Showing posts with label Jaan Nisaar Akhtar. Show all posts
Showing posts with label Jaan Nisaar Akhtar. Show all posts

Tuesday, May 22, 2018

Zindagi Sirf Mohabbat To Nahin Hai

* Nazm *

Tamtamaye hue aariz pe ye ashkon ki qataar,

Mujh se is darja khafa aap se itni bezaar,

Main ne kab teri mohabbat se kiya hai inkaar,

Mujh ko ek lamha kabhi chain bhi aaya tujh bin,
Ishq hi ek haqeeqat to nahin hai lekin,

Zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum...

Soch duniya se alag bhaag ke jayenge kahaan,

Apni jannat bhi basayen to basayenge kahaan,

Amn is aalam-e-afkaar mein payenge kahaan,

Phir zamane se nigaahon ka churana kaisa,
Ishq ki zid mein faraaiz ko bhulana kaisa,

Zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum...

Teer-e-iflaas se kitno'n ke kaleje hain figaar,

Kitne seeno'n mein hai ghut ti hui aaho'n ka ghubaar,

Kitne chehre nazar aate hain tabassum ka mazaar,

Ek nazar bhool ke us samt bhi dekha hota,
Kuchh mohabbat ke siwa aur bhi socha hota,

Zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum,

Ranj-e-ghurbat ke siwa jabr ke pahlu bhi to hain,

Jo tapakte nahin aankhon se wo aansu bhi to hain,

Zakhm khaaye hue mazdoor ke baazu bhi to hain,

Khaak aur khoon mein ghaltaa'n hain nazaare kitne,
Qalb-e-insaan mein dahakte hain sharare kitne,

Zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum...

Arsa-e-dahr pe sarmaya o mehnat ki ye jang,

Amn o tahzeeb ke rukhsaar se udta hua rang,

Ye hukumat ye ghulami ye baghawat ki umang,

Qalb-e-aadam ke ye riste hue kohna naasoor,
Apne ahsaas se hai fitrat-e-insaan majboor,

Zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum...

Aap ko band ghulami se chhudana hai humein,

Khud mohabbat ko bhi aazad banana hai humein,

Ek nayi tarz pe duniya ko sajaana hai humein,

Tu bhi aa waqt ke seene mein sharara ban ja,
Tu bhi ab arsh-e-baghawat ka sitara ban ja,

Zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum..!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Main Tujhe Chahta Nahin Lekin

* Nazm *

Main tujhe chahta nahin lekin...

Phir bhi jab paas tu nahin hoti,

Khud ko kitna udaas pata hun,
Gum se apne hawaas pata hun,

Jaane kya dhun samaai rahti hai,
Ek khamoshi si chhaai rahti hai,

Dil se bhi guftugu nahin hoti,

Main tujhe chahta nahin lekin...

Main tujhe chahta nahin lekin...

Phir bhi rah rah ke mere kaano'n mein, 
Goonjti hai teri haseen aawaz,
Jaise nadeeda koi bajta saaz,

Har sada nagawaar hoti hai,
In sukoot-ashna taraano'n mein,

Main tujhe chahta nahin lekin...

Main tujhe chahta nahin lekin...

Phir bhi shab ki taweel khalwat mein,
Tere auqaat sochta hun main,
Teri har baat sochta hun main,

Kaun se phool tujh ko bhaate hain,
Rang kya kya pasand aate hain,

Kho sa jaata hun teri jannat mein,

Main tujhe chahta nahin lekin...

Main tujhe chahta nahin lekin...

Phir bhi ahsaas se najaat nahin,

Sochta hun to ranj hota hai,
Dil ko jaise koi dubota hai,

Jis ko itna saraahta hun main,
Jis ko is darja chaahta hun main,

Us mein teri si koi baat nahin,

Main tujhe chahta nahin lekin...

Main tujhe chahta nahin lekin...

Phir bhi shab ki taweel khalwat mein,

Tere auqaat sochta hun main,
Teri har baat sochta hun main,

Kaun se phool tujh ko bhaate hain,
Rang kya kya pasand aate hain,

Kho sa jaata hun teri jannat mein,

Main tujhe chahta nahin lekin...

Main tujhe chahta nahin lekin...

Phir bhi ahsaas se najaat nahin,

Sochta hun to ranj hota hai,
Dil ko jaise koi dubota hai,

Jis ko itna saraahta hun main,
Jis ko is darja chaahta hun main,

Us mein teri si koi baat nahin,

Main tujhe chahta nahin lekin..!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Aaj Bhi Kitni An-ginat Shaamein

* Nazm *

Aaj bhi kitni an-ginat shaamein,
Mere seene mein jhilmilati hain..

Kitne aariz ki jhalkiyan ab tak,
Dil mein seemi'n waraq lutati hain..

Kitne heera-tarash jismo'n ki,
Bijliyan dil mein kaund jaati hain..

Kitni taaron se khush-numa aankhein,
Meri aankhon mein muskuraati hain..

