Posts

Showing posts from March, 2018

Dil Ne Tere Baare Mein Poochha To Bahut Roya

Dil ne tere baare mein poochha to bahut roya, Woh shakhs jo patthar tha, toota to bahut roya.. Ye dil ke judaai ke unwaan pe barson se, Chup tha to bahut chup tha roya to bahut roya.. Aasan to nahi apni hasti se guzar jaana, Utra jo samandar mein dariya to bahut roya.. Jo shakhs na roya tha tapi hui raahon mein, Deewar ke saaye mein baitha to bahut roya.. Ek harf tasali ka, ek harf mohabbat ka, Khud apne liye us ne likkha to bahut roya.. Pahle hi shikaston pe khaayi thi shikast us ne, Lekin woh tere haathon haara to bahut roya.. Jo ahd nibhane ki di thi dua us ne, Kal shaam mujhe tanha dekha to bahut roya.! دل نے تیرے بارے میں پوچھا تو بہت رویا وہ شخص جو پتھر تھا ٹوٹا تو بہت رویا یہ دل کہ جدائی کے عنوان پہ برسوں سے چپ تھا تو بہت چپ تھا رویا تو بہت رویا آسان تو نہیں اپنی ہستی سے گزر جانا اترا جو سمندر میں دریا تو بہت رویا جو شخص نہ رویا تھا تپی ہوئی راہوں میں دیوار کے سائے میں بیٹھا تو بہت رویا اک حرف تسلّی کا اک حرف محبت کا خود اپنے لئے اس نے لکھا تو بہت رویا پہ

Jazba-e-ishq Dikhaye Jo Asar Aaj Ki Raat

Jazba-e-ishq Dikhaye Jo Asar Aaj Ki Raat, Ho Ke Betaab Wo Aayen Mere Ghar Aaj Ki Raat... Khalal Aaye Na Kahin Neend Mein Un Ki Ya Rab, Mere Naale Rahein Mahroom-e-asar Aaj Ki Raat... Aaj Ki Raat Sab Raato'n Se Behtar Ho Jaaye, Karam-o-lutf Karein Aap Agar Aaj Ki Raat... Un Ke Aane Ki Khabar Kis Ne Suna Di In Ko, Aankhein Kyun Ho Gayin Wabasta-e-dar Aaj Ki Raat... Jhoom Jhoom Uthti Hain Saawan Ki Ghatayen Kaisi, Koi La De Mere Dilbar Ki Khabar Aaj Ki Raat... Un Ke Altaaf Jo Mahfil Mein Adu Par Dekhe, Ho Gaya Aur Sawa Dard-e-jigar Aaj Ki Raat..!! "Ali Jaan Aagha" جزبہ ء عشق دکھائے جو اثر آج کی رات ہو کے بےتاب وہ آئیں مرے گھر آج کی رات خلل آئے نہ کہیں نیند میں ان کی یارب میرے نالے رہیں محروم اثر آج کی رات آج کی رات ہی سب راتوں سے بہتر ہو جائے کرم و لطف کریں آپ اگر آج کی رات ان کے آنے کی خبر کس نے سنا دی ان کو آنکھیں کیوں ہو گئیں وابستہ ء در آج کی رات جھوم جھوم اٹھتی ہیں ساون کی گھٹائیں کیسی کوئی لا دے مرے دلبر کی خبر آج کی رات ان کے الطاف جو محفل

Din Dhhala Shaam Hui Chaand Sitaare Nikle

Din Dhhala Shaam Hui Chaand Sitaare Nikle, Tum Ne Waada To Kiya, Ghar Se Na Pyaare Nikle... Dost Jitne The, Wo Dushman Mere Saare Nikle, Dam Bhara Mera, Taraf-daar Tumhaare Nikle... Aur Phir Aur Hain, Auron Ka Gila Kya Karna, Hum Ne Parkha Jo Tumhein, Tum Na Humare Nikle... Ghum O Aalaam Ke Maaron Ka Bahut Tha Charcha, Wo Bhi Kambakht, Tere Ishq Ke Maare Nikle... Waaye Qismat Ke Na Raas Aai Mohabbat Hum Ko, Haaye Taqdeer Ke Wo Bhi Na Humare Nikle... Jeete Ji Hum Na Hile Apne Thikaane Se 'Naseer', Un Ke Kooche Se Janaaze Hi Humare Nikle.!!  "Peer Sayyad Naseeruddin Naseer" دن ڈھلا ، شام ہوئی ، چاند ستارے نکلے تم نے وعدہ تو کیا ، گھر سے نہ پیارے نکلے دوست جتنے تھے , وہ دشمن مِرے سارے نکلے دم بھرا میرا , طرفدار تمھارے نکلے اور پھر اور ہیں , اوروں کا گِلہ کیا کرنا ہم نے پرکھا جو تمھیں , تم نہ ھمارے نکلے غم و آلام کے ماروں کا بُہت تھا چرچا وہ بھی کم بخت ، تِرے عشق کے مارے نکلے وائے قسمت کہ نہ راس آئی مُحبت ہم کو ہائے تقدیر کہ وہ بھی نہ ھمارے نکلے جیت

Mana Raha Hun Tere Baad Barsiyan Apni

Mana Raha Hun Tere Baad Barsiyan Apni.. Ke Ji Liya Tha Tere Saath Jitna Jeena Tha.! منا رہا ھوں تیرے بعد برسیاں اپنی کہ جی لیا تھا تیرے ساتھ جتنا جینا تھا..

