ko, Ab zaroorat nahin razaai ki, Manzilein choomti hain mere qadam, Daad dijiye shikasta-paai ki, Zindagi jaise-taise kaatni hai, Kya bhalaai ki kya buraai ki, Ishq ke karobaar mein hum ne, Jaan de kar badi kamaai ki, Ab kisi ki zabaa'n nahin khulti, Rasm jaari hai munh-bharaai ki.!! "Rahat Indori"

Hon Laakh Zulm Magar Bad-dua Nahin Denge

Hon laakh zulm magar bad-dua nahin denge, Zameen maa hai zamee'n ko dagha nahin denge, Humein to sirf jagaana hai sone waalon ko, Jo dar khula hai wahaan hum sada nahin denge, Riwayaton ki safein tod kar badhho warna, Jo tum se aage hain wo raasta nahin denge, Yahaan kahaan tera sajjada, aa ke khaak pe baith Ke hum faqeer tujhe boriya nahin denge, Sharab pi ke bade tajarbe hue hain humein, Shareef logo'n ko hum mashwara nahin denge.!! "Rahat Indori" ___ Sajjada = caretaker, descendent at tomb,

Hausle Zindagi Ke Dekhte Hain

Hausle zindagi ke dekhte hain, Chaliye kuchh roz ji ke dekhte hain, Neend pichhli sadi ki zakhmi hai, Khwaab agli sadi ke dekhte hain, Roz hum ek andheri dhund ke paar, Qaafile raushni ke dekhte hain, Dhoop itni karaahti kyun hai, Chhanw ke zakhm si ke dekhte hain, Tuktuki baandh li hai aankhon ne, Raaste waapsi ke dekhte hain, Paaniyon se to pyaas bujhti nahin, Aaiye zahr pi ke dekhte hain..!! "Rahat Indori"

Haath Khaali Hain Tere Shahar Se Jaate Jaate

Haath khaali hain tere shahar se jaate jaate, Jaan hoti to meri jaan lutaate jaate... Ab to har haath ka patthar ha humein pahchanta hai, Umr guzri hai tere shahar mein aate jaate... Ab ke mayoos hua yaaron ko rukgsat kar ke, Ja rahe the to koi zakhm lagaate jaate... Rengne ki bhi ijaazat nahin hum ko warna, Hum jidhar jaate naye phool khilaate jaate... Main to jalte hue sahraaon ka ek patthar tha, Tum to dariya the meri pyaas bujhaate jaate... Mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shayad, Log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate... Hum se pahle bhi musafir kayi guzre honge, Kam se kam raah ke patthar to hataate jaate.!! "Rahat Indori"

Ghar Se Ye Soch Ke Nikla Hun Ke Mar Jaana Hai

Ghar se ye soch ke nikla hun ke mar jaana hai, Ab koi raah dikha de ke kidhar jaana hai... Jism se saath nibhaane ki mat ummeed rakho, Is musafir ko to raste mein thahar jaana hai... Maut lamhe ki sada zindagi umron ki pukaar, Main yahi soch ke zinda hun ki mar jaana hai... Nashsha aisa tha ki may-khaane ko duniya samjha, Hosh aaya to khyaal aaya ke ghar jaana hai... Mere jazbe ki badi qadr hai logon mein magar, Mere jazbe ko mere saath hi mar jaana hai.!! "Rahat Indori"

Faisle Lamhaat Ke Naslo'n Pe Bhaari Ho Gaye

Faisle lamhaat ke naslo'n pe bhaari ho gaye, Baap haakim tha magar bete bhikaari ho gaye, Deviyaan pahunchin thin apne baal bikhraye hue, Devta mandir se nikle aur pujaari ho gaye, Raushni ki jang mein tareekiyan paida huin, Chaand paagal ho gaya taare bhikaari ho gaye, Rakh diye jayenge neze lafz aur honthon ke beech Zill-e-subhani ke ahkaamat jaari ho gaye, Narm-o-naazuk halke-phulke rui jaise khwaab the, Aansuon mein bheegne ke baad bhaari ho gaye.!! "Rahat Indori"

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaaye

Dosti jab kisi se ki jaaye, Dushmanon ki bhi raay li jaaye, Maut ka zahr hai fazaaon mein, Ab kahaan ja ke saans li jaaye, Bas isi soch mein hun dooba hua, Ye nadi kaise paar ki jaaye, Agle waqton ke zakhm bharne lage, Aaj phir koi bhool ki jaaye, Lafz dharti pe sar patakte hain, Gumbadon mein sada na di jaaye, Kah do is ahd ke buzurgon se, Zindagi ki dua na di jaaye, Botalein khol ke to pi barson, Aaj dil khol kar hi pi jaaye.!! "Rahat Indori"

Dilo'n Mein Aag Labo'n Par Gulaab Rakhte Hain

Dilo'n mein aag labo'n par gulaab rakhte hain, Sab apne chehro'n pe dohri naqaab rakhte hain, Humein charaagh samajh kar bujha na paaoge, Hum apne ghar mein kayi aaftab rakhte hain, Bahut se log ke jo harf-aashna bhi nahin, Isi mein khush hain ki teri kitaab rakhte hain, Ye may-kada hai wo masjid hai wo hai but-khaana, Kahin bhi jaao farishte hisaab rakhte hain, Humaare shahar ke manzar na dekh paayenge, Yahaan ke log to aankho'n mein khwaab rakhte hain.!! "Rahat Indori"

Chehro'n Ki Dhoop Aankho'n Ki Gahraai Le Gaya

Chehro'n ki dhoop aankho'n ki gahraai le gaya, Aaina saare shahar ki beenaai le gaya, Doobe hue jahaaz pe kya tabsira karein, Ye haadsa to soch ki gahraai le gaya, Haalanki be-zabaan tha lekin ajeeb tha, Jo shakhs mujh se chheen ke goyaai le gaya, Main aaj apne ghar se nikalne na paaunga, Bas ek qameez thi jo mera bhai le gaya, 'Ghaalib' tumhaare waaste ab kuchh nahin raha, Galiyon ke saare sang to saudaai le gaya.! "Rahat Indori"

Chamakte Lafz Sitaaron Se Chheen Laaye Hain

Chamakte lafz sitaaron se chheen laaye hain, Hum aasman se ghazal ki zameen laaye hain, Wo aur honge jo khanjar chhupa ke laate hain, Hum apne saath phati aasteen laaye hain, Humari baat ki gahraai khaak samjhenge, Jo parbaton ke liye khurdbeen laaye hain, Hanso na hum pe ke har bad-naseeb banjaare, Saro'n pe rakh ke watan ki zameen laaye hain, Mere qabeele ke bachchon ke khel bhi hain ajeeb, Kisi sipaahi ki talwar chheen laaye hain.!! "Rahat Indori"

Beemar Ko Marz Ki Dawa Deni Chahiye

Beemar ko marz ki dawa deni chahiye, Main peena chahta hun pila deni chahiye, Allah barkaton se nawaazega ishq mein, Hai jitni poonji paas laga deni chahiye, Dil bhi kisi faqeer ke hujre se kam nahin, Duniya yahin pe la ke chhupa deni chahiye, Main khud bhi karna chahta hun apna saamna, Tujh ko bhi ab naqab utha deni chahiye, Main phool hun to phool ko gul-daan ho naseeb, Main aag hun to aag bujha deni chahiye, Nain taaj hun to taaj ko sar par sajaaen log, Main khaak hun to khaak uda deni chahiye, Main jabr hun to jabr ki taaid band ho, Main sabr hun to mujh ko dua deni chahiye, Main khwaab hun to khwaab se chaunkaaiye mujhe, Main neend hun to neend uda deni chahiye, Sach baat kaun hai jo sar-e-aam kah sake, Main kah raha hun mujh ko saza deni chahiye.!! "Rahat Indori"

