Showing posts with label Aashufta Changezi. Show all posts
Showing posts with label Aashufta Changezi. Show all posts

Sunday, June 17, 2018

Door Tak Phaila Samandar Mujh Pe Saahil Ho Gaya

Door tak phaila samandar mujh pe saahil ho gaya,
Laut kar jaana yahaan se aur mushkil ho gaya..

Daakhila mamnu likkha tha faseel-e-shahr par,
Padh to main ne bhi liya tha phir bhi daakhil ho gaya..

Khwab hi bazaar mein mil jaate hain ta'abeer bhi,
Pahle logo'n se suna tha aaj qaayel ho gaya..

Is hujoom-e-be-karaa'n se bhaag kar jaata kahaan,
Tum ne roka to bahut tha main hi shaamil ho gaya..

Pahle bhi ye sab manaazir rokte the is dafa,
Aisa kya dekha ke tujh se aur ghaafil ho gaya..

Ek mauqa kya mila khush-fahmiyan badhne lagin,
Raasta itna pasand aaya ke manzil ho gaya..

Aur kya deta bhala sahra-nawardi ka khiraaj,
Tu bacha tha ab ke tu bhi nazr-e-mahmil ho gaya.!!

"Aashufta Changezi"
__________

Khiraaj = paying obeisance,

Ye Bhi Nahin Beemar Na The

Ye bhi nahin beemar na the,
Itne junoon-aasaar na the..

Logo'n ka kya zikr karein,
Hum bhi kam ayyaar na the..

Ghar mein aur bahut kuchh tha,
Sirf dar-o-deewar na the..

Teri khabar mil jaati thi,
Shahr mein jab akhbaar na the..

Pahle bhi sab bikta tha,
Khwabo'n ke bazaar na the..

Sab par hansna shewa tha,
Jab tak khud us paar na the..

Maut ki baatein pyaari thin,
Marne ko tayyaar na the.!!

"Aashufta Changezi"
__________

Junoon-aasaar = signs of frenzy,
Ayyaar = Artful, Cunning, Crafty, Imposter,
Shewa = manner, habit, way method,

Tum Ne Likkha Hai Likho Kaisa Hun Main

Tum ne likkha hai likho kaisa hun main, 
Dosto'n ki bheed hai tanha hun main..

Yasmin o nastaran mera pata,
Khushbuon ke jism par likha hun main..

Pahle hi kya kam tamashe the yahaan,
Phir naye manzar utha laya hun main..

Phir wahi mausam purane ho gaye,
Din dhhale sargoshiyan sunta hun main.. 

Kaun utarti chadhti saanso'n ka ameen, 
Saaya-e-deewar se lipta hun main..

Tu kabhi is shahr se ho kar guzar,
Raasto'n ke jaal mein uljha hun main..

Wo meri khush-fahmiyan sab kya huin,
Jaane kab se be-hunar zinda hun main.!!

"Aashufta Changezi"

Taabeer Is Ki Kya Hai Dhuan Dekhta Hun Main

Ta'abeer is ki kya hai dhuan dekhta hun main,
Ek dariya kuchh dino'n se rawaa'n dekhta hun main..

Ab ke bhi rayegaa'n gayin sahra-nawardiyan,
Phir teri rahguzar ke nishaan dekhta hun main..

Ye sach hai ek jast mein hai faasla tamaam,
Lekin udhar bhi shahr-e-gumaan dekhta hun main..

Hai raushni hi raushni manzar nahin koi,
Suraj latak rahe hain jahaan dekhta hun main..

Aaya jo is hisaar mein nikla na phir kabhi,
Kuchh doobte ubharte makaan dekhta hun main..

Khayegi ab ke baar bhi aashuftagi fareb,
Said-e-tilism-e-shola-rukhaa'n dekhta hun main.!!

"Aashufta Changezi"
__________

Sahra-nawardiyan = desert travels,
Jast = a leap, jump, bounce,
Said-e-tilism-e-shola-rukhaa'n = captive of magic of flame-faced,

Silsila Ab Bhi Khwabon Ka Toota Nahin

Silsila ab bhi khwabon ka toota nahin,
Kooch kar jaayen kab kuchh bharosa nahin..

Hain faseelon se uljhe hue sar-phire,
Door tak koi shahr-e-tamanna nahin..

Shaam se hi gharo'n mein padi'n kundiyaan,
Chaand is shahr mein kyun nikalta nahin..

