Posts

Showing posts from March, 2019

Khidkiyaan Khol Raha Tha Ke Hawa Aayegi

Khidkiyaan Khol Raha Tha Ke Hawa Aayegi, Kya Khabar Thi Ke Charaghon Ko Nigal Jaayegi... Mujh Ko Is Waaste Baarish Nahi Achchi Lagti, Jab Bhi Aayegi Koi Yaad Utha Laayegi... Us Ne Hanste Huye Kar Li Hain Alehda Raahein, Main Samajhta Tha Ke Bichdegi To Mar Jaayegi... Main Musafir Hun Bahr-taur Chala Jaaunga,  Tu Mere Baad Bhala Kaise Sambhal Paayegi...  Meri Aawaaz Ko Tarsegi Sama'at Teri,  Umr Bhar Tujh Ko Meri Call Nahi Aayegi.!!  کھڑکیاں کھول رہا تھا کہ ہوا آئے گی کیا خبر تھی کہ چراغوں کو نگل  جائے گی مجھ کو اِس واسطے بارش نہیں اچھی لگتی جب بھی آئے گی کوئی یاد اُٹھا لائے گی اُس نے ہنستے ہوئے کر لی ہیں علیحدہ راہیں میں سمجھتا تھا کہ بچھڑے گی تو مر جائے گی میں مسافر ہوں بہر طور چلا جاوں گا تُو میرے بعد بھلا کیسے سنبھل پائے گی میری آواز کو ترسے گی سماعت تیری عمر بھر تجھ کو مِری کال نہیں آئے گیا..

Jodne Waale Tere Dast-e-hunar Se Gir Kar

Jodne Waale Tere Dast-e-hunar Se Gir Kar, Aisa Toota Hun Ke Shahkaar Hua Jaata Hun.!  جوڑنے والے تیرے دستِ هُنر سے گِر کر ایسا ٹوٹا هُوں کہ شاهکار هُوا جاتا هُوں..

Ab To Wo Tanz Bhi Nahi Karta

Ab To Wo Tanz Bhi Nahi Karta, Us Ko Kuch To Bura Laga Hua Hai.!

Bichhadte Lamhon Mein

Bichhadte Lamhon Mein Us Ne Mujh Se Kaha Tha, Dekho! Humari Raahein Juda Juda Hain Magar Humein Ek dusre Ka Khyaal Rakhna Hai Zindagi Bhar, Kisi Bhi Lamha Udaasiyon Ki Faseel Haail Na Hone Dena.. Hawa Ke Haathon Pe Likhte Rahna Judaaiyon Ke Tamaam Qisse, Qadam Qadam Pe Jo Pesh Aaye Wo Saanhe Bhi Nazar Mein Rakhna.. Main Jab Bhi Lauta To Apne Honthon Ki Taazgi Ko Tumhari Bujhti Hui Aankhon Pe La Rakhunga, Jo Meri Apni Hain,  Sirf Meri.. Bichhadte Lamhon Mein Us Ne Mujh Se Na Jaane Kya Kuch Kaha Suna Tha, Aur! Ab Us Se Bhi Yahi Kahega Wo Jis Ke Haathon Mein Haath Daale Naye Safar Pe Nikal Pada Hai.!! بچھڑتے لمحوں میں اس نے مجھ سے کہا تھا۔۔۔ دیکھو ! ہماری راہیں جدا جدا ہیں مگر ہمیں ایک دوسرے کا خیال رکھنا ہے زندگی بھر۔۔۔ کسی بھی لمحہ اداسیوں کی فصیل حائل نا ہونے دینا ہوا کے ہاتھوں پہ لکھتے رہنا جدائیوں کے تمام قصے.. قدم قدم پہ جو پیش آئے وہ سانحے بھی نظر میں رکھنا۔۔۔۔ میں جب بھی لوٹا تو اپنے ہونٹوں کی تازگی کو تمہاری بجھتی ہوئی آنکھوں پہ لا رکھوں گا جو

Ye Raabton Mein Ghaflat,Ye Bhoolne Ki Aadat

Ye Raabton Mein Ghaflat,  Ye Bhoolne Ki Aadat, Kahin Door Ho Na Jaana,  Yunhi Door Rahte Rahte.!  یہ رابطوں میں غفلت، یہ بھولنے کی عادت.... کہیں دور ہو نہ جانا، یونہی دور رہتے رہتے.....

Koi Paagal Hi Mohabbat Se Nawazega Mujhe

Koi Paagal Hi Mohabbat Se Nawazega Mujhe, Aap To Khair,  Samajhdaar Nazar Aate Hain.! ‏کوئی پاگل ہی محبت سے نوازے گا مجھے ‏آپ تو خیر---------- سمجھ دار نظر آتے ہیں.. 

