Posts

Showing posts from July, 2018

Us Ki Hasrat Hai Jise Dil Se Mita Bhi Na Sakun

Us ki hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun.. Dhundhne us ko chala hun jise pa bhi na sakun.! Daal ke khaak mere khoon pe qaatil ne kaha.. Kuchh ye mehndi nahin meri ke chhupa bhi na sakun.! Zabt kam-bakht ne yaan aa ke gala ghonta hai.. Ke use haal sunaaun to suna bhi na sakun.! Naqsh-e-pa dekh to loon laakh karunga sajde.. Sar mera arsh nahin hai jo jhuka bhi na sakun.! Bewafa likhte hain wo apne qalam se mujh ko.. Ye wo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakun.! Is tarah soye hain sar rakh ke mere zaanu par.. Apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakun.!! "Ameer Minaai" ____________________ اس کی حسرت ہے جسے دل سے مٹا بھی نہ سکوں ڈھونڈنے اس کو چلا ہوں جسے پا بھی نہ سکوں.. ڈال کے خاک میرے خون پہ قاتل نے کہا کچھ یہ مہندی نہیں میری کہ چھپا بھی نہ سکوں.. ضبط کمبخت نے یاں آ کے گلا گھونٹا ہے کہ اسے حال سناؤں تو سنا بھی نہ سکوں.. نقش پا دیکھ تو لوں لاکھ کروں گا سجدے سر مرا عرش نہیں ہے جو جھکا بھی نہ سکوں.. بے وفا لکھتے ہیں وہ اپنے قلم سے مجھ کو یہ وہ قسمت ک

Teer Par Teer Lagao Tumhein Darr Kis Ka Hai

Teer par teer lagao tumhein darr kis ka hai.. Seena kis ka hai meri jaan jigar kis ka hai.! Khauf-e-mizaan-e-qayamat nahin mujh ko ai dost.. Tu agar hai mere palle mein to darr kis ka hai.! Koi aata hai adam se to koi jaata hai.. Sakht dono'n mein khuda jaane safar kis ka hai.! Chhup raha hai qafas-e-tan mein jo har taair-e-dil.. Aankh khole hue shaheen-e-nazar kis ka hai.! Naam-e-shaair na sahi sheyr ka mazmoon ho khoob.. Phal se matlab humein kya kaam shajar kis ka hai.! Said karne se jo hai taair-e-dil ke munkir.. Ai kamaan-daar tere teer mein par kis ka hai.! Meri hairat ka shab-e-wasl ye baais hai 'Ameer'.. Sar ba-zaanu hun ke zaanu pe ye sar kis ka hai.!! "Ameer Minaai" _______________ Khauf-e-mizaan-e-qayamat = fear of the scale on doomsday, Adam = nonexistence, negation, nothing, life after death, Shaheen-e-nazar = hawk eyed, Said = game, prey, quarry, hunting, ____________________ تیر پر تیر لگاؤ تمہیں ڈر کس کا ہے سینہ کس کا ہے مری ج

Sarakti Jaaye Hai Rukh Se Naqaab Aahista Aahista

Sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahista aahista.. Nikalta aa raha hai aaftab aahista aahista.! Jawaan hone lage jab wo to hum se kar liya parda.. Haya yak-lakht aai aur shabaab aahista aahista.! Shab-e-furqat ka jaaga hun farishto ab to sone do.. Kabhi fursat mein kar lena hisaab aahista aahista.! Sawaal-e-wasl par un ko adu ka khauf hai itna.. Dabe honthon se dete hain jawaab aahista aahista.! Wo bedardi se sar kaatein 'Ameer' aur main kahun un se.. Huzoor aahista aahista janaab aahista aahista.!! "Ameer Minaai" _______________ Yak-lakht = all at once, suddenly, altogether entirely, wholly, ____________________ سرکتی جائے ہے رخ سے نقاب آہستہ آہستہ نکلتا آ رہا ہے آفتاب آہستہ آہستہ..  جواں ہونے لگے جب وہ تو ہم سے کر لیا پردہ حیا یک لخت آئی اور شباب آہستہ آہستہ..  شب فرقت کا جاگا ہوں فرشتو اب تو سونے دو کبھی فرصت میں کر لینا حساب آہستہ آہستہ.. سوال وصل پر ان کو عدو کا خوف ہے اتنا دبے ہونٹوں سے دیتے ہیں جواب آہستہ آہستہ.. وہ بے دردی سے سر کاٹیں امی

