Yoon to kam kam thi mohabbat us ki,
Kam na thi phir bhi rafaqat us ki..
Saare dukh bhool ke hans leta tha,
Ye bhi thi ek karamat us ki..
Uljhanein aur bhi thin us ke liye,
Ek main bhi tha musibat us ki..
Pahle bhi peene ko ji karta tha,
Mil hi jaati thi ijazat us ki..
Khwab mein jaise chala karta hun,
Dekhta rahta hun surat us ki..
Naam rahta hai zabaan par us ka,
Ghar mein rahti hai zaroorat us ki..
Us ki aadat thi shararat karna,
Kaash ye bhi ho shararat us ki..
Phailte badhte hue bistar mein,
Dhundhta rahta hun qurbat us ki..
Ek bosida sa ghar chhorh gayi,
Le gayi saath wo jannat us ki.!!
"Mohammad Alvi"
No comments:
Post a Comment