Wo humsafar tha magar us se hum-nawai na thi, Ke dhoop chhaanw ka aalam raha judaai na thi.! Na apna ranj na auron ka dukh na tera malaal, Shab-e-firaaq kabhi hum ne yun ganwaai na thi.! Mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha, Shikasta-dil the musafir shikasta-paai na thi.! Adawatein thin, taghaful tha, ranjishein thin bahut, Bichhadne waale mein sab kuchh tha, bewafaai na thi.! Bichhadte waqt un aankhon mein thi humari ghazal, Ghazal bhi wo jo kisi ko abhi sunaai na thi.! Kise pukaar raha tha wo doobta hua din, Sada to aai thi lekin koi duhaai na thi.! Kabhi ye haal ke donon mein yak-dili thi bahut, Kabhi ye marhala jaise ke aashnaai na thi.! Ajeeb hoti hai raah-e-sukhan bhi dekh "naseer", Wahaan bhi aa gaye aakhir, jahan rasaai na thi.! "Naseer Turabi"