Aag lagne ki khabrein to pahunchin magar,
Koi hairat nahin koi chaunka nahin..

Chheen kar mujh se le jaaye mera badan,
Mo'atabar itna koi andhera nahin..

Kya yahi milte rahne ka inaam hai,
Ek khidki nahin ek jharokha nahin..

Ek manzar mein lipte badan ke siwa,
Sard raato'n mein kuchh aur dikhta nahin..

Tez ho jaayen is ka to imkaan hai,
Aandhiyan ab rukein aisa lagta nahin.!!

"Aashufta Changezi"

Sadaaen Qaid Karun Aahatein Chura Le Jaaun

Sadaaen qaid karun aahatein chura le jaaun,
Mahakte jism ki sab khushbueun uda le jaaun..

Bala ka shor hai tufaan aa gaya shayad,
Kahaan ka rakht-e-safar khud ko hi bacha le jaaun..

Teri amanatein mahfooz rakh na paaunga,
Dobara laut ke aane ki bas dua le jaaun..

Kaha hai dariya ne wo shart haar jayega, 
Jo ek din mein use saath main baha le jaaun..

Abhi to aur na jaane kahaan kahaan bhatkun,
Kabhi bahaya tha dariya mein jo diya le jaaun.!!

"Aashufta Changezi"

Sabhi Ko Apna Samajhta Hun Kya Hua Hai Mujhe

Sabhi ko apna samajhta hun kya hua hai mujhe,
Bichhad ke tujh se ajab rog lag gaya hai mujhe..

Jo mud ke dekha to ho jayega badan patthar,
Jahaniyon mein suna tha so bhogna hai mujhe..

Main tujh ko bhool na paaya yahi ghanimat hai,
Yahaan to is ka bhi imkaan lag raha hai mujhe..

Nain sard jang ki aadat na dhhaal paaunga,
Koi mahaaz pe waapas bula raha hai mujhe..

Sadak pe chalte hue aankheun band rakhta hun,
Tere jamaal ka aisa maza pada hai mujhe..

Abhi talak to koi waapsi ki raah na thi,
Kal ek rahguzar ka pata laga hai mujhe.!!

"Aashufta Changezi"
__________

Mahaaz = front, face,

Rone Ko Bahut Roye Bahut Aah-o-fughaa'n Ki

Rone ko bahut roye bahut aah-o-fughaa'n ki,
Kat ti nahin zanjeer magar sood-o-ziyaa'n ki..

Aayen jo yahaan ahl-e-khirad soch ke aayen,
Is shahr se milti hain hadein shahr-e-gumaa'n ki..

Karte hain tawaaf aaj wo khud apne gharo'n ka,
Jo sair ko nikle the kabhi saare jahaan ki..

Is dasht ke anjaam pe pahle se nazar thi,
Taseer samajhte the hum aawaz-e-sagaa'n ki,

ilzaam lagaata hai yahi hum pe zamana, 
Tasweer banaate hain kisi aur jahaan ki..

Pahle hi kaha karte the mat ghaur se dekho,
Har baat niraali hai yahaan deeda-waraa'n ki..

'Aashufta' ab us shakhs se kya khaak nibaahen,
Jo baat samajhta hi nahin dil ki zabaan ki.!!

"Aashufta Changezi"
__________

Aawaz-e-sagaa'n = sound of barking dogs,
Deeda-waraa'n = connoisseurs, cognoscenti,

Pata Kahin Se Tera Ab Ke Phir Laga Laaye

Pata kahin se tera ab ke phir laga laaye,
Suhane khwab naya mashghala utha laaye..

Lagi thi aag to ye bhi to us ki zad mein the,
Ajeeb log hain daaman magar bacha laaye..

Chalo to raah mein kitne hi dariya aate hain,
Magar ye kya ke unhein apne ghar baha laaye..

Tujhe bhulane ki koshish mein phir rahe the ke hum,
Kuchh aur saath mein parchhaiyan laga laaye..

Suna hai chehro'n pe bikhri padi hain tahreeren,
Uda ke kitne waraq dekhein ab hawa laaye..

Ba ibtida ki khabar aur na intiha maloom, 
Idhar udhar se suna aur bas uda laaye.!!

"Aashufta Changezi"

Panaahein Dhundh Ke Kitni Hi Roz Laata Hai

Panaahein dhundh ke kitni hi roz laata hai,
Magar wo laut ke zulfo'n ki samt aata hai.. 

Sulagti ret hai aur thande paaniyon ka safar,
Wo kaun hai jo humein raasta dikhata hai..