Jabhi To Umr Se Apni Zyaada Lagta Hun

Jabhi To Umr Se Apni Zyaada Lagta Hun, Bada Hai Mujh Se Kayi Saal Tajraba Mera.. Adawaton Ne Mujhe Aitimaad Bakhsha Hai, Mohabbaton Ne To Kaata Hai Raasta Mera.. Main Apne Ghar Mein Hun Ghar Se Gaye Huon Ki Tarah, Mere Hi Saamne Hota Hai Tazkira Mera.. Main Lut Gaya Hun 'Muzaffar' Hayat Ke Haathon, Sune Gi Kis Ki Adalat Muqaddama Mera.! "Muzaffar Warsi" ____________________ جبھی تو عمر سے اپنی زیادہ لگتا ہوں بڑا ہے مجھ سے کئی سال تجربہ میرا- عداوتوں نے مجھے اعتماد بخشا ہے محبتوں نے تو کاٹا ہے راستہ میرا میں اپنے گھر میں ہوں گھر سے گئے ہوؤں کی طرح مرے ہی سامنے ہوتا ہے تذکرہ میرا میں لٹ گیا ہوں مظفرؔ حیات کے ہاتھوں سنے گی کس کی عدالت مقدمہ میرا- مظفر وارثی

Kuch Is Tarah Hun Hijr Ke Maaron Ke Darmiyan

Kuch Is Tarah Hun Hijr Ke Maaron Ke Darmiyan, Jaise Falak Pe Chaand, Sitaaron Ke Darmiyan... Aa Jaaye Dil Ka Dariya Jo Ek Baar Mauj Mein, Rahta Hai Kab Simat Ke Kinaaron Ke Darmiyan... Kuch Din Kisi Ke Qurb Ki Hiddat Naseeb Thi, Kuch Din Raha Mein Surkh Chanaaron Ke Darmiyan... Mujh Ko Meri Ana Pe Bahut Maan Tha, So Main, Tanha Khada Hun Kitne Sahaaron Ke Darmiyan... 'Arshad' Zara Si Baat Par Itne Malool Ho, Shikwe Gile To Hote Hain Yaaron Ke Darmiyan.!! ____________________ کچھ اس طرح ہوں ہجر کے ماروں کے درمیاں جیسے فلک پہ چاند ، ستاروں کے درمیاں آ جائے دل کا دریا جو اک بار موج میں رہتا ہے کب سمٹ کے کناروں کے درمیاں کچھ دن کسی کے قرب کی حدت نصیب تھی کچھ دن رہا میں سرخ چناروں کے درمیاں مجھ کو مری انا پہ بہت مان تھا سو میں تنہا کھڑا ہوں کتنے سہاروں کے درمیاں ارشد ذرا سی بات پر اتنے ملول ہو شکوے گلے تو ہوتے ہیں یاروں کے درمیاں.. ارشد شاہین

Phirte Hain "Meer" Khwaar Koi Poochhta Nahi

Phirte Hain "Meer" Khwaar Koi Poochhta Nahi... Is Aashiqi Mein Izzat-E-Saadaat Bhi Gaye..!! "Meer Taqi Meer"

Mujhe Hansna Pada Aakhir

Mujhe Hansna Pada Aakhir Unhin Baaton Pe Jin Par Main Bahut Naraaz Tha Us Se.. Ye Ek Tarfa Mohabbat Yoon Bhi Itna Dard Deti Hai, Ke Is Mein Beech Ka Rasta Kabhi Mumkin Nahi Hota, Wahi Jhukta Hai Jis Ko Doosra Darkaar Hota Hai.! مجھے ہنسنا پڑا آخر انہی باتوں پہ جن پر میں بہت ناراض تھا اس سے! یہ اک طرفہ محبت یوں بھی اتنا درد دیتی ہے کہ اس میں بیچ کا رستہ کبھی ممکن نہیں ہوتا ! وہی جھکتا ہے جس کو دوسرا درکار ہوتا ہے۔۔۔۔

Zara Yaad Kar, Mere Hum-nafas

Zara Yaad Kar, Mere Hum-nafas.. Mera Dil Jo Tum Pe Nisaar Tha, Wo Dara Dara Sa Jo Pyaar Tha, Tere Shokh Qadmon Ki Dhool Thi, Tera Bhi Dil Be-qaraar Tha... Zara Yaad Kar... Mera Ghum To Hai Ghum-e-mubtila, Main Jiya Magar Main Jiya Nahi, Tera Ghum Hai Teri Nadamatein, Tu Jiya Magar Tu Mara Nahi, Tujhe Umr Bhar Ki Saza Mili, Tera Jurm, Jurm-e-faraar Tha, Tera Bhi Dil Be-qaraar Tha, Zara Yaad Kar, Mere Hum-nafas, Wo Ghuti Ghuti Si Nawa-e-dil, Meri Aah-e-dard Ka Saaz Thi, Jo Padhi Thi Ashkon Ne Toot Kar, Kisi Be-khuda Ki Namaaz Thi, Jise Ro Diya Hai Zara Zara, Meri Be-basi Ka Fishaar Tha, Tera Bhi Dil Be-qaraar Tha, Zara Yaad Kar.!! ____________________ ذرا یاد کر۔۔۔۔ میرے ہم نفس.. میرا دل جو تم پہ نثار تھا.. وہ ڈرا ڈراسا جو پیار تھا.. تیرے شوخ قدموں کی دھول تھی.. تیرا بھی دل بے قرار تھا.. ذرا یاد کر۔۔۔۔ میرا غم تو ہے غم مبتلا.. میں جیا مگر میں جیا نہیں.. تیرا غم ہے تیری ندامتیں.. تو جیا مگر تو مرا نہیں.. تجھے عمر بھر کی سزا ملی.. تیرا جرم ، جرم فرار تھا..

