Showing posts with label Iqbal Ashhar. Show all posts
Showing posts with label Iqbal Ashhar. Show all posts

Sunday, June 10, 2018

Ye Nahin Pahle Teri Yaad Se Nisbat Kam Thi

Ye nahin pahle teri yaad se nisbat kam thi,
Maajra ye tha ke ahsaas mein shiddat kam thi..

Kis liye chheen liya to ne ghazaalon ka sukoon,
Is kharaabe ke liye kya meri wahshat kam thi..

Waise bhi us se koi rabt na rakkha main ne,
Yoon bhi duniya mein kashish teri ba-nisbat kam thi..

Tere kirdaar ko itna to sharaf haasil hai,
Tu nahin tha to kahani mein haqeeqat kam thi..

Hum to us waqt bhi raushan the kisi goshe mein,
Jab zamane ko charaghon ki zaroorat kam thi.!!

"Iqbal Ashhar"

Wo Bhi Kuchh Bhoola Hua Tha Main Bhi Kuchh Bhatka Hua

Wo bhi kuchh bhoola hua tha main kuchh bhatka hua,
Raakh mein chingariyan dhundhi gayin aisa hua..

Dastaanein hi sunani hain to phir itna to ho,
Sunne waala shauq se ye kah uthe phir kya hua..

Umr ka dhhalna kisi ke kaam to aaya chalo,
Aaine ki hairatein kam ho gayin achchha hua..

Raat aai aur phir tareekh ko dohra gayi,
Yoon hua ek khwab to dekha magar dekha hua..

Wo kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar,
Aur main nadaan ye samjha ke wo mera hua.!!

"Iqbal Ashhar"

Tumhaari Khushbu Thi Hum-safar To Humara Lahja Hi Dusra Tha

Tumhaari khushbu thi hum-safar to humara lahja hi dusra tha,

Ye aks bhi aashna sa hai kuchh magar wo chehra hi dusra tha...

Wo adh-khuli khidkiyon ka mausam guzar gaya to ye raaz jaana,

Idhar shanasaai tak nahin thi udhar taqaza hi dusra tha...

Gulaab khilte the chahaton ke charagh jalte the aahaton ke,

Jahaan barasti hain wahshatein ab kabhi wo raasta hi dusra tha...

Kabhi na kahta tha dil humara ke aansuon ko likhein sitara,

Judaaiyon ki kasak se pahle ye istiaara hi dusra tha...

Udaas lafzon ke raaste mein ye raushni ki lakeer kab thi,

Mohabbaton ke safar se pahle ghazal ka lahja hi dusra tha.!!

"Iqbal Ashhar"

Tamashaai Bane Rahiye Tamasha Dekhte Rahiye

Tamashaai bane rahiye tamasha dekhte rahiye,
Yahi duniya hai to kab tak ye duniya dekhte rahiye..

Agar apne bikharne ka nazara kar nahin sakte,
To ye kijiye ki wo raushan sitara dekhte rahiye..

Ke yoon manzar badal jaane se hairani nahin hoti,
Agar gulshan mein rahna ho to sahra dekhte rahiye..

Miyaan kya aaine ko khelne ki cheez samjhe the,
Ab apne aap ko qisto'n mein bat ta dekhte rahiye..

Idhar tum pyaas ki hurmat ka qissa chhed baithe ho,
Udhar mausam ye kahta hai ke dariya dekhte rahiye.!!

"Iqbal Ashhar"
__________

Hurmat = dignity, honour, reverence, chastity,

Saturday, June 9, 2018

Silsila Khatm Hua Jalne Jalane Waala

Silsila khatm hua jalne jalane waala,
Ab koi khwab nahin neend udane waala..

Ye wo sahra hai sujhaye na agar tu rasta,
Khaak ho jaaye yahaan khaak udane waala..

Kya kare aankh jo pathraane ki khwahish na kare,
Khwab ho jaaye agar khwab dikhane waala..

Yaad aata hai ke main khud se yahin bichhda tha,
Yahi rasta hai tere shahar ko jaane waala.. 

Ai hawa us se ye kahna ke salamat hai abhi,
Tere phoolon ko kitaabon mein chhupane waala..

Zindagi apni andheron mein basar karta hai,
Tere aanchal ko sitaron se sajaane waala..

Sabhi apne nazar aate hain ba-zaahir lekin,
Roothne waala hai koi na manane waala..

Le gayin door bahut door hawaaen jis ko,
Wahi baadal tha meri pyaas bujhane waala.!!

"Iqbal Ashhar"

Raasta Bhool Gaya Ek Sitara Apna

Raasta bhool gaya ek sitara apna,
Chaand ne band kiya jab se dareecha apna..