Bair Duniya Se Qabeele Se Ladaai Lete

Bair duniya se qabeele se ladaai lete, Ek sach ke liye kis kis se buraai lete, Aable apne hi angaaron ke taaza hain abhi, Log kyun aag hatheli pe paraai lete, Barf ki tarah december ka safar hota hai, Hum use saath na lete to razaai lete, Kitna maanoos sa hum-dardo'n ka ye dard raha, Ishq kuchh rog nahin tha jo dawaai lete, Chaand raato'n mein humein dasta hai din mein sooraj, Sharm aati hai andhero'n se kamaai lete, Tum ne jo tod diye khwab hum un ke badle, Koi qeemat kabhi lete to khudaai lete.!! "Rahat Indori"

Apne Deewar-o-dar Se Poochhte Hain

Apne deewar-o-dar se poochhte hain, Ghar ke haalaat ghar se poochhte hain, Kyun akele hain qaafile waale, Ek ek hum-safar se poochhte hain, Kya kabhi zindagi bhi dekhenge, Bas yahi umr-bhar se poochhte hain, Jurm hai khwaab dekhna bhi kya, Raat-bhar chashm-e-tar se poochhte hain, Ye mulaqaat aakhiri to nahin, Hum judaai ke darr se poochhte hain, Zakhm ka naam phool kaise pada, Tere dast-e-hunar se poochhte hain, Kitne jangal hain in makaanon mein, Bas yahi shahar bhar se poochhte hain, Ye jo deewar hai ye kis ki hai, Hum idhar wo udhar se poochhte hain, Hain kaneezein bhi is mahal mein kya, Shah-zaado'n ke darr se poochhte hain, Kya kahin qatl ho gaya sooraj, Raat se raat-bhar se poochhte hain, Kaun waaris hai chhanw ka aakhir, Dhoop mein hum-safar se poochhte hain, Ye kinaare bhi kitne saada hain, Kashtiyo'n ko bhanwar se poochhte hain, Wo guzarta to hoga ab tanha, Ek ek rahguzar se poochhte hain.! "Rahat Indori"

Andhere Chaaron Taraf Saa'en Saa'en Karne Lage

Andhere chaaron taraf saa'en saa'en karne lage, charaagh haath utha kar duaa'en karne lage, Taraqqi kar gaye beemariyon ke saudagar, Ye sab mareez hain jo ab dawaa'en karne lage, Lahu-luhaan pada tha zameen par ek sooraj, Parinde apne paro'n se hawaa'en karne lage, Zameen par aa gaye aankhon se toot kar aansu, Buri khabar hai farishte khataa'en karne lage, Jhulas rahe hain yahaan chhanw baantne waale, Wo dhoop hai ke shajar iltijaa'en karne lage, Ajib rang tha majlis ka khoob mahfil thi, Safed-posh uthe kaa'en kaa'en karne lage.! "Rahat Indori"

Andar Ka Zahr Choom Liya Dhul Ke Aa Gaye

Andar ka zahr choom liya dhul ke aa gaye, Kitne shareef log the sab khul ke aa gaye, Sooraj se jang jitne nikle the bewaqoof, Saare sipaahi mom ke the ghul ke aa gaye, Masjid mein door door koi doosra na tha, Hum aaj apne aap se mil-jul ke aa gaye, Neendon se jang hoti rahegi tamaam umr, Aankhon mein band khwaab agar khul ke aa gaye, Sooraj ne apni shakl bhi dekhi thi pahli baar, Aaine ko maze bhi taqaabul ke aa gaye, Anjaane saaye phirne lage hain idhar udhar, Mausam humare shahar mein kabul ke aa gaye.!! "Rahat Indori" ___ Taqaabul = encountering, standing face, to face,

Ajnabi Khwahishein Seene Mein Daba Bhi Na Sakun

Ajnabi khwahishein seene mein daba bhi na sakun, Aise ziddi hain parinde ki uda bhi na sakun... Phoonk daalunga kisi roz main dil ki duniya, Ye tera khat to nahin hai ki jala bhi na sakun... Meri ghairat bhi koi shay hai ke mahfil mein mujhe, Us ne is tarah bulaaya hai ki ja bhi na sakun... Phal to sab mere darakhton ke pake hain lekin, Itni kamzor hain shaakhein ki hila bhi na sakun... Ek na ek roz kahin dhundh hi lunga tujh ko, Thokarein zahr nahin hain ki main kha bhi na sakun.!! "Rahat Indori"

Ab Apni Rooh Ke Chhaalon Ka Kuchh Hisaab Karun

Ab apni rooh ke chhaalon ka kuchh hisaab karun, Main chahta tha charaaghon ko aaftaab karun... Mujhe buton se ijaazat agar kabhi mil jaaye, To shahar-bhar ke khudaaon ko be-naqaab karun... Us aadmi ko bas ek dhun sawaar rahti hai, Bahut haseen hai duniya ise kharaab karun... Hai mere chaaron taraf bheed goonge bahron ki, Kise khateeb banaaun kise khitaab karun... Main karwaton ke naye zaaiqe likhun shab-bhar, Ye ishq hai to kahaan zindagi azaab karun... Ye zindagi jo mujhe qarz-daar karti rahi, Kahin akele mein mil jaaye to hisaab karun.!! "Rahat Indori"

Aankh Mein Paani Rakho Honthon Pe Chingaari Rakho

Aankh mein paani rakho honthon pe chingaari rakho, Zinda rahna hai to tarkeebein bahut saari rakho... Raah ke patthar se badh kar kuchh nahin hain manzilein, Raaste aawaaz dete hain safar jaari rakho... Ek hi naddi ke hain ye do kinaare dosto, Dostana zindagi se maut se yaari rakho... Aate jaate pal ye kahte hain humaare kaan mein, Kuch ka ailaan hone ko hai, tayyaari rakho... Ye zaroori hai ki aankhon ka bharam qaaim rahe, Neend rakho ya na rakho khwaab meyaari rakho... Ye hawa'en ud na jaayein le ke kaaghaz ka badan, Dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho... Le to aai shaairi bazaar mein 'Rahat' miyaan, Kya zaroori hai ki lahje ko bhi bazaari rakho..!! "Rahat Indori"

Rahe Jo Zindagi Mein Zindagi Ka Aasra Ho Kar

Rahe jo zindagi mein zindagi ka aasra ho kar, Wahi nikle saraar-aara qayamat mein khuda ho kar... Haqeeqat-dar-haqeeqat but-kade mein hai na kaabe mein, Nigaah-e-shauq dhokhe de rahi hai rahnuma ho kar... Ma'aal-e-kar se gulshan ki har patti larazti hai, Ke aakhir rang-o-bu ud jayenge ek din hawa ho kar... Abhi kal tak jawani ke khumista'n the nigaahon mein, Ye duniya do hi din mein rah gai hai kya se kya ho kar... Mere sajdon ki ya rab tishna-kaami kyun nahin jaati, Ye kya be-aitinaai apne bande se khuda ho kar... Sirisht-e-dil mein kis ne koot kar bhar di hai betaabi, Azal mein kaun ya rab mujh se baitha tha khafa ho kar... Ye pichhli raat ye khamoshiyan ye doobte taare, Nigah-e-shauq bahki phir rahi hai iltija ho kar... Bala se kuchh ho hum 'Ehsaan' apni khoo na chhodenge, Hamesha be-wafaon se milenge ba-wafa ho kar.!! "Ehsaan Danish"

Yoon Us Pe Meri Arz-e-tamanna Ka Asar Tha

Yoon us pe meri arz-e-tamanna ka asar tha, Jaise koi sooraj ki tapish mein gul-e-tar tha... Uthti thin darichon pe humaari bhi nigaahein, Apna bhi kabhi shahar-e-nigaara'n mein guzar tha... Hum jis ke taghaful ki shikayat ko gaye the, Aankh us ne uthai to jahaan zer-o-zabar tha... Shaano'n pe kabhi the tere bheege hue rukhsar, Aankhon pe kabhi meri tarah daaman-e-tar tha... Khushbu se mo'attar hai abhi tak wo guzar'gaah, Sadiyon se yahaan jaise bahaaron ka nagar tha... Hai un ke sarapa ki tarah khush-qad o khush-rang, Wo sarw ka pauda jo sar-e-raahguzar tha... Qatre ki taraai mein the tufaan ke nasheman, Zarre ke ahaate mein bagulon ka bhanwar tha... Is aadam-e-khaaki pe sitaaron ki nazar thi, Is khaak pe kuchh jalwa-e-yazdaa'n ka asar tha... Main roya to hansne ki sada aai kai yaar, Wo jaan-e-tamanna pas-e-deewar-e-nazar tha, "Danish" tha ikahra mera pairahan-e-hasti, Be-parda zamane pe mera aib-o-hunar tha..!! "Ehsaan Danish"