Tumhein Ishq Dobara Kaise Hua

Jab Tum Ko Mayassar Kaamil The.. Phir Hijr Gawara Kaise Hua.? Ab Hum Se Kinara Kaise Hua.?  Ab Khwab Hain Kis Ke Aankhon Mein.? Phir Koi Gawara Kaise Hua.? Tumhein Ishq Dobara Kaise Hua.?  ‏جب تم کو میسرکامل تھے، پھرہجر گوارہ کیسےہوا.؟ اب ہم سےکنارہ کیسے ہوا.؟ اب خواب ہیں کس کےآنکھوں میں.؟ پھرکوئی گوارہ کیسےہوا.؟ تمہیں عشق دوبارہ کیسےہوا.؟

Ek Khush-ada Ko Mutthi Mein Rakhne Ke Waaste

Ek Khush-ada Ko Mutthi Mein Rakhne Ke Waaste, Mat Poochhiye Ke Haath Se Kya Kuch Nikal Gaya.!  اک خوش ادا کو مٹهی میں رکهنے کے واسطے مت پوچهیے کہ ہاتھ سے کیا کچھ نکل گیا...

Abhi Mitti Gundhi Hai Bas Abhi Tajseem Baaqi Hai

Abhi Mitti Gundhi Hai Bas Abhi Tajseem Baaqi Hai, Abhi Saanche Mein Dhhalna Hai Abhi Tarmeem Baaqi Hai.. Mera Daawa Hai Ye Logo, Mohabbat Jaanta Hun Main, Abhi Seekhe Hai Chaar Harf Abhi Tafheem Baaqi Hai.. Zanjeer-e-ishq Mein Jakda Abhi Maqtal Mein Pahuncha Hun, Abhi To Tukde Hone Hain Abhi Taqseem Baaqi Hai.. Ajab Aalam Hai Dil Ka Bhi Udaasi Maujazin Si Hai, Abhi Patjhad Ke Dere Hain Apni Tasneem Baaqi Hai.. Abhi Darbaar-e-ulfat Ke Hain Mujh Ko Seekhne Aadaab, Baja Laana Hai Hukm-e-shah Abhi Ta'azeem Baaqi Hai.. Abhi Mein Us Ki Raahon Mein Bichhata Hun Faqat Palkein, Hai Baaqi Jaan Ka Sadqa Abhi Takreem Baaqi Hai.!! ابهی مٹی گندهی ہے بس، ابهی تجسیم باقی ہے؛؛ ابهی سانچے میں ڈهلنا ہے، ابهی ترمیم باقی ہے_؛؛ مرا دعوی ہے یہ لوگو محبت جانتا ہوں میں____؛؛ ابهی سیکهے ہیں چار حرف، ابهی تفہیم باقی ہے_؛؛ زنجیرِ عشق میں جکڑا ابهی مقتل میں پہنچا ہوں؛ ابهی تو ٹکڑے ہونے ہیں، ابهی تقسیم باقی ہے__؛؛؛ عجب عالم ہے دل کا بهی،اداسی موجزن سی ہے_؛؛ ابهی پت جهڑ کے ڈیرے ہیں ابهی تسنیم

Mujh Ko Tasleem Teri Saari Zahaanat Lekin

Mujh Ko Tasleem Teri Saari Zahaanat Lekin, Mujh Jaahil Ko Kabhi Tu Na Samajh Paayega.! مجھ کو تسلیم تیری ساری ذہانت لیکن مجھ جاہل کو کبھی تُو نہ سمجھ پائے گا...

مجھ کو تسلیم تیری ساری ذہانت لیکن

مجھ کو تسلیم تیری ساری ذہانت لیکن مجھ جاہل کو کبھی تُو نہ سمجھ پائے گا...

Tujh Ko Sitam Ka Hausla, Mujh Ko Jigar Diya

Tujh Ko Sitam Ka Hausla, Mujh Ko Jigar Diya, Taqdeer Ne Hisaab Barabar To Kar Diya... Kaabe Se Bhi Gaya Main, Kaleesa Se Bhi Gaya, Ek But Ne But-parasti Pe Dohra Ajar Diya... Muddat Ke Baad Bheja Hai Us Ne Salaam-e-nau, Ashkon Ne Ek Chattaan Mein Suraakh Kar Diya... Lab Si Liye To Paya Hai Lafzon Mein Ye Asar, Seepi Ko Band Hone Pe Rab Ne Gauhar Diya... Kitne Ajeeb Lagte Gali Mein Tamaam Raat, Maula Tumhaara Shukr Hai Rone Ko Ghar Diya... Koi Daleel Dhundh Na Paya To Agle Din, Us Ne Mere Khuloos Pe Ilzaam Dhar Diya... Dilchasp Mod Aa Chala Tha Daastaan Mein "Qais", Us Ne Haseen Sapne Se Bedaar Kar Diya..!! تجھ کو ستم کا حوصلہ ، مجھ کو جگر دِیا تقدیر نے حساب برابر تو کر دِیا,,,!! کعبہ سے بھی گیا میں ، کلیسا سے بھی گیا اِک بُت نے بُت پرستی پہ دُہرا اَجر دِیا,,,!! مُدّت کے بعد بھیجا ہے اُس نے سلامِ نو اَشکوں نے اِک چٹان میں سُوراخ کر دِیا,,,!! لب سی لئے تو پایا ہے لفظوں میں یہ اَثر سیپی کو بند ہونے پہ رَب نے گہر دِیا,,,!!! کتنے عجیب لگتے ، گلی میں تمام رات

