Saturday, June 30, 2018

Kabhi Junoon To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun

Kabhi junoon to kabhi aagahi ki qaid mein hun,

Main apne zehn ki aawargi ki qaid mein hun..

Sharaab mere labon ko taras rahi hogi, 

Main rind to hun magar tishnagi ki qaid mein hun..

Na koi samt na jaada na manzil-e-maqsood,

Yugo'n yugo'n se yunhi be-rukhi ki qaid mein hun..

Kisi ke rukh se jo parda utha diya main ne,

Saza ye paai ke deewangi ki qaid mein hun..

Ye kis khata ki saza mein hain dohri zanjeerein,

Giraft maut ki hai zindagi ki qaid mein hun..

Na jaane kitni naqaabein ulat ta jaata hun,

Janm janm se main bechaargi ki qaid mein hun..

Yahaan to parda-e-seemi'n pe chal rahi hai film,

Main jis jagah hun wahaan raushni ki qaid mein hun..

Jahaan main qaid se chhootun wahin pe mil jaana, 

Abhi na milna abhi zindagi ki qaid mein hun..

Gharaz naseeb mein likkhi rahi aseeri hi,

Kisi ki qaid se chhoota kisi ki qaid mein hun..

Gunah ye hai ke kyun apna naam rakha 'Noor',

Wo din aur aaj ka din teergi ki qaid mein hun.!!

"Krishn Bihari Noor"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...