Yoon Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise

Yoon na mil mujh se khafa ho jaise, Saath chal mauj-e-saba ho jaise... Log yoon dekh ke hans dete hain, Tu mujhe bhool gaya ho jaise... Ishq ko shirk ki had tak na badha, Yoon na mil hum se khuda ho jaise... Maut bhi aai to is naaz ke saath, Mujh pe ahsaan kiya ho jaise... Aise anjaan bane baithe ho, Tum ko kuchh bhi na pata ho jaise... Hichkiyaan raat ko aati hi rahin, Tu ne phir yaad kiya ho jaise... Zindagi beet rahi hai 'Danish', Ek be-jurm saza ho jaise..!! "Ehsaan Danish"

Ishq Ko Taqleed Se Aazaad Kar

Ishq ko taqleed se aazaad kar, Dil se girya aankh se fariyaad kar, Baaz aa ai banda-e-husn-e-majaaz, Yoon na apni zindagi barbaad kar, Ai khyaalon ke makee'n nazron se door, Meri veeraan khalwatein aabaad kar, Naza'a mein hichki nahin aai mujhe, Bhoolne waale khuda-ra yaad kar, Husn ko duniya ki aankhon se na dekh, Apni ek tarz-e-nazar ijaad kar, Ishrat-e-duniya hai ek khwaab-e-bahaar, Kaaba-e-dil dard se aabaad kar, Ab kahan 'Ehsan' duniya mein wafa, Tauba kar nadaan khuda ko yaad kar.!! "Ehsaan Danish"

Hangama-e-khudi Se Tu Be-niyaaz Ho Ja

Hangama-e-khudi se tu be-niyaaz ho ja, Gum ho ke be-khudi mein aagah-e-raaz ho ja... Had bhi to chahiye kuchh be-aitinaaiyon ki, Ghaarat-gar-e-tahammul taskeen-nawaaz ho ja... Ai sarmadi taraane har shay mein soz bhar de, Ye kis ne kah diya hai paaband-e-saaz ho ja... Ghairat ki chilmanon se aawaaz aa rahi hai, Mahw-e-niyaaz-mandi aa be-niyaaz ho ja... Aa mil ke phir banayein may-khana-e-mohabbat, Main jur'a-kash banun tu paimana-saaz ho ja... Seene mein soz ban kar kab tak chhupa rahega, Unwaan-e-raazdari tafseel-e-raaz ho ja... Ab so chuki ummeedein ab thak chukin nigaahein, Jaan-e-niyaz-mandi masroof-e-naaz ho ja... Soz-e-nazar se chhalkein naghmaat-e-raaz-e-hasti, Ai uqda-e-taghaaful rudaad-e-naaz ho ja... 'Ehsan' kaash utthein ye rang-o-bu ke parde, Ai mahfil-e-haqiqat bazm-e-majaaz ho ja..!! "Ehsaan Danish" ___ Hangama-e-khudi = tumult of self, Be-niyaaz = without want, independent, carefree, Aagah-e-raaz = knower of secret, Be-aitinaa

Ishq Ki Duniya Mein Ek Hangama Barpa Kar Diya

Ishq ki duniya mein ek hangama barpa kar diya, Ai khyaal-e-dost ye kya ho gaya kya kar diya, Zarre zarre ne mera afsaana sun kar daad di, Main ne wahshat mein jahaan ko tera shaida kar diya, Toor par raah-e-wafa mein bo diye kanate kaleem, Ishq ki wus'at ko masdood-e-taqaaza kar diya, Bistar-e-mashriq se sooraj ne uthaya apna sar, Kis ne ye mahfil mein zikr-e-husn-e-yakta kar diya, Chashm-e-nargis ja-e-shabnam khoon royegi nadeem, Main ne jis din gulsitaan ka raaz ifsha kar diya, Qais ye meraaj-e-ulfat hai ki ejaaz-e-junoo'n, Najd ke har zarre ko tasveer-e-laila kar diya, Muddaa-e-dil kahun 'Ehsaan' kis ummeed par, Wo jo chaahenge karenge aur jo chaha kar diya.!! "Ehsaan Danish"

Aaj Bhadki Rag-e-wahshat Tere Deewanon Ki

Aaj bhadki rag-e-wahshat tere deewanon ki, Qismatein jaagne waali hain bayabaanon ki, Phir ghataaon mein hai naqqara-e-wahshat ki sada, Toliyan bandh ke chalin dasht ko deewanon ki, Aaj kya soojh rahi hai tere deewanon ko, Dhajjiyan dhundhte phirte hain garebanon ki, Rooh-e-majnun abhi betaab hai sahraon mein, Khaak be-wajah nahin udti bayabanon ki, Us ne 'Ehsaan' kuchh is naaz se mud kar dekha, Dil mein tasveer utar aai pari-khaanon ki.!! "Ehsaan Danish"

Zahr Beemar Ko Murde Ko Dawa Di Jaaye

Zahr beemar ko murde ko dawa di jaaye, Hai yahi rasm to ye rasm utha di jaaye, Wasl ki raat jo mahboob kahe good night Qayeda ye hai ki english mein dua di jaaye, Aaj jalse hain bahut shahar mein leader kam hain, Ehtiyatan mujhe taqreer rata di jaaye, Maar khaane se mujhe aar nahin hai lekin, Pit chukun main to koi wajah bata di jaaye, Meri wahshat ki khabar ghar ko hui hai jab se, Chhat ye kahti hai ki deewar hata di jaaye, Bas mein baithi hai mere paas jo ek zohra-jabin, Mard niklegi agar zulf munda di jaaye.!! "Dilawar Figar"

Husn Par Aitebaar, Had Kar Di

Husn par aitebaar, had kar di, Aap ne bhi "Figar" had kar di, Aadmi shahkaar-e-fitrat hai, Mere parwardigaar, had kar di, Shaam-e-ghum subah-e-hashr tak pahunchi, Ai shab-e-intezaar, had kar di, Ek shaadi to theek hai lekin, Ek do tin chaar, had kar di, Zauja aur rickshaw mein are tauba, Daashta aur ba-kaar, had kar di, Chhe maheene ke baad nikla hai, Aap ka hafta-waar, had kar di, Ghar se bhaage to koi baat nahin, Zindagi se faraar, had kar di, Ek misre mein masnawi likh di, Is qadar ikhtisaar, had kar di, Kya murassa ghazal kahi hai "Figar", Aaj to tu ne yaar, had kar di.!! "Dilawar Figar"

Sahar Se Raat Ki Sargoshiyan Bahaar Ki Baat

Sahar se raat ki sargoshiyan bahaar ki baat, Jahaan mein aam hui chashm-e-intizaar ki baat, Dilon ki tishnagi jitni dilon ka ghum jitna, Usi qadar hai zamane mein husn-e-yaar ki baat, Jahaan bhi baithe hain jis jaa bhi raat may pi hai, Unhi ki aankhon ke qisse unhi ke pyaar ki baat, Chaman ki aankh bhar aai kali ka dil dhadka Labon pe aai hai jab bhi kisi qaraar ki baat, Ye zard zard ujaale ye raat raat ka dard, Yahi to rah gai ab jaan-e-be-qaraar ki baat, Tamam umr chali hai tamam umr chale Ilahi khatm na ho yaar-e-ghum-gusaar ki baat..!! "Makhdoom Mohiuddin"