Naadim Hoon Maine Koi Bhi Raahat Na Di Tujhe

Naadim Hoon Maine Koi Bhi Raahat Na Di Tujhe, Tu Jis Ka Mustahiq Tha Wo Chahat Na Di Tujhe... Apne Hi Roz-o-shab Ke Jhamelon Mein Gum Raha, Jis Par Tera Tha Haq Wo Rafaqat Na Di Tujhe... Tu Paas Tha To Meri Anaa Ke Ghuroor Ne, Patthar Ke Ek But Ki Bhi Wuq'at Na Di Tujhe... Dariya Tha Mein Khuloos Ka Har Shakhs Ke Liye, Par Boond Bhar Bhi Maine Mohabbat Na Di Tujhe... Kaaghaz Ke Qumqumon Ko Jalane Ke Shauq Mein, Afsos, Koi Shaam-e-Rafaqat Na Di Tujhe... Tu Sochta To Hoda Ke Shayer Ke Pyaar Ne, Apni Kisi Ghazal Ki Bhi Surat Na Di Tujhe.!! "Aitebaar Sajid" نادم ہوں میں نے کوئی بھی راحت نہ دی تجھے تُو جس کا مستحق تھا، وہ چاہت نہ دی تجھے اپنے ہی روز و شب کے جھمیلوں میں گم رہا جس پر تِرا تھا حق، وہ رفاقت نہ دی تجھے تُو پاس تھا تو میری اَنا کے غرُور نے پتھر کے ایک بت کی بھی وقعت نہ دی تجھے دریا تھا میں خلُوص کا ہر شخص کے لیے پر بُوند بھر بھی میں نے محبت نہ دی تجھے کاغذ کے قمقموں کو جلانے کے شوق میں افسوس!کوئی شام رفاقت نہ دی تجھے تُو سوچتا تو ہو گا کہ شاعر

Tum Theek Kahte Ho

Tum Theek Kahte Ho.! Humari Is Mohabbat Ka Bhala Kya Fayeda Hoga.? Humare Darmiyan Jo Dooriyan Hain Kam Nahi Hongi... Kabhi Baarish Ke Mausam Mein Hamesha Saath Rahne Ki, Jo Khwahish Dil Mein Jaagi Thi, Jo Sapne Hum Ne Dekhe The. Wo Sapne Toot Jayenge... Meri Jaan.! Theek Kahte Ho.! Muqaddar Ke Likhe Ko Hi Agar Tasleem Karna Hai, To Phir Aisi Mohabbat Ka Koi Bhi Fayeda Kaisa.? Magar Is Ko Agar Chaaho To Meri Be-basi Kah Lo.. Mujhe Tum Se Mohabbat Hai.! ____________________ تم ﭨﮭﯿﮏ ﮐﮩﺘﮮ ﮨﻮ ! ﮨﻤﺎﺭﯼ ﺍﺱ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﺑﮭﻼ ﮐﯿﺎ ﻓﺎﺋﺪﮦ ﮨﻮﮔﺎ؟؟ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺩﺭﻣﯿﺎﮞ ﺟﻮ ﺩﻭﺭﯾﺎﮞ ﮨﯿﮟ ﮐﻢ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﻧﮕﯽ .... ﮐﺒﮭﯽ ﺑﺎﺭﺵ ﮐﮯ ﻣﻮﺳﻢ ﻣﯿﮟ ﮨﻤﯿﺸﮧ ﺳﺎﺗﮫ ﺭﮨﻨﮯ ﮐﯽ ! ﺟﻮ ﺧﻮﺍﮨﺶ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﺟﺎﮔﯽ ﺗﮭﯽ .... ﺟﻮ ﺳﭙﻨﮯ ﮨﻢ ﻧﮯ ﺩﯾﮑﮭﮯ ﺗﮭﮯ ... ﻭﮦ ﺳﭙﻨﮯ ﭨﻮﭦ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﮔﮯ .... ﻣﺮﯼ ﺟﺎﮞ ! ﭨﮭﯿﮏ ﮐﮩﺘﮮ ﮨﻮ .... ﻣﻘّﺪﺭ ﮐﮯ ﻟﮑﮭﮯ ﮐﻮ ﮨﯽ ﺍﮔﺮ ﺗﺴﻠﯿﻢ ﮐﺮﻧﺎ ﮨﮯ .... ﺗﻮ ﭘﮭﺮ ﺍﯾﺴﯽ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﮐﻮﺋﯽ ﺑﮭﯽ ﻓﺎﺋﺪﮦ ﮐﯿﺴﺎ؟ ﻣﮕﺮ ﺍﺱ ﮐﻮ ﺍﮔﺮ ﭼﺎﮨﻮ ﺗﻮ ﻣﯿﺮﯼ ﺑﮯﺑﺴﯽ ﮐﮩﮧ ﻟﻮ ..... " ﻣﺠﮭﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﻫﮯ۔

Zahe Naseeb, Humein Yaad Se Utaare Wo

Zahe Naseeb, Humein Yaad Se Utaare Wo, Saleeb-e-waqt Pe Rahna Badi Aziyat Hai.. Ye Baar-e-sang-e-giraa'n Hai Lo Wo Bhi Maan Gaya, Jo Baar-ha Mujhe Kahta Tha, Ye Mohabbat Hai.! ﺯہے ﻧﺼﯿﺐ, ﮨﻤﯿﮟ ﯾﺎﺩ ﺳﮯ ﺍُﺗﺎﺭﮮ ﻭﮦ صلیبِ ﻭﻗﺖ پہ ﺭﮨﻨﺎ ﺑﮍﯼ ﺍﺫﯾﺖ ہے.ِ یہ بارِ سَنگِ ﮔﺮﺍﮞ ہے ﻟﻮ ﻭﮦ ﺑﮭﯽ ﻣﺎﻥ ﮔﯿﺎ ﺟﻮ ﺑﺎﺭ ہا ﻣﺠﮭﮯ ﮐﮩﺘﺎ ﺗﮭﺎ, ﯾﮧ ﻣﺤﺒﺖ ہے..

