Wednesday, June 27, 2018

** Qitaa **

(1)
Jahaan jahaan teri nazron ki os tapki hai,
Wahaan wahaan se abhi tak ghubaar uthta hai..

Jahaan jahaan tere jalwon ke phool bikhre the,
Wahaan wahaan dil-e-wahshi pukaar uthta hai.!!

"Sahir Ludhianwi"
_______________

(2)
Tapte dil par yoon girti hai,
Teri nazar se pyaar ki shabnam..

Jalte hue jangal par jaise,
Barkha barse ruk ruk tham tham.!!

"Sahir Ludhianwi"
_______________

(3)
Wajah-e-be-rangi-e-gulzaar kahun to kya ho,
Kaun hai kitna gunahgaar kahun to kya ho..

Tum ne jo baat sar-e-bazm na sunna chaahi,
Main wahi baat sar-e-daar kahun to kya ho.!!

"Sahir Ludhianwi"
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...