Showing posts with label Anjum Rahbar. Show all posts
Showing posts with label Anjum Rahbar. Show all posts

Thursday, December 7, 2017

Saath Chhoote They Saath Chhoote Hain

Saath chhoote they saath chhoote hain,
Khwaab toote the khwaab toote hain, 

Main kahaan ja ke sach talaash karoo'n, 
Aaj kal aaine bhi jhoothe hain.!!

_ Anjum Rahbar

Majbooriyo'n Ke Naam Pe Sab Chhodna Pada

Majbooriyo'n ke naam pe sab chhodna pada,
Dil todna kathin tha magar todna pada,

Meri pasand aur thi sab ki pasand aur,
Itni zaraa si baat, ghar chhodna Pada..!!

_ Anjum Rahbar

Jangal Dikhaai Dega Agar Ye Yahaan Na Ho'n

Jangal dikhaai dega agar ye yahaan na ho'n, 
Sach poochhiye to shahar ki halchal hain ladkiyaa'n,

Un se kaho ki gangaa ke jaisi pavitra hain,
Jin ke liye sharaab ki botal hain ladkiyaa'n,

'Anjum' tum apne shahar ke ladko'n se ye kaho,
Pairo'n ki bediyaa'n nahin paayel hain ladkiyaa'n..!!

_ Anjum Rahbar

Ghum Ki Uljhi Hui Lakeero'n Mein

Ghum Ki Uljhi Hui Lakeero'n Mein,
Apni Taqdeer Dekh Leti Hoo'n...

Aaina Dekhna To Bhool Gayi,
Teri Tasweer Dekh Leti Hoo'n..!!

_ Anjum Rahbar

Tum Ko Bhula Rahi Thi Tum Yaad Aa Gaye

Tum ko bhula rahi thi ke tum yaad aa gaye,
Main zahr kha rahi thi ke tum yaad aa gaye,

Kal meri ek pyaari saheli kitaab mein,
Ek khat chhupa rahi thi ke tum yaad aa gaye,

Us waqt raat-raani mere soone sahn mein,
Khushboo lutaa rahi thi ke tum yaad aa gaye,

Eemaan jaaniye ki isey kufr jaaniye,
Main sar jhuka rahi thi ke tum yaad aa gaye,

Kal shaam chhat pe meer-taqi-'meer' ki ghazal,
Main gunguna rahi thi ke tum yaad aa gaye,

'Anjum' tumhaara shahar jidhar hai usi taraf,
Ek rail ja rahi thi ke tum yaad aa gaye..!!

_ Anjum Rahbar

Rang Is Mausam Mein Bharna Chahiye

Rang is mausam mein bharna chahiye,
Sochti hoo'n pyaar karna chahiye,

Zindagi ko zindagi ke waastey,
Rooz jeena roz marna chahiye,

Dosti se tajraba ye ho gaya,
Dushmano'n se pyaar karna chahiye,

Pyaar ka iqraar dil mein ho magar,
Koi poochhe to mukarna chahiye..!!

_ Anjum Rahbar

Milna Tha Ittifaaq Bichhadna Naseeb Tha

Milna tha ittifaaq bichhadna naseeb tha,
Wo utni door ho gaya jitna qareeb tha,

Main us ko dekhne ko tarasti hi rah gayi,
Jis shakhs ki hatheli pe mera naseeb tha, 

Basti ke saare log hi aatish-parast they,
Ghar jal raha tha aur samandar qareeb tha, 

Mariyam kahaan talaash kare apne khoon ko,
Har shakhs ke gale mein nishaan-e-saleeb tha, 

Dafna diya gaya mujhe chaandi ki qabr mein
Main jis ko chaahti thi wo ladka ghareeb tha..!!

_ Anjum Rahbar

Kuchh Din Se Zindagi Mujhe Pahchaanti Nahin

Kuchh din se zindagi mujhe pahchaanti nahin, 
Yoo'n dekhti hai jaise mujhe jaanti nahin,

Wo be-wafa jo raah mein takraa gaya kahi'n,
Kah dungi main bhi saaf ke pahchaanti nahin,

Samjhaaya baar-haa ke bacho pyaar-vyaar se,
Lekin koi saheli kahaa maanti nahin,

Mainey tujhe muaaf kiya jaa kahi'n bhi jaa, 
Main buzdilo'n pe apni kamaa'n taanti nahin,

'Anjum' pe hans raha hai to hansta rahe jahaa'n,
Main bewaqoofiyo'n ka buraa maanti nahin..!!

_ Anjum Rahbar

Jin Ke Aangan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai

Jin ke aangan mein ameeri ka shajar lagta hai,
Un ka har aib zamaane ko hunar lagta hai,

Chaand taarey mere qadmo'n mein bichhey jaate hain,
Ye buzurgo'n ki duaao'n ka asar lagta hai,

Maa mujhe dekh ke naraaz na ho jaaye kahi'n,
Sar pe aanchal nahin hota hai to darr hota hai..!!

_ Anjum Rahbar

Aag Bahtey huye paani mein Lagaane Aayi

Aag bahtey huye paani mein lagaane aayi,
Tere khat aaj main dariya mein bahaane aayi,

Phir teri yaad naye khwaab dikhaane aayi,
Chaandni jheel ke paani mein nahaane aayi,

Din saheli ki tarah saath raha aangan mein,
Raat dushman ki tarah jaan jalaane aayi, 

Mainey bhi dekh liya aaj use ghair ke saath, 
Ab kahi'n ja ke meri aql Thikaane aayi,

Zindagi to kisi rahzan ki tarah thi 'anjum' 
Maut rahbar ki tarah raah dikhaane aayi.!!

_ Anjum Rahbar

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...