Kahaan Kisi Se Mohabbat Nibhane Waala Hun

Kahaan Kisi Se Mohabbat Nibhane Waala Hun, Bad Bad-lihaaz Bi Bilkul Zamane Waala Hun.. Tumhaare Paanw Mein Rakh Dun Main Kayenaat Magar, Main Apne Ghar Ka Akela Kamane Waala Hun.. Maaf Kana Tawaqqo Ke Bar-khilaaf Yahaan, Main Shayeri Nahi Girya Sunane Waala Hun.! کہاں کسی سے محبت نبھانے والا ہوں میں بد لحاظ بھی بالکل زمانے والا ہوں تمہارے پاؤں میں رکھ دوں میں کائنات مگر میں اپنے گھر کا اکیلا کمانے والا ہوں مُعاف کرنا توقع کے برخلاف یہاں میں شاعری نہیں گِریہ سُنانے والا ہوں..

Aaj To Be-sabab Udaas Hai Ji

Aaj to be-sabab udaas hai ji, Ishq hota to koi baat bhi thi, Jalta phirta hun main dopahron mein, Jaane kya cheez kho gayi meri, Wahin phirta hun main bhi khaak-basar, Is bhare shahar mein hai ek gali, Chhupta phirta hai ishq duniya se, Phailti ja rahi hai ruswaai, Hum-nasheen kya kahun ke wo kya hai, Chhod ye baat neend udne lagi, Aaj to wo bhi kuchh khamosh sa tha, Main ne bhi us se koi baat na ki, Ek dam us ke honth choom liye, Ye mujhe baithe baithe kya soojhi, Ek dam us ka haath chhod diya, Jaane kya baat darmiyaan aayi, Tu jo itna udas hai 'Nasir', Tujhe kya ho gaya bata to sahi..!! "Nasir Kazmi"

Dil-e-barbaad Ko Barbaad Kahaan Tak Rakhte

Dil-e-barbaad Ko Barbaad Kahaan Tak Rakhte, Jaane Waale Tujhe Hum Yaad Kahaan Tak Rakhte... Ab Tere Hijr Ki Baatein Nahi Sunta Koi, Ab Labo'n Par Teri Rudaad Kahaan Tak Rakhte... Badi Mushkil Se Nikaala Hai Teri Yaadon Ko, Apne Ghar Mein Unhein Aabaad Kahaan Tak Rakhte... Kaar-e-dushwaar Tha Dobaara Mohabbat Lekin, Khud Ko Bekaar Tere Baad Kahaan Tak Rakhte.!!  "Rashid Murad" ____________________ دلِ برباد کو , برباد کہاں تک رکھتے ؟ جانے والے تجھے ھم یاد , کہاں تک رکھتے ؟ اب تیرے ھجر کی باتیں , نہیں سنتا کوئی اب لبوں پر تیری رُوداد , کہاں تک رکھتے ؟ بڑی مشکل سےنکالا ھے , تیری یادوں کو اپنے گھر میں انہیں آباد , کہاں تک رکھتے ؟ کارِ دُشوار تھا ، دوبارہ محبت لیکن خود کو بیکار تِرے بعد ، کہاں تک رکھتے ؟ ”راشد مُراد“

Kaanton Ka Ek Makaan Mere Paas Rah Gaya

Kaanton Ka Ek Makaan Mere Paas Rah Gaya, Ek Phool Sa Nishaan Mere Paas Rah Gaya... Samaan Tu Ne Rakh Liya Jaate Hue Tamaam, Lekin Tera Dhyaan Mere Paas Rah Gaya... Jaate Hue Yaqeen Ki Daulat Wo Le Gaya, Ek Wahm Aur Gumaan Mere Paas Rah Gaya... Suraj Chala Gaya Mujhe Sahra Mein Chhorh Ke, Kirnon Ka Sayebaan Mere Paas Rah Gaya... Hum Ko Bhulane Par Hai Kahaan Us Ko Ikhtiyaar, Kitna Haseen Gumaan Mere Paas Rah Gaya.!!  "Fakhira Batool" کانٹوں کا اِک مکان مرے پاس رہ گیــا اِک پھُول سا نشان مرے پاس رہ گیـا سامان تو نے رکھ لیا جاتے ہوئے تمام لیکن ترا دھیان مرے پاس رہ گیـــــا جاتے ہوئے یقین کی دولت وہ لے گیا اِک وہم اور گُمان مرے پاس رہ گیـــــا سُورج چلا گیا مجھے صحرا میں چھوڑ کے کرنوں کا سائباں مرے پاس رہ گیـــــا ہم کو بھُلانے پر ہے کہاں اُس کو اختیار کتنا حسیں گُماں مرے پاس رہ گیــــــا.. فاخرہ بتول

Main Kahaan Kahaan Na Pahuncha

Main Kahaan Kahaan Na Pahuncha, Teri Deed Ki Lagan Mein..!!

Zyaada Paas Mat Aana

Zyaada Paas Mat Aana.. Main Wo Tah-Khana Hun Jis Mein, Shikasta Khwahishon Ke An-ginat Aaseb Baste Hain.. Jo Aadhi Shab To Hanste Hain, Phir Aadhi Raat Rote Hain.! زیادہ پاس مت آنا مَیں وہ تہہ خانہ ہُوں جس میں شکستہ خواہشوں کے ان گنت آسیب بستے ہیں جو آدھی شب تو روتے ہیں پھر آدھی رات ہنستے ہیں.!

