Showing posts with label Nasir Kazmi. Show all posts
Showing posts with label Nasir Kazmi. Show all posts

Monday, March 26, 2018

Aaj To Be-sabab Udaas Hai Ji

Aaj to be-sabab udaas hai ji,
Ishq hota to koi baat bhi thi,

Jalta phirta hun main dopahron mein,
Jaane kya cheez kho gayi meri,

Wahin phirta hun main bhi khaak-basar,
Is bhare shahar mein hai ek gali,

Chhupta phirta hai ishq duniya se,
Phailti ja rahi hai ruswaai,

Hum-nasheen kya kahun ke wo kya hai,
Chhod ye baat neend udne lagi,

Aaj to wo bhi kuchh khamosh sa tha,
Main ne bhi us se koi baat na ki,

Ek dam us ke honth choom liye,
Ye mujhe baithe baithe kya soojhi,

Ek dam us ka haath chhod diya,
Jaane kya baat darmiyaan aayi,

Tu jo itna udas hai 'Nasir',
Tujhe kya ho gaya bata to sahi..!!

"Nasir Kazmi"

Sunday, December 10, 2017

Ye Bhi Kya Shaam-e-mulaaqaat Aayi

Ye bhi kya shaam-e-mulaaqaat aayi,
Lab pe mushkil se teri baat aayi..

Subh se chup hain tere hijr-naseeb,
Haaye kya hoga agar raat aayi..

Bastiyaan chhod ke barse baadal,
Kis qayaamat ki ye barsaat aayi..

Koi jab mil ke hua tha rukhsat,
Dil-e betaab wahi raat aayi..

Saaya-e-zulf-e-butaa'n mein 'nasir',
Ek se ek nayi raat aayi. !!

"Nasir Kazmi"

Tuesday, June 6, 2017

Dard Kam Hone Laga Aao Ke Kuch Raat Kate

Dard Kam Hone Laga Aao Ke Kuch Raat Kate, 

Ghum Ki Me'aar Badha Jaao Ke Kuch Raat Kate, 

Hijr Mein Aah-o-baka Rasm-e-kehen Hai Lekin, 

Aaj Ye Rasm Hi Dohraao Ke Kuch Raat Kate, 

Yoon To Tum Raushni-e-Qalb-o-Nazar Ho Lekin, 

Aaj Wo Mo'ajaza Dikhlaao Ke Kuch Raat Kate, 

Dil Dukhaata Hai Wo Mil Kar Bhi Magar Aaj Ki Raat, 

Usi Be-Dard Ko Le Aao Ke Kuch Raat Kate, 

Dum Ghuta Jaata Hai Afsurda-Dili Se Yaaro, 

Koi Afwaah Hi Phailaao Ke Kuch Raat Kate, 

Main Bhi Bekaar Hoon Aur Tum Bhi Ho Veeraan Bahut, 

Dosto'n Aaj Na Ghar Jaao Ke Kuch Raat Kate, 

Chhod Aaye Ho Sar-e-Shaam Usey Kyun Naasir",

Usey Phir Ghar Se Bula Laao Ke Kuch Raat Kate..!! 


"Nasir Kazmi"



درد کـــم ہونے لگا    آؤ کہ کــــــــچھ رات کٹے
غم کی معیاد بڑھا جاؤ کہ کــــــچھ رات کٹے

ہجــــــــر میں آہ و بکا رســـمِ کہـــــــن ہے لیکن
آج یہ رســـــم ہی دہـراؤ کہ کـــــــچھ رات کٹے

یوں توتم روشنئ قلب و نظـــــــر ہو لیــــــکن
آج وہ معجزہ دکـــــھلاؤ کہ کــــــچھ رات کٹے

دل دکھاتا ہے وہ مل کر بھی مگــر آج کی رات
اُسی بے درد کـــــو لے آؤ کہ کـــــــچھ رات کٹے

دم گــــھٹا جاتا ہے ہے افســــــردہ دلی سے یارو
کوئی افـــــٖواہ ہی پھیلاؤ کہ کــــــچھ رات کٹے

میں بھی بیکار ہوں اور تم بھی ہو ویــران بہت
دوستو آج نہ گـــــھر جــاؤ کہ کـــــچھ رات کٹے

چھوڑ آئے ہو سرشــــــام اُسے کـــیوں ناصــــــــر
اُسے پھــر گـــھر سے بلا لاؤ کہ کـــــچھ رات کٹے...



ناصرکاظمی

Saturday, June 3, 2017

Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai

Musalssal bekali dil ko rahi hai,
Magar jeenay ki surat to rahi hai,

Main kyun phirta hoon tanha maara maara,
Yeh bassti chain se kyun so rahi hai,

Chale dil se umeedon ke musafir,
Yeh nagri aaj khaali ho rahi hai,

Na samjho tum isay shor-e-bahaaran,
Khizaan paton main chup kar ro rahi hai,

Hamare ghar ki deewaron pe 'Nasir',
Udaasi baal kholay so rahi hai..!!

"Nasir Kazmi"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...