Ishq Ke Shole Ko Bhadkao Ke Kuchh Raat Kate

Ishq ke shole ko bhadkao ke kuchh raat kate, Dil ke angare ko dahkao ke kuchh raat kate... Hijr mein milne shab-e-maah ke ghum aaye hain, Chaarasazon ko bhi bulwao ke kuchh raat kate... Koi jalta hi nahin koi pighalta hi nahin, Mom ban jao pighal jao ke kuchh raat kate... Chashm o rukhsar ke azkaar ko jaari rakkho, Pyar ke naame ko dohrao ke kuchh raat kate... Aaj ho jaane do har ek ko bad-mast-o-kharaab, Aaj ek ek ko pilwao ke kuchh raat kate... Koh-e-ghum aur gira'n aur gira'n aur gira'n, Ghum-zaado teshe ko chamkao ke kuchh raat kate..! "Makhdoom Mohiuddin"

Badh Gaya Baada-e-gul-gu'n Ka Maza Aakhir-e-shab

Badh gaya baada-e-gul-gu'n ka maza aakhir-e-shab, Aur bhi surkh hai rukhsar-e-haya aakhir-e-shab, Manzilein ishq ki aasaan huyin chalte chalte, Aur chamka tera naqsh-e-kaf-e-pa aakhir-e-shab, Khatkhata jaata hai zanjeer-e-dar-e-mai-khana, Koi deewana koi aabla-pa aakhir-e-shab, Saans rukti hai chhalakte hue paimane mein, Koi leta tha tera nam-e-wafa aakhir-e-shab, Gul hai qandeel-e-haram gul hain kalisa ke charaagh, Soo-e-paimana badhe dast-e-dua aakhir-e-shab, Haaye kis dhoom se nikla hai shaheedon ka juloos, Jurm chup sar-ba-garebaa'n hai jafa aakhir-e-shab, Isi andaaz se phir subah ka aanchal dhalke, Isi andaz se chal baad-e-saba aakhir-e-shab..!! "Makhdoom Mohiuddin"

Ab Kahaan Ja Ke Ye Samjhayen Ke Kya Hota Hai

Ab kahaan ja ke ye samjhayen ke kya hota hai, Ek aansu jo sar-e-chashm-e-wafa hota hai, Is guzargaah mein is dasht mein ai jazba-e-ishq, Juz tere kaun yahaan aabla-pa hota hai, Dil ki meharab mein ek shama jali thi sar-e-shaam, Subah-dam maatam-e-arbaab-e-wafa hota hai, Deep jalte hain dilon mein ki chita jalti hai, Ab ki diwaali mein dekhenge ki kya hota hai, Jab barasti hai teri yaad ki rangeen phuwaar, Phool khilte hain dar-e-mai-kada wa hota hai.!! "Makhdoom Mohiuddin"

Aap Ki Yaad Aati Rahi Raat Bhar

Aap ki yaad aati rahi raat bhar, Chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar... Raat bhar dard ki shama jalti rahi, Ghum ki lau thartharaati rahi raat bhar... Baansuri ki sureeli suhaani sada, Yaad ban ban ke aati rahi raat bhar... Yaad ke chand dil mein utarte rahe, Chandni jagmagaati rahi raat bhar... Koi deewana galiyon mein phirta raha, Koi aawaaz aati rahi raat bhar..!! "Makhdoom Mohiuddin"

Faqeerana Aaye Sada Kar Chale

Faqeerana aaye sada kar chale, Ke myaan khush raho hum dua kar chale, Jo tujh bin na jeene ko kahte the hum So is ahd ko ab wafa kar chale, Shifa apni taqdir hi mein na thi, Ke maqdoor tak to dawa kar chale, PaDe aise asbab paayaan-e-kaar, Ke na-chaar yoon ji jala kar chale, Wo kya cheez hai aah jis ke liye, Har ek cheez se dil utha kar chale, Koi na-umidaana karte nigaah, So tum hum se munh bhi chhupa kar chale, Bahut aarzu thi gali ki teri, So yaan se lahu mein naha kar chale, Dikhaai diye yoon ki be-khud kiya, Humein aap se bhi juda kar chale, Jabeen sajda karte hi karte gayi, Haq-e-bandagi hum ada kar chale, Parastish ki yaan tak ke ai but tujhe, Nazar mein sabhon ki khuda kar chale, Jhade phool jis rang gulbun se yoon, Chaman mein jahaan ke hum aa kar chale, Na dekha ghum-e-dostaan shukr hai, Humin daagh apna dikha kar chale, Gayi umr dar-band-e-fikr-e-ghazal, So is fan ko aisa bada kar chale, Kahein kya jo poochhe koi hum se 'Meer', Jahaan mein

Dekh To Dil Ke Jaan Se Uthta Hai

Dekh to dil ke jaan se uthta hai, Ye dhuan sa kahaan se uthta hai, Gor kis diljale ki hai ye falak, Shola ek subah yaan se uthta hai, Khana-e-dil se zeenhaar na ja, Koi aise makaan se uthta hai, Naala sar kheenchta hai jab mera, Shor ek aasman se uthta hai, Ladti hai us ki chashm-e-shokh jahaan, Ek aashob waan se uthta hai, Sudh le ghar ki bhi shola-e-aawaz, Dood kuchh aashiyan se uthta hai, Baithne kaun de hai phir us ko, Jo tere aastaan se uthta hai, Yoon uthe aah us gali se hum, Jaise koi jahaan se uthta hai, Ishq ek 'mir' bhaari patthar hai, Kab ye tujh na-tawaa'n se uthta hai..!! "Meer Taqi Meer"

Ashk Aankhon Mein Kab Nahin Aata

Ashk aankhon mein kab nahin aata, Lahu aata hai jab nahin aata, Hosh jata nahin raha lekin, Jab wo aata hai tab nahin aata, Sabr tha ek munees-e-hijraa'n, So wo muddat se ab nahin aata, Dil se rukhsat hui koi khwahish, Girya kuchh be-sabab nahin aata, Ishq ko hausla hai shart arna, Baat ka kis ko dhhab nahin aata, Ji mein kya kya hai apne ai humdam, Par sukhan ta-ba-lab nahin aata, Door baitha ghubaar-e-'meer' us se, Ishq bin ye adab nahin aata.!! "Meer Taqi Meer"

Baar-ha Gaur-e-dil Jhanka Laya

Baar-ha gaur-e-dil jhanka laya, Ab ke shart-e-wafa baja laya, Qadr rakhti na thi mata-e-dil, Sare aalam mein main dikha laya, Dil ki yak qatra khooun nahin hai besh, Ek aalam ke sar bala laya, Sab pe jis baar ne giraani ki, Us ko ye na-tawaa'n utha laya, Dil mujhe us gali mein le ja kar, Aur bhi khaak mein mila laya, Ibtida hi mein mar gaye sab yaar, Ishq ki kaun inteha laya, Ab to jaate hain but-kade se 'Meer', Phir milenge agar khuda laya, "Meer Taqi Meer"

Silsila Mere Safar Ka Kabhi Toota Hi Nahin

Silsila mere safar ka kabhi toota hi nahin, Main kisi mod pe dam lene ko thahra hi nahin, Khushk honthon ke tasawwur se larazne waalo, Tum ne tapta hua sahra kabhi dekha hi nahin, Ab to har baat pe hansne ki tarah hansta hun, Aisa lagta hai mera dil kabhi toota hi nahin, Main wo sahra jise pani ki hawas le doobi, Tu wo baadal jo kabhi toot ke barsa hi nahin, Aisi veerani thi dar pe ki sabhi kaanp gaye, Aur kisi ne pas-e-deewar to dekha hi nahin, Mujh se milti hi nahin hai kabhi milne ki tarah, Zindagi se mera jaise koi rishta hi nahin.!! "Sultan Akhtar"

