Yoon to aashiq tera zamana hua,
Mujh sa jaan-baaz dusra na hua..
Khud-ba-khud bu-e-yaar phail gayi,
Koi minnat-e-kash-e-saba na hua..
Main giraftaar-e-ulfat-e-sayyaad,
Daam se chhoot ke bhi riha na hua..
Khabar us be-khabar ki la deti,
Tujh se itna bhi ai saba na hua..
Un se arz-e-karam to kya karte,
Hum se khud shikwa-e-jafa na hua..
Ho ke be-khud kalaam-e-hasrat se,
Aaj 'Ghaalib' ghazal sara na hua.!!
"Hasrat Mohani"
No comments:
Post a Comment