Saaf Kahte Ho Magar Kuchh Nahin Khulta Kahna

Saaf kahte ho magar kuchh nahin khulta kahna, Baat kahna bhi tumhaara hai muamma kahna.! Ro ke us shokh se qaasid mera rona kahna, Hans pade us pe to phir harf-e-tamanna kahna.! Masal-e-maktoob na kahne mein hai kya kya kahna, Na meri tarz-e-khamoshi na kisi ka kahna.! Aur thodi si shab-e-wasl badha de ya rab, Subah nazdeek humein un se hai kya kya kahna.! Phaad khaata hai jo ghairon ko jhapat kar sag-e-yaar, Main ye kahta hun mere sher tera kya kahna.! Har bun-e-mu-e-mizha mein hain yahaan sau tufaan, Ain ghaflat hai mari aankh ko dariya kahna.! Wasf-e-rukh mein jo sune sheyr wo hans kar bole, Sheyr hain noor ke, hai noor ka tera kahna.! La sakoge na zara jalwa-e-deedar ki taab, Arini munh se na ai hazrat-e-musa kahna.!  Kar liya ahd kabhi kuchh na kahenge munh se, Ab agar sach bhi kahein tum humein jhoota kahna.! Khaak mein zid se milao na mere aansu ko, Sachche moti ko munasib nahin jhootha kahna.! Kaise nadaan hain jo achchhon ko bura kahte hain, Ho bura bhi to

Kaha Jo Main Ne Ke Yusuf Ko Ye Hijaab Na Tha

Kaha jo main ne ke yusuf ko ye hijaab na tha, To hans ke bole wo munh qaabil-e-naqaab na tha.. Shab-e-wisaal bhi wo shokh be-hijaab na tha, Naqaab ulat ke bhi dekha to be-naqaab na tha.. Lipat ke choom liya munh mita diya un ka, Nahin ka un ke siwa is ke kuchh jawaab na tha.. Mere janaze pe ab aate sharm aati hai, Halaal karne ko baithe the jab hijaab na tha.. Naseeb jaag uthe so gaye jo paanw mere, Tumhaare kooche se behtar maqaam-e-khwab na tha.. Fhazab kiya ke ise tu ne mohtasib toda, Are ye dil tha mera shisha-e-sharaab na tha.. Zamana wasl mein leta hai karwatein kya kya, Firaaq-e-yaar ke din ek inqalaab na tha.. Tumhin ne qatl kiya hai mujhe jo tante ho,  Akele the malak-ul-maut hum-rikaab na tha.. Dua-e-tauba bhi hum ne padhi to may pi kar, Maza hi hum ko kisi shay ka be-sharaab na tha.. Main ru-e-yaar ka mushtaaq ho ke aaya tha, Tere jamaal ka shaida to ai naqaab na tha.. Bayaan ki jo shab-e-ghum ki bekasi to kaha, Jigar mein dard na tha dil mein iztiraab n

Jab Se Bulbul Tu Ne Do Tinke Liye

Jab se bulbul tu ne do tinke liye, Toot ti hain bijliyaan in ke liye.. Hai jawaani khud jawaani ka singaar, Saadgi gahna hai is sin ke liye.. Kaun veerane mein dekhega bahaar, Phool jangal mein khile kin ke liye.. Saari duniya ke hain wo mere siwa, Main ne duniya chhod di jin ke liye.. Baghbaan kaliyaan hon halke rang ki, Bhejni hai ek kam-sin ke liye.. Sab haseen hain zaahidon ko na-pasand, Ab koi hoor aayegi in ke liye.. Wasl ka din aur itna mukhtasar, Din gine jaate the is din ke liye.. Subah ka sona jo haath aata 'Ameer'.. Bhejte tohfa moazzin ke liye.!! "Ameer Minaai" _______________ Sin = age, ____________________ جب سے بلبل تو نے دو تنکے لیے ٹوٹتی ہیں بجلیاں ان کے لیے.. ہے جوانی خود جوانی کا سنگار سادگی گہنہ ہے اس سن کے لیے.. کون ویرانے میں دیکھے گا بہار پھول جنگل میں کھلے کن کے لیے.. ساری دنیا کے ہیں وہ میرے سوا میں نے دنیا چھوڑ دی جن کے لیے.. باغباں کلیاں ہوں ہلکے رنگ کی بھیجنی ہے ایک کمسن کے لیے.. سب حسیں ہیں زاہدوں کو ناپسند ا