Har Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum

*  Nazm *  __________ Har baar mere saamne aati rahi ho tum,  Har baar tum se mil ke bichhadta raha hun main.. Tum kaun ho ye khud bhi nahin jaanti ho tum,  Main kaun hun ye khud bhi nahin jaanta hun main.. Tum mujh ko jaan kar hi padi ho azaab mein,  Aur is tarah khud apni saza ban gaya hun main.. Tum jis zameen par ho main us ka khuda nahin,  Pas sar-ba-sar aziyat o aazaar hi raho.. Bezaar ho gayi ho bahut zindagi se tum,  Jab bas mein kuchh nahin hai to bezaar hi raho.. Tum ko yahaan ke saaya o partaw se kya gharaz,  Tum apne haq mein beech ki deewar hi raho.. Main ibtida-e-ishq se be-mehr hi raha,  Tum intiha-e-ishq ka me'aar hi raho.. Tum khoon thoikti ho ye sun kar khushi hui,  Is rang is ada mein bhi purkaar hi raho.. Main ne ye kab kaha tha mohabbat mein hai najaat,  Main ne ye kab kaha tha wafadaar hi raho.. Apni mata-e-naaz luta kar mere liye,  Bazaar-e-iltifaat mein nadaar hi raho.. Jab main tumhein nashaat-e-mohabbat na de saka,  Ghum mein kabhi s

Wo Dil-nawaaz Hai Lekin Nazar-shanas Nahi

Wo Dil-nawaaz Hai Lekin Nazar-shanas Nahi, Mera Ilaaj Mere Chara-gar Ke Paas Nahi.. Kabhi Kabhi Jo Tere Qurb Mein Guzaare The, Ab Un Dinon Ka Tasawwur Bhi Mere Paas Nahi.. Mujhe Ye Darr Hai Teri Aarzu Na Mit Jaaye, Bahut Dinon Se Tabiyat Meri Udaas Nahi.! وہ دلنواز ہے لیکن نظر شناس نہیں مرا علاج میرے چارہ گر کے پاس نہیں۔۔۔ کبھی کبھی جو تیرے قرب میں گزارے تھے اب ان دنوں کا تصور بھی میرے پاس نہیں۔۔۔ مجھے یہ ڈر ہے تیری آرزو نہ مٹ جائے بہت دنوں سے طبیعت میری اداس نہیں۔۔۔

Main Apni Pyaas Tere Paaniyon Pe Maar Aayi

Main Apni Pyaas Tere Paaniyon Pe Maar Aayi.. To Kya Ye Kaafi Nahi Tere Doob Jaane Ko.? میں اپنی پیاس تیرے پانیوں پہ مار آئی تو کیا یہ کافی نہیں تیرے ڈوب جانے کو؟

Nami De Kar Jo Mitti Ko, Musalsal Goondhte Ho Tum

Nami De Kar Jo Mitti Ko, Musalsal Goondhte Ho Tum.. Batao Kya Banaoge.? Koi Kooza, Koi Murat, Ya Phir Mahboob Ki Surat.? Sukhan-war Hun, Kaho To Mashwara Ek Dun.. Ye Ghaate Ka Hi Sauda Hai.. Yahaan Mitti Ki Murat Ki Agar Aankhein Banaoge, Tumhein Aankhein Dikhayegi.. Taraasoge Zabaan Us Ki To Tarshi Jheel Paoge.. Agar Jo Dil Banaya To, Hazaaron Khwahishein Ban Kar Tumhein Tum Se Hi Maangegi.. Ata-e-khal'at-e-ahmar Use Khud-sar Bana Degi.. Wahaan Apni Mohabbat Ka Jo Naadir Taaj Pahnaya, Khuda Khud Ko Hi Samjhegi.. Abhi Bhi Waqt Hai Maano, Irada Multawi Kar Do.. Ise Mitti Hi Rahne Do.!! نمی دے کر جو مٹی کو مسلسل گوندھتے ہو تم بتاؤ کیا بناؤ گے___؟؟ کوئی کوزہ، کوئی مورت یا پھر محبوب کی صورت___؟؟ سخن ور ہوں____کہو تو مشورہ اک دوں یہ گھاٹے کا ہی سودا ہے. یہاں مٹی کی مورت کی اگر آنکھیں بناؤ گے تمہیں آنکھیں دکھائے گی تراشو گے زبان اسکی تو ترشی جھیل پاؤ گے___؟؟ اگر جو دل بنایا تو ہزاروں خواہشیں بن کر تمہیں تم سے ہی مانگے گی. عطائے خلعت احمر اسے خود سر بنا دے گی

Pal Bhar Wo Chashm-e-tar Se Mujhe Dekhta Raha

Pal Bhar Wo Chashm-e-tar Se Mujhe Dekhta Raha, Phir Us Ke Aansuon Se Meri Aankh Bhar Gayi.! پل بھر وُہ چشمِ تر سے مُجھے دیکھتا رہا.. پِھر اُس کے آنسوؤں سے مِری آنکھ بھر گئی..

Khud Ko Har Bazm-e-masarrat Mein Samo Kar Dekha

Khud Ko Har Bazm-e-masarrat Mein Samo Kar Dekha, Rooh Ka Dukh Na Gaya, Qalb Ki Wahshat Na Gayi.! ﺧﻮﺩ ﮐﻮ ﮨﺮ ﺑﺰﻡِ ﻣﺴﺮﺕ ﻣﯿﮟ ﺳﻤﻮ ﮐﺮ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﺭﻭﺡ ﮐﺎ ﺩﮐﮫ ﻧﮧ ﮔﯿﺎ, ﻗﻠﺐ ﮐﯽ ﻭﺣﺸﺖ ﻧﮧ ﮔﺌﯽ...

Mohabbat Mein Wafa Ka Zahar Kha Kar

Mohabbat Mein Wafa Ka Zahar Kha Kar Main Apna Farz Pura Kar Chuka Hun.. Mujhe Hi Poochhne Ko Aaye Hain Aap Magar Main, Main To Shayad Mar Chuka Hun.! "Jaun Eliya" محبت میں وفا کا زہر کھا کر میں اپنا فرض پورا کر چکا ہوں..  مجھے ہی پوچھنے کو آئے ہیں آپ مگر میں، میں تو شاید مر چکا ہوں.. "جون ایلیاء"

Ek Lifaafe Mein Lapetun Ye Sulagti Aankhein

Ek Lifaafe Mein Lapetun Ye Sulagti Aankhein... Aur Phir Tera Pata Likh Ke Rawaana Kar Dun.!!

