Showing posts with label Makhdoom Mohiuddin. Show all posts
Showing posts with label Makhdoom Mohiuddin. Show all posts

Saturday, June 16, 2018

Intizaar

* Nazm *
__________

Raat bhar deeda-e-namnaak mein lahraate rahe,
Saans ki tarah se aap aate rahe jaate rahe..

Khush the hum apni tamannaon ka khwab aayega,
Apna armaan bar-afganda-naqaab aayega..

Nazrein neechi kiye sharmaye hue aayega,
Kaakulein chehre pe bikhraye hue aayega..

Aa gayi thi dil-e-muztar mein shakebaai si,
Vaj rahi thi mere ghum-khaane mein shahnaai si..

Patiyaan khadkin to samjha ke lo aap aa hi gaye,
Sajde masroor ke ma'abood ko hum pa hi gaye..

Shab ke jaage hue taaro'n ko bhi neend aane lagi,
Aap ke aane ki ek aas thi ab jaane lagi..

Subah ne sej se uthte hue li angdaai,
O saba! tu bhi jo aai to akeli aai..

Mere mahboob meri neend udaane waale,
Mere masjood meri rooh pe chhaane waale..

Aa bhi ja, taaki mere sajdo'n ka armaan nikle,
Aa bhi ja, taaki tere qadmo'n pe meri jaan nikle.!!

"Makhdoom Mohiuddin"
__________

Bar-afganda-naqaab = unveild,
Kaakulein = tresses,
Shakebaai = patience,
Masjood = adored, God,
to whom one bows, worships,

Raushan Hai Bazm-e-shola-rukhaa'n Dekhte Chalen

Raushan hai bazm-e-shola-rukhaa'n dekhte chalen,
Is mein wo ek noor-e-jahaan dekhte chalen..

Wa ho rahi hai may-kada-e-neem-shab ki aankh,
Angdaai le raha hai jahaan dekhte chalen.. 

Sargoshiyon ki raat hai rukhsaar o lab ki raat,
Ab ho rahi hai raat jawaan dekhte chalen.. 

Dil mein utar ke sair-e-dil-e-rah-rawaa'n karen,
Aahon mein dhhal ke zabt-e-fughaa'n dekhte chalen..

Kaise hain khanqaah mein arbaab-e-khanqaah..
Jis haal mein hai peer-e-mughaa'n dekhte chalen..

Maazi ki yaadgar sahi yaad-e-dil to hai,
Tarz-e-nashaat-e-nauha-garaa'n dekhte chalen.. 

Sab waswase hain gard-e-rah-e-karwaa'n ke saath,
Aage hai mish!alon ka dhuaan dekhte chalen..

Aanchal se ud rahe hain fazaaon mein door door,
Shayad wahi ho jaan-e-butaa'n dekhte chalen..

Aa hi gaye hain raqs-gah-e-gul-rukhaa'n mein hum,
Kuchh rang-o-bu ka sail-e-rawaa'n dekhte chalen.!!

"Makhdoom Mohiuddin"
__________

Bazm-e-shola-rukhaa'n = company, party, entertainment, feast, banquet of flame-faced; passionate,
Sair-e-dil-e-rah-rawaa'n = Tour of heart of travel companions,
Zabt-e-fughaa'n = tolerance,
Khanqaah = monastery, religious place for holy men,
Arbaab-e-khanqaah = masters of monastery,
Peer-e-mughaa'n = a tavern keeper, chief of fire, worshippers,
Tarz-e-nashaat-e-nauha-garaa'n = in the manner of pleasure of dirge-singers; mourners,
Raqs-gah-e-gul-rukhaa'n = place for dancing, disco of rose-faced,
Sail-e-rawaa'n = streaming flood, running flood,

Usi Chaman Mein Chalein Jashn-e-yaad-e-yaar Karein

Usi chaman mein chalein jashn-e-yaad-e-yaar karein,
Dilo'n ko chaak garebaan ko taar-taar karein..

Shamim-e-pairahan-e-yaar kya nisaar karein,
Tujhi ko dil se laga lein tujhi ko pyaar karein..

Sunati phirti hain aankhein kahaniyan kya kya,
Ab aur kya kahein kis kis ko sogwaar karein..

Utho ke fursat-e-deewangi ghanimat hai, 
Qafas ko le ke udein gul ko hum-kanaar karein..

Kamaan-e-abru-e-khoobaa'n ka baankpan hai ghazal,
Tamam raat ghazal gaayein deed-e-yaar karein.!!

"Makhdoom Mohiuddin"
__________

Shamim-e-pairahan-e-yaar = fragrance of apparel of beloved,
Hum-kanaar = Embracing,
Kamaan-e-abru-e-khoobaa'n = arch of eyebrows of beautiful girls,

Tum Gulistaan Se Gaye Ho To Gulistaan Chup Hai

Tum gulistaan se gaye ho to gulistaan chup hai,
Shaakh-e-gul khoi hui murgh-e-khush-ilhaan chup hai..

Ufuq-e-dil pe dikhaai nahin deti hai dhanak,
Ghum-zada mausam-e-gul abr-e-baharaan chup hai..

Aalam-e-tishnagi-e-baada-gusaraan mat poochh,
May-kada doir hai meena-e-zar-e-afshaan chup hai..

Aur aage na badha qissa-e-dil qissa-e-ghum,
Dhadkanein chup hain sarishk-e-sar-e-mizhgaa'n chup hai..

Shahr mein ek qayamat thi qayamat na rahi,
Hashr khamosh hua fitna-e-dauraa'n chup hai..

