Ai ahl-e-wafa daad-e-jafa kyun nahin dete,
Soye hue zakhmon ko jaga kyun nahin dete..
Is jashn-e-charaghaa'n se to behtar the andhere,
In jhoothe charaghon ko bujha kyun nahin dete..
Jis mein na koi rang na aahang na khushbu,
Tum aise gulistaan ko jala kyun nahin dete..
Deewar ka ye uzr suna jayega kab tak,
Deewar agar hai to gira kyun nahin dete..
Chehro'n pe jo daale hue baithe hain naqaabein,
Un logo'n ko mahfil se utha kyun nahin dete..
Tauba ka yahi waqt hai kya soch rahe ho,
Sajde mein jabeeno'n ko jhuka kyun nahin dete..
Ye jhoothe khuda mil ke dubo denge safeena,
Tum haadi-e-bar-haq ko sada kyun nahin dete.!!
"Iqbal Azeem"
__________
Aahang = rhythm, harmony, melody, musical composition,
Uzr = excuse, apology, plea,
Haadi-e-bar-haq = true leader, director,
No comments:
Post a Comment