Be-saaya na ho jaaye kahin mera ya rab,
Kuch din se main jhukta ye shajar dekh raha hun.!!
_______________
Chaand ka qurb laga kaisa chalo poochh aayen,
Aasmaanon ke safar se wo laut aaya hai.!!
_______________
Dar-ba-dar hi gaye ta'abeer ki dhun mein kitne,
In haseen khwaabon se badh kar koi saffaak nahi.!!
_______________
Dekhna chhode nahi khwaab meri aankhon ne,
Poora Har-chand koi khwaab nahi ho paaya.!!
_______________
Ek chehra hai jo aankhon mein basa rahta hai,
Ek tasawwur hai jo tanha nahi hone deta.!!
_______________
Jise na aane ki qasmein main de ke aaya hun,
Usi ke qadmon ki aahat ka intizaar bhi hai.!!
_______________
Mit jaane ke aasaar wirasat mein mile hain,
Girte dar-o-deewar wirasat mein mile hain.!!
_______________
Muddat hui ke zinda hoon dekhe baghair use,
Wo shakhs mere dil se utar to nahi gaya.!!
_______________
Mujh ko ye mohtaat ikhlaas-e-nazar achchha laga,
Us ki duzdeeda nigaahon ka safar achchha laga.!!
_______________
Palkon pe le ke bojh kahaan tak phira karun,
Ai khwab-e-raegaa'n main bata tera kya karun.!!
_______________
Saath chaawal ke ye kankar bhi nigal jaata hai,
Bhookh mein aadmi patthar bhi nigal jaata hai.!!
_______________
Samajhne se raha qaasir ke daanista nahi samjha,
Na jaane kyun humari pyaas ko dariya nahi samjha.!!
_______________
Zara qareeb se dekhun to koi raaz khule,
Yahaan to har koi lagta hai aadmi jaisa.!!
_______________
"Jawed Naseemi"
No comments:
Post a Comment