Thursday, June 28, 2018

Khyaal Usi Ki Taraf Baar Baar Jaata Hai

Khyaal usi ki taraf baar baar jaata hai,
Mere safar ki thakan kaun utaar jaata hai..

Ye us ka apna tareeqa hai daan karne ka,
Wo jis se shart lagata hai haar jaata hai..

Ye khel meri samajh mein kabhi nahin aaya,
Main jeet jaata hun baazi wo maar jaata hai..

Main apni neend dawaon se qarz leta hun,
Ye qarz khwab mein koi utaar jaata hai..

Nasha bhi hota hai halka sa zahar mein shaamil,
Wo jab bhi milta hai ek dank maar jaata hai..

Main sab ke waaste karta hun kuchh na kuchh 'Nazmi',
Jahaan jahaan bhi mera ikhtiyaar jaata hai.!!

"Akhtar Nazmi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...