Yaad kar wo din ke tera koi saudaai na tha,
Bawajood-e-husn tu aagah-e-raanaai na tha..
Ishq-e-roz-afzoo'n pe apne mujh ko hairaani na thi,
Jalwa-e-rangeen pe tujh ko naaz-e-yaktaai na tha..
Deed ke qaabil thi mere ishq ki bhi saadgi,
Jab ke tera husn sargarm-e-khud-aaraai na tha..
Kya hue wo din ke mahw-e-aarzu the husn o ishq,
Rabt tha dono'n mein go rabt-e-shanasaai na tha..
Tu ne 'Hasrat' ki ayaa'n tahzeeb-e-rasm-e-aashiqi,
Is se pahle aitibaar-e-shaan-e-ruswaai na tha.!!
"Hasrat Mohani"
__________
Ishq-e-roz-afzoo'n = love which grows daily,
Naaz-e-yaktaai = the pride of oneness,
Sargarm-e-khud-aaraai = enthusiastic about showing off oneself,
Tahzeeb-e-rasm-e-aashiqi = ritual of love, tradition of loving,
Aitibaar-e-shaan-e-ruswaai = trustworthiness of state of disgrace,
No comments:
Post a Comment