Posts

Showing posts from November, 2019

Kanwal Kanwal Hai Sarapa Ghazal Ghazal Chehra

Kanwal Kanwal Hai Sarapa, Ghazal Ghazal Chehra,  Wo Hu-ba-hu Kisi Shayer Ke Khwaab Jaisi Hai.!  'Qateel Shifai'  کنول کنول ہے سراپا، غزل غزل چہرہ.!! وہ ہوبہو کسی شاعر کے خواب جیسی۔۔۔   قتیل شفائی

Dhuan Dhuan Hai Faza Raushni Bahut Kam Hai

Dhuan D huan H ai F aza R aushni B ahut K am H ai,  Sabhi S e P yar K aro Z indagi B ahut K am H ai..  Maqaam J is K a F arishton S e B hi Z yaada T ha,  Humari Z aat M ein W o A admi B ahut K am H ai..  Humare G aaon M ein P atthar B hi R oya K arte T he,  Yahaan T o P hool M ein B hi T aazgi B ahut K am H ai..  Jahaan H ai P yaas W ahaan S ab G ilaas Kha ali H ain,  Jahaan N adi H ai W ahaan T ishnagi B ahut K am H ai..  Ye M ausamon K a N agar H ai Y ahaan K e L ogon M ein,  Hawas Z yaada H ai A ur A ashiqi B ahut K am H ai..  Tum A asmaan P e J aana T o C haand S e K ahna,  Jahaan P e H um H ain W ahaan C haandni B ahut K am H ai..  Barat R aha H un M ain L afzon K o I khtisaar K e S aath,  Zyaada L ikhna H ai A ur D iary B ahut K am H ai.!!  "Shakeel Aazmi"  Ikhtisaar= abbreviation, synopsis, brevity,  _________________________  دھواں دھواں ہے فضا روشنی بہت کم ہے سبھی سے پیار کرو زندگی بہت کم ہے مقام جس کا فرشتوں سے بھی زیادہ تھا ہماری ذات میں وہ آدمی بہت کم ہے ہمارے گاؤ

Har Ghadi Chashm-e-kharidaar Mein Rahne Ke Liye

Har ghadi chashm-e-kharidaar mein rahne ke liye,  Kuchh hunar chahiye bazaar mein rahne ke liye..  Main ne dekha hai jo mardon ki tarah rahte the,  Maskhare ban gaye darbaar mein rahne ke liye..  Aisi majboori nahin hai ki chalun paidal main,  Khud ko garmata hun raftaar mein rahne ke liye..  Ab to badnaami se shohrat ka wo rishta hai ke  log,  Nange ho jaate hain akhbaar mein rahne ke liye.!!  "Shakeel Aazmi"  _________________________  ہر گھڑی چشم خریدار میں رہنے کے لیے کچھ ہنر چاہئے بازار میں رہنے کے لیے میں نے دیکھا ہے جو مردوں کی طرح رہتے تھے مسخرے بن گئے دربار میں رہنے کے لیے ایسی مجبوری نہیں ہے کہ چلوں پیدل میں خود کو گرماتا ہوں رفتار میں رہنے کے لیے اب تو بدنامی سے شہرت کا وہ رشتہ ہے کہ لوگ ننگے ہو جاتے ہیں اخبار میں رہنے کے لیے  _________________________    हर घड़ी चश्म-ए-ख़रीदार में रहने के लिए कुछ हुनर चाहिए बाज़ार में रहने के लिए मैं ने देखा है जो मर्दों की तरह रहते थे मस्ख़रे बन गए दरबार में रहने के लिए ऐसी मजबूरी नहीं है कि चलूँ पैदल मैं ख़ुद को गर्माता हूँ रफ़्

Kuch Is Tarah Se Milen Hum Ke Baat Rah Jaaye

Kuchh is tarah se milein hum ke  baat rah jaaye Bichhad  bhi jaayein to haathon mein haath  rah jaaye..  Ab is ke baad ka mausam hai sardiyon wala,  Tere badan ka koi lams saath rah jaaye..  Main so raha hun tere kh waab dekhne ke liye,  Ye aarzu hai ke  aankhon mein raat rah jaaye..  Main doo b jaaun samundar ki tez lahron mein,  Kinare rakkhi hui kayenaat rah jaaye..  'Shakeel' mujh ko samete koi zamane tak,  Bikhar ke chaaron taraf meri zaat rah jaaye.!!  "Shakeel Aazmi"  _________________________  کچھ اس طرح سے ملیں ہم کہ بات رہ جائے بچھڑ بھی جائیں تو ہاتھوں میں ہات رہ جائے اب اس کے بعد کا موسم ہے سردیوں والا ترے بدن کا کوئی لمس ساتھ رہ جائے میں سو رہا ہوں ترے خواب دیکھنے کے لیے یہ آرزو ہے کہ آنکھوں میں رات رہ جائے میں ڈوب جاؤں سمندر کی تیز لہروں میں کنارے رکھی ہوئی کائنات رہ جائے شکیلؔ مجھ کو سمیٹے کوئی زمانے تک بکھر کے چاروں طرف میری ذات رہ جائے  _________________________    कुछ इस तरह से मिलें हम कि बात रह जाए बिछड़ भी जाएँ तो हाथों में हात रह जाए अब इस के बा&#