Kitne honthon ki gul-fishaa'n aanchein,
Mere honthon mein sansanaati hain..

Kitni shab-taab reshmi zulfein,
Mere baazu pe sarsaraati hain..

Kitni khush-rang motiyon se bhari,
Baaliyan dil mein timtimaati hain..

Kitni gori kalaaiyon ki lawein,
Dil ke gosho'n mein jagmagati hain..

Kitni rangeen hatheliyaan chhup kar,
Dheeme dheeme kanwal jalaati hain..

Kitni aanchal se phoot ti kirnein,
Mere pahlu mein rasmasaati hain..

Kitni paayal ki shokh jhankaarein,
Dil mein chingariyaan udaati hain..

Kitni angdaaiyan dhanak ban kar,
Khud ubharti hain toot jaati hain..

Kitni gul-posh naqrai baanhein,
Dil ko halqe mein le ke gaati hain..

Aaj bhi kitni an-ginat shaamein,
Mere seene mein jhilmilaati hain..

Apne is jalwa-gar tasawwur ki,
Jaan-faza dilkashi se zinda hun..

In hi beete jawaan lamhon ki,
Shokh-taabindagi se zinda hun..

Yahi yaadon ki raushni to hai,
Aaj jis raushni se zinda hun..

Aao main tum se aitiraaf karun,
Main isi shaairi se zinda hun..!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Dhhal Chuka Din Aur Teri Qabr Par

* Nazm *

Dhhal chuka din aur teri qabr par,
Der se baitha hua hun sar-nigoon.

Rooh par tari hai ek mub'ham sukoot,
Ab wo soz-e-ghum na wo saaz-e-junoon.

Mustaqil mahsoos hota hai mujhe,
Jaise tere saath main bhi dafn hun.!

"Jaan Nisaar Akhtar"
__________

Sar-nigoon = vanquished,
Mub'ham = ambiguous,
hidden, indistinct,
Sukoot = silence,
Soz-e-ghum = scorching, excessive grief,

Teri Peshani-e-rangeen Mein Jhalakti Hai Jo Aag

* Nazm *

Teri peshani-e-rangeen mein jhalakti hai jo aag,
Tere rukhsaar ke phoolon mein damakti hai jo aag,
Tere seene mein jawani ki dahakti hai jo aag,

Zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de.!

Teri aankhon mein farozaa'n hain jawani ke sharaar,
Lab-e-gul-rang pe raqsaa'n hain jawani ke sharaar,
Teri har saans mein ghaltaa'n hain jawani ke sharaar,

Zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de.!

Har ada mein hai jawaan aatish-e-jazbaat ki rau,
Ye machalte hue shoale ye tadapti hui lau,
Aa meri rooh pe bhi daal de apna partau,

Zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de.!

Kitni mahroom nigaahein hain tujhe kya maloom,
Kitni tarsi hui baahein hain tujhe kya maloom,
Kaisi dhundli meri raahein hain tujhe kya maloom,

Zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de.! 

Aa ke zulmat mein koi noor ka saamaa'n kar lun,
Apne tareek shabistaa'n ko shabistaa'n kar lun,
Is andhere mein koi shama farozaa'n kar lun,

Zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de.!

Baar-e-zulmat se seene ki faza hai bojhal,
Na koi saaz-e-tamanna na koi soz-e-amal,

Aa ke mash'al se teri main bhi jala lun mash'al,

Zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de.!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Kis Ko Maloom Tha Ke Ahd-e-wafa

* Qitaa *

Kis ko maloom tha ke ahd-e-wafa,
Is qadar jald toot jaayega..

Kya khabar thi ke haath lagte hi,
Phool ka rang chhoot jaayega.!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Kar Chuki Hai Meri Mohabbat Kya

* Qitaa *

Kar chuki hai meri mohabbat kya,
Teri be-aitinaaiyon ko muaaf..

Aql ne poochhna bahut chaaha,
Kah saka dil na kuchh bhi tere khilaaf.!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Is Haseen Jaam Mein Hain Ghalteeda

* Qitaa *

Is haseen jaam mein hain ghalteeda,
Kitne naazuk takhaiyyulaat ke mod, 

Kitne gul-aafreen labo'n ka ras,
Kitne rangeen aanchalon ka nichod.! 

"Jaan Nisaar Akhtar"
__________

Ghalteeda = trundle, rolling,
Takhaiyyulaat = fancies, imagination,

Husn Ka Itr Jism Ka Sandal

* Qitaa *

Husn ka itr jism ka sandal,
Aarizon ke gulaab zulf ka ood..

Baaz auqaat sochta hun main,
Ek khushbu hai sirf tera wajood.!

"Jaan Nisaar Akhtar"
__________

Ood = timber, aloes wood/incense, a harp,

Haye Ye Tere Hijr Ka Aalam

* Qitaa *

Haye ye tere hijr ka aalam,
Kis qadar zard hai haseen mahtab..

