Posts

Showing posts from February, 2019

Hum Bhi Dil-e-kharaab Se Bezaar Hain Magar

Hum Bhi Dil-e-kharaab Se Be zaar Hain Magar, Kya Kijiye Ke Baat Nahi Ikhtiyaar Ki.! ہم بھی دلِ خراب سے بیزار ہیں مگر کیا کیجئیے کہ بات نہیں اختیار کی..

Chaudhwin Raat Teri Zulf Mein Dhhal Jaati Hai

Chaudhwin Raat Teri Zulf Mein Dhhal Jaati Hai,  Chadhta Suraj Tere Rukhsaar Se Ja Milta Hai..!  چودھویں رات تری زلف میں ڈھل جــــــاتی ہے چڑھتا سورج  ترے رخســـــــــار سے جا ملتا ہے..

Chehra Hai Kanwal Jaisa, Khaslat Hai Ghazal Jaisi

Image
Chehra Hai Kanwal Jaisa, Khaslat Hai Ghazal Jaisi.. Wo Husn-e-murawwat Hai Mumtaz Mahal Jaisi.! Nudrat Mein, Latafat Mein, Asghar Ki Ghazal Jaisi.. Guftaar Mein Sheerini, Hai Sabr Ke Phal Jaisi.!  Mumkin Hi Nahi Us Ke Ausaaf Bayaan Karna.. Wo Shaam-e-abad Jaisi, Wo Subah-e-azal Jaisi.! Hain Us Ke Bhi Seene Mein Madfoon Tamannaen.. Yoon Us Ko Samajhta Hun, Main Taj Mahal Jaisi.!  Paaband To Karti Hain Aazaar Nahi Deti.. Zanjeer Nahi Koi Us Zulf Ke Bal Jaisi.!!  چہرہ ہے کنول جیسا،خصلت ہے غزل جیسی وہ حسن مروت میں،ممتاز محل جیسی ندرت میں ،لطافت میں،اصغر کی غزل جیسی گفتار میں شیرینی،ہے صبر کے پھل جیسی ممکن ہی نہیں اس کے اوصاف بیاں کرنا وہ شام ابد جیسی ،وہ صبح ازل جسی ہیں اس کے بھی سینے میں ،مدفون تمنائیں یوں اس کو سمجھتا ہوں،میں تاج محل جیسی پابند تو کرتی ہے ،آزار نہیں دیتی زنجیر نہیں کوئی اس زلف کے بل جیسی.. 

Hoslon Ka Suboot Dena Tha

Hoslon Ka Suboot Dena Tha, Thokrein Kha Ke Muskurana Pada.!  حوصلوں کا ثبوت دینا تھا ٹھوکریں کھا کر مسکرانا پڑا..

Tum Bhi Shayad Wahin Se Aaye Ho

Tum Bhi Shayad Wahin Se Aaye Ho, Achche Mausam Jahaan Se Aate Hain.! تم بھی شاید وہیں سے آئے ہو اچھے موسم جہاں سے آتے ہیں..