Meri Beenaai Pe Dam Karo Murshid

Meri Beenaai Pe Dam Karo Murshid, Wo Meri Aankhon Se Zaahhir Ho Gaya Hai.! ‏میری بینائی  پہ____ دَم کرو مُرشد ‏وہ میری آنکھوں سے ظاہر ہوگیا ہے !!

Ye Mohabbat Bhi Ajab Kaar-e-ziyaan Mai Jis Mein

Ye Mohabbat Bhi Ajab Kaar-e-ziyaan Hai Jis Mein, Log Khud Chal Ke Khasaare Ki Taraf Jaate Hain.! یہ  محبت  بھی عجب  کارزیاں  ہے جس میں... لوگ خود چل کے خسارے کی طرف جاتے ہیں !

Ishq Is Daur-e-khata-saaz Mein Mumkin Hi Na Tha

Ishq Is Daur-e-khata-saaz Mein Mumkin Hi Na Tha, Main Bhi Hairaan Hun Maine Tujhe Chaaha Kaise.! عشق اِس دورِ خطا ساز میں ممکن ہی نہ تھا میں بھی حیران ہوں میں نے تُجھے چاہا کیسے.. 

Ek Ye Khwahish

Ek Ye Khwahish Ke Koi Zakhm Na Dekhe Dil Ka, Ek Ye Hasrat Ke Koi Dekhne Waala Hota.!! اک یہ خواہش کہ کوئی زخم نہ دیکھے دل کا....!!! اک یہ حسرت کہ کوئی دیکھنے والا ہوتا____!

Tadpunga Umr Bhar Dil-e-marhoom Ke Liye

Tadpunga Umr Bhar Dil-e-marhoom Ke Liye, Kambakht, Namuraad, Ladakpan Ka Yaar Tha.! تڑپُوں گا عمر بھر دلِ مرحوم کے لیے کمبخت، نامراد، لڑکپن کا یار تھا.. بیخود دہلوی

Main Bulaata Hun Us Ko Magar Ai Jazba-e-dil

Main Bulaata Hun Us Ko Magar Ai Jazba-e-dil,  Us Pe Ban Jaaye Kuch Aisi Ke Bin Aaye Na Bane.!! میں بلاتا تو ہوں اس کو مگر اے جذبۂ دل اس پہ بن جائے کچھ ایسی کہ بن آئے نہ بنے.. 

Hum Shekh Na Leader, Na Masahib Na Sahaafi

Hum Shekh Na Leader, Na Masahib Na Sahaafi,  Jo Khud Nahi Karte, Wo Hidayat Na Karenge.!   ﮨﻢ ﺷﯿﺦ ﻧﮧ ﻟﯿﮉﺭ، ﻧﮧ ﻣﺼﺎﺣﺐ ﻧﮧ ﺻﺤﺎﻓﯽ ! ﺟﻮ ﺧﻮﺩ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﺗﮯ، ﻭﮦ ﮨﺪﺍﯾﺖ ﻧﮧ ﮐﺮﯾﮟ ﮔﮯ .. ﻓﯿﺾ ﺍﺣﻤﺪ ﻓﯿﺾ

Maine Ek Pal Ko Tera Naam Liya Tha Shayad

Maine Ek Pal Ko Tera Naam Liya Tha Shayad,  Neend Naraaz Rahi Raat Meri Aankhon Se.!! میں نے اک پل کو تیرا نام لیا تها شاید نیند ناراض رہی رات میری آنکهوں سے...!

Ye Ahd-e-tark-e-mohabbat Hai Kis Liye Aakhir

Ye Ahd-e-tark-e-mohabbat Hai Kis Liye Aakhir, Sukoon-e-qalb Idhar Bhi Nahi Udhar Bhi Nahi.! ‏یہ عہد ترکِ محبت ہے، کس لیے آخر... سکونِ قلب اِدھر بھی نہیں اُدھر بھی نہیں.!  فیض احمد فیض

Barson Ke Ratjage Meri Aankhon Mein Gaadh Kar

Barson Ke Ratjage Meri Aankhon Mein Gaadh Kar, Rakh Di Tere Firaaq Ne Meri Aankhein Ujaad Kar.! برسوں کے رتجگے میری آنکھوں میں گاڑھ کر رکھ دی تیرے فراق نے، میری آنکھیں اجاڑ کر...

Haye Ye Begaangi Apni Nahi Mujh Ko Khabar

Haye Ye Begaangi, Apni Nahi Mujh Ko Khabar, Haye Ye Aalam, Ke Tu Dil Se Juda Hota Nahi.! ہائے یہ بیگانگی! اپنی نہیں مجھ کو خبر ہائے یہ عالم ، کہ تُو دِل سے جُدا ہوتا نہیں.. 

Aap Hain Ke Jaane Ko Khade Hain

Aap Hain Ke Jaane Ko Khade Hain,  Dil Hai Ke Baitha Ja Raha Hai.! آپ ہیں کہ جانے کو کھڑے ہیں دل  ھے  کہ  بیٹھا  جا  رہا  ھے..