Raahi Main Raah-e-ishq Ka Khud Ko Ganwa Ke Bhi

Raahi Main Raah-e-ishq Ka Khud Ko Ganwa Ke Bhi, Aadat Gayi Na Pyar Ki Sab Kuch Luta Ke Bhi... Armaan-e-wasl-e-yaar Na Poora Hua Abhi, Yaadon Mein Us Ki Khoon Ke Aansu Baha Ke Bhi... Aata Nahi Hai Us Ko Yaqeen Dil Ke Zakhm Ka, Dekha Hai Maine Cheer Ke Seena Dikha Ke Bhi... Khushbu-e-phool-e-jaan-e-ghazal Mil Nahi Saki, Qalb-o-jigar Mein Ishq Ka Ghuncha Khila Ke Bhi... Kaante Bhi Meri Raah Ke Lagne Lagenge Phool, Do Gaam Mere Saath Chalo Muskura Ke Bhi... Is Dil Ko Teri Deed Ki Kab Se Hai Aarzu, Ek Baar Dekh Lo Mujhe Parda Utha Ke Bhi... Aab-e-hayat Jaan Ke Pi Lunga Meri Jaan, Tu Dekh Mujh Ko Zahar Ka Pyala Pila Ke Bhi... Dega Azaan-e-ishq Har Ek Qatra-e-lahu, Dekhoge Munsifo, Mujhe Sooli Chadha Ke Bhi... Poori Karunga Khud Ko Jala Kar Ye Dastaan, Kuch Bhi Nahi Mila Hai Dil-o-jaan Jala Ke Bhi... Dahleez Intizaar Ki Ek Teri Yaad Mein, Deemak-zada Hui Hai Zara Dekh Aa Ke Bhi..!! راہی میں راہِ عشق کا خود کو گنوا کے بھی عادت گئی نہ پیار کی سب کچھ لُٹا کے بھی ارمانِ وصلِ

Ajeeb Shaam Dhhali Hai Kahin Se Aa Jao

Ajeeb Shaam Dhhali Hai Kahin Se Aa Jao, Badi Udaas Ghadi Hai Kahin Se Aa Jao... Kisi Se Yoon Milna Aur Mil Ke Bichhad Jaana, Saza Ye Bahut Badi Hai Kahin Se Aa Jao... Bada Kathin Hai Ye Hijr Ka Udaas Mausam, Judaai Bol Padi Hai Kahin Se Aa Jao... Zamana Samajhta Jise Motiyon Ki Chamak, Wo Aansuon Ki Ladi Hai Kahin Se Aa Jao.! عجیب شام ڈھلی ہے کہیں سے آ جاو بڑی اُداس گھڑی ہے کہیں سے آ جاو کسی سے یوں ملنا اور مل کے بچھڑ جانا سزا یہ بہت بڑی ہے کہیں سے آ جاو بڑا کٹھن ہے یہ ہجر کا اُداس موسم جدائی بول پڑی ہے کہیں سے آ جاو زمانہ سمجھتا جیسے موتیوں کی چمک وہ آنسوؤں کی لڑی ہے کہیں سے آ جاو..

Chashm-e-Saaqi Ne Ye Kya Khel Racha Rakha Hai

Chashm-e-Saaqi Ne Ye Kya Khel Racha Rakha Hai, Koi Zahid Koi May-khwaar Bana Rakha Hai, Jo Phansa Phir Na Kabhi Us Ne Rihaai Maangi, Teri Zulfon Ne Ajab Jaal Bichha Rakha Hai, Husn Ho Ishq Ho Dono Ka Asar Yaksaan Hai, Cheez Hai Ek, Magar Naam Juda Rakha Hai, Choom Leti Hain Latak Kar, Kabhi Chehra Kabhi Lab, Tum Ne Zulfon Ko Bohat Sar Pe Charha Rakha Hai, Teri Makhmoor Nigaahon Se Hai Raunaq Saari, Warna Saaqi.! Tere May-khane Main Kya Rakha Hai..!! _____________________ چشم ساقی نے یہ کیا کھیل رچا رکھا ہے کوئی زاہد تو کوئی مہ خار بنا رکھا ہے جو بھنسا پھر نہ کبھی اس نے رہائی مانگی تیری زلفوں نے عجب جال بچھا رکھا ہے حسن ہو عشق ہو دونوں کا اثر یکساں ہے چیز ہے ایک مگر نام جدا رکھا ہے رخ پہ لہراتی ہیں کبھی شانوں سے اُلجھ پڑتی ہیں تونے زلفوں کو بہت سر پہ چڑھا رکھا ہے تیری مخمور نگاہوں سے ہے رونق ساری ورنہ ساقی تیرے مہ خانے میں رکھا کیا ہے..

Aankhon Mein Koi Khwaab Utarne Nahi Deta

Aankhon mein koi khwaab utarne nahi deta, Ye dil ke mujhe chain se marne nahi deta, Bichhday to ajab pyaar Jatata Hai Khato'n mein, Mil Jaaye To phir had se guzarne nahi deta, Wo shakhs khizaa'n rut mein bhi mohtaat hai Kitna, Sokhay huye phoolon Ko bikharne Nahi deta, Ik roz teri pyaas khariday ga wo ghabro ! Paani tujhe panghat se Jo bharne nahi deta, Wo dil mein tabassum ki kiran gholne waala, Roothay to ruton ko bhi sanwarne nahi deta, Mein us ko manaon k ghum-e-dahar se uljhoon, Mohsin wo koi kaam bhi karne nahi deta..!! "Mohsin Naqwi"

Be Rabt Husn_O_Ishq Ye Kaif_O_Asar Kahan

Be Rabt Husn_O_Ishq Ye Kaif_O_Asar Kahan Thi Zindagi Azeez Magar Is Qadar Kahan Tere Baghair Raunaq_E_Deewar_O_Dar Kahan Shaam_O_Sahar Ka Naam Hai, Shaam_O_Sahar Kahan Kiya Jaaniye Khyaal Kahan Hai Nazar Kahan Teri Khabar Ke Baad Khud Apni Khabar Kahan Maana Ke Mohtasib Bhi Bara Ba Shaoor Hai Lekin Usay Nazaakat_E_Ghum Ki Khabar Kahan Kahne Ko Ahl_E_Ilm Ki Koi Kami Nahi Lekin Khud Apni Fikar, Khud Apni Nazar Kahan Tark_E_Ta'alluqaat Ko Muddat Guzar Chuki Zaalim, Tere Khy@al Se Phir Bhi Mufar Kahan Arsa Hua Ke Rasm_E_Mohabbat Badal Chuki Daaman Se Wo Muaamla_E_Chashm_E_Tar Kahan.!!

Jaan Jaati Thi Jis Ke Jaane Se

Jaan Jaati Thi Jis Ke Jaane Se... Jaana Us Ka Bhi Maine Dekha Hai.!!

Bahut Sote Ho Ghalib

Bahut Sote Ho Ghalib... Ishq Se Mahroom Lagte Ho.!!

Saari Duniya Udaas Paaoge

Saari Duniya Udaas Paaoge... Hum Se Tode Jo Silsile Tum Ne.!!

Aao, Khwaabo'n Ki Baandh Kar Aankhein

Aao, Khwaabo'n Ki Baandh Kar Aankhein... Door Jangal Mein Chhorh Aate Hain.!

Hum...Bahut Gahri Udaasi Ke Siwa

Hum...Bahut Gahri Udaasi Ke Siwa... Jis Se Bhi Milte Hain, Kam Milte Hain.!

Kisi Ki Hasratein Mar Gayi Hongi

Kisi Ki Hasratein Mar Gayi Hongi... Baarishein Be'wajah Nahi Hoti.!

Us Ke Cup Mein Jo Bach Gayi Thi

Us Ke Cup Mein Jo Bach Gayi Thi... Haaye...Us Chaaye Ka Jawaab Nahi.!

Apni Beenaai Tak Ganwa Baithe

Apni Beenaai Tak Ganwa Baithe... Us Ki Aankhon Ko Is Qadar Dekha.!

Aakhiri Baar Tujh Ko Sochunga

Aakhiri Baar Tujh Ko Sochunga... Maine Ek Baar Phir Ye Socha Hai.!!

Ek Ta'abeer Ki Soorat Nazar Aayi Hai Idhar

Ek Ta'abeer Ki Soorat Nazar Aayi Hai Idhar... So Uthha Laya Hoon Sab Khwaab Puraane Waale.!!

