Showing posts with label Khumar Barabankawi. Show all posts
Showing posts with label Khumar Barabankawi. Show all posts

Friday, May 11, 2018

Unhein Bhoolna Ya Unhein Yaad Karna

Unhein bhoolna ya unhein yaad karna,
Wo bichhde hain jab se yahi mashghala hai..!!

"Khumar Barabankawi"

Wo Siwa Yaad Aaye Bhulaane Ke Baad

Wo siwa yaad aaye bhulaane ke baad,
Zindagi badh gayi zahar khaane ke baad,

Dil sulagta raha aashiyane ke baad,
Aag thandi hui ek zamane ke baad,

Raushni ke liye dil jalaana pada,
Aisi zulmat badhi tere jaane ke baad,

Jab na kuchh ban pada arz-e-ghum ka jawaab,
Wo khafa ho gaye muskurane ke baad,

Dushmanon se pashemaan hona pada,
Doston ka khuloos aazmaane ke baad,

Ranj had se guzar ke khushi ban gaya,
Ho gaye paar hum doib jaane ke baad,

Bakhsh de ya rab ahl-e-hawas ko bahisht,
Mujh ko kya chahiye tujh ko paane ke baad,

Kaise kaise gile yaad aaye 'Khumar',
Un ke aane se qabl un ke jaane ke baad.!!

"Khumar Barabankawi"
___
Siwa = except, but, over and above,

Wo Humein Jis Qadar Aazmaate Rahe

Wo humein jis qadar aazmaate rahe,
Apni hi mushkilon ko badhaate rahe,

Wo akele mein bhi jo lajaate rahe,
Ho na ho un ko hum yaad aate rahe,

Yaad karne pe bhi dost aaye na yaad,
Doston ke karam yaad aate rahe,

Aankhein sookhi hui naddiyan ban gayin,
Aur tufaan ba-dastoor aate rahe,

Pyaar se un ka inkaar bar-haq magar,
Lab ye kyun der tak thartharaate rahe,

Thin kamanein to haathon mein aghyaar ke,
Teer apnon ki jaanib se aate rahe,

Kar liya sab ne hum se kinaara magar,
Ek naaseh ghareeb aate jaate rahe,

May-kade se nikal kar janaab-e-'Khumar',
Ksaba o dair mein khaak udaate rahe.!!

"Khumar Barabankawi"

Wahi Phir Mujhe Yaad Aane Lage Hain

Wahi phir mujhe yaad aane lage hain,
Jinhein bhoolne mein zamane lage hain,

Wo hain paas aur yaad aane lage hain,
Mohabbat ke hosh ab thikane lage hain,

Suna hai humein wo bhulane lage hain,
To kya hum unhein yaad aane lage hain,

Hataaye the jo raah se doston ki,
Wo patthar mere ghar mein aane lage hain,

Ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko,
Ye kahne mein mujh ko zamane lage hain,

Hawaa'en chalin aur na maujein hi utthin,
Ab aise bhi tufaan aane lage hain,

Qayamat yaqeenan qareeb aa gayi hai,
'Khumar' ab to masjid mein jaane lage hain.!!

"Khumar Barabankawi"

Tere Dar Se Uth Kar Jidhar Jaaun Main

Tere dar se uth kar jidhar jaaun main,
Chalun do qadam aur thehar jaaun main,

Sambhaale to hun khud ko tujh bin magar,
Jo chhu le koi to bikhar jaaun main,

Agar tu khafa ho to parwah nahin,
Tera ghum khafa ho to mar jaaun main,

Tabassum ne itna dasa hai mujhe,
Kali muskuraye to darr jaaun main,

Mera ghar fasadaat mein jal chuka,
Watan jaaun to kis ke ghar jaaun main,

'Khumar' un se tark-e-taalluq baja,
Magar jeete-ji kaise mar jaaun main.!!

"Khumar Barabankawi"

Tere Dar Se Uth Kar Jidhar Jaaun Main

Tere dar se uth kar jidhar jaaun main,
Chalun do qadam aur thehar jaaun main,

Sambhaale to hun khud ko tujh bin magar,
Jo chhu le koi to bikhar jaaun main,

Agar tu khafa ho to parwah nahin,
Tera ghum khafa ho to mar jaaun main,

Tabassum ne itna dasa hai mujhe,
Kali muskuraye to darr jaaun main,

Mera ghar fasadaat mein jal chuka,
Watan jaaun to kis ke ghar jaaun main,

'Khumar' un se tark-e-taalluq baja,
Magar jeete-ji kaise mar jaaun main.!!