Na kisi aah ki aawaz na zanjeer ka shor, 
Aaj kya ho gaya zindaan mein ki zindaan chup hai.!!

"Makhdoom Mohiuddin"
__________

Murgh-e-khush-ilhaan = sweet voiced birds,
Aalam-e-tishnagi-e-baada-gusaraan = condition of thirst of wine-drinkers,
Sarishk-e-sar-e-mizhgaa'n = tears on eyelashes,
Fitna-e-dauraa'n = tumult of the times, one who creates disturbance in the world,

Tere Deewane Teri Chashm O Nazar Se Pahle

Tere deewane teri chashm o nazar se pahle,
Daar se guzre teri rahguzar se pahle..

Bazm se door wo gaata raha tanha tanha, 
So gaya saaz pe sar rakh ke sahar se pahle..

Is andhere mein ujaalon ka gumaan tak bhi na tha,
Shoala-ru shoala-nawa shola-nazar se pahle..

Kaun jaane ke ho kya rang-e-sahar rang-e-chaman,
May-kada raqs mein hai pichhle pahar se pahle..

Nik'hat-e-yaar se aabaad hai har kunj-e-qafas,
Mil ke aai hai saba us gul-e-tar se pahle.!!

"Makhdoom Mohiuddin"

Monday, February 26, 2018

Sahar Se Raat Ki Sargoshiyan Bahaar Ki Baat

Sahar se raat ki sargoshiyan bahaar ki baat,
Jahaan mein aam hui chashm-e-intizaar ki baat,

Dilon ki tishnagi jitni dilon ka ghum jitna,
Usi qadar hai zamane mein husn-e-yaar ki baat,

Jahaan bhi baithe hain jis jaa bhi raat may pi hai,
Unhi ki aankhon ke qisse unhi ke pyaar ki baat,

Chaman ki aankh bhar aai kali ka dil dhadka
Labon pe aai hai jab bhi kisi qaraar ki baat,

Ye zard zard ujaale ye raat raat ka dard,
Yahi to rah gai ab jaan-e-be-qaraar ki baat,

Tamam umr chali hai tamam umr chale
Ilahi khatm na ho yaar-e-ghum-gusaar ki baat..!!

"Makhdoom Mohiuddin"

Ishq Ke Shole Ko Bhadkao Ke Kuchh Raat Kate

Ishq ke shole ko bhadkao ke kuchh raat kate,
Dil ke angare ko dahkao ke kuchh raat kate...

Hijr mein milne shab-e-maah ke ghum aaye hain,
Chaarasazon ko bhi bulwao ke kuchh raat kate...

Koi jalta hi nahin koi pighalta hi nahin,
Mom ban jao pighal jao ke kuchh raat kate...

Chashm o rukhsar ke azkaar ko jaari rakkho,
Pyar ke naame ko dohrao ke kuchh raat kate...

Aaj ho jaane do har ek ko bad-mast-o-kharaab,
Aaj ek ek ko pilwao ke kuchh raat kate...

Koh-e-ghum aur gira'n aur gira'n aur gira'n,
Ghum-zaado teshe ko chamkao ke kuchh raat kate..!

"Makhdoom Mohiuddin"

Badh Gaya Baada-e-gul-gu'n Ka Maza Aakhir-e-shab

Badh gaya baada-e-gul-gu'n ka maza aakhir-e-shab,
Aur bhi surkh hai rukhsar-e-haya aakhir-e-shab,

Manzilein ishq ki aasaan huyin chalte chalte,
Aur chamka tera naqsh-e-kaf-e-pa aakhir-e-shab,

Khatkhata jaata hai zanjeer-e-dar-e-mai-khana,
Koi deewana koi aabla-pa aakhir-e-shab,

Saans rukti hai chhalakte hue paimane mein,
Koi leta tha tera nam-e-wafa aakhir-e-shab,

Gul hai qandeel-e-haram gul hain kalisa ke charaagh,

Soo-e-paimana badhe dast-e-dua aakhir-e-shab,

Haaye kis dhoom se nikla hai shaheedon ka juloos,
Jurm chup sar-ba-garebaa'n hai jafa aakhir-e-shab,

Isi andaaz se phir subah ka aanchal dhalke,
Isi andaz se chal baad-e-saba aakhir-e-shab..!!

"Makhdoom Mohiuddin"

Ab Kahaan Ja Ke Ye Samjhayen Ke Kya Hota Hai

Ab kahaan ja ke ye samjhayen ke kya hota hai,
Ek aansu jo sar-e-chashm-e-wafa hota hai,

Is guzargaah mein is dasht mein ai jazba-e-ishq,
Juz tere kaun yahaan aabla-pa hota hai,

Dil ki meharab mein ek shama jali thi sar-e-shaam,
Subah-dam maatam-e-arbaab-e-wafa hota hai,

Deep jalte hain dilon mein ki chita jalti hai,
Ab ki diwaali mein dekhenge ki kya hota hai,

Jab barasti hai teri yaad ki rangeen phuwaar,
Phool khilte hain dar-e-mai-kada wa hota hai.!!

"Makhdoom Mohiuddin"

Aap Ki Yaad Aati Rahi Raat Bhar

Aap ki yaad aati rahi raat bhar,
Chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar...

Raat bhar dard ki shama jalti rahi,
Ghum ki lau thartharaati rahi raat bhar...

Baansuri ki sureeli suhaani sada,
Yaad ban ban ke aati rahi raat bhar...

Yaad ke chand dil mein utarte rahe,
Chandni jagmagaati rahi raat bhar...

Koi deewana galiyon mein phirta raha,
Koi aawaaz aati rahi raat bhar..!!

"Makhdoom Mohiuddin"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...