Is shahar mein chalti hai hawa aur tarah ki,
Jurm aur tarah ke hain saza aur tarah ki...
Is baar to paimana uthaya bhi nahin tha,
Is baar thi rindo'n ki khata aur tarah ki...
Hum aankhon mein aansu nahin laate hain ke hum ne,
Paai hai wirasat mein ada aur tarah ki...
Is baat pe naraaz tha saaqi ke sar-e-bazm,
Kyun aai pyaalon se sada aur tarah ki...
Is daur mein mafhoom-e-mohabbat hai tijarat,
Is daur mein hoti hai wafa aur tarah ki...
Shabnam ki jagah aag ki baarish ho magar hum,
'Mansoor' na maangenge dua aur tarah ki.!!
"Mansoor Usmani"
No comments:
Post a Comment