Friday, June 29, 2018

Ye Daulat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo

Ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo,
Bhale chheen lo mujh se se meri jawaani..

Magar mujh ko lauta do wo bachpan ka saawan,
Wo kaaghaz ki kashti wo baarish ka paani..

Ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo,
Bhale chheen lo mujh se meri jawaani..

Magar mujh ko lauta do bachpan ka saawan,
Wo kaaghaz ki kashti wo baarish ka paani..

Mohalle ki sab se nishaani puraani,
Wo budhiya jise bachche kahte the naani..

Wo naani ki baaton mein pariyon ka dhera,
Wo chehre ki jhuriyon mein sadiyon ka phera..

Bhulaye nahin bhool sakta hai koi,
Wo chhoti si raatein wo lambi kahaani..

Wo kaaghaz ki kashti wo baarish ka paani,

Khadi dhoop mein apne ghar se nikalna,
Wo chidiyan wo bulbul wo titli pakadna..

Wo gudiyon ki shaadi pe ladna jhagadna,
Wo jhoolon se girna wo girte sambhalna..

Wo peetal ke chhaanw ke pyaare se tohfe,
Wo tooi hui choodiyon ki nishaani..

Wo kaaghaz ki kashti wo baarish ka paani..

Kabhi ret ke oonche teelo'n pe jaana,
Gharaunde banana bana ke mitana..

Wo masoom chahat ki tasveer apni,
Wo khwabon khilaunon ki jaageer apni..

Na duniya ka ghum tha na rishton ke bandhan,
Badi khoobsurat thi wo zindagaani..

Ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo,
Bhale chheen lo mujh se meri jawaani..

Magar mujh ko lauta do bachpan ka saawan,
Wo kaaghaz ki kashti wo baarish ka paani..

Wo kaaghaz ki kashti wo baarish ka paani.!!

"Sudarshan Faakir"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...