Roz aaina dikhati hai zamane bhar ko,
Zindagi dekh le tu bhi kabhi chehra apna..

Aks tera kabhi ojhal ho agar manzar se,
Aaina dhundhta rah jaaye ujaala apna..

Sochta hun teri tasveer dikha dun us ko,
Raushni ne kabhi saya nahin dekha apna.. 

Ye sulagta hua sahra hai nishani us ki,
Raasta bhool gaya tha koi dariya apna.!!

"Iqbal Ashhar"

Raat Ka Pichhla Pahar Kaisi Nishani De Gaya

Raat ka pichhla pahar kaisi nishani de gaya,
Munjamid aaankhon ke dariya ko rawani de gaya..

Main sadaqat ka alam-bardaar samjha tha jise,
Wo bhi jab rukhsat hua to ek kahani de gaya..

Pahle apna tajziya karne pe uksaya mujhe,
Phir natija-kheziyon ko be-zabani de gaya..

Kyun ujaalon ki nawazish ho rahi hai har taraf,
Kya koi bujhte charaghon ko jawani de gaya..

Kyun na is aawara baadal ko duaaen dijiye,
Jo samandar ko khalish sahra ko paani de gaya.!!

"Iqbal Ashhar"
__________

Munjamid = frozen, congealed, solid,
Tajziya = separation, analysis,
Natija-kheziyon = consequential-plural,

Pyaas Ke Bedaar Hone Ka Koi Rasta Na Tha

Pyaas ke bedaar hone ka koi rasta na tha,
Is taraf baadal nahin the us taraf dariya na tha..

Raat ki tareekiyan pahchan leti thin use,
Rooh ki aawaz tha wo jism ka saya na tha..

Teri yaadein to charaghon ki qataarein ban gayin,
Pahle bhi ghar mein ujaala tha magar aisa na tha..

Chand qatro'n ke liye dariya ko kyun takleef di,
Meri jaanib dekh lete main koi sahra na tha..

Raat aai to charaghon ki badi ta'azeem thi,
Aur jab guzri to koi poochhne waala na tha.!!

"Iqbal Ashhar"

Kitne Bhoole Hue Naghmaat Sunane Aaye

Kitne bhoole hue naghmaat sunane aaye,
Phir tere khwaab mujhe mujh se churane aaye..

Phir dhanak-rang tamannaon ne ghera mujh ko,
Phir tere khat mujhe deewana banane aaye..

Phir teri yaad mein aanhkein huyin shabnam shabnam,
Phir wahi neend na aane ke zamane aaye..

Phir tera zikr kiya baad-e-saba ne mujh se,
Phir mere dil ko dhadakne ke bahane aaye..

Phir mere kaasa-e-khaali ka muqaddar jaaga,
Phir mere haath mohabbat ke khazane aaye..

Shart sailaab samone ki laga rakkhi thi,
Aur do ashk bhi hum se na chhupane aaye.!!

"Iqbal Ashhar"

Khuda Ne Laaj Rakhi Meri Be-nawaai Ki

Khuda ne laaj rakhi meri be-nawaai ki,
Bujha charagh to jugnu ne rahnumaai ki..

Tere khyaal ne taskheer kar liya hai mujhe,
Ye qaid bhi hai bashaarat bhi hai rihaai ki..

Qareeb aa na saki koi be-wazu khwahish,
Badan-saraaye mein khushbu thi parsaai ki..

Mata-e-dard hai dil mein to aankh mein aansu,
Na raushni ki kami hai na raushnaai ki..

Ab apne aap ko qatra bhi kah nahin sakta,
Bura kiya jo samandar se aashnaai ki..

Use bhi shah ne musahib bana liya apna,
Jis aadmi se tawaqqo thi lab-kushaai ki..

Wahi to markazi kirdaar hai kahani ka,
Usi pe khatm hai taseer bewafaai ki.!!

"Iqbal Ashhar"
__________

Be-nawaai = voicelessness,
Taskheer = subduing, captivating, subjugation,
Bashaarat = good news, glad tidings, revelation,
Badan-saraaye = inn of body,
Raushnaai = ink, light, splendour,
Musahib = companion, comrade, friend, associate,
Lab-kushaai = lip-opening,
Markazi = central,

Kabhi Kasak Judaai Ki Kabhi Mahak Wisaal Ki

Kabhi kasak judaai ki kabhi mahak wisaal ki,
Qadam na the zameen pe jab wo umr thi kamaal ki..

Kayi dino'n se fikr ka ufuq udaas udaas hai,
Na jaane kho gayi kahaan dhanak tere khyaal ki..

