Showing posts with label Sada Ambalvi. Show all posts
Showing posts with label Sada Ambalvi. Show all posts

Wednesday, April 4, 2018

Zulf Lahra Ke Faza Pahle Moattar Kar De

Zulf lahra ke faza pahle moattar kar de,
Jaam phir aankhon ke may-khane se bhar bhar kar de,

Bujh gayi shama ki lau tere dupatte se to kya,
Apni muskaan se mahfil ko munawwar kar de,

Hosh to ud gaye aankhon se hi pi kar saaqi,
Ab zara wo bhi pila de jo gala tar kar de,

Ghair ko munh na laga hosh mein hun jab tak main,
Itna ehsaan mere saaqiya mujh par kar de,

Be-murawwat hain bade pi ke bhi hain hosh mein jo,
Aise may-khwaron ko may-khane se baahar kar de,

Sheyr mein saath rawaani ke maani bhi to bhar,
Ai 'Sada' qaid tu kooze mein samandar kar de..!!

"Sada Ambalvi"

Wo To Khushbu Hai Har Ek Samt Bikharna Hai Use

Wo to khushbu hai har ek samt bikharna hai use,
Dil ko kyun zid hai ki aaghosh mein bharna hai use,

Kyun sada pahne wo tera hi pasandida libaas,
Kuchh to mausam ke mutaabiq bhi sanwarna hai use,

Us ko gulchin ki nigaahon se bachaye maula,
Wo to ghuncha hai abhi aur nikharna hai use,

Har taraf chaahne waalon ki bichhi hain palkein,
Dekhiye kaun se raste se guzarna hai use,

Dil ko samjha lein abhi se to munasib hoga,
Ek na ek roz to waade se mukarna hai use,

Hum ne tasveer hai khwaabon ki mukammal kar li,
Ek rang-e-hina baaqi hai jo bharna hai use,

Khwaab mein bhi kabhi chhoona to wazu kar ke 'Sada',
Kabhi maila kabhi ruswa nahin karna hai use..!!

"Sada Ambalvi"

Rasm-e-duniya To Kisi Taur Nibhate Jao

Rasm-e-duniya to kisi taur nibhate jao,
Dil nahin milte bhi to haath milate jao,

Kabhi chattaan ke seene se kabhi baazu se,
Bahte paani ki tarah raah banate jao,

Tegh uthti nahin hai tum se jo zaalim ke khilaaf,
Haq mein mazloom ke aawaz uthate jao,

Log samjhenge ke hai shakhs bada shaaista,
Tum har ek baat pe bas nak chadhate jao,

Tum sitaaron ke bharose pe na baithe rahna,
Apni tadbeer se taqdir banate jao,

Ek na ek roz rafaaqat mein badal jaaegi,
Dushmani ko bhi saleeqe se nibhate jao,

Aur kuchh bhi nahin jab ai 'Sada' tum se hota,
Sheyr likh likh ke zamane ko sunate jao..!!

"Sada Ambalvi"

Manzar-e-rukhsat-e-dildaar Bhulaya Na Gaya

Manzar-e-rukhsat-e-dildaar bhulaya na gaya,
Dil kayi roz talak raah pe laya na gaya,

Khana-e-dil ki tabahi ka dein ilzaam kise,
Aap ke baad yahaan koi bhi aaya na gaya,

Khaak tasveer musawwir se banegi teri,
Doosra tujh sa khuda se bhi banaya na gaya,

De gaya khoob saza mujh ko koi kar ke muaaf,
Sar jhuka aise ki ta-umr uthaya na gaya,

Laakh duniya ne mere sheyr pe di daad to kya,
Jis ki khaatir tha likha us ko sunaya na gaya,

Waqt ke saath 'Sada' badle taalluq kitne,
Tab gale milte the ab haath milaya na gaya..!!

"Sada Ambalvi"

Chalo Ke Hum Bhi Zamane Ke Saath Chalte Hain

Chalo ke hum bhi zamane ke saath chalte hain,
Nahin badalta zamana to hum badalte hain,

Kisi ko qadr nahin hai humari qadron ki,
Chalo ke aaj ye qadrein sabhi badalte hain,

Bula rahi hain hamein talkhiyan haqeeqat ki,
Khyaal-o-khwaab ki duniya se ab nikalte hain,

Bujhi hai aag kabhi pet ki usoolon se,
Ye un se poochhiye jo gardishon mein palte hain,

Unhein na toliye tahzeeb ke taraazu mein,
Gharon mein un ke na chulhe na deep jalte hain,

Zara si aas bhi taabeer ki nahin jin ko,
Dilon mein khwab wo kya soch kar machalte hain,

Humein na raas zamane ki mahfilein aai,
Chalo ki chhod ke ab is jahaan ko chalte hain,

Mizaaj tere ghamon ka 'Sada' nirala hai,
Kabhi ghazal to kabhi geet ban ke dhhalte hain.!!

"Sada Ambalvi"

Ab Kahaan Dost Milen Saath Nibhane Waale

Ab kahaan dost milen saath nibhane waale,
Sab ne seekhe hain ab aadab zamane waale,

Dil jalaao ya diye aankhon ke darwaze par,
Waqt se pahle to aate nahin aane waale,

Ashk ban ke main nigaahon mein teri aaunga,
Ai mujhe apni nigaahon se giraane waale,

Waqt badla to uthaate hain ab ungli mujh par,
Kal talak haq mein mere haath uthaane waale,

Waqt har zakhm ka marham to nahin ban sakta,
Dard kuchh hote hain ta-umr rulaane waale,

Ek nazar dekh tu majbooriyan bhi to meri,
Ai meri laghzishon par aankh tikaane waale,

Kaun kahta hai bure kaam ka phal bhi hai bura,
Dekh masnad pe hain masjid ko giraane waale,

Ye siyasat hai ki laanat hai siyasat pe 'Sada',
Khud hain mujrim bane qaanoon banane waale..!!

"Sada Ambalvi"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...