Monday, June 25, 2018

Shola Hi Sahi Aag Lagane Ke Liye Aa

Shola hi sahi aag lagane ke liye aa,
Phir noor ke manzar ko dikhane ke liye aa..

Ye kis ne kaha hai meri taqdeer bana de, 
Aa apne hi haathon se mitane ke liye aa..

Ai dost mujhe gardish-e-haalaat ne ghera, 
Tu zulf ki kamli mein chhupane ke liye aa..

Deewar hai duniya ise raahon se hata de,
Har rasm-e-mohabbat ko mitane ke liye aa..

Matlab teri aamad se hai darmaa'n se nahin hai,
'Hasrat' ki qasam dil hi dukhane ke liye aa.!!

"Hasrat Jaipuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...