Tum Ke Sunte Rahe Auron Ki Zabani Logo

Tum Ke Sunte Rahe Auron Ki Zabani Logo, Hum Sunate Hain Tumhein Apni Kahani Logo.. Kaun Tha Dushman-e-jaan Wo Koi Apna Tha Ke Ghair, Haan Wahi Dushman-e-jaan Dilbar-e-jaani Logo.. Zulf Zanjeer Thi Zaalim Ki To Shamsheer Badan, Roop Sa Roop Jawani Si Jawani Logo.. Samane Us Ke Dikhe Nargis-e-shehla Beemar, Ru-Ba-Ru Us Ke Bhare Sarw  Bhi Paani Logo, Us Ki Guftaar Mein Khanda Tha Shagfat-e-gul Ka, Us Ki Raftaar Mein Chashme Ki Rawani Logo.. Us Ke Malboos Se Sharminda Qaba-e-laala, Us Ki Khushbu Se Jale Raat Ki Raani Logo.. Hum Jo Paagal The To Be-wajah Nahi The Paagal, Ek Dunia Thi Magar Us Ki Deewani Logo, Ishq Aur Mushk Chhupaye Nahi Chhupte Yoon Bhi, Kab Raha Raaz Koi Raaz-e-nihani Logo, Ek To Ishq Kiya Ishq Bhi Phir 'Meer' Sa Ishq, Is Pe 'Ghalib' Ki Si Aashafta-Bayani Logo.. Dastan Koi Bhi Ho Zikr Kisi Shakhs Ka Ho, Hum Ne Us Naam Se Taheed Uthani Logo.. Haan Wahi Naam Ke Jis Naam Se Wabasta Hai, Har Mohabbat Wo Nayi Ho Ke Purani Logo.. Hum Hi Sa

Donon Ko Aa Saki Na Nibhani Mohabbatein

Donon Ko Aa Saki Na Nibhani Mohabbatein, Ab Pad Rahi Hain Hum Ko Bhulani Mohabbatein..  Sab Sar-ba-sar Fareb Hain Kya In Ka Aitibaar, Ye Pyaar, Husn, Ishq, Jawani, Mohabbatein.. Kin Kin Rafaqaton Ke Diye Waaste Magar, Us Ko Na Yaad Aayin Purani Mohabbatein.. Guzri Ruto'n Ke Zakhm To Ab Tak Bhare Nahi, Phir Aur Kya Kisi Se Badhani Mohabbatein.. Ya Dil Ki Haalaton Ka Bayaan Sab Ke Saamne, Ya Apne Aap Se Bhi Chhupani Mohabbatein.. Jaane Wo Aaj Kaun Se Raste Se Aaye Ghar, Har Mod Har Gali Mein Bichhani Mohabbatein.. Nafrat Ke Waaste Kabhi Fursat Nahi Mili, Hai Apni Mukhtasar Si Kahani Mohabbatein.!! دونوں کو آ سکی نہ نبھانی محبتیں اب پڑ رہی ہیں ہم کو بھلانی محبتیں سب سر بسر فریب ہیں کیا انکا اعتبار یہ پیار، حسن، عشق جوانی محبتیں کن کن رفاقتوں کے دیے واسطے مگر اسکو نہ یاد آئیں پرانی محبتیں گذری رُتوں کے زخم تو اب تک بھرے نہیں پھر اور کیا کسی سے بڑھانی محبتیں یا دل کی حالتوں کا بیاں سب کے سامنے یا اپنے آپ سے بھی چھپانی محبتیں جانے وہ آج کون سے رستے سے آئے گھر، ہر

Teri Aarzu Mein Ude To The

Teri Aarzu Mein Ude To The Chand Khushk Patte Chanaar Ke, Jo Hawa Ke Dosh Se Gir Pada Un Mein Ek Ye Khaksaar Tha.! "Gulzaar" تیری آرزو میں اڑے تو تھے چند خشک پتے چنار کے جو ہوا کے دوش سے گر پڑا ان میں ایک یہ خاکسار تها... "گلزار"

Pur-takalluf Se Mahakti Wo Suhaani Chaay

Pur-takalluf Se Mahakti Wo Suhaani Chaay, Ab Kahaan Hum Ko Mayassar Hai Tumhaari Chaay.. Maine Cheeni Ki Bhi Miqdaar Badha Kar Dekha, Bin Tere Lagti Hai Kadwi Kaseeli Chaay..! "Gulzaar" پُر تکلف سی مہکتی ، وہ سہانی چائے اب کہاں ہم کو میسر ہےتمہاری چائے میں نے چینی کی بھی مقدار بڑھا کر دیکھا بن تیرے لگتی ہےکڑوی کسیلی چائے...

Mera Nahin To Wo Apna Hi Kuchh Khyaal Kare

Mera nahin to wo apna hi kuchh khyaal kare, Use kaho ke ta'alluq ko phir bahaal kare... Nigah-e-yaar na ho to nikhar nahin paata, Koi jamaal ki jitni bhi dekh-bhaal kare... Mile to itni riaayat ata kare mujh ko, Mere jawaab ko sun kar koi sawaal kare... Kalaam kar ke mere lafz ko suhoolat ho, Tera sukoot meri guftugu muhaal kare... Bulandiyon pe kahaan tak tujhe talaash karun, Har ek saans pe umr-e-rawaa'n zawaal kare... Wo honth hon ke tabassum sukoot ho ke sukhan, Tera jamaal har ek rang mein kamaal kare... Main us ka phool hun 'Nayyar' so us pe chhod diya, Wo gesuon mein sajaye ke payemaal kare.!! "Shahzad Nayyar" مرا نہیں تو وہ اپنا ھی کچھ خیال کرے اُسے کہو کہ تعلق کو پھر بحال کرے_ ملے تو اتنی رعایت عطا کرے مجھ کو مرے جواب کو سُن کر کوئی سوال کرے_ کلام کر کہ مرے لفظ کو سہولت ھو ترا سکوت مری گفتگو محال کرے_ نہ گزرے وقت کا پوچھے نہ آنے والے کا کوئی سوال کرے بھی تو حسب حال کرے_ وہ ھونٹ ھوں کہ تبسم، سکوت ھو کہ سُخن ترا جمال ھر اک رنگ می

