Showing posts with label Rajendra Nath Rahbar. Show all posts
Showing posts with label Rajendra Nath Rahbar. Show all posts

Tuesday, June 19, 2018

Shaam Kathin Hai Raat Kadi Hai

Shaam kathin hai raat kadi hai,
Aao ke ye aane ki ghadi hai..

Wo hai apne husn mein yakta,
Dekh kahaan taqdeer ladi hai..

Main tum ko hi soch raha tha,
Aao tumhaari umr badi hai..

Kaash kushada dil bhi rakhta,
Jis ghar ki dahleez badi hai..

Phir bichhde do chahne waale,
Phir dholak par thaap padi hai..

Wo pahuncha imdaadi ban kar,
Jab jab hum par biphar padi hai..

Shahr mein hai ek aisi hasti,
Jis ko meri takleef badi hai..

Hans le 'Rahbar' wo aaye hain,
Rone ko to umr padi hai.!!

"Rajendra Nath Rahbar"

Padi Rahegi Agar Ghum Ki Dhool Shaakhon Par

Padi rahegi agar ghum ki dhool shaakhon par,
Udaas phool khilenge malool shaakhon par..

Abhi na gulshan-e-urdu ko be-charaagh kaho,
Khile hue hain abhi chand phool shaakhon par..

Nikal pade hain hifazat ko chand kaante bhi,
Hua hai jab bhi gulo'n ka nuzool shaakhon par..

Hawa ke saamne un ki bisaat hi kya thi,
Dikha rahe the bahaarein jo phool shaakhon par..

Nisaar-e-gul ho, mila hai ye izn bulbul ko,
Hua hai hukm gul-e-tar ko, jhool shaakhon par..

Wo phool pahunche na jaane kahaan kahaan 'Rahbar',
Nahin tha jin ko theharna qubool shaakhon par.!!

"Rajendra Nath Rahbar"

Mahtab Nahin Nikla Sitare Nahin Nikle

Mahtaab nahin nikla sitare nahin nikle,
Dete jo shab-e-ghum mein sahaare nahin nikle..

Kal raat nihatta koi deta tha sadaaen,
Hum ghar se magar khauf ke maare nahin nikle..

Kya chhorh ke basti ko gaya tu ke tere baad,
Phir ghar se tere hijr ke maare nahin nikle..

Baithe raho kuchh der abhi aur muqabil,
Armaan abhi dil ke humare nahin nikle..

Nikli to hain saj-dhaj ke teri yaad ki pariyaan,
Khwaabon ke magar raaj dulare nahin nikle..

Kab ahl-e-wafa jaan ki baazi nahin haare,
Kab ishq mein jaano'n ke khasare nahin nikle..

Andaaz koi doobne ke seekhe to hum se,
Hum doob ke dariya ke kinare nahin nikle..

Wo log ke the jin pe bharose humein kya kya,
Dekha to wahi log humare nahin nikle..

Ash'aar mein daftar hai maani ka bhi 'Rahbar',
Hum lafzon hi ke mahz sahaare nahin nikle.!!

"Rajendra Nath Rahbar"

Kya Kya Sawaal Meri Nazar Poochhti Rahi

Kya kya sawaal meri nazar poochhti rahi,
Lekin wo aankh thi ke barabar jhuki rahi..

Mele mein ye nigaah tujhe dhundhti rahi,
Har mah-jabeen se tera pata poochhti rahi..

Jaate hain na-muraad tere aastaan se hum,
Ai dost phir milenge agar zindagi rahi..

Aankhon mein tere husn ke jalwe base rahe,
Dil mein tere khyaal ki basti basi rahi..

Ek hashr tha ke dil mein musalsal bapa raha,
Ek aag thi ke dil mein barabar lagi rahi.. 

Main tha kisi ki yaad thi jaam-e-sharaab tha,
Ye wo nashist thi jo sahar tak jami rahi..

Shaam-e-wida-e-dost ka aalam na poochhiye,
Dil ro raha tha lab pe hansi khelti rahi..

Khul kar mila na jaam hi us ne koi liya,
'Rahbar' mere khuloos mein shayad kami rahi.!!