Hatao Aaina Ummid-waar Hum Bhi Hain

Hatao aaina ummid-waar hum bhi hain.. Tumhaare dekhne waalon mein yaar hum bhi hain.! Tadap ke rooh ye kahti hai hijr-e-jaanaa mein.. Ke tere saath dil-e-be-qaarar hum bhi hain.! Rahe dimaagh agar aasman pe, door nahin.. Ke tere kooche mein mast-e-ghubaar hum bhi hain.! Kaho ke nakhl-e-chaman hum se sar-kashi na karein.. Unhin ki tarah se baagh-o-bahaar hum bhi hain.! Humare aage zara ho samajh ke zamzama-sanj.. Ke ek naghma-sara ai hazaar hum bhi hain.! Kahaan tak aaine mein dekh-bhaal idhar dekho.. Ke ek nigaah ke ummid-waar hum bhi hain.! Sharaab munh se lagate nahin hain ai zaahid.. Firaaq-e-yaar mein parhez-gaar hum bhi hain.! Humara naam bhi likh lo jo hai qalam jaari.. Qadeem aap ke khidmat-guzaar hum bhi hain.! Huma hain gird meri haddiyon ke aath pahar.. Sag aa ke kahte hain ummid-waar hum bhi hain.! Jo ladkhada ke gire tu qadam pe saaqi ke.. 'Ameer' mast nahin hoshiyaar hum bhi hain.!! "Ameer Minaai" _______________ Nakhl-e-chaman = tre

Hans Ke Farmaate Hain Wo Dekh Ke Haalat Meri

Hans ke farmaate hain wo dekh ke haalat meri.. Kyun tum aasan samajhte the mohabbat meri.! Baad marne ke bhi chhodi na rifaqat meri.. Meri turbat se lagi baithi hai hasrat meri.! Main ne aaghosh-e-tasawwur mein bhi khencha to kaha.. Pis gayi pis gayi be-dard nazakat meri.! Aaina subah-e-shab-e-wasl jo dekha to kaha.. Dekh zaalim ye thi shaam ko surat meri.! Yar pahlu mein hai tanhaai hai kah do nikle.. Aaj kyun dil mein chhupi baithi hai hasrat meri.! Husn aur ishq hum-aaghosh nazar aa jaate.. Teri tasveer mein khinch jaati jo hairat meri.! Kis dhhitaai se wo dil chheen ke kahte hain 'Ameer'.. Wo mera ghar hai rahe jis mein mohabbat meri.!! "Ameer Minaai" ____________________ ہنس کے فرماتے ہیں وہ دیکھ کے حالت میری کیوں تم آسان سمجھتے تھے محبت میری..  بعد مرنے کے بھی چھوڑی نہ رفاقت میری میری تربت سے لگی بیٹھی ہے حسرت میری.. میں نے آغوش تصور میں بھی کھینچا تو کہا پس گئی پس گئی بے درد نزاکت میری.. آئینہ صبح شب وصل جو دیکھا تو کہا دیکھ ظالم یہ تھی ش

Hum-sar-e-zulf Qad-e-hoor-e-shamaail Thehra

Hum-sar-e-zulf qad-e-hoor-e-shamaail thehra.. Laam ka khoob alif madd-e-muqabil thehra.! Deeda-e-tar se jo daaman mein gira dil thehra.. Bahte bahte ye safeena lab-e-saahil thehra.! Ki nazar ru-e-kitaabi pe to kuchh dil thehra.. Maktab-e-shauq bhi quraan ki manzil thehra.! Nighat-e-gul se pareshan hua us ka dimaagh.. Khanda-e-gul na hua shor-e-anadil thehra.!  Najd se qais jo aaya mare zindaan ki taraf.. Der tak gosh-bar-aawaaz-e-salasil thehra.!  Husn jis tifl ka chamka wo hua baais-e-qatl.. Jis ne talwaar sambhaali mera qaatil thehra.! Khat jo nikla rukh-e-jaanaa pe mila bosa-e-khaal.. Yahi daana faqat is kisht ka haasil thehra.! Alam ek nuqta jo mashhoor tha ai josh-e-junoon.. Ghaur se ki jo nazar nuqta-e-baatil thehra.!  Door jab tak the tadapta tha mein kaisa kaisa.. Paas aa kar wo jo thehre to mera dil thehra.! Kasrat-e-daagh se gul-dasta bana dil to kya.. Zeenat-e-baagh na aaraish-e-mahfil thehra.! Daudta qais bhi aata hai nihayat hi qareeb.. Ek zara naaqe k

