Posts

Showing posts from October, 2019

Ab To Main Chhod Chuka Kooza-gari Warna

Image
Ab To Main Chhod Chuka Kooza-gari Warna,  Tere Jaise To Mein Mitti Ke Bana Leta Tha!  अब तो में छोड़ चुका कूज़ा-गरी वरना,  तेरे जैसे तो में मिट्टी के बना लेता था।  اب تو میں چھوڑ چکا کوزہ گری ورنہ ۔۔۔۔ تیرے جیسے تو میں مٹی کے بنا لیتا تھا۔۔۔

Hum Ne Aankhon Mein Us Ki Surat Ko

Hum Ne Aankhon Mein Us Ki Surat Ko,  Aise Rakkha Hai Jaise beenaai.!  ھم نے آنکھوں میں  اسکی صورت کو ایسے رکھا ہے۔۔ جیسے۔۔۔۔بینائی

Jaise Daaman Se Koi Khaak Jhatak Deta Hai

Jaise Daaman Se Koi Khaak Jhatak Deta Hai,  Us Need Yun Tod Diya Rabt Shanasaai Ka.!

Kaleja Munh Ko Aata Hai Shab-e-furqat Jab Aati Hai

Kaleja munh ko aata hai shab-e-furqat jab aati hai,  Akele munh lapete rote rote jaan jaati hai..  Lab-e-naazuk ke bose lun to missi munh banati hai,  Kaf-e-pa ko agar choomun to mehndi rang laati hai..  Dikhati hai kabhi bhaala kabhi barchhi lagaati hai,  Nigah-e-naaz-e-jaanaan hum ko kya kya aazmati hai..  Wo bikhraane lage zulfon ko chehre par to main samjha,  Ghata mein chaand ya mahmil mein laila munh chhupati hai..  Karegi apne haathon aaj apna khoon mashshata,  Bahut rach-rach ke talwon mein tere mehndi lagaati hai..  Na koi zor us ayyaar par ab tak chala apna,  Yahaan dam toot ta hai aur dam mein jaan jaati hai..  Tadapna tilmilana lotna sar peetna rona,  Shab-e-furqat akeli jaan par sau aafat aati hai..  Pachhadein kha raha hun lotta hun dard-e-furqat se,  Ajal ke paanw tootein kyun nahin is waqt aati hai.!  "Aasi Ghazipuri"  ______________________________  Kaf-e-pa= sole of the foot,  Mahmil= a litter carried on a camel ऊँट पर बाँधने का कजावा स्त्रियाँ बैठती हैं,  M

Koi Ummeed Bar Nahin Aati

Koi ummeed bar nahin aati, Koi surat nazar nahin aati.. Maut ka ek din muayyan hai, Neend kyun raat bhar nahin aati.. Aage aati thi haal-e-dil pe hansi, Ab kisi baat par nahin aati.. Jaanta hun sawaab-e-ta'at-o-zohd,  Par tabiyat idhar nahin aati..  Hai kuchh aisi hi baat jo chup hun,  Warna kya baat kar nahin aati..  Kyun na cheekhun ke yaad karte hain,  Meri aawaaz gar nahin aati..  Dagh-e-dil gar nazar nahin aata,  Bu bhi ai chaaragar nahin aati..  Hum wahaan hain jahaan se hum ko bhi,  Kuchh hamari khabar nahin aati..  Marte hain aarzu mein marne ki,  Maut aati hai par nahin aati..  Ka'aba kis munh se jaoge "Ghalib"  Sharm tum ko magar nahin aati.!!  "Mirza Ghalib"  ______________________________ Muayyan= helper, one of the names (based on the qualities) of God,  Sawaab-e-ta'at-o-zohd= blessings by obeisance and devout,  Chaaragar= one who cures,  ______________________________ कोई उम्मीद बर नह