"Rajendra Nath Rahbar"
__________

Nashist = gathering/ assembly,

Kya Aaj Un Se Apni Mulaqaat Ho Gayi

Kya aaj un se apni mulaqaat ho gayi,
Sahra pe jaise toot ke barsat ho gayi..

Veeran bastiyon mein mera din hua tamaam,
Sunsaan jangalon mein mujhe raat ho gayi..

Karti hai yoon bhi baat mohabbat kabhi kabhi,
Nazrein milin na honth hile baat ho gayi..

Zaalim zamana hum ko agar de gaya shikast?
Baazi mohabbaton ki agar maat ho gayi?

Hum ko nigal sakein ye andheron mein dam kahaan,
Jab chaandni se apni mulaqaat ho gayi..

Bazaar jaana aaj saphal ho gaya mera,
Barso'n ke baad un se mulaqaat ho gayi.!!

"Rajendra Nath Rahbar"

Daaman-e-sad-chaak Ko Ek Baar Si Leta Hun Main

Daaman-e-sad-chaak ko ek baar si leta hun main,
Tum agar kahte ho to kuchh roz ji leta hun main..

Be-sabab peena meri aadat mein shaamil nahin,
Mast aankhon ka ishaara ho to pi leta hun main..

Gesuon ka ho ghana saaya ke shiddat dhoop ki,
Wo mujhe jis rang mein rakhta hai ji leta hun main..

Aate aate aa gaye andaaz jeene ke mujhe,
Ab to 'Rahbar' khoon ke aansu bhi pi leta hun main.!!

"Rajendra Nath Rahbar"

Aaina Saamne Rakhoge To Yaad Aaunga

Aaina saamne rakhoge to yaad aaunga,
Apni zulfo'n ko sanwaroge to yaad aaunga..

Rang kaisa ho ye sochoge to yaad aaunga,
Jab naya suit kharidoge to yaad aaunga..

Bhool jaana mujhe aasaan nahin hai itna, 
Jab mujhe bhoolna chaahoge to yaad aaunga..

Dhyaan jayega bahar-haal meri hi jaanib,
Tum jo puja mein bhi baithoge to yaad aaunga..

Ek din bheege the barsaat mein hum tum dono'n,
Ab jo barsaat mein bheegoge to yaad aaunga..

Chaandni raat mein phoolon ki suhani rut mein,
Jab kabhi sair ko nikaloge to yaad aaunga..

Jin mein mil jaate the hum tum kabhi aate jaate,
Jab bhi un galiyon se guzroge to yaad aaunga..

Yaad aaunga udaasi ki jo rut aayegi,
Jab koi jashn manaoge to yaad aaunga..

Shelf mein rakkhi hui apni kitaabon mein se,
Koi deewan uthaoge to yaad aaunga.. 

Shama ki lau pe sar-e-shaam sulagte jalte,
Kisi parwane ko dekhoge to yaad aaunga..

Jab kisi phool pe ghash hoti hui bulbul ko,
Sehn-e-gulzaar mein dekhoge to yaad aaunga.!!

"Rajendra Nath Rahbar"

Tere Khushbu Mein Base Khat

* Nazm *
__________

Pyaar ki aakhiri poonji bhi luta aaya hun,
Apni hasti ko bhi lagta hai mita aaya hun,
Umr-bhar ki jo kamaai thi ganwa aaya hun,

Tere khat aaj main ganga mein baha aaya hun..
Aag bahte hue paani mein laga aaya hun.! 

Tu ne likhkha tha jala dun main teri tahreeren,
Tu ne chaaha tha jala dun main teri tasveeren,
Soch lin main ne magar aur hi kuchh tadbeeren,

Tere khat aaj main ganga mein baha aaya hun..
Aag bahte hue paani mein laga aaya hun.! 

Tere khushbu mein base khat main jalata kaise,
Pyaar mein doobe hue khat main jalata kaise,
Tere haathon ke likhe khat main jalata kaise,

Tere khat aaj main ganga mein baha aaya hun..
Aag bahte hue paani mein laga aaya hun.!

Jin ko duniya ki nigaahon se chhupaye rakkha...
Jin ko ek umr kaleje se lagaye rakkha...
Din jin ko jinhein imaan banate rakkha...