Husn-e-Jaanaa Ki Taareef Mumkin Nahi

Husn-e-Jaanaa Ki Ta'areef Mumkin Nahi.. Aafreen Aafreen.! Tu Bhi Dekhe Agar, To Kahe Hum-nasheen.. Aafreen Aafreen.! Aisa Dekha Nahi Khoobsurat Koi, Jism Jaise Ajanta Ki Murat Koi,  Jism Jaise Nigaahon Pe Jaadu Koi,  Jism Naghma Koi, Jism Khushbu Koi, Jism Jaise Machalti Hui Raagini, Jism Jaise Mahakti Hui Chaandni, Jism Jaise Ke Khilta Hua Ek Chaman, Jism Jaise Ke Suraj Ki Pahli Kiran,  Jism Tarsha Hua, Dilkash-o-dil-nasheen,  Sandalin Sandalin, Marmarin Marmarin.. Aafreen Aafreen.!  Chehra Ek Phool Ki Tarah Shadaab Hai, Chehra Us Ka Hai Ya Koi Mahtaab Hai, Chehra Jaise Ghazal, Jehra Jaan-e-ghazal, Chehra Jaise Kali, Chehra Jaise Kanwal, Chehra Jaise Tasawwur Bhi Tasveer Bhi, Chehra Ek Khwab Bhi Chehra Tabeer Bhi, Chehra Koi Alif Lailavi Dastaan, Chehra Ek Pal Yaqeen, Chehra Ek Pal Gumaan, Chehra Jaisa Ke Chehra Koi Nahi, Mah-ru Mah-ru, Mah-jabeen Mah-jabeen.. Aafreen Aafreen.! Aankhein Dekhi To Main Dekhta Rah Gaya, Jaam Do Aur Donon Hi Do Aatisha, Aan

Wo Masiha Na Bana, Hum Ne Bhi Khwahish Nahi Ki

Wo Masiha Na Bana, Hum Ne Bhi Khwahish Nahi Ki, Apni Sharto'n Pe Jiye, Us Se Guzarish Nahi Ki... Jaane Kyun Bujhne Lage Awwal-e-shab Saare Charaagh, Aandhiyon Ne Bhi Agarche Koi Saazish Nahi Ki... Ab Ke Hum Ne Bhi Diya Tark-e-ta'alluq Ka Jawaab, Honth Khamosh Rahe, Aankh Ne Baarish Nahi Ki... Us Ne Zaahir Na Kiya Apna Pashemaan Hona, Hum Bhi Anjaan Rahe Hum Ne Bhi Pursish Nahi Ki... Hum To Sunte The Ke Mil Jaate Hain Bichhde Hue Log, Tu Jo Bichhda Hai To Kya Waqt Ne Gardish Nahi Ki.!!  وہ مسیحا نہ بنا، ہم نے بھی خواہش نہیں کی ..! اپنی شرطوں پہ جیئے ،اس سے گزارش نہیں کی .. جانے کیوں بجھنے لگے اولِ شب سارے چراغ .. آندھیوں نے بھی اگرچہ کوئی سازش نہیں کی ..! اب کہ ہم نے بھی دیا ترکِ تعلق کا جواب ..! ہونٹ خاموش رہے، آنکھ نے بارش نہیں کی ..! اس نے ظاہر نہ کیا اپنا پشیماں ہونا ..! ہم بھی انجان رہے، ہم نے بھی پرسش نہیں کی ..! ہم تو سنتے تھے کہ مل جاتے ہیں بچھڑے ہوئے لوگ ..! تو جو بچھڑا ہے تو کیا وقت نے گردش نہیں کی ..!

Lams Ki Aanch Pe Jazbon Ne Ubaali Chaay

Lams Ki Aanch Pe Jazbon Ne Ubaali Chaay, Ishq Peeta Hai Kadak Chahaton Waali Chaay... Ketli Hijr Ki Thi Ghum Ki Bana Li Chaay, Wasl Ki Pi Na Sake Ek Pyaali Chaay... Mere Dalaan Ka Manzar Kabhi Dekho Aa Kar, Dard Mein Doobi Hui Shaam, Sawaali Chaay... Hum Ne Mashroob Sabhi Mazr-e-sehat Tark Kiye, Ek Chhodi Na Gayi Hum Se Ye Saali Chaay... Ye Paheli Koi Boojhe To Ke Us Ne Kyunkar, Apne Cup Se Mere Cup Mein Bhala Daali Chaay... Main Yahi Soch Raha Tha Ke Ijazat Chaahun, Us Ne Phir Apne Mulazim Se Manga Li Chaay... Us Se Milta Hai Mohabbat Ke Malangon Ko Sukoon, Dil Ke Darbaar Pe Chalti Hai Dhamaali Chaay... Ranjishein Bhool Kar Baithen Kahin Mil Kar Donon, Apne Haathon Se Pila Khair-sugaali, Chaay... Ishq Bhi Rang Badal Leta Hai Jaan-e-ahmad, Thandi Ho Jaaye To Pad Jaati Hai Kaali Chaay.!! لمس کی آنچ پہ جذبوں نے اُبالی چائے! عشق پِیتا ہے کڑک چاہتوں والی چائے کیتلی ہجر کی تھی , غم کی بنا لی چائے وصل کی پی نہ سکے ,ایک پیالی چائے میرے دالان کا منظر کبھی دیکھو آ کر درد