Kal Tere Shahar Ka Ek Shakhs Mila Jo Mujh Se

Kal Tere Shahar Ka Ek Shakhs Mila Jo Mujh Se, Baaton Baaton Mein Tera Zikr Bhi Zaalim Ne Kiya, Naam Kya Aaya Tera Us Ke Labon Par Jaanaa, Jis Tarah Rooh Jism Se Khinch Kar Aaye, Yoon Laga Mout Ke Saaye Mere Sar Pe Aaye, Phir Tere Pyar Ki Paazeb Achanak Chhanki, Phir Mera Waham Dilaason Ki Hadon Se Nikla, Phir Meri Aankh Mein Saawan Ke Katoray Chhalkay, Phir Meri Jaan Pe Qayamat Ki Ghadi Aa Thehri, Phir Mere Dil Ne Ajab Maangi Dua Maalik Se, Aaj Ke Baad Tera Zikr Kare Na Koi Aaj Ke Baad Koi Tera Shanasa Na Milay.!!

Kam Sahi Hum Se Lekin Mila Kijiye

Kam Sahi Hum Se Lekin Mila Kijiye, Kuch To Rasm-E-Mohabbat Ada Kijiye, Kaun Kahta Hai Hum Se Bhala Kijiye, Kijiye Kuch Bhi, Chaahe Bura Kijiye, Barh Gaya Hai Junoon Ek Had Se Mera, Mere Marne Ki Ab To Dua Kijiye, Maangne Se Bhi Gar Mout Na Aaye To, Aisi Soorat Mein Phir Koi Kya Kijiye, Wo Samajhte Nahi, Kiya Wo Nadaan Hain, Un Se Kyun Main Kahun Ke Wafa Kijiye, Us Ne Poochha Ke Tasveer Ka Kya Karun, Main Ne Bhi Kah Diya Ke Jala Dijiye..!!

Humein Ab Kho Ke Kahta Hai

Humein Ab Kho Ke Kahta Hai, MujheTum Yaad Aatey Ho... Kissi Ka Ho Ke Kahta Hai, Mujhe Tum Yaad Aatey Ho... Samandar Tha To Zor-O-Shor Se Lehrein Bahaata Tha, Ab Qatra Ho Ke Kahta Hai, Mujhe Tum Yaad Atey Ho... Bayaan Karte Jo Haal-E-Dil To Yunhi Muskuraa Deta, Ab Wahi Ro Ke Kahta Hai, Mujhe Tum Yaad Aatey Ho... Na Poonch Tu Us Ki Bad-Naseebi Ka Aalam, Ke Sab Kuch Kho Ke Kahta Hai, Mujhe Tum Yaad Aatey Ho..!!

Intazamaat Naye Sire Se Sambhale Jaayen

Intazamaat Naye Sire Se Sambhale Jaayen, Jitne Kam-Zarf Hain Mehfil Se Nikaale Jaayen, Mera Ghar Aag Ki Lapton Mein Chhupa Hai Lekin, Jab Maza Hai Tere Aangan Mein Ujaale Jaayen, Ghum Salamat Hai To Peete Hi Rahenge Lekin, Pahle Maikhane Ki Halaat Sambhale Jaayen, Khaali Waqton Mein Kahin Baith Ke Ro Lein Yaaro, Fursatein Hain To Samandar Hi Khangaale Jaayen, Khaak Mein Yoon Na Mila Zabt Ki Tauheen Na Kar, Ye Wo Aansoo Hain Jo Duniya Ko Baha Le Jaayen, Hum Bhi Pyase Hain Ye Ahsaas To Ho Saaqi Ko, Khaali Sheesha Hi Hawaon Mein Uchhale Jaayen, Aao Shahar Mein Naye Dost Banaayen "Rahat" Aasteeno Mein Chalo Saanp Hi Paale Jaayen..!! "Rahat Indori"

Itna Paas Aa Ke Bhala Ab Ye Jhijhakna Kaisa

Itna Paas Aa Ke Bhala Ab Ye Jhijhakna Kaisa, Saath Nikley Hain To Phir Raah Mein Thakna Kaisa, Mere Aangan Ko Bhi Khushbu Ka Koi Jhaunka De, Sooney Jangal Mein Ye Phoolon Ka Mahakna Kaisa, Roshni Di Hai To Sooraj Ki Tarah De Mujh Ko, Jugnoon Ki Tarah Thoda Sa Chamakna Kaisa, Hum To Duniya Ke Khayalat Badal Detey Thay, Guftagu Karne Mein Us Se Ye Atakna Kaisa, Khushk Aankhein To Hain Himmat Ki Alaamat Mohsin, Zindagi Talkh Sahi Phir Bhi Sisakna Kaisa..!!

Jo Dard Mila Apnon Se Mila

Jo Dard Mila Apnon Se Mila Ghairon Se Shikayat Kaun Kare... Jo Zakham Diya Phoolon Ne Diya Kaanton Se Shikayat Kaun Kare... In Aankhon Ne Jo Kuch Dekha, Ai Dil Ye Bata Kis Moonh Se Kahein, Kuch Apnon Ka Naam Aata Hai, Behtar Ye Lab Khamosh Rahein, Jab Kar Na Sake Hum Un Se Gila Logo'n Se Shikayat Kaun Kare... Jo Zakham Diya Phoolon Ne Diya Kanton Se Shikayat Kaun Kare... Dil Sheesha Samajh Kar Tod Diya, Manzil Pe Laa Ke Chhod Diya, Hum Ne In Pyaase Honthon Ka, Paimanon Se Naata Jod Liya, Wo Pyaar Nahi Ek Sapna Tha Sapnon Se Shikayat Kaun Kare... Jo Dard Mila Apnon Se Mila Ghairon Se Shikayat Kaun Kare.!!

Mujh Se Baad-E-Bahaara'n Ne Ro Kar Kaha

Image
Mujh Se Baad-E-Bahaara'n Ne Ro Kar Kaha, Teri Qismat Baharon Ke Qaabil Nahi... Teri Duniya Hai Ashkon Mein Doobi Hui, Teri Aankhein Nazaaron Ke Qaabil Nahi... Meri Kashti Ko Toofan Ne Bosay Diye, Boli Mauj-E-Talatum Mujhe Dekh Kar, Teri Taqdeer Mein Hain Bhanwar Hi Bhanwar, Teri Kashti Kinaaron Ke Qaabil Nahi... Us Ne Mehfil Se Mujh Ko Utha Kar Kaha, Mera Peecha Khuda Ke Liye Chhorh Do, Meri Mehfil Mein Phir Na Aana Kabhi, Ye Mohabbat Ke Maaron Ke Qaabil Nahi..!!

Kya Khoob Un Se Pahli Mulaqaat Hui Thi

Kya Khoob Un Se Pahli Mulaqaat Hui Thi, Sun Lo Tumhien Sunaaun Jo Baat Hui Thi, Main Ne Kaha Ke Ap Mujh Se Milnay Aaiye, Us Ne Kaha Ke Phir Kabhi Hum Ko Bulaaiye, Sun Ke Yeh Baat Un Se Behad Khafa Huye, Jazbaat Main Ye Kah Diya Tum Bewafa Huye, Us Ne Kaha Majboor Hoon Main Bewafa Nahi, Chahay Main Tujh Se Door Hoon Lekin Juda Nahi, Do Din Ke Baad Main Khud Hi Milnay Aaungi, Waada Hai Yeh Mera Main Yeh Waada Nibhaongi, Main Ne Kaha Ke Kab Tera Wada Wafa Hua, Lagta Hai Tu Aaj Bas Mujh Se Juda Hua, Yeh Kah Ke Phir Un Se Apni Baat Khatm Ki, Dil Se Phir Umeed-E-Mulaqaat Khatm Ki, Jo Kuch Bhi Ho Raha Tha Sab Kuch Ajeeb Tha, Milna Na Tha Muqadar Khona Naseeb Tha, Yeh Soch Ke Jo Dil Ne Ek Aah Thi Bhari, Is Aah Main Bhi Un Ki Bas Chaah Thi Bhari, Aisay Main Aa Gaye Jo Woh Aalam Badal Gaya, Betaab Sa Ho Ke Yeh Mera Dil Machal Gaya, Dekha Jo Husun-E-Yaar Ko Hairaan Ho Gaya, Hona Jisay Tha Hoor Woh Insaan Ho Gaya, Haathon Main Mere Us Ne Jab Haath De Diya Umr Bhar Ka Jaisay

Rahe Ga Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke Mujhe

Rahe Ga Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke Mujhe, Ke Ibtidaa Mein Huye Ranj Intihaa Ke Mujhe... Diye Hain Hijr Mein Dukh Dard Kis Balaa Ke Mujhe, Shab-E-Firaaq Ne Maara Litaa Litaa Ke Mujhe... Baghair Maut Ke Kis Tarah Koi Marta Hai, Mera Raqeeb Bhi Roya Galey Laga Ke Mujhe... Har Ik Shakhs Ko Haasil Judaa Hai Kefiyat, Jafaa Ke Lutf Tujhe Hain Mazey Wafaa Ke... Ghazab Ki Aah Meri Daagh Naam Hai Mera, Tamaam Shahar Jalaao Ge Kya Jalaa Ke Mujhe.!!