"Khumar Barabankawi"

Pi Pi Ke Jagmagaye Zamane Guzar Gaye

Pi pi ke jagmagaye zamane guzar gaye,
Raaton ko din banaye zamane guzar gaye,

Jaan-e-bahaar phool nahin aadmi hun main,
Aa ja ke muskuraye zamane guzar gaye,

Kya laaiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto,
Patthar bhi ghar mein aaye zamane guzar gaye,

O jaane waale aa ke tere intizaar mein,
Raste ko ghar banaye zamane guzar gaye,

Ghum hai na ab khushi hai na ummeed hai na yaas,
Sab se najaat paaye zamane guzar gaye,

Marne se wo darein jo ba-qaid-e-hayat hain,
Mujh ko to maut aaye zamane guzar gaye,

Kya kya tawaqquaat thin aaho'n se ai 'Khumar',
Ye teer bhi chalaaye zamane guzar gaye.!!

"Khumar Barabankawi"

Na Haara Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai

Na haara hai ishq aur na duniya thaki hai,
Diya jal raha hai hawa chal rahi hai,

Sukoon hi sukoon hai khushi hi khushi hai,
Tera ghum salamat mujhe kya kami hai,

Charaghon ke badle makaan jal rahe hain,
Naya hai zamana nayi raushni hai,

Are o jafaaon pe chup rahne waalo,
Khamoshi jafaaon ki taa'id bhi hai,

Mere rahbar mujh ko gumrah na kar de,
Suna hai ki manzil qareeb aa gayi hai,

'Khumar'-e-bala-nosh ke tu aur tauba,
Tujhe zaahidon ki nazar lag gayi hai.!!

"Khumar Barabankawi"

Mujh Ko Shikast-e-dil Ka Maza Yaad Aa Gaya

Mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya,
Tum kyun udaas ho gaye kya yaad aa gaya,

Kahne ko zindagi thi bahut mukhtasar magar,
Kuchh yun basar hui ke khuda yaad aa gaya,

Waa'iz salaam le ke chala may-kade ko main,
Firdaus-e-gum-shuda ka pata yaad aa gaya,

Barse baghair hi jo ghata ghir ke khul gayi,
Ek bewafa ka ahd-e-wafa yaad aa gaya,

Maangenge ab dua ke use bhool jaayen hum,
Lekin jo wo ba-waqt-e-dua yaad aa gaya,

Hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'Khumar',
Kya baat ho gayi jo khuda yaad aa gaya..!!

"Khumar Barabankawi"

Kabhi Sheyr-o-naghma Ban Ke Kabhi Aansuon Mein Dhhal Ke

Kabhi sheyr-o-naghma ban ke kabhi aansuon mein dhhal ke,
Wo mujhe mile to lekin mile suratein badal ke,

Ye wafa ki sakht raahein ye tumhaare pa-e-naazuk,
Na lo intiqaam mujh se mere saath saath chal ke,

Wahi aankh be-baha hai jo ghum-e-jahaan mein doobe,
Wahi jaam jaam hai jo baghair farq chhalke,

Na to hosh se taarruf na junoon se aashnaai,
Ye kahan pahunch gaye hum teri bazm se nikal ke,

Ye charagh-e-anjuman to hain bas ek shab ke mehmaan,
Tu jala wo shama ai dil jo bujhe kabhi na jal ke,

Koi ai 'Khumar' un ko mere sheyr nazr kar de,
Jo mukhalifeen mukhlis nahin mo'tarif ghazal ke.!!

"Khumar Barabankawi"
___
Mo'tarif = one who acknowledges, a confessor,

Thursday, May 10, 2018

Kabhi Jo Main Ne Masarrat Ka Ahtimaam Kiya

Kabhi jo main ne masarrat ka ahtimaam kiya,
Bade tapaak se ghum ne mujhe salaam kiya,

Hazaar tark-e-taalluq ka ahtimaam kiya,
Magar jahaan wo mile dil ne apna kaam kiya,

Zamane waalon ke darr se utha na haath magar,
Nazar se us ne ba-sad ma'azrat salaam kiya,

Kabhi hanse kabhi aahein bhari'n kabhi roye,
Ba-qadr-e-martaba har ghum ka ahtiraam kiya,

Humare hisse ki may kaam aaye pyaaso'n ke ,
Ze-raah-e-khair gunah-e-shikast-e-jaam kiya,

Tulu-e-mahr se bhi ghar ki teergi na ghati,
Ek aur shab kati ya main ne din tamaam kiya,

Dua ye hai na hon gumraah hum-safar mere,
'Khumar' main ne to apna safar tamaam kiya.!!

