* Nazm *
__________
Mera junoon-e-wafa hai zawaal-aamada,
Shikast ho gaya tera fusoon-e-zebaai..
Un aarzuon pe chhaai hai gard-e-mayoosi,
Jinhon ne tere tabassum mein parwarish paai..
Fareb-e-shauq ke rangeen tilism toot gaye,
Haqeeqaton ne hawadis se phir jila paai..
Sukoon-o-khwab ke parde sarakte jaate hain,
Dimagh-o-dil mein hain wahshat ki kaar-farmaai..
Wo taare jin mein mohabbat ka nur taabaa'n tha,
Wo taare doob gaye le ke rang-o-raanaai
Sula gayi thin jinhein teri multafit nazrein,
Wo dard jaag uthe phir se le ke angdaai..
Ajeeb aalam-e-afsurdagi hai ru-ba-farogh,
Na jab nazar ko taqaza na dil tamannaai..
Teri nazar tere gesu teri jabeen tere lab,
Meri udaas-tabiyat hai sab se uktaai..
Main zindagi ke haqaaiq se bhaag aaya tha,
Ke mujh ko khud mein chhupaye teri fusoon-zaai
Magar yahaan bhi ta'aqub kiya haqaaiq ne,
Yahaan bhi mil na saki jannat-e-shakebaai..
Har ek haath mein le kar hazaar aaine,
Hayat band dareechon se bhi guzar aai..
Mere har ek taraf ek shor gunj utha,
Aur us mein doob gayi ishrato'n ki shahnaai..
Kahaan talak kare chhup-chhup ke naghma-pairaai..
Wo dekh saamne ke pur-shikoh aiwaan se,
Kisi kiraye ki ladki ki cheekh takraai..
Wo phir samaaj ne do pyaar karne waalon ko,
Saza ke taur par bakhshi taweel tanhaai..
Phir ek teera-o-tareek jhonpadi ke tale,
Sisakte bachche pe bewa ki aankh bhar aai..
Wo phir biki kisi majboor ki jawaan beti,
Wo phir jhuka kisi dar par ghuroor-e-barnaai..
Wo phir kisaano'n ke majme pe gun-mashinon se,
Huqooq-yaafta tabqe ne aag barsaai..
Sukoot-e-halqa-e-zindaan se ek gunj uthi,
Aur is ke saath mere saathiyon ki yaad aai..
Nahin nahin mujhe yoon multafit nazar se na dekh,
Nahin nahin mujhe ab taab-e-naghma-pairaai..
Mera junoon-e-wafa hai zawaal-aamada,
Shikast ho gaya tera fusoon-e-zebaai.!!
"Sahir Ludhianwi"
__________
Fusoon-e-zebaai = magic of embellishment, adornment,
Jila = shining,
Kaar-farmaai = doing,
Taabaa'n = resplendent, shining, glittering,
Multafit = having regard, attracted to,
Ru-ba-farogh = disposed towards growth,
Fusoon-zaai = spellbinding,
Jannat-e-shakebaai = heaven of patience/tolerance,
Naghma-pairaai = singing,
Pur-shikoh = full of majesty/splendour,
Aiwaan = palace,
Teera-o-tareek = obscure and dark,
Ghuroor-e-barnaai = pride of youth,
Huqooq-yaafta = recipients of rights,
Sukoot-e-halqa-e-zindaan = quietness in the periphery of prison,
No comments:
Post a Comment