Baad muddat ke teri yaad ke baadal barse,
Wo bhi aise ke kayi roz musalsal barse..
Muntazir aur bhi sahra hain isi baadal ke,
Sirf tujh par hi bhala kaise ye har pal barse..
Pyas is shahar ki bujhne ka yahi rasta hai,
Ban ke baadal kisi darwesh ki chhaagal barse..
Lag gayi kis ki nazar shahar-e-nigaraa'n ko mere,
Ab to har shaam yahaan wahshat-e-maqtal barse..
Kab ki pyaasi hai zameen ye bhi nazar mein rakkhe,
Kah do baadal se zara der musalsal barse..
Lab-kusha ho ke mahak utthe faza ka ye sukoot,
Muntazir kab se sama'at hai ke sandal barse.!!
"Jawed Naseemi"
No comments:
Post a Comment