Akele Rahne Ki Khud Hi Saza Qubool Ki Hai

Akele rahne ki kh ud hi saza qubool ki hai,  Ye hum ne ishq kiya hai ya koi bhool ki hai..  Khayaal aaya hai ab raasta badal lenge,  Abhi talak to bahut zindagi fuzool ki hai..  Khuda kare ke  ye pauda zameen ka ho jaaye,  Ke  aarzu mere aangan ko ek phool ki hai..  Na jaane kaun sa lamha mere qaraar ka hai,  Na jaane kaun si sa'at tere husool ki hai..  Na jaane kaun sa chehra meri kitaab ka hai,  Na jaane kaun si surat tere nuzool ki hai..  Jinhen kh ayaal ho aankhon ka laut  jaayen wo,  Ab is ke baad hukumat safar mein dhool ki hai..  Ye shohraten humein yunhi nahin mili hain 'Shakeel',  Ghazal ne hum se bhi bahut wasool ki hai.!!  "Shakeel Aazmi"  _________________________  اکیلے رہنے کی خود ہی سزا قبول کی ہے یہ ہم نے عشق کیا ہے یا کوئی بھول کی ہے خیال آیا ہے اب راستہ بدل لیں گے ابھی تلک تو بہت زندگی فضول کی ہے خدا کرے کہ یہ پودا زمیں کا ہو جائے کہ آرزو مرے آنگن کو ایک پھول کی ہے نہ جانے کون سا لمحہ مرے قرار کا ہے نہ جانے کون سی ساعت ترے حصول کی ہے نہ جانے کون

Mujh Pe Hain Saikdon ilzaam Mere Saath Na Chal

Mujh pe hain saikdon ilzaam mere saath na chal,  Tu bhi ho jayega badnaam mere saath na chal..  Tu nayi subah ke suraj ki hai ujli si kiran,  Main hun ek dhool bhari shaam mere saath na chal..  Apni kh ushiyaan mere aalaam se mansoob na kar,  Mujh se mat maang mera naam mere saath na chal..  Tu bhi kho jayegi t apke hue aansu ki tarah,  Dekh ae  gardish-e-ayyaam mere saath na chal..  Meri deewar ko tu kitna sambhaalega 'Shakeel',  Tootta rahta hun har gaam mere saath na chal.!  "Shakeel Aazmi"  _________________________  مجھ پہ ہیں سیکڑوں الزام مرے ساتھ نہ چل تو بھی ہو جائے گا بدنام مرے ساتھ نہ چل تو نئی صبح کے سورج کی ہے اجلی سی کرن میں ہوں اک دھول بھری شام مرے ساتھ نہ چل اپنی خوشیاں مرے آلام سے منسوب نہ کر مجھ سے مت مانگ مرا نام مرے ساتھ نہ چل تو بھی کھو جائے گی ٹپکے ہوئے آنسو کی طرح دیکھ اے گردش ایام مرے ساتھ نہ چل میری دیوار کو تو کتنا سنبھالے گا شکیلؔ ٹوٹتا رہتا ہوں ہر گام مرے ساتھ نہ چل  _________________________  मुझ पे हैं सैकड़ों इल्ज़ाम मिरे साथ न चल तू भी ह

Paron Ko Khol Zamana Udaan Dekhta Hai

Paron ko khol zamana udaan dekhta hai,  Zameen pe baith ke kya aasman dekhta hai..  Mila hai husn to is husn ki hifazat kar,  Sambhal ke chal tujhe saara jahaan dekhta hai..  Kaneez ho koi ya koi shahzaadi ho,  Jo ishq karta hai kab kh andaan dekhta hai..  Ghatayen uthti hain barsaat hone lagti hai,  Jab aankh bhar ke falak ko kisaan dekhta hai..  Yahi wo shahr jo mere labon se bolta tha,  Yahi wo shahr jo meri zabaan dekhta hai..  Main jab makaan ke baahar qadam nikaalta hun,  Ajab nigaah se mujh ko makaan dekhta hai.!  "Shakeel Aazmi"  _________________________  پروں کو کھول زمانہ اڑان دیکھتا ہے زمیں پہ بیٹھ کے کیا آسمان دیکھتا ہے ملا ہے حسن تو اس حسن کی حفاظت کر سنبھل کے چل تجھے سارا جہان دیکھتا ہے کنیز ہو کوئی یا کوئی شاہزادی ہو جو عشق کرتا ہے کب خاندان دیکھتا ہے گھٹائیں اٹھتی ہیں برسات ہونے لگتی ہے جب آنکھ بھر کے فلک کو کسان دیکھتا ہے یہی وہ شہر جو میرے لبوں سے بولتا تھا یہی وہ شہر جو میری زبان دیکھتا ہے میں جب مکان کے باہر قدم نکالتا ہوں عجب نگاہ سے مجھ کو مکان دیکھتا ہ