"Khumar Barabankawi"
___
Masarrat = happiness, 
Ahtimaam = care, preparation, planning,
Ba-sad = hundred times,
Ma'azrat = apology,
Ba-qadr-e-martaba = to the value of status,
Ahtiraam = respect, honoring, paying attention,
Ze-raah-e-khair = from the way of Good,
Gunah-e-shikast-e-jaam = sin of breaking glass of wine,
Tulu-e-mahr = sun rise,

Jhunjhlaye Hain Lajaaye Hain Phir Muskuraye Hain

Jhunjhlaye hain lajaaye hain phir muskuraye hain,
Kis ahtimaam se unhein hum yaad aaye hain,

Dair-o-haram ke habs-kadon ke sataaye hain,
Hum aaj may-kade ki hawa khaane aaye hain,

Ab ja ke aah karne ke aadaab aaye hain,
Duniya samajh rahi hai ke hum muskuraye hain,

Guzre hain may-kade se jo tauba ke baad hum,
Kuchh door aadatan bhi qadam ladkhadaye hain,

Ai josh-e-girya dekh na karna khajil mujhe,
Aankhein meri zaroor hain aansu paraaye hain,

Ai maut ai bahisht-e-sukoon aa khush-aamdeed,
Hum zindagi mein pahle pahal muskuraye hain,

Jitni bhi may-kade mein hai saaqi pila de aaj,
Hum tishna-kaam zohd ke sahra se aaye hain,

Insaan jeete ji karein tauba khataon se,
Majbooriyon ne kitne farishte banaaye hain,

Samjhaate qabl-e-ishq to mumkin tha banti baat,
Naaseh ghareeb ab humein samjhaane aaye hain,

Kaabe mein khairiyat to hai sab hazrat-e-'Khumar',
Ye dair hai janaab yahaan kaise aaye hain.!!

"Khumar Barabankawi"
___
Ahtimaam = care, preparation, planning,
Habs-kadon = suffocating place,
Josh-e-girya = flood of tears,
Khajil = embarrass,
Tishna-kaam = thirsty, unfortunate,
Zohd = religious devotion,

Husn Jab Mehrbaan Ho To Kya Kijiye

Husn jab mehrbaan ho to kya kijiye,
Ishq ke maghfirat ki dua kijiye,

Is saleeqe se un se gila kijiye,
Jab gila kijiye hans diya kijiye,

Doosro'n par agar tabsira kijiye,
Saamne aaina rakh liya kijiye,

Aap sukh se hain tark-e-taalluq ke baad,
Itni jaldi na ye faisla kijiye,

Zindagi kat rahi hai bade chain se,
Aur ghum hon to wo bhi ata kijiye,

Koi dhoka na kha jaaye meri tarah,
Aise khul ke na sab se mila kijiye,

Aql o dil apni apni kahein jab 'Khumar',
Aql ki suniye dil ka kaha kijiye..!!

"Khumar Barabankawi"

Hum Unhein Wo Humein Bhula Baithe

Hum unhein wo humein bhula baithe,
Do gunahgaar zahar kha baithe,

Haal-e-ghum kah ke ghum badha baithe,
Teer maare the teer kha baithe,

Aandhiyo jaao ab karo aaram,
Hum khud apna diya bujha baithe,

Ji to halka hua magar yaaro,
Ro ke hum lutf-e-ghum ganwa baithe,

Be-sahaaron ka hausla hi kya,
Ghar mein ghabraye dar pe aa baithe,

Jab se bichhde wo muskuraye na hum,
Sab ne chheda to lab hila baithe,

Hum rahe mubtala-e-dair-o-haram,
Wo dabe panaw dil mein aa baithe,

Uth ke ek bewafa ne de di jaan,
Rah gaye saare ba-wafa baithe,

Hashr ka din abhi hai door 'Khumar',
Aap kyun zaahidon mein ja baithe.!!

