Saturday, June 30, 2018

Zameen Kahin Bhi Na Thi Chaar-su Samandar Tha

Zameen kahin bhi na thi chaar-su samandar tha,
Kise dikhate bada haul-naak manzar tha..

Ludhak ke meri taraf aa raha tha ek patthar,
Phir ek aur phir ek aur bada sa patthar tha..

Faseelein dil ki giraata hua jo dar aaya,
Wo koi aur na tha khwahishon ka lashkar tha..

Bula raha tha koi cheekh cheekh kar mujh ko,
Kuein mein jhaank ke dekha to main hi andar tha..

Bahut se haath ug aaye the meri aankhon mein,
Har ek haath mein ek nok-daar khanjar tha..

Wo jangalon mein darakhton pe koodte phirna,
Bura bahut tha magar aaj se to behtar tha..

Humare waaste 'Alvi' ke sher kya kam hain,
Chalo qubool ke 'Ghaalib' bada sukhan-war tha.!!

"Mohammad Alvi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...