Hai intizaar mujhe jang khatm hone ka,
Lahu ki qaid se baahar koi bulata hai..

Jo mushkilon ke liye hal talaash laaya tha,
Khilaune baant ke bachchon mein muskuraata hai..

Tamaam raaste ab ek jaise lagte hain, 
Gumaan raah mein shaklein badal ke aata hai..

Shikaar dhund ka sahra-naward karte hain,
Fareb khana kahaan doosro'n ko aata hai.!!

"Aashufta Changezi"

Koi Ghul Hua Tha Na Shor-e-khizaa'n

Koi ghul hua tha na shor-e-khizaa'n,
Ujadne lagin khud-ba-khud bastiyaan..

Jise dekhne ghar se nikle the hum,
Dhuan ho gaya shaam ka wo samaa'n..

Sabhi kuchh to dariya baha le gaya,
Tujhe aur kya chahiye aasmaan..

Bas ek dhund hai aur kuchh bhi nahin,
Rawana hui thin jidhar kashtiyaan..

Abhi tat-shuda koi jaada nahin,
Abhi tak bhatakte hain sab karwaan.. 

Yahi ek jhabar garm thi shahr mein,
Ke ek shokh bachche ne kheenchi kamaan..

Tamasha dikha ke gayi subah-e-nau,
Khamoshi hai phir se wahi darmiyaan..

Ta'aruf mera koi mushkil nahin,
Main 'Aashufta' Changezi ibn-e-khizaa'n.!!

"Aashufta Changezi"

Koi Ghul Hua Tha Na Shor-e-khizaa'n

Koi ghul hua tha na shor-e-khizaa'n,
Ujadne lagin khud-ba-khud bastiyaan..

Jise dekhne ghar se nikle the hum,
Dhuan ho gaya shaam ka wo samaa'n..

Sabhi kuchh to dariya baha le gaya,
Tujhe aur kya chahiye aasmaan..

Bas ek dhund hai aur kuchh bhi nahin,
Rawana hui thin jidhar kashtiyaan..

Abhi tat-shuda koi jaada nahin,
Abhi tak bhatakte hain sab karwaan.. 

Yahi ek jhabar garm thi shahr mein,
Ke ek shokh bachche ne kheenchi kamaan..

Tamasha dikha ke gayi subah-e-nau,
Khamoshi hai phir se wahi darmiyaan..

Ta'aruf mera koi mushkil nahin,
Main 'Aashufta' Changezi ibn-e-khizaa'n.!!

"Aashufta Changezi"

Kise Batate Ke Manzar Nigaah Mein Kya Tha

Kise batate ke manzar nigaah mein kya tha,
Har ek rang mein apna hi bas tamasha tha..

Hum aaj tak to koi imtiyaz kar na sake,
Yahaan to jo bhi mila hai wo tere jaisa tha..

Ajeeb khwab tha tabeer kya hui us ki,
Ke ek dariya hawaon ke rukh pe bahta tha..

Na koi zulm na halchal na mas'ala koi,
Abhi ki baat hai main haadse ugaata tha..

Har ek shakhs ne apne se munsalik samjhi,
Koi kahani kisi ki kisi se kahta tha..

Humara naam tha aashufta-haal logo'n mein,
Khizaa'n-pasand tabiyat ka apni charcha tha.!!

"Aashufta Changezi"

Khabar To Door Ameen-e-khabar Nahin Aaye

Khabar to door ameen-e-khabar nahin aaye,
Bahut dino'n se wo lashkar idhar nahin aaye..

Ye baat yaad rakhenge talaashne waale,
Jo us safar pe gaye laut kar nahin aaye..

Tilism oonghti raaton ka todne waale,
Wo mukhbiraan-e-sahar phir nazar nahin aaye..

Zarur tujh se bhi ek roz oob jayenge,
Khuda kare ke teri rahguzar nahin aaye..

Sawaal karti kayi aankhein muntazir hain yahaan,
Jawaab aaj bhi hum soch kar nahin aaye..

Udaas sooni si chhat aur do bujhi aankhein,
Kayi dino'n se phir 'Aashufta' ghar nahin aaye.!!

"Aashufta Changezi"

Itna Kyun Sharmaate Hain

Itna kyun sharmaate hain,
Waade aakhir waade hain..

Likha likhaya dho daala,
Saare waraq phir saade hain..

Tujh ko bhi kyun yaad rakha,
Soch ke ab pachhtate hain..