"Khumar Barabankawi"

Hijr Ki Shab Hai Aur Ujaala Hai

Hijr ki shab hai aur ujaala hai,
Kya tasawwur bhi lutne waala hai,

Ghum to hai ain-e-zindagi lekin,
Ghum-gusaaron ne maar daala hai,

Ishq majboor o na-muraad sahi,
Phir bhi zaalim ka bol-baala hai,

Dekh kar barq ki pareshaani,
Aashiyaan khud hi phoonk daala hai,

Kitne ashko'n ko kitni aaho'n ko,
Ek tabassum mein us ne dhhaala hai,

Teri baato'n ko main ne ai waa'iz,
Ahtiraman hansi mein taala hai,

Maut aaye to din phirein shayad,
Zindagi ne to maar daala hai,

Sheyr, naghma, shaguftagi, masti,
Ghum ka jo roop hai niraala hai,

Laghzishein muskuraai hain kya kya,
Hosh ne jab mujhe sambhaala hai,

Dam andhere mein ghut raha hai 'Khumar',
Aur chaaron taraf ujaala hai..!!

"Khumar Barabankawi"

Hansne Waale Ab Ek Kaam Karein

Hansne waale ab ek kaam karein,
Jashn-e-girya ka ahtimaam karein,

Hum bhi kar lein jo raushni ghar mein,
Phir andhere kahaan qayaam karein,

Mujh ko mahroomi-e-nazzara qubool,
Aap jalwe na apne aam karein,

Ek guzarish hai hazrat-e-naaseh,
Aap ab aur koi kaam karein,

Aa chalein us ke dar pe ab ai dil,
Zindagi ka safar tamaam karein,

Haath uthta nahin hai dil se 'Khumar',
Hum unhein kis tarah salaam karein.!!

"Khumar Barabankawi"

Haal-e-ghum Un Ko Sunaate Jaaiye

Haal-e-ghum un ko sunaate jaaiye,
Shart ye hai muskuraate jaaiye,

Aap ko jaate na dekha jaayega,
Shama ko pahle bujhaate jaaiye,

Shukriya lutf-e-musalsal ka magar,
Gaahe gaahe dil dukhaate jaaiye,

Dushmanon se pyaar hota jaayega,
Doston ko aazmaate jaaiye,

Raushni mahdood ho jin ki 'Khumar',
Un charaghon ko bujhaate jaaiye.!!

"Khumar Barabankawi"

Ek Pal Mein Ek Sadi Ka Maza Hum Se Puchhiye

Ek pal mein ek sadi ka maza hum se puchhiye,
Do din ki zindagi ka maza hum se puchhiye,

Bhoole hain rafta rafta unhein muddaton mein hum,
Qiston mein khud-kushi ka maza hum se puchhiye,

Aaghaaz-e-aashiqi ka maza aap jaaniye,
Anjam-e-aashiqi ka maza hum se puchhiye,

Jalte diyon mein jalte gharon jaisi zau kahaan,
Sarkaar raushni ka maza hum se puchhiye,

Wo jaan hi gaye ke humein un se pyaar hai,
Aankhon ki mukhbiri ka maza hum se puchhiye,

Hansne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarah,
Hansiye magar hansi ka maza hum se puchhiye,

Hum tauba kar ke mar gaye be-maut ai 'Khumar',
Tauhin-e-may-kashi ka maza hum se puchhiye.!!

"Khumar Barabankawi"

Dil Ko Taskeen-e-yaar Le Doobi

Dil ko taskeen-e-yaar le doobi,
Is chaman ko bahaar le doobi,

Ashk to pi gaye hum un ke huzoor,
Aah-e-be-ikhtiyaar le doobi,

Ishq ke karobaar ko aksar,
Garmi-e-karobaar le doobi,

Haal-e-ghum un se baar baar kaha,
Aur hansi baar baar le doobi,

Tere har mashware ko ai naaseh,
Aaj phir yaad-e-yaar le doobi,

Chaar din ka hi saath tha lekin,
Zindagi ai 'Khumar' le doobi.!!

"Khumar Barabankawi"

Baat Jab Doston Ki Aati Hai

Baat jab doston ki aati hai,
Dosti kaanp kaanp jaati hai,

Mujh se ai dost phir khafa ho ja,
Ishq ko neend aai jaati hai,

Ab qayamat se kya dare koi,
Ab qayamat to roz aati hai,

Bhaagta hun main zindagi se 'Khumar',
Aur ye naagin dase hi jaati hai..!!

"Khumar Barabankawi"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...