Thursday, June 28, 2018

Mohabbat Tark Ki Main Ne Garebaa'n Si Liya Main Ne

Mohabbat tark ki main ne garebaa'n si liya main ne,

Zamane ab to khush ho zahar ye bhi pi liya main ne..

Abhi zinda hun lekin sochta rahta hun khalwat mein,

Ke ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne..

Unhein apna nahin sakta magar itna bhi kya kam hai,

Ke kuchh muddat haseen khwaabon mein kho kar ji liya main ne..

Bas ab to daaman-e-dil chhorh do bekaar ummido,

Bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne.!!

"Sahir Ludhianwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...