Ret mahal do chaar bache, and
Ye bhi girne waale hain..

Jaayen kahin bhi tujh ko kya,
Shahr se tere jaate hain..

Ghar ke andar jaane ke,
Aur kayi darwaaze hain..

Ungli pakad ke saath chale,
Daud mein hum se aage hain.!!

"Aashufta Changezi"

Humein Safar Ki Aziyat Se Phir Guzarna Hai

Humein safar ki aziyat se phir guzarna hai,
Tumhaare shahr mein fikr o nazar pe pahra hai..

Saza ke taur pe main dosto'n se milta hun,
Asar shikast-pasandi ka mujh pe gahra hai..

Wo ek lakht khalaaon mein ghoorte rahna..
Kisi taweel masafat ka pesh-khema hai..

Ye aur baat ke tum bhi yahaan ke shahri ho,
Jo main ne tum ko sunaya tha mera qissa hai..

Hum apne shaano'n pe phirte hain qatl-gaah liye,
Khud apne qatl ki saazish humara wirsa hai.!!

"Aashufta Changezi"

Humare Baare Mein Kya Kya Na Kuchh Kaha Hoga

Humare baare mein kya kya na kuchh kaha hoga,
Chalenge saath to duniya ka saamna hoga.. 

Wo ek shakhs jo patthar utha ke dauda tha,
Zaroor khwab ki kadiyaan mila raha hoga..

Humare baad ek aisa bhi daur aayega,
Wo ajnabi hi rahega jo teesra hoga..

Khizaa'n-pasand humein dhundhne ko nikle hain,
Humare dard ka qissa kahin suna hoga..

Jo har qadam pe mere saath saath rahta tha,
Zaroor koi na koi to waasta hoga..

Bahin hai khauf koi rahbaro'n se 'Aashufta',
Humare saath shikasto'n ka qaafila hoga.!!

"Aashufta Changezi"

Guzar Gaye Hain Jo Mausam Kabhi Na Aayenge

Guzar gaye hain jo mausam kabhi na aayenge,
Tamaam dariya kisi roz doob jayenge..

Safar to pahle bhi kitne kiye magar is baar,
Ye lag raha hai ke tujh ko bhi bhool jayenge..

Alaaw thande hain logo'n ne jaagna chhorha,
Kahani saath hai lekin kise sunayenge.. 

Suna hai aage kahin samtein baanti jaati hain,
Tum apni raah chuno saath chal na payenge..

Duaaen loriyan maaon ke paas chhorh aaye,
Bas ek neend bachi hai khareed layenge.. 

Zaroir tujh sa bhi hoga koi zamane mein, 
Kahaan talak teri yaadon se ji lagayenge.!! 

"Aashufta Changezi"

Wednesday, December 20, 2017

Thikane Yoon To Hazaaro'n Tere Jahaan Mein The

Thikane yoon to hazaaro'n tere jahaan mein the,
Koi sada humein rokegi is gumaan mein the..

Ajib basti thi chehre to apne jaise the, 
Magar saheefe kisi ajnabi zabaan mein the...

Bahut khushi hui tarkash ke khaali hone par,
Zara jo ghaur kiya teer sab kamaan mein the...

Ilaj dhoondh nikaalenge apni wahshat ka,
Junoo'n-nawaaz abhi tak isi gumaan mein the...

Hum ek aisi jagah ja ke laut kyoon aaye,
Jahaan suna hai ki sab aakhiri zamaan mein the.!!

"Aashufta Changezi"
___
Zamaan = time, tense (grammatical)
Tarkash = Quiver,

Kis Ki Talaash Hai Humein Kis Ke Asar Mein Hain

Kis ki talaash hai humein kis ke asar mein hain,
Jab se chale hain ghar se musalsal safar mein hain...

Saare tamaashe khatm hue log ja chuke,
Ek hum hi rah gaye jo fareb-e-sahar mein hain...

Aisi to koi khaas khata bhi nahin hui,
Haan ye samajh liya tha ki hum apne ghar mein hain...

Ab ke bahaar dekhiye kya naqsh chhod jaye,
Aasaar baadalo'n ke na patte shajar mein hain...

Tujh se bichhadna koi naya haadsa nahin,
Aise hazaaro'n qisse humaari khabar mein hain,

'Ashufta' sab gumaan dhara rah gaya yahaan,
Kahte na the ki khaamiya'n tere hunar mein hain.!!

"Aashufta Changezi"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...