Jin ka har lafz mujhe yaad hai paani ki tarah...
Yaad the mujh ko jo paighaam-e-zabaani ki tarah...
Mujh ko pyaare the jo anmol nishaani ki tarah...

Tu ne duniya ki nigaahon se jo bach kar likkhe...
Saal-ha-saal mere naam barabar likkhe... 
Kabhi din mein to kabhi raat ko uth kar likkhe...

Tere rumaal tere khat tere chhalle bhi gaye,
Teri tasveeren tere shokh lifaafe bhi gaye,
Ek yug khatm hua yug ke fasane bhi gaye,

Tere khat aaj main ganga mein baha aaya hun..
Aag bahte hue paani mein laga aaya hun.! 

Kitna bechain unhein lene ko ganga-jal tha,
Jo bhi dhaara tha unhin ke liye wo bekal tha,
Pyaar apna bhi to ganga ki tarah nirmal tha,

Tere khat aaj mein ganga mein baha aaya hun..
Aag bahte hue paani mein laga aaya hun.!!

"Rajendra Nath Rahbar"

Aisi Jagah Le Chal

* Nazm *
__________

Dil-e-majboor tu mujh ko kisi aisi jagah le chal,
Jahaan mahboob mahbooba se aazadana milta ho..

Kisi ka narm-o-naazuk haath apne haath mein le kar,
Nikal sakta ho be-khatke koi sair-e-gulistaan ko..

Nigaahon ke jahaan pahre na hon dil ke dhadakne par,
Jahaan chhini na jaati ho khushi ahl-e-mohabbat ki..

Jahaan armaan bhare dil khoon ke aansu na rote hon,
Jahaan rondi na jaati ho khushi ahl-e-mohabbat ki..

Jahaan jazbaat ahl-e-dil ke thukraye na jaate hon,
Jahaan baaghi na kahta ho koi khuddaar insaan ko..

Jahaan barsaye jaate hon na koode zehn-e-insaan par,
Khyaalon ko jahaan zanjir pahnaai na jaati ho..

Kahaan tak ai dil-e-nadaan qayaam aise gulistaan mein,
Jahaan bahta ho khoin-e-garm-e-insaan shah-raahon par,

Darindon ki jahaan chaandi ho zaalim dandanaate hon,
Jhapat padte hon shaahi'n jis jagah kamzor chidiyon par..

Dil-e-majboor tu mujh ko kisi aisi jagah le chal,
Jahaan mahboob mahbooba se aazadana milta ho.!!

"Rajendra Nath Rahbar"
__________

Aazadana = freely, independently,
Shah-raahon = highways,
Shaahi'n = eagle,

Aa Jaana

* Nazm *
__________

Faza mein dard-aagi'n geet lahraye to aa jaana..
Sukoot-e-shab mein koi aah tharraye to aa jaana..

Jahaan ka zarra zarra yaas barsaye to aa jaana..
Dar-o-deewar par andoh chha jaaye to aa jaana..

Samajh lena koi ro ro ke tujh ko yaad karta hai..
Samajh lena koi ghum ka jahaan aabaad karta hai..

Koi taqdeer ka maara hua fariyaad karta hai..

Teri aankhon mein ashk-e-ghum utar aaye to aa jaana..

Dilo'n ko gudgudaye jab tarannum aabshaaron ka..
Ghata barsaat ki jab choom le munh kohsaaron ka..

Mulaqaaton ke jab din hon zamana ho bahaaron ka..

Bahaar-e-gul mulaqaaton pe uksaye to aa jaana..

Zamana mushkilon ke jaal phailaye to phailaye..
Qadam badhte rahein be-dard duniya laakh bahkaye..

Samajhte hain kahin deewangan-e-ishq samjhaye..

Tere honthon pe mera naam aa jaate to aa jaana..

Jhadi barsaat ki jab aag tan man mein lagati ho..
Gulo'n ko bulbul-e-nashaad haal-e-dil sunati ho..

Joi birhan kisi ki yaad mein aansu bahati ho..

Agar aise mein tera dil dhadak jaate to aa jaana.!!

"Rajendra Nath Rahbar"
__________

Dard-aagi'n = painful,

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...