Firaaq-e-yaar Ne Bechain Mujh Ko Raat Bhar Rakkha

Firaaq-e-yaar ne bechain mujh ko raat bhar rakkha.. Kabhi takiya idhar rakkha kabhi takiya idhar rakkha, Shikast-e-dil ka baaqi hum ne ghurbat mein asar rakha.. Likha ahl-e-watan ko khat to ek gosha katar rakkha, Barabar aaine ke bhi na samjhe qadr wo dil ki.. Ise zer-e-qadam rakkha use pesh-e-nazar rakkha, Mitaye deeda-o-dil donon mere ashk-e-khooni ne.. Ajab ye tifl abtar tha na ghar rakkha na dar rakkha, Tumhaare sang-e-dar ka ek tukda bhi jo haath aaya.. Azeez aisa kiya mar kar use chhaati pe dhar rakkha, Jinaa'n mein saath apne kyun na le jaaunga naseh ko.. Sulook aisa hi mere saath hai hazrat ne kar rakkha, Na ki kis ne sifarish meri waqt-e-qatl qaatil se.. Kamaan ne haath jode tegh ne qadmon pe sar rakkha, Ghazab barse wo mere aate hi maloom hota hai.. Jagah khaali jo paai yaar ko ghairon ne bhar rakkha, Bada ahsaan hai mere sar pe us ki laghzish-e-pa ka.. Ke is ne be-tahasha haath mere dosh par rakkha, Zameen mein daana-e-gandum sadaf mein hum hue gauhar..

Achchhe Isa Ho Mareezon Ka Khyaal Achchha Hai

Achchhe isa ho mareezon ka khyaal achchha hai.. Hum mare jaate hain tum kahte ho haal achchha hai.! Tujh se maangun main tujhi ko ke sabhi kuchh mil jaaye.. Sau sawaalon se yahi ek sawaal achchha hai.! Dekh le bulbul o parwana ki betaabi ko.. Hijr achchha na haseenon ka wisaal achchha hai.! Aa gaya us ka tasawwur to pukara ye shauq.. Dil mein jam jaaye ilaahi ye khyaal achchha hai.! Aankhein dikhlaate ho joban to dikhao saahab.. Wo alag baandh ke rakkha hai jo maal achchha hai.! Barq agar garmi-e-raftaar mein achchhi hai 'Ameer'.. Garmi-e-husn mein wo barq-jamaal achchha hai.!! "Ameer Minaai"

Ai Zabt Dekh Ishq Ki Un Ko Khabar Na Ho

Ai zabt dekh ishq ki un ko khabar na ho.. Dil mein hazaar dard uthe aankh tar na ho.! Muddat mein shaam-e-wasl hui hai mujhe naseeb.. Do-chaar saal tak to ilaahi sahar na ho.! Ek phool hai gulaab ka aaj un ke haath mein.. Dhadka mujhe ye hai ke kisi ka jigar na ho.! Dhundhe se bhi na maani-e-bareek jab mila.. Dhokha hua ye mujh ko ke us ki kamar na ho.! Ulfat ki kya ummid wo aisa hai bewafa.. Sohbat hazaar saal rahe kuchh asar na ho.! Tool-e-shab-e-wisaal ho misl-e-shab-e-firaaq.. Nikle na aaftab ilaahi sahar na ho.!! "Ameer Minaai"

Ek Baar Us Ne Mujh Ko Dekha Tha Muskura Kar

Ek Baar Us Ne Mujh Ko Dekha Tha Muskura Kar.. Itni To Hai Haqeeqat, Baaqi Kahaniyan Hain.! 

Hua Jab Saamna Us Khoob-ru Se

Hua jab saamna us khoob-ru se, Uda hai rang gul ka pahle bu se..  Ye aankhein tar jo rahti hain lahu se, Wo guzre ishq ke din aabru se.. Ise kahiye shahadat-naama-e-ishq, Use likkha hai khat apne lahu se.. Dhuan ban kar udi missi ki rangat, Ye kis ne jal ke tere honth choose.. Raqeebon ko tamanna hai to baashad, Tumhein matlab paraai aarzu se.. Wo gul-takiya mere marqad mein rakhna, Moattar ho jo zulf-e-mushk-bu se.. Nayi zid hai ke dil hum muft lenge, Bhala kya fayeda is guftugu se.. Adu bhi tum ko chaahe ai teri shaan, Ladaate hain hum apni aarzu se.. Hua hai tu to shahid-baaz ai dil, Bachaaun tujh ko kis kis khoob-ru se.. Laga rakkhi hai khaak us rahguzar ki, Tayammum apna badh kar hai wuzu se.. Humara dil use ab dhundhta hai, Thake hain paanw jis ki justuju se.. Khuda jaane chhalawa tha ke bijli, Abhi nikla hai koi ru-ba-ru se.. Hua hai 'Dagh' aasif ka namak-khwar, Guzar jaaye ilaahi aabru se.!! "Dagh Dehlvi" _______________ Shahadat-na