Aur ye mast aabshaar ki lay, 
Koi rota ho jaise pi ke sharaab.!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Ek Nayi Nazm Kah Raha Hun Main

* Qitaa *

Ek nayi nazm kah raha hun main,
Apne jazbaat ki haseen tafseer..

Kis mohabbat se tak rahi hai mujhe,
Door rakkhi hui teri tasveer.!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Ek Kamsin Haseen Ladki Ka

* Qitaa *

Ek kamsin haseen ladki ka,
Is tarah fikr se hai mukhda maand..

Jaise dhundli kohar chameli par,
Jaise halki ghata ke andar chaand.!

"Jaan Nisaar Akhtar"
__________

Kohar = fog,

Dost.! Kya Husn Ke Muqaabil Mein

* Qitaa *

Dost.! kya husn ke muqaabil mein,
Ishq ki jeet sun sakegi tu..

Dil-e-naazuk se pahle poochh to le,
Kya mere geet sun sakegi tu.!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Chand Lamhon Ko Tere Aane Se

* Qitaa *

Chand lamhon ko tere aane se,
Tapish-e-dil ne kya sakoon paaya..

Dhoop mein garm kohsaaron ki,
Abr ka jaise daudta saaya.!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Apne Aaina-e-tamanna Mein

* Qitaa *

Apne aaina-e-tamanna mein,
Ab bhi mujh ko sanwaarti hai tu..

Main bahut door ja chuka lekin,
Mujh ko ab tak pukaarti hai tu.!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Abr Mein Chhup Gaya Hai Aadha Chaand

* Qitaa *

Abr mein chhup gaya hai aadha chaand,
Chandni chhan rahi hai shaakhon se..

Jaise khidki ka ek pat khole,
Jhanakta ho koi salaakhon se.!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Zulfein Seena Naaf Kamar

Zulfein seena naaf kamar,
Ek nadi mein kitne bhanwar...

Sadiyon sadiyon mera safar,
Manzil manzil rahguzar...

Kitna mushkil kitna kathin,
Jeene se jeene ka hunar...

Gaanw mein aa kar shahar base,
Gaanw bichaare jaayein kidhar...

Phoonkne waale socha bhi,
Phailegi ye aag kidhar...

Laakh tarah se naam tera,
Baitha likkhun kaaghaz par...

Chhote chhote zehn ke log,
Hum se un ki baat na kar...

Pet pe patthar baandh na le, 
Haath mein sajte hain patthar... 

Raat ke peechhe raat chale,
Khwab hua har khwab-e-sahar...

Shab bhar to aawara phire,
Laut chalein ab apne ghar..!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Zindagi Ye To Nahin Tujh Ko Sanwara Hi Na Ho

Zindagi ye to nahin tujh ko sanwara hi na ho,
Kuchh na kuchh hum ne tera qarz utara hi na ho,

Dil ko chhu jaati hai yun raat ki aawaz kabhi,
Chaunk uthta hun kahin tu ne pukara hi na ho,

Kabhi palkon pe chamakti hai jo ashkon ki lakeer,
Sochta hun tere aanchal ka kinara hi na ho,

Zindagi ek khalish de ke na rah ja mujh ko,
Dard wo de jo kisi tarah gawara hi na ho,

Sharm aati hai ke us shahar mein hum hain ke jahaan,
Na mile bheekh to laakhon ka guzara hi na ho.!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Zindagi Tujh Ko Bhulaya Hai Bahut Din Hum Ne

Zindagi tujh ko bhulaya hai bahut din hum ne,
Waqt khwabon mein ganwaya hai bahut din hum ne,

Ab ye neki bhi humein jurm nazar aati hai,
Sab ke aibo'n ko chhupaya hai bahut din hum ne,

Tum bhi is dil ko dukha lo to koi baat nahin,
Apna dil aap dukhaya hai bahut din hum ne,

Muddaton tark-e-tamanna pe lahu roya hai,
Ishq ka qarz chukaya hai bahut din hum ne,

Kya pata ho bhi sake is ki talaafi ke nahin,
Shaairi tujh ko ganwaya hai bahut din hum ne.!!

"Jaan Nisaar Akhtar"
__________

Talaafi = compensation, recompense, making amends,

Zara Si Baat Pe Har Rasm Tod Aaya Tha

Zara si baat pe har rasm tod aaya tha,
Dil-e-tabah ne bhi kya mizaaj paaya tha,

Guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah,
Abhi to main use pahchan bhi na paaya tha,

Muaaf kar na saki meri zindagi mujh ko,
Wo ek lamha ke main tujh se tang aaya tha,

Shagufta phool simat kar kali bane jaise,
Kuchh is kamaal se tu ne badan churaya tha,

Pata nahin ke mere baad un pe kya guzri, 
Main chand khwaab zamane mein chhod aaya tha.!!

"Jaan Nisaar Akhtar"
__________

Lamha-e-sharar = moment of spark,

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...