Wednesday, June 27, 2018

Har Tarah Ke Jazbaat Ka Elaan Hain Aankhein

Har tarah ke jazbaat ka elaan hain aankhein,
Shabnam kabhi shoala kabhi tufaan hain aankhein..

Aankhon se badi koi taraazu nahin hoti,
Tulta hai bashar jis mein wo mizaan hain aankhein..

Aankhein hi milati hain zamane mein dilo'n ko,
Anjaan hain hum tum agar anjaan hain aankhein..

Lab kuchh bhi kahein is se haqeeqat nahin khulti,
Insaan ke sach jhoot ki pahchaan hain aankhein..

Aankhein na jhukin teri kisi ghair ke aage,
Duniya mein badi cheez meri jaan! hain aankhein.!!

"Sahir Ludhianwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...