Saleeqa Deed Ka Kab Tha Tere Deedaar Se Pahlay

Saleeqa Deed Ka Kab Tha Tere Deedaar Se Pahlay, Zameen Abaad Hi Kab Thi Dayaar-E-Yaar Se Pahlay... Gulon Ne Muskurana Aur Hawa Ne Bolna Seekha, Kise Idraak Haasil Tha Teri Guftaar Se Pahlay... Chaman Mein Is Baras Yaaro Qayamat Kya Ajab Dekhi, Fiza Kaanton Ne Mahkaai Gul-O-Gulzaar Se Pahlay... Ye Meri Bad-Naseebi Hai Ya Meri Khush-Naseebi Hai, Ke Mere Paaon Hain Zakhmi Raah-E-Purkhaar Se Pahlay... Yahan Aa Kar Milaye Khak Mein Naam-O-Nasab Hum Ne, Hamein Bikna Kab Aata Tha Tere Bazaar Se Pahlay..!!

Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay

Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay, Ham Tera Intezaar Kartay Rahay... Tu To Kaar-e-Jahaan Mein Tha Masroof, Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay... Kis Liye Wasl Ki Kahaani Mein, Hijr Ko Hissedaar Kartay Rahay... Dil Ko Bas Mubtala-e-Ghum Rakkha, Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay..!! "Noshi Gilani"

Sun Li Jo Khuda Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho

Sun Li Jo Khuda Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho... Darwazey Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho... Simti Hui Sharmaai Hui Raat Ki Rani... Soi Hui Kaliyon Ki Haya Tum To Nahi Ho... Mahsoos Kiya Tum Ko To Geeli Huyin Palkein... Bheegey Huye Mausam Ki Ada Tum To Nahi Ho... In Ajnabi Raahon Mein Nahi Koi Bhi Mera... Kis Ne Mujhe Yoon Apna Kaha Tum To Nahi Ho..!! "Basheer Badr"

Bahut Ajeeb Hain Ye Bandishein Mohabbat Ki

Bahut Ajeeb Hain Ye Bandishein Mohabbat Ki, Na Us Ne Qaid Mein Rakkha Na Hum Faraar Hue.! بہت عجیب ھیں یہ بندشیں محبت کی نہ اُس نے قید میں رکھا نہ ھم فرار ھُوئے...

Yaad Aaun To Bas Itni Si Inaayat Karna

Yaad Aaun To Bas Itni Si Inaayat Karna, Apne Badle Huwe Lehjay Ki Wazaahat Karna, Tum To Chahat Ka Shahkaar Hua Karte Thay, Kis Se Seekha Hai Ye Ulfat Mein Milaawat Karna, Hum Sazaaon Ke Haqdaar Bane Hain Kab Se, Tum Hi Kah Do Ke Jurm Hai Kya Mohabbat Karna, Teri Fursat Mein Ye Aankhein Abhi Tak Nam Hain, Kabhi Aana Mere Ashkon Ki Ziyaarat Karna, Dil Mein Ab Bhi Mohabbat Ke Diye Hain Roshan, Dekh, Bhoole Nahi Teri Hasti Ki Sajaawat Karna..!!

Ye Mizaaj-e-yaar Ko Kya Hua

Ye Mizaaj-e-yaar Ko Kya Hua, Unhein Mujh Se Pyar Hai Aaj Kal... Meri Justuju Meri Guftugu, Mera Intezaar Hai Aaj Kal... Wo Mere Khatoot Nikalna, Kabhi Dekhna Kabhi Choomna Ye Mashgala Yahi Silsila, Yahi Karobaar Hai Aaj Kal... Isay Qatl Kar, Usay Qatl Kar, Tujhe Saat Khoon Maaf Hain Teri Saltnat, Tera Dabdaba, Tera Iqtadaar Hai Aaj Kal... Are Kaif Kal To Tu Rind Tha, Mere Yaar Tujh Ko Kya Hua Bada Mazhabi, Bada Paarsa, Bada Deendar Hai Aaj Kal..!!

Manaazir, Shahar, Qasbe Ajnabi Hain

Manaazir, Shahar, Qasbe Ajnabi Hain, Takhatib, Lafz, Lahje Ajnabi Hain, Ye Kaisi Be'murawwat Sar-zamee'n Hai, Yahaan Sab Ke Rawayye Ajnabi Hain, Samandar Lag Raha Hai Apna Apna, Magar Is Ke Jazeere Ajnabi Hain, Zamaane Ho Gaye Hain Saath Rahte, Magar Hum Phir Bhi Kitne Ajnabi Hain, Wahi Alfaaz Hain Maanoos Saare, Magar Mafhoom Ab Ke Ajnabi Hain, Lakeerein Apne Haatho'n Ki Pareshaa'n, Muqaddar Ke Sitaare Ajnabi Hain, Hui Manzil Gurezaa'n Jab Se Anwar, Zameen Naraaz, Raste Ajnabi Hain..!! مناظر ، شہر ، قصبے اجنبی ہیں تخاطب ، لفظ ، لہجے اجنبی ہیں یہ کیسی بے مروت سرزمیں ہے یہاں سب کے رویے اجنبی ہیں سمندر لگ رہا ہے اپنا اپنا مگر اس کے جزیرے اجنبی ہیں زمانے ہو گئے ہیں ساتھ رہتے مگر ہم پھر بھی کتنے اجنبی ہیں وہی الفاظ ہیں مانوس سارے مگر مفہوم اب کے اجنبی ہیں لکیریں اپنے ہاتھوں کی پریشاں مقدر کے ستارے اجنبی ہیں ہوئی منزل گریزاں جب سے انور زمیں ناراض ، رستے اجنبی ہیں

Main Zindagi Ki Tamanna Mein Mar Nahi Sakti

میں زندگی کی تمنا میں مر نہیں سکتی کہ حادثاتِ زمانہ سے ڈر نہیں سکتی وہ فیصلہ جو مجھے آپ سے جدا کر دے وہ فیصلہ میں کسی طور کر نہیں سکتی ترے جمال کا چھایا ہے اس طرح جادو مری نگاہ کسی پر ٹھہر نہیں سکتی نجانے کیسے گذاروں گی میں اسے تنہا وہ زندگی جو ترے بن گذر نہیں سکتی گذارنا ہے اسے اب سنوارنا کیا ہے یہ زندگی جو کبھی اب سنور نہیں سکتی تری نگاہِ کرم کے بنا مرے مولا ! مری حیات کی صورت نکھر نہیں سکتی بھرا ہی رہتا ہے پانی ہمیشہ آ نکھوں میں ندی یہ اشکوں کی شاید اتر نہیں سکتی رہے گی یاد تمہاری سدا مرے دل میں غبار بن کے ہوا میں بکھر نہیں سکتی خدا گواہ بنا تھا بوقتِ عہدِ وفا میں اپنے عہدِ وفا سے مکر نہیں سکتی