Hosh Aate Hi Haseenon Ko Qayamat Aai

Hosh aate hi haseenon ko qayamat aai, Aankh mein fitna-gari dil mein shararat aai.. Kya tasawwur hai nihayat mujhe hairat aai, Aaine mein bhi nazar teri hi surat aai.. Is ada se dam-e-raftaar qayamat aai, Aise hum kyun na hue un ko ye hasrat aai.. Roz-e-mahshar jo meri daad ki naubat aai, Ye gayi wo gayi kab haath qayamat aai.. Ab isi par to hai takeed wafadaari ki, Jab gaya jaan se main ghair ki shaamat aai.. Kah gaye taan se wo aa ke mere marqad par, Sone waale tujhe kis tarah se raahat aai.. Ban sanwar kar jo wo aaye to ye main jaan gaya, Ab gayi jaan gayi aai tabiyat aai.. Rakh diya munh pe mere haath shab-e-wasl us ne, Be-hijaabi ke liye kaam shikayat aai.. Jab ye khaata hai mera khoon-e-jigar khaata hai, Dil-e-beemar ko kis cheez pe raghbat aai.. Garche az-had hun gunahgaar musalman to hun, Peechhe peechhe mere dozakh mein bhi jannat aai.. Main hua shefta un par wo adu par shaida, Saath ke saath hi donon ki tabiyat aai.. Umr bhar us ko kaleje se lagaye rakha

Haath Nikle Apne Donon Kaam Ke

Haath nikle apne donon kaam ke.. Dil ko thaama un ka daaman thaam ke.! Ghoont pi kar baada-e-gulfaam ke.. Bose le leta hun khaali jaam ke.! Raat din phirta hai kyun ai charkh-e-peer.. Tere din hain raahat o aaram ke.! Is nazakat ka bura ho bazm se.. Uthte hain wo dast-e-dushman thaam ke.!  Chashm-e-mast-e-yaar ki ek dhoom hai.. Aaj kal hain daur daur-e-jaam ke.! Ya jigar mein ya rahega dil mein teer.. Ye hi do goshe to hain aaram ke.! Wo karein uzr-e-wafa achchhi kahi.. Mujh pe radde rakhte hain ilzaam ke.! Jab qadam kaabe se rakkha su-e-dair.. Taar uljhe jaama-e-ehraam ke.! Khush hain wo daur-e-falak se aaj kal.. Din phire hain gardish-e-ayyaam ke.! Aa gaya hai bhool kar khat is taraf.. Wo to aashiq hain mere hum-naam ke.! Haath se sayyaad ke gir kar chhuri.. Kat gaye halqe humare daam ke.! Qaasidon ke muntazir rahne lage.. Pad gaye un ko maze paighaam ke.! Kya kisi dargaah mein jaana hai aaj.. Subah se samaan hain hammaam ke.! Poochhte hain hazrat-e-zaahid s

Ghazab Kiya Tere Waade Pe Aitibaar Kiya

Ghazab kiya tere waade pe aitibaar kiya, Tamaam raat qayamat ka intizaar kiya.. Kisi tarah jo na us but ne aitibaar kiya, Meri wafa ne mujhe khoob sharmsaar kiya.. Hansa hansa ke shab-e-wasl ashk-baar kiya, Tasalliyan mujhe de de ke be-qaraar kiya.. Ye kis ne jalwa humare sar-e-mazaar kiya, Ke dil se shor utha haye be-qaraar kiya.. Suna hai tegh ko qaatil ne aab-daar kiya, Agar ye sach hai to be-shubah hum pe waar kiya.. Na aaye raah pe wo ijz be-shumaar kiya, Shab-e-wisaal bhi main ne to intizaar kiya.. Tujhe to waada-e-deedar hum se karna tha, Ye kya kiya ke jahaan ko ummid-waar kiya.. Ye dil ko taab kahaan hai ke ho ma'aal-andesh, Unhon ne waada kiya is ne aitibqar kiya.. Kahaan ka sabr ke dam par hai ban gayi zaalim, Ba tang aaye to haal-e-dil aashkaar kiya.. Tadap phir ai dil-e-nadaan ke ghair kahte hain, Akheer kuchh na bani sabr ikhtiyaar kiya.. Mile jo yaar ki shokhi se us ki bechaini, Tamaam raat dil-e-muztarib ko pyaar kiya.. Bhula bhula ke jataya ha