* Nazm * 
__________ 
Main ne jo geet tere pyaar ki khaatir likkhe, 
Aaj un geeto'n ko bazaar mein le aaya hun.. 
Aaj dukaan pe nilaam uthega un ka, 
Tu ne jin geeto'n pe rakhi thi mohabbat ki asaas.. 
Aaj chaandi ke taraazu mein tulegi har cheez, 
Mere afkaar meri shayeri mera ahsaas.. 
Jo teri zaat se mansoob the un geeto'n ko, 
Muflisi jins banane pe utar aai hai.. 
Bhookh tere rukh-e-rangeen ke fasanon ke ewaz, 
Chand ashiya-e-zaroorat ki tamannaai hai.. 
Dekh is arsa-e-gaah-e-mehnat-o-sarmaya mein, 
Mere naghme bhi mere paas nahin rah sakte.. 
Tere jalwe kisi zardaar ki miraas sahi, 
Tere khaake bhi mere paas nahin rah sakte.. 
Aaj un geeto'n ko bazaar mein le aaya hun, 
Main ne jo geet tere pyaar ki khaatir likkhe.!!
"Sahir Ludhianwi" 
__________ 
Asaas = Foundation, 
Jins = kind, species, products, 
Ashiya-e-zaroorat = commodities of need, required goods, 
Arsa-e-gah-e-mehnat-o-sarmaya = period of hard work and capital, 
Miraas = estate, a bequest, ancestral, property, 
No comments:
Post a Comment