Kab Tak Rahoge Aakhir Yoon Door Door Hum Se

Kab Tak Rahoge Aakhir Yoon Door Door Hum Se, Milna Padega Tum Ko Ek Din Zaroor Hum Se... Daaman Bachaane Waale Ye Berukhi Hai Kaisi, Kah Do Agar Hua Hai Koi Qasoor Hum Se... Hum Chheen Lenge Tum Se Ye Shaan-e-beniyaazi, Tum Maangte Phiroge Apna Ghuroor Hum Se... Hum Chhorh Denge Tum Se Yoon Baat-Cheet Karna... Tum Poochhte Phiroge Apna Qasoor Hum Se..!! کب تک رہو گے آخر یوں دور دور ہم سے ملنا پڑے گا تم کو ایک دن ضرور ہم سے دامن بچانے والے یہ بے رخی ہے کیسی کہہ دو اگر ہوا ہے کوئی قصور ہم سے ہم چھین لیں گے تم سے یہ شان بے نیازی تم مانگتے پھرو گے اپنا غرور ہم سے ہم چھوڑ دیں گے تم سے یوں بات چیت کرنا تم پوچھتے پھرو گے اپنا قصور ہم سے

Mujh Se Ye Log Kahte Hain

Mujh se ye log kahte hain Kahan dil chhorh aaye ho Bahut chuchaap rahte ho Na bante ho sanwarte ho Na koi baat karte ho Bhari mahefil mein bhi aksar Hamesha khoye rahte ho Udaasi aankhon mein lekar Har ek chahre ko takte ho Koi jab yaad aata hai To thandi aahh bharte ho To khul kar kyun nhi kahte Kisi ko yaad karte ho Kisi ko pyaar karte ho..!!

Mere Humsafar Teri Nazr Hai

Mere Humsafar Teri Nazr Hai... Mere Jazba-e-dil Ki Shiddatein, Mere Khwaab, Meri Basaratein, Meri Dhadkanein, Meri Chahatein, Jo Tere Qadam Mere Ghar Chalein Mere Saath Shams-o-qamar Chalein, Teri Qurbato'n Mein Samet Loo'n Raah-e-zindagi Ki Musaafatein, Tere Naam Se Meri Subah Ho Teri Yaad Mein Meri Shaam Ho, Tere Rubaru Rahein Surkhru Mere Chashm-o-dil Ki Ibaadatein, Tera Pyaar Meri Dua Rahe Yahi Fikr Mujh Ko Sada Rahe, Ke Hara Rahe Tera Nakhl-e-jaa'n Ke Naseeb Hon Tujhe Raahatein, Mere Roz-o-shab Ke Nisaab Mein Mere Paas Apna To Kuch Nahi, Tera Qarz Hai Meri Zindagi Meri Saans Teri Amaanatein..!! میرے ہمسفر تیری نذر ہیںi میرے جذبہٗ دل کی یہ شدتیں، میرے خواب میری بصارتیں میری دھڑکنیں مری چاہتیں، جو تیرے قدم میرے گھر چلیں میرے ساتھ شمس و قمر چلیں، تیری قربتوں میں سمیٹ لوں رہ زندگی کی مسافتیں، تیرے نام سے میری صبح ہو تیری یاد میں میری شام ہو، ترے رو برو رہیں سرخرو مرے چشم و دل کی عبادتیں، ترا پیار میری دعا رہے یہی فکر مجھکو سدا رہے، کہ ہرا

Khulna Ghazab Hua Teri Zulf-e-daraaz Ka

Khulna Ghazab Hua Teri Zulf-e-daraaz Ka, Phaansi Gale Mein Daal Kar Duniya Latak Gayi.!

Tujhe Mahsoos Kab Hoga

Tujhe Mahsoos Kab Hoga.. Ke Main Alfaaz Ki Surat Mein, Apna Aap Likhta Hoon Tera Ahsaas Likhta Hoon..!!

Kahin Wo Zaaiqa Tahleel Hi Na Ho Jaaye

Kahin Wo Zaaiqa Tahleel Hi Na Ho Jaaye, Main Tum Se Mil Kar Kisi Se Nahi Mila Barso'n... کہیں وه ذائقہ ______ تحلیل ہی نہ ہو جائے میں تُم سے مِلكر كِسى سے نہیں مِلا برسوں..

Hum Ko Aapas Mein Mohabbat Nahi Karne Dete

Hum Ko Aapas Mein Mohabbat Nahi Karne Dete, Bas Yahi Aib Hai Is Shahar Ke Danaaon Mein.! "Qateel Shifai" ہم کو آپس میں محبت نہیں کرنے دیتے بس یہی عیب ہے اس شہر کے داناؤں میں.. قتیل شفائی

Waqt Laazim Hai Magar Ai Dil-e-barbaad Tujhe

Waqt Laazim Hai Magar Ai Dil-e-barbaad Tujhe, Jism Ki Maut Se Pahle To Nahi Marna Tha.! وقت لازم ہے مگر اے دل برباد تجھے ، جسم کی موت سے پہلے تو نہیں مرنا تھا !

Kaam Aa Sakin Na Apni Wafaa'en To Kya Karen

Image
Kaam aa sakin na apni wafaa'en to kya karen, Us bewafa ko bhool na jaa'en to kya karen... Mujh ko ye aitiraaf duaa'on mein hai asar, Jaa'en na arsh par jo duaa'en to kya karen... Ek din ki baat ho to use bhul jaa'en hum, Naazil hon dil pe roz balaa'en to kya karen... Zulmat-ba-dosh hai meri dua-e-aashiqi, Taaro'n ki mish'alein na churaa'en to kya karen... Shab bhar to un ki yaad mein taare gina kiye, Taare se din ko bhi nazar aa'en to kya karen... Ahd-e-tarab ki yaad mein roya kiye bahut, Ab muskura ke bhool na jaa'en to kya karen... Ab ji mein hai ke un ko bhula kar hi dekh lein, Wo baar baar yaad jo aa'en to kya karen... Waade ke aitebaar mein taskeen-e-dil to hai, Ab phir wahi fareb na khaa'en to kya karen... Tark-e-wafa bhi jurm-e-mohabbat sahi magar, Milne lagein wafa ki sazaa'en to kya karen.!! "Akhtar Shiraani" کام آ سکیں نہ اپنی وفائیں تو کیا کریں اِک بےوفا کو بُھول نہ جائیں تو کیا کریں م

Mausam Bhi Nahi Badla, Manzar Bhi Nahi Badla

Mausam Bhi Nahi Badla, Manzar Bhi Nahi Badla, Us Shahar Ko Jaane Ka, Rasta Bhi Nahi Badla... Tum Chhorh Gaye Jaise, Sab Waisa Hi Rakkha Hai, Bistar Ki Wahi Chaadar, Takiya Bhi Nahi Badla... Haan, Ab Bhi Baithe Hain Deewaar Se Lag Ke Hum, Galiyaa'n Bhi Wahi Apni, Koocha Bhi Nahi Badla... Tum Kuch To Nibaah Dete, Aakhir Ko Mohabbat Thi, Hum Ne To Aqeedat Mein, Lahja Bhi Nahi Badla... Hai Shauq-e-safar Aisa, Ek Umr Se Yaaro'n Ne, Manzil Bhi Nahi Paai, Rasta Bhi Nahi Badla... Be-simt Hawaao'n Ne, Har Lahar Se Saazish Ki, Khwaabo'n Ke Jazeere Ka, Naqsha Bhi Nahi Badla..!! موسم بھی نہیں بدلا ، منظر بھی نہیں بدلا اُس شہر کو جانے کا ، رستہ بھی نہیں بدلا تم چھوڑ گئے جیسے ، سب ویسا ہی رکھا ہے بستر کی وہی چادر ، تکیہ بھی نہیں بدلا ہاں ، اب بھی بیٹھے ہیں ، دیوار سے لگ کے ھم گلیاں بھی وہی اپنی ، کُوچہ بھی نہیں بدلا تم کچھ تو نباہ دیتے ، آخر کو محبت تھی ھم نے تو عقیدت میں ، لہجہ بھی نہیں بدلا. ہے شوقِ سفر ایسا ، اِک عمر سے یاروں نے منزل بھی نہیں پائی ، رستہ بھی ن