Palkon pe le ke bojh kahaan tak phira karun,
Ai khwab-e-raegaa'n main bata tera kya karun..
Wo hai ba-zid usi pe ke main iltija karun,
Kuchh to bata ai meri ana ab main kya karun..
Paane ki jadd-o-jahd mein umrein guzar gayin,
Ek baar tujh ko khone ka bhi hausla karun..
Har aane waala bazm mein teri hai mohtaram,
Taazeem ko main sab ki kahaan tak utha karun..
Har ek waraq hai tujh se shuru is kitaab ka,
Tu hi bata kahaan se main ab ibtida karun..
Hai zer-e-ghaur apni hi chahat ka ahtisaab,
Teri wafa pe kya main abhi tabsira karun.!!
"Jawed Naseemi"
No comments:
Post a Comment