Saturday, June 30, 2018

Apna Pata Na Apni Khabar Chhod Jaaunga

Apna pata na apni khabar chhod jaaunga, 
Be-samtiyon ki gard-e-safar chhod jaaunga...

Tujh se agar bichhad bhi gaya main to yaad rakh,
Chehre pe tere apni nazar chhod jaaunga...

Ghum dooriyon ka door na ho payega kabhi,
Wo apni qurbaton ka asar chhod jaaunga...

Guzregi raat raat mere hi khyaal mein,
Tere liye main sirf sahar chhod jaaunga...

Jaise ke shama-daan mein bujh jaaye koi shama,
Bas yoon hi apne jism ka ghar chhod jaaunga...

Main tujh ko jeet kar bhi kahaan jeet paaunga,
Lekin mohabbaton ka hunar chhod jaaunga...

Aansu milenge mere na phir tere qahqahe,
Sooni har ek rahguzar chhod jaaunga... 

Sansaar mein akela tujhe agle janm tak, 
Hai chhodna muhaal magar chhod jaaunga...

Us paar ja sakengi to yaadein hi jayengi, 
Jo kuchh idhar mila hai udhar chhod jaaunga...

Ghum hoga sab ko aur juda hoga sab ka ghum,
Kya jaane kitne dida-e-tar chhod jaaunga... 

Bas tum hi pa sakoge kuredoge tum agar, 
Main apni raakh mein bhi sharar chhod jaaunga...

Kuchh der ko nigah thehar jaayegi zaroor,
Afsaane mein ek aisa khandar chhod jaaunga...

Koi khyaal tak bhi na chhu payega mujhe, 
Ye chaaron samt aathon pahar chhod jaaunga.!!

"Krishn Bihari Noor"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...