Thursday, June 28, 2018

Kab Logon Ne Alfaaz Ke Patthar Nahin Phenke

Kab logo'n ne alfaaz ke patthar nahin phenke,
Wo khat bhi magar main ne jala kar nahin phenke..

Thehre hue paani ne ishaara to kiya tha,
Kuchh soch ke khud main ne hi patthar nahin phenke..

Ek tanz hai kaliyon ka tabassum bhi magar kyun,
Main ne to kabhi phool masal kar nahin phenke..

Waise to iraada nahin tauba-shikni ka,
Lekin abhi toote hue saaghar nahin phenke..

Kya baat hai us ne meri tasveer ke tukde,
Ghar mein hi chhupa rakkhe hain baahar nahin phenke..

Darwaazon ke shishe na badalwaaiye 'Nazmi',
Logon' ne abhi haath se patthar nahin phenke.!!

"Akhtar Nazmi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...