Rafaqaton ke wo nishaan na jaane kho gaye kahaan,
Wo khushbuon ki rahguzar wo ratjagon ki paalki..

Kisi ko kho ke pa liya kisi ko pa ke kho diya,
Na intiha khushi ki hai na intiha malaal ki..

Wo raushni ka khwab tha magar wahi saraab tha,
Urooj mein chhupi hui thi ibtida zawaal ki.!!

"Iqbal Ashhar"

Dayaar-e-dil Mein Naya Naya Sa Charagh Koi Jala Raha Hai

Dayaar-e-dil mein naya naya sa charagh koi jala raha hai,

Main jis ki dastak ka muntazir tha mujhe wo lamha bula raha hai...

Phir adh-khula sa koi dareecha mere tasawwur pe chha raha hai,

Ye khoya khoya sa chaand jaise teri kahani suna raha hai...

Wo raushni ki talab mein gum hai main khushbuon ki talaash mein hun,

Main daayeron se nikal raha hun wo daayeron mein sama raha hai...

Wo kam-sini ki shafeeq yaadein gulaab ban kar mahak uthi hain,

Udaas shab ki khamoshiyon mein ye kaun lori suna raha hai...

Suno samandar ki shokh lahro hawaaen thehri hain tum bhi thehro,

Wo door saahil pe ek bachcha abhi gharaunde bana raha hai.!!

"Iqbal Ashhar"

Bheegi Bheegi Palkon Par Ye Jo Ek Sitara Hai

Bheegi bheegi palkon par ye jo ek sitara hai,
Chahaton ke mausam ka aakhiri shumara hai..

Amn ke parindon ki sarhadein nahin hotin,
Hum jahaan thehar jaayein wo watan humara hai..

Saham dastakein degi tab samajh mein aayega,
Zindagi talatum hai maut ek sahaara hai.. 

Kya ajab paheli hai zindagi ka mela bhi,
Pahle khud ko dhundha hai phir tujhe pukara hai..

Aarzu hai suraj ko aaina dikhane ki,
Raushni ki sohbat mein ek din guzara hai.!!

"Iqbal Ashhar"

Badan Mein Awwalin Ahsaas Hai Takaanon Ka

Badan mein awwalin ahsaas hai takaano'n ka,
Rafeeq chhoot gaya hai kahin udaano'n ka..

Hisaar-e-khwab mein aanhkein panaah leti hui,
Ajab khumaar sa mahaul mein azaano'n ka..

Charagh-e-subah si bujhne lagin meri aanhkein,
Jab intishaar na dekha gaya gharaano'n ka..

Amaan kahte hain jis ko bas ek tasawwur hai,
Ke yoon thehar sa gaya waqt imtihano'n ka..

Jo us ke honthon ki jumbish mein qaid tha 'Ashhar',
Wo ek lafz bana bojh mere shaano'n ka.!!

"Iqbal Ashhar"

Wednesday, May 2, 2018

Pyaas Dariya Ki Nigaahon Se Chhupa Rakkhi Hai

Pyaas dariya ki nigaahon se chhupa rakkhi hai,
Ek baadal se badi aas laga rakkhi hai..

Teri aankhon ki kashish kaise tujhe samjhaun,
In charaghon ne meri neend uda rakkhi hai..

Kyun na aa jaaye mahakne ka hunar lafzon ko,
Teri chitthi jo kitaabon mein chhupa rakkhi hai..

Teri baaton ko chhupana nahin aata mujh se,
Tu ne khushbu mere lahje mein basa rakkhi hai..

Khud ko tanha na samajh lena naye deewanon,
Khaak sahraon ki hum ne bhi uda rakkhi hai..!!

"Iqbal Ashhar"

Thehri Thehri Si Tabiyat Mein Rawaani Aai

Thehri thehri si tabiyat mein rawaani aai,
Aaj phir yaad mohabbat ki kahaani aai,

Aaj phir neend ko aankhon se bichhadte dekha,
Aaj phir yaad koi chot puraani aai,

Muddaton baad chala un pe humara jaadu,
Muddaton baad humein baat banaani aai,

Muddaton baad pashemaan hua dariya hum se,
Muddaton baad humein pyaas chhupani aai,

Muddaton baad khuli wus'at-e-sahra hum par,
Muddaton baad humein khaak udaani aai,

Muddaton baad mayassar hua ma ka aanchal,
Muddaton baad humein neend suhaani aai,

Itni aasani se milti nahin fan ki daulat
Dhhal gayi umr to ghazlon pe jawaani aai..!!

"Iqbal Ashhar"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...